Choosing a Perfect Life Partner

  • Work-from-home

Noor_Afridi

Super Star
Feb 28, 2009
14,443
9,602
1,313
40
karachi
jizaka Allah BrO buhut hi zabardaSt Sharing ki hai aap nay
Allah aap kO khuSh rakhay Or hum Sab kO iSlam ki taleemat par Amal karnay ki tOfeeQ dai
Aaameen
 
  • Like
Reactions: ~Prince-Farry~

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313

bilkul sahi kaha bro aap ne :)
islam asaan deen hai magar ham ne khud isko mushkil bana rakha hai
aur khud hamari bhi misaal hai ham ne bhi deen ko hi tarjhee shadi ke liye aur hamari ahlia ke ghar wale bhi sirf deen ki wajhe se ye rishta qabool kiye halanke wo itna jald shadi nahi karna chahte the lekin khaas kar hamare rishte ki wajhe se haan kardiya Alhamdulillah

Allah ham sab ko har maamle me sunnat ki pairwi karne ki taufeeq de Aameen
oh mashaAllah bro........
beshak Islam asan kardeta hon deen ko..
AAMEEN SUME AAMEEN
:)
 
Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
jizaka Allah BrO buhut hi zabardaSt Sharing ki hai aap nay
Allah aap kO khuSh rakhay Or hum Sab kO iSlam ki taleemat par Amal karnay ki tOfeeQ dai
Aaameen
WA-Iyakum bro...
shukriya ap idhar ae aur hamara thread parha..
AAMEEN SUME AAMEEN
 
~Ambitiou$ Girl~

•°o.O ʍąţȼhℓ€$$ O.o°•
Super Star
May 26, 2010
6,851
2,131
1,313
pakistan
jazakallah
bohat achi baat ki

Jab tumhare paas aik deendaar larke ka rishta ajae to deendari ki bunyaad par shadi kardo us larke se...agar tum reject kardoge is bunyaad par ke larka deendar hai to zameen mei fitna hojaega aur fasaad hojaega.

Deendari ki qadar itni honi chahiye ke deendari ke samne dosre saare criteria ko bhool jana chahiye..isse faida yeh hai ke larka deendar rahega to us par Allah ka kauf hoga, “aur wo har kisam k halat may saabir-o-shakir rhega ,apni izdawaji zindagi k masayl bhi ALLAH k ehkaam aur raza k mutabiq hal karega aur apni biwi k tamam haqooq k bare may ALLAH se khauf rakheyga aur unhe ALLAH ki marzi k mutabiq ada karega".

larki agar deendar rahegi to Allah ka kauf hoga, Apne shohar k haqooq aur apne frayz se mukammal agahi hogi , aur wo apne shohar k saath mukammal tor par mukhlis hogi aur tmam muamlaat may ALLAH sse darne waali aur pakeeza seerat hogi,aur na sirf apne husband balkey uski family k liye bhi husn-e-salook karne waali, aman-o-sakun aur itminan ka sabab hogi.

yeh cheez unko aane wali zindagi mei bht kaam deigi...maal khatam hosakta hai..khoobsurti khatam hosakti hai..khandan bezat hosakta hai..lakin deendari insan ko apas mei aik dosre ko sambhaalne mei behtareen madad karegi.

WA-Iyakum...
 
maher asad

Active Member
Dec 2, 2011
199
94
78
31

~And among ALLAH's signs is this that he created for u spouses from among yourself, so that you might find rest in them, and he has set between u love and compassion, Truly there are signs in this for people who reflect(Quran,30:21)~

Aj kal ke daur mei kuch masle aise paida ho rahe hein jaise kuch larke wale jo larki walo ko sata rahe hein.aik taraf larki wale hein pareshan rehte hein...aur dosri taraf larke wale hein jo is faqar mei samjhte hein ke jo chaahe karsakte hein

View attachment 49163

Allah S.W.T. idhar irshaad farma rahe hein ke woh log jo momin aurto ya mardoo ko takleef dete hein,azmaish mei dalte hein aur pher woh tauba nahi karte to unko doo azab hogein,

Jahannum ka azab hoga, aur jahannum mei thandak ke elawa khaas kar ke garmi ka ziada azab diya jaega, yaani ke jo log larki ke gharano ko jaate hein aur jaakar larki ke samne aeb bayaan karte hein ya reject karte hein ya ulte seedhe naam rakhte hein..nateeje mei larki ko zehni taur par takleef hoti hai..ya ke photo leikar gharoon mei rakh lete hein..nateeje mei kahi logo ke paas kae larkiyo ke photos jama hojate hein aur nazrein dalte hein...shadi to nahi karte lekin haram taur par bacho ke photo par nazre dalte hein...ya isi tareeke se kae kae gharaane jaate hein, maqsad tay karna nahi hota..nateeje mei dosro ko umeed lagate hein..
yeh saare qisam ki takleefein dena Islam mei jaiz nahi hai..is waja se jaha kahi bhi larke wale ja rahe hein..unki zimadar hai ke unke koi bhi harkat se takleef na hoo

********************************************************************

Aj kal muhashra mei shadiyan deir se ho rahi hein..uski bunyaadi waje hai ke log materialistic hochuke hein aur akhriat rukhi sooch khatam hochuki hai.

aj kal naujawaan buraye mei mubtila ho rahe hein aur usko buraye nai samjh rahe hein..jaise ke larki se haath milana, phone par baat karna aur ghair zaroori baat karna..yeh sab haram hai
.
jab taakhir hogi to naujawaan larke larkiyan shadi se pehle mil milaab ke bohot saare rasmo riwaaj aur bht saare raaste kaim karne ki khoshish karegein.

Baro ko chahiye ke bacho ki shadi jald se jald kardein aur jahannum ki aag se bachayein....
Larko ke andar akhrat rukhi soch khatam ho rahi hai..larke samjhte hein ke pehle choti behan ki shadi hogi aur pher woh karein ge.

jiska jab time ata hai usko shadi karleni chahiye aur achi aur halal zindagi guzarni chahiye.

♥♥♥~~ Jab Banda Shadi KErta Hai To Uska Aadha Deen Mukamal Ho jata Hai ♥♥♥~~

********************************************************************

~In Islam, marriage is a blessed contract between a man and a woman. Each have their own role to play in making a marriage successful. It is a bit more difficult but certainly possible to make even a selected partner in a marriage a success~

View attachment 49164

Is ayat mei Allah S.W.T. irshad farma rahe hein ke aik zaani nikkah nahi karta, magar aik zaaniya se aur mushrika se. Aur aik zaania ko chahiye ke ussey nikkah kare aik zaani aur aik mushrik. Aur momino par aise rishte haram karar diye gae hein.

Is ayat ka matlab samjhne ke lie yeh hai ke aik zinah karne wala mard khud zinah karte we fitri aitbaar se kabhi yeh pasand nahi karta ke usko jo dulhan milegi ya usko jo biwi milegi, woh badkaar rahe, ya woh zaaniya rahe..isko fitri aitbaar se woh khud pasand nahi karta.

Isi tarah agar aik zinah karne wali aurat hai, buraye karne wali aurat hai..fitri aitbaar se woh zaaniya aurat yeh pasand nahi karti ke usko jo shohar ya dulha milega..woh bhi badkaar aur zinahkar rahe.

Goya ke matlab yeh hai ke jab tum dosre ke lie pasand nahi karte ke woh badkaar hoo aur buraye kare...to is ayat mei bataya ja raha hai ke khud pehle ache hojao..khud apne bare mei fikar karo..jab tum dosro ke bare mei sochte ho ke dulhan achi mile, dulha acha mile..to khud bhi ache hojao.

taake tumhara rishta Allah S.W.T ke nazar mei bhi maqbool rahe..aur is bunyaad par..emaan ki bunyaad par..deendaari ki bunyaad par aur Allah S.W.T ke kauf aur akhraat mei hisaabo kitaab jo hone wala..in bunyaado par rishta kaim hona chahiye.

Aurat Ka Nikkah

~The Prophet Muhammad Sallallahhualihiwasalam said, "A woman is married for four things, i.e., 1. her wealth, 2. her family status, 3. her beauty and 4.her religion. So you should marry the religious woman (otherwise) you will be a losers.
Volume 7, Book 62, Number 27: Narrated Abu Huraira~

Nabi Kareem Sallallahhualihiwasalam ne farmaya ke Aurat ka Nikkah kiya jata hai chaar bunyaado par..koi maal ki bunyaad par karta hai, koi khandaan ki bunyaad par karta hai, koi khoobsurti ki bunyaad par karta hai ..aur koi deen ki bunyaad par karta hai.

Nabi Kareem Sallallahhualihiwasalam yeh chaar bunyaad par keh rahe hein ke deen ko bunyaad banaya jae....yaani rishta accept karne ki bunyaad deen par honi chahiye. ...khoobsurti dekh sakte hein yeh sab zimni baatein hein..lakin haqeeqat jo hai deendari ko bunyaad banana chahiye.

~~♥♥♥ The whoLe worLd is a provision, and the besT objecT oF beneFiT oF ThE worLd is the pious woman ♥♥♥~~

Mard Ka Nikkah

~Narrated Abu Hurairah, r.a. Allah's Messenger (peace be upon him) said:
"When someone with whose religion and character you are satisfied asks your daughter in marriage, accede to his request. If you do not do so, there will be temptation on Earth and extensive corruption."
[Tirmidhi, Nasa'i and Ibn Majah transmitted it.]~

Jab tumhare paas aik deendaar larke ka rishta ajae to deendari ki bunyaad par shadi kardo us larke se...agar tum reject kardoge is bunyaad par ke larka deendar hai to zameen mei fitna hojaega aur fasaad hojaega.

Deendari ki qadar itni honi chahiye ke deendari ke samne dosre saare criteria ko bhool jana chahiye..isse faida yeh hai ke larka deendar rahega to us par Allah ka kauf hoga, “aur wo har kisam k halat may saabir-o-shakir rhega ,apni izdawaji zindagi k masayl bhi ALLAH k ehkaam aur raza k mutabiq hal karega aur apni biwi k tamam haqooq k bare may ALLAH se khauf rakheyga aur unhe ALLAH ki marzi k mutabiq ada karega".

larki agar deendar rahegi to Allah ka kauf hoga, Apne shohar k haqooq aur apne frayz se mukammal agahi hogi , aur wo apne shohar k saath mukammal tor par mukhlis hogi aur tmam muamlaat may ALLAH sse darne waali aur pakeeza seerat hogi,aur na sirf apne husband balkey uski family k liye bhi husn-e-salook karne waali, aman-o-sakun aur itminan ka sabab hogi.

yeh cheez unko aane wali zindagi mei bht kaam deigi...maal khatam hosakta hai..khoobsurti khatam hosakti hai..khandan bezat hosakta hai..lakin deendari insan ko apas mei aik dosre ko sambhaalne mei behtareen madad karegi.

********************************************************************

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

Marriage
Be not a master
There is but the Only-One
Be not a slave
For you already are one to the One-and-Only
Be a companion true

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

My Views:

JazakaAllah Khair parhne ke lie :)...Nasir bhai ko jitni bhi duyein dein..kam hein...pehle lag raha tha hamein ke hum itna nai likh paegein..but jab kaam shuru kiya to sab Alhamdulilah khud ba khud hoone laga....mehnat to bohot karni parhi..kyonke pehli bar aisa kaam kiye hein...but Alhamdulilah hogia...umeed hai ke humne koi galat info nahi pass ki ho idhar ...
rahi baat contest ki..to aise contest chand maheeno ke waqfe deikar hoone chahiye..yah to once in a year bhi sahi hai..aur saath mei dosre Islamic contests bhi hosakte hein...hum aik suggestion dete hein..idhar QIRAT competition zaroor hona chahiye...males aur females dono ka...Allah ka kalaam sab parhegein aur sab ki apni awaz mei noor hai..inshaAllah sab hi barh charh kar participate karegein.......
shukriya visit karne ke lie thread...
khayal rakhein apna..

FI-AMANILLAH :)
walaikum aslam..bohat ummdhaa...!!!
 
  • Like
Reactions: ~Prince-Farry~
Top