Maa-baap Ke Huqooq

  • Work-from-home

KhursheedAlam

Senior Member
Dec 16, 2013
870
218
193
Delhi (India)
Assalam Alaikum

Ummid hai aap sab khairiyat se honge :)
Mera Topic Hai "Maa-Baap Ke Huqooq"
Jaisa ke hum sab jaante hain humare Maa-Baap humare liye Allah ki taraf se humare liye wo beshqeemati tohfa hain jo hume zindagi jeene ka saleeka sikhate hain,humari khushi mein hi unki khushi hoti,humari jeet mein unki jeet hoti hai aut agar kabhi jo hum udaas hote hain to wo apni khushiyon ko humari khushi ke liye qurban kar dete hain..Humari ek muskaan ki khatir wo apni neend aur chain bhi qurban kar dete hain.... Humari zindagi pe unke jo ehehsan hote hain,shayed hum un ehsan ka badla kabhi nahi chuka sakte.
Unki itni qurbaaniyon ke baad bhi agar hum unke sath khushAkhlaqi se pesh nahi aate hain to fir hum shayed hum Duniya ke sabse badnaseeb insan honge.... Isliye hume humesha unse khushAkhlaqi se pesh aani chahiye.
.
Maa-Baap.jpg

ALLAH TAALA NE FARMAAYA:

"Aur tere Parwardigaar Ne huqm De Rakha hai ke Mere Elaawa Kisi ki Ibaadat Mat karo, Aur Apne Maa Baap Se Acchha Sulook Kiya Karna, Agar Unme Se ek Ya Dono Teri Maujoodagi Me Budhaape Ko Pahunche ( toh unki Khidmat karte hue) Tum Unko ' uff' tak Bhi Na kahna Aur Na Unko Jhidakna Aur Na unko Taqleef Dena (warna unka Zara sa bhi Dil toota Toh Teri Khair Nahin),

Aur Muhabbat Se unke Aage Jhuk Jaaya Karna Aur (Unke Liye Dua Karte Hue ) Kaha Karna Ki

Aiy mere Parwardigaar ! Un dono Par Raham Farma, Jaisa Ki Unhone Mujhe Bachpan Me paala Posa"

(Surah bani Israel ayat 23-24)

a.jpg

b.jpg

Aulaad Par Walidain Ke Fazl-o-Ehsaan Se Kisi Ko Inkaar Nahi Ho sakta,
Walidain Hi Humare Wajood Me Aane Ka Sabab Hain Aur Is Par Inn Ke Azeem Huqooq Hain, Unho Ne Bachpan Me Humari Parwarish Ki, Humari Rahat Aur Aasaaish Ke Liye Hamesha Takleefein Uthai,
Humari Neend Ke liye Khud Apni Neend Qurbaan Kardi....
Isi Tarah Baap Bhi Tumhari Rozi Roti Keliye Humare Bachpan Se Lekar Bade Hone Tak Dour Dhoop Karta Raha, Aur Humari Tarbiyat Aur Rahnumai Karta Rahe , Jabke Hum Apne Nafaa Nuqsan Ka Shaoor Nahi Rakhte The,
Isi Liye ALLAH Subhana Talah Ne Aulaad Ko Waldain Ke Sath Husn Suluk Aur Shukar Guzari Ka Hukum Diya Hai,
Hum Par Waldain Ka Yeh Haqq Hai Ke Hum Unn Ke Sath Huns Suluk Karein, Qauli Aur Amli Taur Par,
Mal Ke Zariye Aur Jism Ke Zariye Unn Ke Sath Ehsaan Karo,
Unn Ka Kaha Maano, Unnse Narmi Ke Sath Guftagoo Karo, Unnse QandaPeshani Se Paish Aao, Unnke Shayan-e-Shaan Unnki Khidmat karo,
Budhape ,Ya Beemari Ya Kamzoori Ke Waqt Unnse Tangdil Naa Ho, Aur Unnki Janib Se Bojh Mehsoos Naa Karo,
Baad Mein Hum Bhi Unhi Ke Muqaam Par Honge, Jis Tarah Woh Humare Maa Baap Hain, Agar Zindagi Rahi Toh Hum Bhi Isi Tarah Apni Aulaad Ke Saamne Budhape Ko Pahunchenge ,
Jis Tarah Aaj Woh Humari Khidmat Ke Zarooratmand Hain Isi Tarah Hum Bhi Apni Aulaad Ki Qidmat Ke Zarooratmand Honge,
Agar Humne Apne Walidain Ki Khidmat Guzari Ki Hain Toh ALLAH Se Azeem Ajr-o-Sawab Ki Aur Apni Aulaad Se Isi Ki Misal Badle ki Khushi Lenge {insha Allah }
Kyunke Jo Apne Waldain Ki Qidmat Karta Hai Uski Aulaad Bhi Usski Khidmat Karti Hai , Aur Jo Apne Walidain Ki Naa Farmani Karta Hai, Uski Aulaad Bhi Usski Naa Farmani Karti Hai,
Badla Amal Hi Se Hota Hai, Jaisa Karoge Waisa Paaoge .........
 
KhursheedAlam

Senior Member
Dec 16, 2013
870
218
193
Delhi (India)
w slaam

Bohot Acha Topic hai :) Maa baap k haqooq porey krney chahiye

MAA Baap k Haqooq tou hum sab jantey hi hai pr Bachon k bhi kuch haqooq hotey hai ,,, jab maa baap bachon mai faraq krtey hai ... sab sey barey aur sab sey chotey bachey sey zyada pyar krtey hai,,,

@Fa!th @Rubi @HorrorReturns @S_ChiragH @Shizuka
Aapne sahi kaha....
Asal mein jo pahli Aulad hoti hai wo isliye zyada aziz hoti kyunke ye wo aulad hai jisne unhe Maa-Baap hone ka sabse pahle ahsas dilaya,unki pahli ne unhe mahsoos karaya ke Maa-Baap ka apne Aulad ki taraf kya huqooq hain. Pahli Aulad se unke Dil me jo khushi ,jo Ehsaas paida hoti hai uska bayan nahi kiya ja sakta...isi tarah sabse chhoti aulad bhi unhe isliye pyari hoti hai ke use dekh kar Unhe apne ek mukammal pariwar ka ehsas hota hai,aur chhote to sabhi ko pyare hote hain.....
In fact Maa-Baap ki nazar me sabke liye taqreeban bahut Muhabbat hoti hai...KHas kar wo Aulad jo Farmanbardar hote hain :)
 
Muskaaan

Active Member
Jan 7, 2014
453
151
43

nahi sis aisa kuch nahi hota.....maa baap k liay apni sari aulad aik jesi hoti hay:)
 
Muskaaan

Active Member
Jan 7, 2014
453
151
43
.... Humari zindagi pe unke jo ehehsan hote hain,shayed hum un ehsan ka badla kabhi nahi chuka sakte.
Unki itni qurbaaniyon ke baad bhi agar hum unke sath khushAkhlaqi se pesh nahi aate hain to fir hum shayed hum Duniya ke sabse badnaseeb insan honge....
Wa Alikum Aslaam
bhai bohat acha topic hay...........
lekin jahan app nay maa baap k ahsaanat k liay shayed ka lafz istmaal kia hay wo nahi ho ga
kion is main shayed wali koi baat nahi bl k hum yaqeenan un k ahsaanat ka badla nahi chuka sakty....
 
KhursheedAlam

Senior Member
Dec 16, 2013
870
218
193
Delhi (India)
Wa Alikum Aslaam
bhai bohat acha topic hay...........
lekin jahan app nay maa baap k ahsaanat k liay shayed ka lafz istmaal kia hay wo nahi ho ga
kion is main shayed wali koi baat nahi bl k hum yaqeenan un k ahsaanat ka badla nahi chuka sakty....
You are absolutely right.....I agree.
Hum Ta-umr unki khidmat aur farmanbardari karein tab bhi unke Ehsano ka Badla Nahi chuka sakte....
:)
 
Top