Satt Rangi Dherti, Dillon K Kally Loog!!!

  • Work-from-home

Bela

~*~A|!c3 in w0nd3r|@nd~*~
Active Member
Feb 4, 2010
5,975
3,851
1,113
Madrid, Spain
Satt Rangi Dherti
Dillon k kally loog
1155_4245_9199.gif

“Jhillmill ary jaldi se ajao pani bharne nahi jana kya? Sham ho gai to bhai mujhy jane nahi de ga jaldi se ajao” nazo darwazy se hi bolti chali arahi thi. “Oh ho chalo chalo jaldi chalin ak to tmhara bhai bhi jalad sift ha” wo matka uthaty boli thi. Wo dono rasty me batin krti chali jarahi thin laken baatin kam or hansi zyada gunjti unki. Panghat jhillmill k ghar k pas hi thi lakn nazo ko pol se guzar k ana hota tha.Pol k is taraf un logon k nisbatan bary ghar thy jin ki malkiyat me kuch zameenain thi jb k pol k dosri taraf wo gharib mazary thy jo in zamindaron ki zaminon me kam krty thy.

Jhillmill unhi wadairon me se aik Choudry Hasshmat ki beti thi. Do hi bhai thy usky or wo akloti. Ladli itni k har khwahish labon pe any se pehly hi mukamal ho jati. Wo thi bhi to sab se mukhtalif itni zaheen k uski kahi bat pe log unglian danton me daba lain, pory gawo ki ak hi larki jisko parhany qaribi shehr ki masterni ji roz gari me attin. In sb k bawajod takabur se arri uska dostana rawaiya har ak ko apna garvidah kiye rakhta. Yehi wajha ha k mizaron ki bettian uski nokraniyan nahi saheelian thin or unhi k sath wo pani bhrney panghat pe aya krti. Gaow ka ye hissa khawateen k lye hi makhsoos tha, pani bharna, neher k is hissy me kapry dhona wo yahan hi krti thin. Jhillmill ko un sab se batin krna, nazo k sath neher me pao dal k bethna or bewajha, bemaqsad baton pe hansy jana bht passand tha.

“Jhillmill ye tujhy gulabi or peilla rang itna q passand ha?” nazo ne usy phr se gulabi orhni orhy dekha to pochy bina nahi reh saki.“Nazo dekh suraj ka rang bhi to peilla ha kese wo apni roshni pory jahan me phela deta ha. Jab khaiton pe iski sunehri roshni ki chadar bichti ha to esa hi lagta ha na k wo khait nai han sunehru kirano ka aik samandar ha. Bs isilye mujhy peilla sunehri rang acha lagta ha or gulabi kitna mukhtalif kitna nikhra sa laken narm sa rang ha mera bas chaly to sari duniya hi gulabi kr du” wo jese bat krty krty kahin kho si gai. “Han tbhi tu ne apne ghar ki chaat ko bi gulabi rang se ranga ha” nazo palat k usky ghar ki taraf dekhny lagi. “Ji han bilkol theek, tbhi to mera ghar gaow k sb gharon se mukhtalif ha bilkol meri tarhan” jhillmill ne apna hath Baraya nazo ne kivi mamool ki tarhan uske hath pe apna hath mara or unki khilkhilahtain fiza me goonj gain.

“Me Noor phopo k jesi ho jaun gi?” be’panah ishtiyaq or ankhon me chamak liye wo apni maa se poch rahi thi. “haan meri jaan tmhara naseeb bhi tmharo Noor phopo jesa hi ha. Mera phella hoa anchal, ki gain hazar minatain bhi tera muqadar nai badal saktin” Shasista bibi ne ak bar phir usko dil se laga lia tha jese wo chupa lena chahti hon usko anne wale zalim waqt se. Unho ne suna tha k dua k siva koi chez takdeer k faisle ko raad nai kr sakti lakn shayed jhillmill k bare me ki jane wali sari duaon ko abhi kabuliyat ki sanad nai mili thi. Apni kamsin, khubsurat rangon ki dewani beti ko safaid libas me dekhne ka tasawor hi unke lye sohan e rooh tha lakn wo bebass thin bilkol lachar k unke pas usko paida krne ka haq to tha lakn uske haq me koi faisla krne ka ikhtiyar unhain nai dia gya tha. Jhillmill khushi se chehcha rahi thi ussy sirf yehi khushi thi k wo bhi us mukam ko pany jarahi ha jis ki haqdar is gawo me sirf uski phopo thi. Us be’khabar k itna itna bhi nai pata tha tanhai ki azaiyat se guzarty job Noor bibi pe Haal ata to kese unki mulazima unhain sambhalty sambhalty thak jatin. Wo jhillmill k masoom chehry ko dekhy jatin q k wo jantin thin k ajj akhri bar is chehry pe hansi ha kal ka suraj uski zindagi ko hamesha k lye badal de ga.

Usy gawo se dur neher k para bany un do kamron pe mushtamil Safaid Ghar me laya gya tha jiske bare me usne apni maa se suna tha k wahan uski phopo akeli rehti han laken lakh israr pe bhi Shaista bibi kbhi usko apne Sath wahan nai le k gain.
Us charpai k charon konon pe is ehtiyat se safaid chaddrain bandhi gain thi k unse bahr nazr na asaky. Safaid hi kapron me malbos jhillmill ko molvi sahib us me dakhil hony ko keh rahy thy. Shaista bibi ne bhench k usko apne seene se lagaya lakn usy jaldi thi foran un chaddron k pechy gum hogai.
“Jhillmill bibi wald choudhry Hasshmat Ali kya apko ba’ewaiz chey suratain haqmeher apna nikkah is pak kalam Quran e karim se qabool ha?” molvi ne 3 teen bar dohraya or teeno bar bari surrat se Haan ka jawab aya. Uski har haan uski maa ki siskiyan kuch or dilkharash bana deti.

“Ab apko aj raat me 100 nafal ada krny han bht mubarik ho apko ap ALLAH wali ban chuki han, aj se ap AYAT BIBI ha nab koi esa kam nai krna jis se apki izzat pe harf aye apki izzat or is pak Kitab ki izzat ak ho gai ha. Yehi apka orhna bechona ha. Kisi zi’naffs k samne jany se guraiz Karin. Ajj se apka libas sirf safaid rang hoga. Apko marny tak esa hi rehna ha is Kitab k sath or marne k baad apko mushtarka qabaristan me dafnane k bajaye alag dafnaya jaye ga or tb bhi ye pak Kitab apke sath dafan ki jae gi.”
Channd jumlon me uski ainda zindagi ka khulasa kr dia gya tha. Wo chaddron k andar bethi molvi ki baton pe muskuraye jarahi thi usu laga molvi pagal ho gya ha ese bhala kon reh sakta ha. Quran k Sath kese jiya ja sakta ha. Han Quran parhna mujhy boht passand ha or tab to bht shouk se parhti hu jb nazo kehti ha k tum parho me sunu gi. Hye nazo q nai ai abhi tk? Molvi ki batin sochty sochty uski soi nazo me ja k esi atki k usy ye bhi pata nai chala k uski maa, unki mulazima or molvi kb wahan se chaly gye.

Usy nai pata tha k ye intezar ab uska muqadar ha. Nazo ka intezar jo uske bina nahi reh sakti thi, apni maa ka intezar jo usky thori der apni nazron se ojhal hone pe usy seene se laga leti, apne jaan se pyare bhaion ka intezarjo har roz uski farmaishain pori krty na thakty, apne baap ka intezar jin ki ba’roub shaksiyat se darne k bawajod bhi wo unke Sath zameeno pe jaya krti or jinhon ne kbhi uspe ak sakht nazr tk nai dali thi.

Gurya se behlaya tha, goud me apni slaya tha
Pher kese tum ne chor dia, tanhai ne humin jalaya tha

Kya jhoot that tera pyar baba, bejan zameen hi pyari thi
Pher kun na mara barson pehle, zindan abhi sajana tha

Har din wo khana lane wali Bibi se sb ka pochti or har din wo uska sar thapthapa k chali jati. Aksar kisi din wo kisi ourat k rone chekhny ki awazain bhi sunti or bechain ho k darwaza kholne ki koshish krti laken usky naseeb ki tarhan un pe bhi tally pary thy. Bibi se pochny pe pata chala tha k wo uski phopo Noor han jo 20 baras pehly isi tarhan Quran k nikkah me di gain or un pe HAAL aya hota ha jb wo chikhti chilati hain.

Din guzar gye usko yad nai usne akhri bar Quran kb parha tha. Na’chahty hoe bhi usy is kitab se nafrat hone lagi thi. Wo ab bhi intezar krti lakn ab uske intezar ki noiyat badal shuki thi ab wo suraj nikalne or raat dhalne ka intazar krti. Ese hi ak din jb ye lahasil intazar krty wo thak gai to us kitab se badla lene ka sochty hoe usy uthaya or tab hi jany usy kya hoa k wo usy dil se laga k phot phot k ro di. “ALLAh ka hukam ye nai tha k ourat ko jaidad me hisaa na dene k lye usy youn zindan me qaid kr do, ALLAH tu ne q kaha k betion ko paida hoty hi mat maro, ye rahmatain hain. Allah tu ne q ourat ka zameen pe haq rakha k log usy tanhai ki agg me jhulsa dain”. Uski chekhain gonjti jarahi thi or bibi ne pehli bar uske ghar ja kar uski maa ko btaya tha “Aj Ayat bibi pe HAAL aya tha ji”

“Me q rahon ese, ye sb to nai likha is Quran me phr q manu me in sb baton ko. Me kisi tarhan ja kar nazo se milti hu wo zaror meri madad kre gi” yehi sb sochty hoe wo wahan se bhagne ki tayari krne lagi or jald hi usy moka mil gya bibi darwaza khula chor gai thi. Sham ka hi waqt tha gaow jane ka ak hi rasta tha us safaid ghar k bahar khari 2 kishtiyan. Baghair sochy samjhy usne kishti chalani shuru ki dil khushi se dharak raha tha. Usky apne rishton ne uska maan tora tha lakn uski saheli zaroor uska sath de gi. Aj aik mudat bad usne gulabi or sunehra rang pehna tha. Gawo pohnch k usne kisi ka matka utha k sar pe rakha or panghat ki taraf jane lagi.Herat k channd jhatky zaror lagy usko mehsos hota gaow ki neher weran ho schuki ho gi uske bahgair lakn wo to youn hi rawan dawan thi, usy laga batakhain pehly ki tarhan hi usy pehchan k aspass mandlany lagain gi lakn wo bhi yonhi pani me terti rahin. Usy uska gulabi chaat wala ghar bhi nazar aya jo usi abb o tabb se khara tha. In sab chezon ko nazar andaz kr k wo nazo ka intezar krne lagi. “Arry ye yahan kese” bano ki herrat bhari awaz sun k wo khushi se pagal ho gai q k nazo k sath yehi larki pol k par se ati thi wo palatne wali hi thi k usne ak or awaz suni “Hye rabba! Ye to Ayat bibi ha. Hye isko kya hogya, zara jo isne apni ya pak kalam ki izzat ka khayal kiya ho. Dekh to kese rangeen kapre pehne agai gaow k bechon bich. Chal jaldi wapis chal kahin hamare pas hi na ajaye hum pe qeher ajaye ga pak kalam ka” is awaz ko wo lakhon me pehchan sakti thi uski dukh dard ki sathi jaan se pyari nazo thi ye. Laken jhillmill k qadam to uske ak hi lafz ne rok lye AYAT BIBI.Wo agy nahi barh saki jaan gai thi k uske raston me kanty bicha diye gye thy. Is Satt Rangi Dherti me rehne wale Dillon k Kally Loog jeet gye thy or us kitabon, rangon or chahat ki batin krne wali jhillmill to tanhai me hi timtimana tha.

6e3osm.gif
6e3osm.gif
6e3osm.gif
[DOUBLEPOST=1347081444][/DOUBLEPOST]@RedRose64 @hoorain
@~Unknown~ @Rubi @Fa!th @eXcalibuR @Ally[DOUBLEPOST=1347081541][/DOUBLEPOST]@Qawareer @mashraki.larka @Detective @whiteros @Bela @Tooba Khan @sweet-girl @*SHOAIB* @neevrap @Khwahish
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!

jo topic aap ne liya hats off to u!
Bohat zabardast tareeqe se likha bela,,,,aap ka idea bohat unique lagga
stay blessed
GUD LUCK :-bd
 
  • Like
Reactions: Detective and Bela

Bela

~*~A|!c3 in w0nd3r|@nd~*~
Active Member
Feb 4, 2010
5,975
3,851
1,113
Madrid, Spain
jo topic aap ne liya hats off to u!
Bohat zabardast tareeqe se likha bela,,,,aap ka idea bohat unique lagga
stay blessed
GUD LUCK :-bd
thanks............
yes me likhna chahti thi is topic pe.
n ap logon ne me ko moka de dia.....
thanks for your encourgmnt
 
  • Like
Reactions: hoorain

Silent Soul

Banned
May 24, 2012
3,420
2,568
113
Karachi
kisi ne meri story nai parhi.............
good encourgmnt.....
Maine pori parhi hai
zabardast likhi hai bilkul real lyf ko mind mai rakhte howe.
Manzar kashi mai thori si aur batain add ho sakti thi pehle is manzar ko thora define karna tha then baqi conversation start karti to ziada jaan atti else it's realy really good!:)
Best of luck:-bd
 
  • Like
Reactions: Bela

Bela

~*~A|!c3 in w0nd3r|@nd~*~
Active Member
Feb 4, 2010
5,975
3,851
1,113
Madrid, Spain
Maine pori parhi hai
zabardast likhi hai bilkul real lyf ko mind mai rakhte howe.
Manzar kashi mai thori si aur batain add ho sakti thi pehle is manzar ko thora define karna tha then baqi conversation start karti to ziada jaan atti else it's realy really good!:)
Best of luck:-bd
hmm you are rite.........
me ne rough draft me ye sb kia tha.......
bt story hi itni lengthy ho gai thi k phr wo sb eliminate krna para.
phr bht i preferred The Manzar n try kia k starting n ending isi pe ho.
thanks alo0ot.[DOUBLEPOST=1347105964][/DOUBLEPOST]
wow beautiful story aur bht sad bhi hai
mainse socha tha baki stories ki tarah ending achi hogi but nhi :(
ALL THE BEST BELA :-bd
story ki demand yehi end tha..... n yehi reality bhi ha fr lo0ots of girls jst like us.
n thanks alo0ot shonu.
 
  • Like
Reactions: Silent Soul

zehar

VIP
Apr 29, 2012
26,600
16,302
1,313
hmmm MASHA ALLAH bohot hi achi stori likhi hai...
nazoooooooooo pyara name rakha

GOOD LUCK....:)
 
  • Like
Reactions: Bela

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
bela wah bhai u b writer nikili mashaAllah
zabardast yar...bht perfect kahani likki hay pic k lihaz say....piyare nazooo kia bat hay apki...:D
best of luck
 
Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Ma Shaa' Allah boht he khousurti say app nay alfaaz k istemaal kiya hy aur topic be bohat he acha aur xara hutt ker hy aur story per kho ba khoo milta hy

All the best
 
Bela

~*~A|!c3 in w0nd3r|@nd~*~
Active Member
Feb 4, 2010
5,975
3,851
1,113
Madrid, Spain
wow beautiful story........
Best of luck Bela sis..
[DOUBLEPOST=1347119755][/DOUBLEPOST]
wow beautiful story........
Best of luck Bela sis..
thanks SG..........

bela wah bhai u b writer nikili mashaAllah
zabardast yar...bht perfect kahani likki hay pic k lihaz say....piyare nazooo kia bat hay apki...:D
best of luck
thanks tooba............
sb ko nazo name pasand araha ha mujhy laga tha jhillmill zyada acha lage ga sb ko....

Ma Shaa' Allah boht he khousurti say app nay alfaaz k istemaal kiya hy aur topic be bohat he acha aur xara hutt ker hy aur story per kho ba khoo milta hy

All the best
thank you so much Big B apki tareef bht meaning rakhti ha......
 
*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
bht lambi kahani thi poori parhi my ne lekin akhir me laga ke ye adhuri hy iska end nahi hua
aur kia bataugi isme koi haqeeqat hy matlab kahin aisa huta hy kia quran se nikah ya is tarah larki ko safed libas pehna ke rakhna ya bas ye khayali kahani thi?

Very good effort
 
Bela

~*~A|!c3 in w0nd3r|@nd~*~
Active Member
Feb 4, 2010
5,975
3,851
1,113
Madrid, Spain
bht lambi kahani thi poori parhi my ne lekin akhir me laga ke ye adhuri hy iska end nahi hua
aur kia bataugi isme koi haqeeqat hy matlab kahin aisa huta hy kia quran se nikah ya is tarah larki ko safed libas pehna ke rakhna ya bas ye khayali kahani thi?

Very good effort

ye takhiulati kahani bilkol bhi nai thi......
androon e sindh or panjab k bht se areas is rewayat ki lupait me hain.
 
  • Like
Reactions: hoorain
Top