Aaj ka Musalmaan

  • Work-from-home

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkaatahu Doston

Mai aaj ek bohot hi ehem Mudde per baat karna chahta hoon jo hai aaj ka Musalman..
Musalmaan kise kehte hai??
Musalmaan use kehte hai jisne ye maana ki ALLAH TAALA ek hai aur koi ma'bood nahi uske siwa aur Rasool Allah(PBUH),ALLAH TAALA ke Rasool hai, aur apni saari Zindagi ALLAH TAALA ke mutabiq guzaare..

To kya hum musalman hai??
Ji haan hai sirf naam hi ke musalman hai bus, baaki sab to hum ALLAH TAALA ke against jaaker karte hai....

Kisi ne ye soncha hai ke Hamara maqsad kya hai Zindagi ka, hame yaha Zameen per kyun bheja gaya??
Ji hame isliye bheja gaya kyun ke ham apni aaqirat ka saaman lekar jaane ke liye, hum aaqirat ka saaman kaise lenge aur kaise ikattha karenge....
Namaz, Quran aur sunnah ko follow karenge to hum kya jannati honge, ji kuch hadd tak to ye baat theek hai, bilkul theek hai lekin kuch log aise hote hai Namaz bhi parte hai, Quran bhi parte hai aur Sunnath per bhi amal karte hai lekin baaki saare bure kaam karte hai aur agar bure kaam naa bhi kare ho to wo log kuch aise kaam bhi nahi karte

Volumn 002, Book 023, Hadith Number 331.SAHIH BUQARI
-----------------------------------------
Narated By Al-Bara' bin 'Azib : Allah's Apostle ordered us to do seven things and forbade us to do other seven. He
ordered us: to follow the funeral procession. to visit the sick, to accept invitations, to help the oppressed, to fulfil the
oaths, to return the greeting and to reply to the sneezer: (saying, "May Allah be merciful on you," provided the
sneezer says, "All the praises are for Allah,"). He forbade us to use silver utensils and dishes and to wear golden
rings, silk (clothes), Dibaj (pure silk cloth), Qissi and Istabraq (two kinds of silk cloths).


ye to kuch chan baaten hai jo mai aapsab ko bata raha hu, aur iske peeche bohot si baaten hai jaise ki ham per jo cheezen farz kardi gai hai wo to beshak ham un cheezon ko tark nahi kar sakte jaise ki Namaz hai, kya namaz ke baghair ek Aadmi musalmaan hosakta hai jinahi
ek misaal dena chahunga : Agar Insaan ki gardan uske Jism se alag kardi jaaye to kya wo zinda reh sakta hai, nahi bilkul nahi reh sakta to aise hi Namaz ke baghair ek aadmi musalmaan bhi nahi hosakta..

Aise hi hame Islaam seekhna hai aur dusron ko sikhana hai....

Mai jo waqiat aap sabke saamne pesh-e-nazar karna chahta hu wo kuch yun hai..

Mai doosre mumaalik ke baare me to nahi jaanta lekin yaha India ke baare me jo chal raha hai uske baare me aap sab ko batana chahunga...
Kuch arsa pehle mai Deen ki Tableegh me chan afraad ke saath kuch gauon gaya tha thori se malumaat bhi ki thi aise hisson me gaya mai androon India ke, to pata laga ke waha ke musalmaan kaise hain aur us areas me kya chal raha, to pata laga ki Christianity phailaane ke liye itni koshishen ki jaa rahi hai, wo log ku muft me Naukri, rehne ke liye ghar, bachon ke mustaqbil ke liye school aur kuch paise bhi farham kiye jaarahe hai aur BIBLE bhi muft me baanta jaaraha hai, to aise log jiske paas ilm nahi hota wo log bhatak rahe hain..

Ek martaba Asar ki Namaz ke baad Gasht ka waqt tha aur mai ek larke ke saath gasht ke liye nikla to kuch door qabl ek aadmi mila aur kehne laga ke aapke ameer sahaab kaha hai mujhe unse milna hai, maine kaha mai lechalta hu ameer sahaab ke paas lekin maajera kya hai aap kyu is tarah ameer sahab ko puch rahe ho? wo shaqs ne mujhe kuch door legaya aur ek qabrastaan ke andar legaya aur kaha ki yaha taqreeban mazaaron ko dekhiye aur ghaur kijiye ke inme kya farq hai to maine ye baat note ki thi ki kai mazaaron per laal jhande lage hai aur kuch mazaaron per hare jhande lage hue hai maine us shaqs se iska muamla pucha to pata laga jitne hare jhande dikh rahe hai unki namaz-e-janaza hochuki hai aur jitne lal jhande hai wo musalmaan to the lekin unki namaz-e-janaza nahi adaa ki gai abhi tak, ye dekh kar mere aankhon me aansu aagae, aur mai us shaqs ko ameer sahab ke paas legaya, aur usi din ham sab ne unlog ki namaz-e-janaaza add ki aur saari jhandiyan nikaal di gai...
Hamne us shaqs se pucha ke iski wajah kya hai namaz-e-janaza kyun adaa nhi ki gai to kaha ke yaha koi Masjid nahi hai log musalmaan to hai lekin unhe kalma tak parhna nahi aata, to aisi jagah per koi maulvi, mulla, ya koi ullama kaise milega yaha tak ki Jumma ki namaz bhi nahi hoti, upar se log Christianity phailaane ke liye bohot si koshish me lage hai aur log bhatak rahe hai..
Ameer sahab ne pata lagaya aur kai logon ko Kalima bhi parhaya aur ab waha Masjid bhi taamir horahi hai..

Aur ek Waqia yaad aaraha hai mere zehen me
Ek aur gaaun ko gaya tha kuch din waha guzaare aur dekha ki yaha to kaafi log musalmaan hai aur kuch ilm rakhne wale bhi hai ek masjid ke paas se guzar hua aur ek bayaan chal raha tha to bait gaya waha, to wo aadmi jo bayaan kar raha tha uske saamne quraan khuli hui rakhi hai lekin wo baaten kuch bhi Quran me se nahi keh raha bus apne se jo samaj me aaya kehte jaaraha hai mere palle nahi pari uski kuch baaten, to maine Ameer sahab ku ye saara qissa sunaya aur unhe wo masjid me legaya to jab is baat ka pata lagaya to wo aadmi Musalmaan to tha lekin use bhi ISLAM aur deen ki kuch malumaat na thi bus Sawaab ke liye wo logon ko jo baaten use pata thi bata raha tha lekin use to Quraan ki tilawat karni bhi nahi aati thi, ye dekh kar bohot afsos hua, Us jagah bhi kuch mahino ke farq se alag alag logon ko us muqaam pe rakha jaaraha hai aur ISLAm aur deen ke baare me bataya jaaraha hai...

Ye sab baaten aap sab ko sunane ke piche mera ek hi maqsad hai ke iski pooch kise hogi....?
Ham Musalmaan isliye hai kyun ke hamare buzurg musalmaan the aur ittefaq se ham bhi musalmaan hogae, Abi bhi jaagiye doston kuch nahi bigra isse pehle der hojae hame bhi nikalna chahiye jin logon ko ISLAM ke baare me ratti barabar bhi nahi pata unlog ku ISLAM ki daawat dena hamara Farz hai agar pooch hogi to kya ham sab iska jawaab deskange...Aur log

dusre mazaheb ke liye itni koshishen kar rahe hai to kya ham ISLAM ke liye kuch nahi kar sakte?
ISLAM ya Deen sikhana matlab sirf Tableegh karna hi nahi hota, balke hame jitni bhi malumaat hai wo doosron se share karna chahiye aur logon ko islam ke baare me batana chahiye..


Volumn 002, Book 023, Hadith Number 334.SAHIH BUQARI
-----------------------------------------
Narated By Kharija bin Zaid bin Thabit : Um Al-'Ala', an Ansari woman who gave the pledge of allegiance to the
Prophet said to me, "The emigrants were distributed amongst us by drawing lots and we got in our share 'Uthman
bin Maz'un. We made him stay with us in our house. Then he suffered from a disease which proved fatal when he
died and was given a bath and was shrouded in his clothes, Allah's Apostle came I said, 'May Allah be merciful to
you, O Abu As-Sa'ib! I testify that Allah has honoured you'. The Prophet said, 'How do you know that Allah has
honoured him?' I replied, 'O Allah's Apostle! Let my father be sacrificed for you! On whom else shall Allah bestow
His honour?' The Prophet said, 'No doubt, death came to him. By Allah, I too wish him good, but by Allah, I do not
know what Allah will do with me though I am Allah's Apostle.' By Allah, I never attested the piety of anyone after that."



Chaliye ab mai Ijazat leta hu aap sab se phir koi acha sa Column lekar haazir hunga Insha'ALLAH..
ALLAH TAALA hame dekhne sunne se zyada amal ki taufeeq ataa farmae..AMEEN YA RABBUL ALAMEEN..
 
Top