Mega Urdu Contest 1st Round

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,777
1,113
aayega bhi nhi {(popcorn)}
contest amy participate nhi kar rhe aap?
lo g mein koi lerki thori hoon jo mendi lagaon ga...........................ku ji ? ku nazar nhee aya ga....??
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
lo g mein koi lerki thori hoon jo mendi lagaon ga...........................ku ji ? ku nazar nhee aya ga....??
dimagh ki dehi na bnayain urdu contest may partcipate nhi karna aap ne to kittey hor ja k gappain maaro /:)
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,777
1,113
dimagh ki dehi na bnayain urdu contest may partcipate nhi karna aap ne to kittey hor ja k gappain maaro /:)
lo g ..itnee serious discussion ko ap gappein keh rahi hein.....bady afsoski bat hai wesy...!!
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
:eek:mujhy ye threat abhi nazar aya hai mujhy kisi ne bi nae bataya is k bary me{(cray)} aur time tu ab hai hi nae
ooopsh faari maine introduction round ka tag kiya tha aapko shayed :s
time to aaj raat 12 bajey tak hay aap kar sakti hain to try kar lain
@shb bhaya,,,ye kia baat hui jaldi se likhain aapko to mushkil nhi honi chahiye {(popcorn)}
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
8th september!
today is the last day of submission
Participants plzz hurry up!
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,777
1,113
{(rtmf)}.......................................
 

Menaz

Active Member
Aug 10, 2012
481
275
563

Utho kr zulmate shab ko tamam karna hai.....
Saharan pur kehne ko to sirf aik chota sa gaon tha lekin uske qudrati manazir
is qadar khubsurat the ke dekhne waale ko kisi aur hi duniya ki ser kara dete...
Sarsabzo shadab khushamdid kehte darakht,neelgu aasmaan ki chadar jisme udne waale
parinde goya dekhne waale ko bhi udne ki dawat de rahe hon....
Aur gaon ki khubsurti ko dobala karti nadi..............
jisme tairti batkhe aisi maalum hoti goya paani men taairte safaid rui ke gaale...
Nadi ................jo na sirf is gaon ki khubsurti ko char chan lagati ,balke saalo se is gaon ke
beshtar logon ko rozgar bhi faraham karti thi....
gaon ke log isme kashti chala kar apni rozi roti ka intzaam karte the...
Yun to gaon ke log behad mukhlis aur milansaar log the lekin unme andhi taqled behad aam thi....
ab is kuen ko hi le lijeye.....kaha jata hai ki....
Saalo pehle ki hai ye baat
aik raja ka tha is gaon main raaj paat
raja tha bohat ghamandi
khane main use pasand thi bhindi
raja ne aik din darbaariyon ki dawat bulawai
aur bawarchi se wohi bhindi pakwai
najane us din bawarchi ko kya sujhi
kehne kaga kyun na khilaun main raja ko loki aur suji
junhi dawat par khana lagane ka waqt aaya
raja ne sabse pehle wohi bhindi mangwaya..
bhindi na paakar raja hua aaga bagola
aur kehne laga.....
tujhe zaroor milegi is galti ki saza..
raja ne apne gusse ko is tarah undela
sipahiyyon se keh kar bawarchi ko kuen men dhakela
bechara bawarchi cheekhta raha chillata raha..
bhindi na pakane ki itni dard nak saza paata raha
aakhir kaar bawarchi ki cheekhe ho gayi us kuen men gum
aur us din se ye kuan kehlaya jaane laga bad shagun....
Bas phir kya tha logon ne us kuen ke paani lena to dur uske paas se
guzarna tak tark kardiya...kuch hi dino main aik bachcha khelte khelte us kuen men ja gira..
bas phir kya tha gao waalon ka yaqeen to aur pukhta hogaya ke zaroor
us bawarchi ki rooh is kuen ke aas paas hi bhatakti hai..
Kiran us gaon ki bashaura aur padhi likhi ladki thi...use in bhoot pret ki baato par
kabhi yaqeen na hua tha..Aaj to usne qataee irada kar liya tha ke wo is kuen se zaroor pani bhar laegi...
aur to aur usne apni saheliyon ko bhi tayyaar karliya tha....ke wo bhi uske saath chale..
par pul par pohanchte hi unki himmat jawab de gayi,aur wo khud to wahin pul ke paas theher gayin...
aur use bhi na jane ka mashwora dene lagin...
kiran ab bhi kuen ki janib rawa dawa thi...
zehen men ye azm liye ke....
Utho ke zulmate shab ko tamaam karna hai..
ik naee subh ka aihtamaam karna hai...
uski saheliyan ab bhi muntazir hain kisi anhoni ki.....
aap ko kya lagta hai kya ye mumkin hai?????/
 

Menaz

Active Member
Aug 10, 2012
481
275
563
Utho ke zulmate shab ko tamam karna hai......
Saharanpur kehne ko to aik chota sa gaon tha lekin uske qudrati manazir is
qadar khubsurat the ke dekhne waale ko kisi aur hi duniya ki sair kara dete......
Sar sabzo shadab khushamadid kehte darakht,neelgu aasmaan ki chadar,
jismen udne waale parinde goya dekhne waale ko bhi udne ki dawat de rahe hon.
Aur gaon ki khubsurti ko dobala karti nadi.........
Jisme tairti batkhe aisi maalum hoti goya paani men tairte rui ke gaale....
nadi jo na sirf is gaon ki khubsurti ko char chand lagati,
balke saalo se is gaon ke logon ko rozgar bhi faraham karti thi....
gaon ke kuch log isme kashti chala kar apni rozi roti ka intzaam kiya karte the....
Yun to gaon ke log behad mukhlis aur milansar the magar unme andhi taqlid behad aam thi...
Ab is kuen ko hi le lijiye.....kaha jata hai ke...saalo pehle ki hai ye baat..
@sweeet-girl plz story ko alag se thread laga k post kro na............
me you ko wahan comment du gi...
okkay siso....​
mene kardiya hai.....​
 

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
Status
Not open for further replies.
Top