TM Biggest Fan Contest 2011

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
Ok sajid bhai...main mehndi utarne ke bad wali pic bhi share ker deti hoon...per ye bat aapko usi waqt bolni thi na take main usi waqt share ker deti main to samajh rahi thi ke ek hi pic share kerni hai isliye maine us waqt pic li hi nahi thi...aaj abhi li hai to mehndi ka rang bartan or kapre dhone ke bad 2 dino me kafi pheeka par chuka hai...per phir bhi main share ker rahi hoon...{(doh)}

wow beautiful..........:-bd
kia baat hai Amreen siso
sach mei aap TM se bht pyar karte hai tabhi itna acha color aya hai....;;)
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
maine idhar sab ka work dekh liye hein almost..magar comment nai kar paata hamesha sahi se...
is contest ke lie polling nai ho rahi..but aik request hai...aik alag se thread mei sab participants ke work ko copy paste kardein...aur show us ur work mei thread laga dein...isse impression bhi acha parega...aur jinho ne participants ka work nai dekha hoga..woh bhi dekh leingein....

regards,
prince_farry
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
ok frndz...............first ov all, k meri NAZM ko padh k bilkul b nai hasna ok{)^}) mene choti c koshish ki hai k tafreehmela aur us ki family ko uch dedicate kar sakun

ek ehem baat is poetry ki, k mene alfaaz b ese use kiye hain jo kuch memberz k nick se milte hain..........almost sabi k names add karne ki koshish ki , but kuch memberz k nams chahte hue b add use nai kar saki...........so never mind:)............highlighted words ko samjhiye ga



Aaghaaz karti hun ek daastan-e-wadi jannat ka
jo abaad hai
surkh mehekte phoolon aur
ek mehrbaan
sayebaan ki badulat!
Is ki fizaon main rachi hai
Mohabbaton aur apnayiat ki mehek
kabi shikwe aur kabi
Iltifaat ki jhanak
hon bahaaren ya toofan,
yeh haseen pari chehra
aur
kholoos se bharpur log,
maane jaate hain ek ehem hissa is ka.
is wadi ki baad-e-saba b hai
masoom se chahton se labraiz
jis main rung bharti hai
khatti meethi boliyan aur
nanni chiryon ki chehchahat.
har shaks hai yahan lajawab aur anmol
jo parakh k dekho
toh nahin kisi jawahir se kum
ek umr beet jaye
per na ho gi mukammal mujh se yeh tehreer
magar
harf-e-akhir main yeh dua hai bas
k
Ae ALLAH, hamesha rakhna yahan
khuloos-o-mohabbat aur
pur Noor fiza qayam,
yeh dilon ko lubaati hasi
aur yeh chahat,
rakhe TAFREEHMELA ko aise hi abaad aur pur ronaq(Ameen)



wah neelu u to inni achi poet bhi nikli..ye chupa hua kalakar kaha tha ab tak? {(thinkg)}
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
Ok sajid bhai...main mehndi utarne ke bad wali pic bhi share ker deti hoon...per ye bat aapko usi waqt bolni thi na take main usi waqt share ker deti main to samajh rahi thi ke ek hi pic share kerni hai isliye maine us waqt pic li hi nahi thi...aaj abhi li hai to mehndi ka rang bartan or kapre dhone ke bad 2 dino me kafi pheeka par chuka hai...per phir bhi main share ker rahi hoon...{(doh)}

mashallah beautiful design.. :)
n acha color hai jo k kaprey dhone k bad bhi nai gaya, that means u realy love TM :){(oh0(}
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
a song lyrics edited by me... for our TM... :)


-HUM TAFREEH MELA HAIN-
----------------------------
apni dua pori hui, or humein,
itni pyari dunia me ,gher mil gaya,
dunia ek jhamela hai,
humara tafreeh mela hai,
hum aan, hum shaan,
hum is ki jaan hai,
hum tafreeh mela hain
----------------------------
khwab hai RR ka or DON ki umeng,
jeewan sung lagae rakhna is ki her lagan,
hum aan, hum shaan,
hum is ki jaan hai,
hum tafreeh mela hain
----------------------------
her ik lamha is ki khatir kaam kerna hai,
dunia ab roshan is ka naam kerna hai,
hum aan, hum shaan,
hum is ki jaan hai,
hum tafreeh mela hain
----------------------------
is dunia me tanha or tu kyu akela hai,
ao sab mil jae ye humara tafreeh mela hai
hum aan, hum shaan,
hum is ki jaan hai,
hum tafreeh mela hain
----------------------------
apni dua pori hui, or humein,
itni pyari dunia me ,gher mil gaya,
dunia ek jhamela hai,
humara tafreeh mela hai...
hum aan, hum shaan,
hum is ki jaan hai,
hum tafreeh mela hain
----------------------------
hum tafreeh mela hain
hum tafreeh mela hain
----------------------------
 
Status
Not open for further replies.
Top