Aqeedat ya Gumrahi ?(pla ek dafa aakhir tak zaror perhiey ga)

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
Assalam-o-Alikum doston,

ye hai to ek nazuk mozoo mager bohat eham mozoo hai barah-e-karam ap log sirif ek dafa is post ka aakhir tak zaror perhiey ga.

Nasir Noman

Ye to aap bhi jantey hain key Hazrat Adam Alhey Assalam sey jo silsila bani Adam ka shoro hua To us waqat to koi mazhab na tha phir aaj itney sarey mazahib jo baney wo kesey baney ?

Koi to waja hogi mazahib ki bunyad perney ki,kio key sab humarey hi jesey log they jo humari tarha khatey they peetey they or sochtey they or Allah ko bhi mantey they, koi na koi to waja hogi?
kabhi ap ney socha key kia waja thi logon key gumrahi ki ?

Buut paraston key Mazhab key liyain kahtey hain key ek basti main Allah key ek Naik Bandey rehty they,jab un ki wafaat hoi to basti waley bohat udas hogaey key ye Buzrug ab humarey darmian nahi rahain gey,to Shaitan(devil)basti walon key pass aaya or kaha key tum kion udas hotey ho main ek tareeqa batata hon jis sey tumarey Buzrug humesha tumhari nazaron key samney rahey gey,phir shaitan ney unhain Buut banana seekhaya or Buut ki shakal un buzrug sey milti julti kerdi,basti walon key liyain ek anokhi bat thi or un ka ghum halka hogaya unhon ney wo buut basti main ek jaga laga dia or phir aatey jatey us buut ko ehtaram sey dekhtey they,un key bachon ney dekha key humarey buzrug kesey is buut ka ehtaram kerty hain phir wo jab barey hoey to unhon ney us buut ka ziada ehtaram kia(Kio key un key baron ney aney bachon ko is ehtaram ki tafseel nahi samjhai)bas un key bachey ziada ehtaram kerty gaey or do teen nasalain guzar gain or kisi ney wazahat nahi ki buut key ehtaram ki her nasal apni pichli nasal sey ziada mohabbat kerti gai ot ek waqat aaya key wo log Allah ko bhool ker sab kuch us buut ko man chukey they.
(Tafseel lambi hai mager kam-o-besh issi tarha hi hai )

Christen Mazhab ki bunyad bhi isi tarha milti julti hai waqat key sath Hazrat Essa (Alehey Assalam) key manney walon ney apni aaney wali naslon ko Hazrat Essa(Alehey Assalam)key ehkamaat ki sahi sey wazahat nahi ki,waqat guzurta raha new generation aati gai or bible (Anjeel)main tabdeelian aati gai ek waqat aaya key log Hazrat Essa(Alehey Assalam)ki taleemat bhooltey gaey or apney rastey khud sey banatey gaey or Mushrik hogaey,
Christen kia Hindu kia koi bhi kabhi bhi apney ap ko na kal ghalat samjhtey they or na aaj ghalat samjhtey hain,sab ye hi kehtey hain hum hi theek hain,mager Allah Taala ney Hazoor(Sallah-o-Alihey Wasallam)key zariey Quraan pak mian sari insaniat ko sahi or ghalat rastey ka batadia uskey bawajood jis ney nahi manna tha wo na kal mana or na aaj mana or na kabhi maney ga.

Bohat dehan sey sohiey ga key shaitan ka tareeqa-e-wardat kia hai wo kabhi bhi aaker ye nahi kahta key buuton ko Khuda mano ya Hazrat Essa(Alehey Assalam) ko Allah ka Beta mano(Maaz Allah)wo sirif itna kerta hai key muqaddas logon key ehtaram main izafa kerwata hai or phir tamasha dekhta hai,ek nasal jati hai dosri nasal aajati hai wo is ehtaram main izafa ker deti hai or kisi ko pata bhi nahi chalta key hum apney sirat-e-mustaqeem sey hat’tey ja rahey hain.kio key ager koi mana kerta hai key muqdas logon ki had sey ziada taazeem na karo to awwal to koi suntan hi nahi balkey wo us key dushman ban jatey hain key ye humarey muqadas logon ki shan mian gustakhi ker rhey hain ya ye log muqadas logon ko nahi mantey?

Aap yaqinan samjh rahey hongey jo hum samjhana chah rahey hain.

Is ki beshumar missal hain ab jesey aksar log kehtey hain key “hum Allah key Hazoor Buzurgan-e-Deen ka waseela pesh kertey hain or Burugana-e-Deen sey nahi mangttey hain”

Mager Aziz doston hum apko batatey hain key ek waqat main sab ye hi kehtey they mager aaj ap “Ya Rasool Allah Madad” “Ya Ghos Pak Madad”key alfaz apney aas pas sun saktey hain,(sirif ye baat zehan main rakhiey ga aagey maqsad batain gey)

1985 main bhi Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam)manaya jata tha mager ap aaj logon ka “Main so jaon ya Mustafa kehtey kehtey –khuley aankh Salley Alla kahtey kehty”ki awaz per or new jazbey or walwaley key sath Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam)ka jashan manatey aaj is nasal ko dekh saktey hain.

ye mohabbat aaj sey 20 saal pehley kion nahi thi?

aaj Nabi-e-Pak(Sallah-o-Alihey Wassalam)key aashiq pichley zamano sey ziada hain?ager waqai ye Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key sachey Ashiq hotey to aaj ka Musalman itna pershan nahi hota.

Kia ye nasalon ki zehan ki tabdeeli to nahi ?dehan sey sochain

Bachon key zehan ek sadey kaghaz ki tarha hotey hain jo bachpan ka perha hua sabaq kabhi nahi bhooltey or wo hi in bachon ki shakhsiat ki bunyad hoti hai phir aagey chal key us bunyad per hi un ki zindagi ki emaarat khhari hoti hai or bachan ki seekhi hoi batain zindagi ka hissa ban jati hain jo kabhi nahi badalti,

1985 main jin bachon ki age 10 saal thi or unhon ney jis sadgi sey Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam)key jalsey jaloos dekhey or aaj apni 30 saal ki age main jo unhon ney Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam) ki taraqqian ki (Kio key un bachon key masoom zehan ney apney baron ki jo aqeedat dekhi or jo kuch seekha wo agey chal ker yaha tak ponchi jo ap log aaj kal apney aas paas dekh saktey hain)

to ye shochain key jin bachon ki age aaj 10 saal hai or wo aaj jo Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key sath apney baraon ki jo aqeedat aaj dekh rahy hain to issi taraqqi ki rafter sey ye bachhey aaney waley 20 saal bad kitni taraqqi ki manazil per pohanch chukey hongey?

or phir wo sab kuchh dekh ker un bachon ki aaney wali nasal wo sab dekh key kia hasil kerey gi?
Issi tarha jo ooper hum ney likh tha ‘Ya Rasool Alllah Madad” or “Ya Ghos Pak Madad” key lafaz ye chhotey masoom bachey jo suntey hain in bachon ko to nahi pata key Ulama-e-Kiram in jumloon ki kia wazahat pesh kertey hain?
Bachhon key zehnoo main ye jumley sun ker kia baat beth sakti hai ager ye ap log apney thundey dil-o-dimagh sey sochain gey to umeed hain ap samjh jain gey jo hum samjhana chah rahy hain.
Bachon ko wazahat or aqaid ki hadood batana bohat zaroori hai jessa hum ney pichhli qomoo ka zikar kia hai key unhon ney apni naslon ko apney Muqaddas logon key ehtaram ki wazahat nahi ki.

Aap ye sab baton ko ye mat sochiey ga key ye khayalon ki batain hain,ap ek seedhi deewar banana chahain to yaqinan her step per aap us deewar ki seedhey rehney key liayin dehan dain gey mager aap jab bohat maamooli faraq key sath ek step main faraq ker detey hain to yaqinan us waqat to wo maamooli faraq mehsoos nahi hoga mager yaad rakhiey wo maamooli faraq bhi 10 ya 20 step key bad us deewar ko teraha honey ka faraq pata chalna shoro hojaey ga.or wo hi maamooli maamooli faraq issi tarha ager kertey gaey to yaqinan ek waqat sirat-e-mustaqeem badal jaey ga.

Umeed hai tamam log humari batain samjh gaey hongey.

Hum ye nahi kehtey key khudana khuasta koi aaj shirk ker raha hai.

Aaj to ap logon key pas aqeedat key bohat sey jawaz hain,
Mager shayad apki naslon key pas is sey ziada koi jawaz na ho key humarey baap dada ye hi kertey aaaey hain,(Jessa key deegar mazahib waley jawaz pesh kertey hain)

maqsad kisi firqey per tanqeed nahi hai or na hi koi bhai in bataon ko ikhtalafi batain sochey, is main sachai dhhoondey, tareekh ap key samney khuli kitab ki tarha hai.Hum to ap ko taareekh key wo pages dekhana chahtey hain key kis tarha mukhtalif qoomain gumrah hoi ?

Apka kisi bhi firqey key Imam ko follow krain mager shaitan key is hathyar ko na bhooliey .

or ye sochain key wo konsi wajoohat thi jin sey mukhtalif mazahib wajood mian aaey?Kio key wo bhi humari tarha hi Insan they,or kahin na kahin sey to gumrahi ki bunyadain qaaim hoi hongi?

Yad rakkhiey Shaitan ney aqayamat tak insaniat ko gumrah kerney ka eyhed kia hua hai, shaitan pichhli qomoo ko gumrah kerney key baad khamosh hoker nahi betha hua hai.

hum apni Naslon ko wo taleem dain jo humarey Nabi-e-Pak(Sallah-o-Alihey Wassalam)ney dain hain,or kam sey kam hum un baton ka khayal rakhian key sahi maayno main Nabi-e-Pak (Sallah-o-Alihey Wassalam) or Buzurgan-e-Deen ki mohabbat or ehtaram utna hi karain jitna Allah ka Hukum hai.or apni naslon ko wazahat sey seekhain.

Allah Taala humain Amal ki tufeeq ata farmaey or humain sahi maayno mian Hazoor(Sallah-o-alihey Wassalam) key Ehkamat ko samjhney main humari madad farmaey.Ameen

Or A Allah ager hum sey likhney mian or samjhney mian koi Khata hoi ho to humain maaf farmaey. Ameen

Ek aakhiri derkhuasat key sath Ijazat key apney zehan sey bilkul firqey ka naqab utar ker bohat dehan sey sochiey ga or apney zameer ko gawah bana ker aaj nahi ek week baad ya ek month baad ya ek saal baad ap humari batain zaroor sochiey ga.

Hosakta hai apko humari baton main kabhi na kabhi kuchh sachai nazar aajey
Or humara maqsad is topic per behas kerna nahi plssssssss jawabat nahi dijiey ga sirif sochiey ga,

Duaon ka talabgar

Nasir Noman
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM

Aslam o Alaikum Janab,
Waisy mein app ke Thread ka Title par kar hee samajh gaya tha app kiss per tanqeed karo gai aur kiya kaho gai.
Yaar afsos sad afsos ke app logh Kafiron ki Batain Musalmano per Thonsty hoo aur Hamesha Nabi (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) ki bay misl zaat per tanqeed karty ho aur jo Musalman Haq per hain unhain tanqeed ka nishana banatay ho.
Chalo kuch humari bhi suno...
App ne kaha Bazurgon ko Waseela banatay hain Alhumdulillah hum Allah ne Ambiya, Aulia aur Naik Logon ko Allah ke Huzoor Waseela banaty hain kyon ki yeh Quran ka Hukm hai...

1)- '' Aai Imaan walo Allah say Daroo aur uss ki taraf WASEELA dhondo ''. ( Surah Al-Maida Verse No. 35 )

2)- " Aur aghar woh apni jano per zulm karain tu aai Habib (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) tumhare Huzoor hazir hoo kar Allah say muafi cahain aur Rasool (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) unn ki shafa'at farmain tu zaror Allah ko buhat tauba kabool karne wala meharban pain gai ''. ( Surah Nisa Verse No. 64 )

3)- '' Aur iss say pehlay woh iss NABI (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) kay WASEELA say kafiron per fatah mangty thay ''. ( Suran Al-Baqra Verse 89 )

I think Quran ki tu aik hee Verse kafi thi per maine filhal 3 Verses Waseela ke baray mein pesh ki zarorat parne per mazeed Quranic Verses and Ahadith bhi pesh kar sakta hon InsahAllah.

Dosra aitraaz janab ne kiya hum Ya Rasool Allah (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) kyon kehty hein mujhe yeh sab par kar inn Qurani Ayaat and Ahadith ka jawab dain.

Chalo yeh tu tum logon ne mana ke Eid-e-Milad ajj say kafi arsa pehlay bhi manai jati thi but mein tum say pochta hon ajj hum ne kiya nai cheez kar li Eid-e-Milad per ? Eid-e-Milad tu Hamesha say Alim-e-Islam mein manai jaa rahi hai Hamesha say Jaloos, Naat Khawani ki Mehfilain aur waghaira waghaira hoo rahai hain tu kiya ajj hum ne kuch naya kar liya hai ??? aur mujhe yeh batao ke aghar hum ne ajj kuch naya kiya hai tu bhai app logh 1985 ki tarha Eid-e-Milad kyon nahi manaty ? tum tu Eid-e-Milad manane walon per Shirk-o-Bidat ka fatwa lagaty ho aur I don't know ke app sab ka Mah-e-Rabi ul Awal ka Month kaisy guzarta hai aur app ne kaha ke aghar hum Huzoor (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) ke sachay ashiq hotay tu Musalman itna pareshan nah hota tu mein yeh kahon ga Pareshaniya hamesha Musalmano per atti hain kyon ki Dunya Kafiron ke liye hai aur Akhrat Musalmano ke liye aur Musalmano ko unn ke achay amaal ki jaza Akhrat mein milay gi... tu yeh batao ke kiya Allah ke Nabiyon per Pareshaniyan aur Museebtay nahi aai thi ???????? wah ray aqal tera kiya kehna

Ajj say taqreeban 1100 Years pehlay yaa thora sa baad mein Eid-e-Milad ki baqaida Mehfilain start hoi tu ajj tak Musalmano ke bachon ne Nabi (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) ki Qabr-e-Anwar ko sajda nahi kiya tu yaar aqal say kaam lo abb say 20 saal baad kaisy karain gai ? aur batao kiya Hum apne Bachon ko yeh kehty hain ke Nabi (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) ki qabr-e-anwar ko sajda karo ? pata nahi yeh likhty waqt app ki aqal kahan thi.

Ya Rasool Allah (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) pukarna Quran-o-Hadith say sabit hai yeh mein upper wazahat say sabit kar chuka hon aur kisi ko Aqidat say pukarna kyon buri baat nahi.

Nabi (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) ki tazeem jab tak musalman karta rahai ga kabhi gumrah nahi hoo ga abb tum logh Nabi (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) ka zikr mitane ki cahay lakh koshish karo Allah ne Quran mein farma diya AAI HABIB (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) HUM NE APP KE ZIKR KO BUHAT BULAND KIYA aur bhai app jaisy hazaron aai jinhon ne Eid-e-Milad ko mitane ki koshish ki per woh khudh mitt gai Ashiqan-e-Rasool kabhi nahi mitay aur nah Humare Nabi (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) ka charcha mita aur nah kabhi Mitay ga InsahAllah.......

MITTAY HAIN MITT JAIN GAI AA'DA TERAY
NAH MITA HAI NAH MITAY GA KABHI CHARCHA TERA

Aghar koi Mazeed aitraaz ho tu woh bhi karain taakey app ko uss ka jawab diya jai shaid ke teray dil mein utar jai meri baat.
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193

Walikum Assalam bhai,
Hum ney apni post mainlikha tha key hum is topic per behas nahi kerna chahtey mage rap ney majboor kia key hum ap ki ghalat fehmi ka jawab dain kio key pehney walon key dilon main bhi ghalat fehmi hojaey gi.
Apko post perhney miankoi shadeed ghalat fehmi hoi hai:
Apka eitraz:
Yaar afsos sad afsos ke app logh Kafiron ki Batain Musalmano per Thonsty hoo

Pehli bat to ye hai key apney shayad ye jumala nahi perha:

“Hum ye nahi kehtey key khudana khuasta koi aaj shirk ker raha hai.”

Dosri bat ye key jo mushrikeen hotey hian wo aasman sey utertey hain ?
Ya un key chehrey per ya jisim per koi nishan hota hai key ye pedaishi mushrik hain?
Ya kabhi unki naslian ehley Haq nahi hoti thi ?
Jesey Hazrat Adam Alihhey Assalam sey ley ker Hazrat Nooh Alihey Assalam tak koi mushrik nahi tha.
Phir jab Buut paraston ka mazhab eijad hua to kia wo mushrik honey sey pehley ehley Emaan nahi they?
Apkey Khayal main jab Hazrat Essa Alihey Assalam ney Allah Taala key ehkamat apni ummat key samney pesh kiey or jo log emaan ley aaey apkey khayal main wo ehley Emaan nahi they ?
Ager ehley Emaan they to unki naslian agey ja ker mushrik kesey hoey ?
Phir ehley eman ki naslon ko mushrik kio kaha gaya ?
Baat ye samjh aati hai key ager koi bhi ehley Emaan ager raha-e-Haq ko chhor dey ga to wo kia kehlaey ga ?

To ye to apkey is aitraz ka jawab hua key Ehley Emaan ager Rah-e-Haq chhor dey to wo chahey Nabi-e-Pak Sallaho alihey Wassalam ki ummat main hi kio na ho wo kia kahley ga ?

Ap ney shyad ek Hadees Pak bhi suni hogi key(Allah Kami beshi maaf farmaey) “Hazoor Sallaho Aihey Wassalam ney farmaya key Mujhey is tarha barhana nahi jesa key Nasrani (cherten)ney Hazrat Essa Alihey Assalam ko barahaya”
Kis key liyain Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ney ye farmaya hai ?

Hum ney ye bhi likha tha key Shaitan ney qayamat tak Insaniat ko gumrah kerney ka ahead kia hua hai to kia shaitan pichhli qomo ko gumrah kerkey aram sey to nahi betha?
Or ager nahi betha hua to wo kafiron per to nahi mehnat karraha gumarah kerney ki?
Shaitan to gumraha unhi ko karta hai jo ehley Emaan hotey hain?
Sochiey ga zaroor.

aur Hamesha Nabi (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) ki bay misl zaat per tanqeed karty ho aur jo Musalman Haq per hain unhain tanqeed ka nishana banatay ho.

Maaz Allah
Apkey samney humari poori post hai ap dobara perhain shayad apko shaded ghalat fehmi hoi hai.

Hum ney issi liyain likha tha ye perhiey:

“kio key ager koi mana kerta hai key muqdas logon ki had sey ziada taazeem na karo to awwal to koi suntan hi nahi balkey wo us key dushman ban jatey hain key ye humarey muqadas logon ki shan mian gustakhi ker rhey hain ya ye log muqadas logon ko nahi mantey?”

Ye humarai nahi balkey Ye ek tareehi bat hai jo apko asani sey tareekh main mil jaey gi key jab kisi ney logon ko had sey ziada taazeem sey roka hai to un per ye hi ilzam lagtey hain.

Alhumdulilah hum bhi Musalman hain or humain bhi Nabi-e-Pak sallaho Alihey Wassalam sey behad mohabbat hai or Nabi-e-Pak Sallaho LAihey Wassalam per jaan lutaney ko her waqat tayar rehtey hain.

Chalo kuch humari bhi suno...
App ne kaha Bazurgon ko Waseela banatay hain Alhumdulillah hum Allah ne Ambiya, Aulia aur Naik Logon ko Allah ke Huzoor Waseela banaty hain kyon ki yeh Quran ka Hukm hai...

Dost ager koi Allah key Hazoor kisi Buzrugan-e-Deen ka waseela pesh karain to is sey kisi ko aitraz nahi hai,
Hum ney ye bhi likha tha:

“Is ki beshumar missal hain ab jesey aksar log kehtey hain key “hum Allah key Hazoor Buzurgan-e-Deen ka waseela pesh kertey hain or Burugana-e-Deen sey nahi mangttey hain”

Dosra aitraaz janab ne kiya hum Ya Rasool Allah (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) kyon kehty hein mujhe yeh sab par kar inn Qurani Ayaat and Ahadith ka jawab dain.

Dost shayad ap ney ye post shaded jazbat main perhi hai jab hi
apko sari bat dobara samjhana per rahi hai.or apni likhi hoi post key hi hawaley apko dobara yad dilaney per rahy hain hum is ka jawab ney likha tha:

“Aaj to ap logon key pas aqeedat key bohat sey jawaz hain,
Mager shayad apki naslon key pas is sey ziada koi jawaz na ho key humarey baap dada ye hi kertey aaaey hain,(Jessa key deegar mazahib waley jawaz pesh kertey hain)”

Chalo yeh tu tum logon ne mana ke Eid-e-Milad ajj say kafi arsa pehlay bhi manai jati thi but mein tum say pochta hon ajj hum ne kiya nai cheez kar li Eid-e-Milad per ?

Hum ney 1985 sey aaj tak key mukhtasir arsey key darmian jo faraq aaya hai uskka zikar kia hai.
Or hum ye behas nahi ker rhy key Eid Milad un Nabi sallaho alihey Wassalam mana chahiey ya nahi ya kis tarha mana chahiey.

Eid-e-Milad tu Hamesha say Alim-e-Islam mein manai jaa rahi hai Hamesha say Jaloos, Naat Khawani ki Mehfilain aur waghaira waghaira hoo rahai hain tu kiya ajj hum ne kuch naya kar liya hai ??? aur mujhe yeh batao ke aghar hum ne ajj kuch naya kiya hai tu bhai app logh 1985 ki tarha Eid-e-Milad kyon nahi manaty ?

Ap mantey hain key kuchh na kuchh tabdilian aai hain?
Ager ap ko aaj sey 30 saal pehley ka waqat yad hai to sochian kia issi tarha jalsey jaloos ya Naat khuani ki mahafil hoti thi ?
Ager apki age kam hai to pls apney baraon sey poochain kia ye bat sahi hai ?

tum tu Eid-e-Milad manane walon per Shirk-o-Bidat ka fatwa lagaty ho

Dost ap ney apni post main ek bar phir shaded ghalat fehmi hoi hai,
Pls batain humari post main konsa fatwa hai ya post main kis jaga shirk-o-biddat kaha hai ?
Ap ager thundey dil-o-dimagh sey dobara perhain gey to apko ye jawab miley ga key is post main tareekh key safhaat dekhaey hain key kis tarha shaitan ney insaniat ko gumrah kia ?

aur I don't know ke app sab ka Mah-e-Rabi ul Awal ka Month kaisy guzarta hai aur app ne kaha ke aghar hum Huzoor (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) ke sachay ashiq hotay tu Musalman itna pareshan nah hota tu mein yeh kahon ga Pareshaniya hamesha Musalmano per atti hain kyon ki Dunya Kafiron ke liye hai aur Akhrat Musalmano ke liye aur Musalmano ko unn ke achay amaal ki jaza Akhrat mein milay gi... tu yeh batao ke kiya Allah ke Nabiyon per Pareshaniyan aur Museebtay nahi aai thi ???????? wah ray aqal tera kiya kehna

Dost ap ek dafa phir samjhney main ghalti ker rhy hain.
Allah Taala apney naik bandon ko jo aazmaish main dalta hai to wo essi hoti hain key jab kisi ney Hazrat Ayub alihey Assalam sey poocha key apko bemari key din kesey lagey ?
Hazrat Ayub Alihey Assalam ney farmaya marei zindagi key yadgar din they,heart sey poocha gaya itni takleef or yadgar din ?Hazrat Ayub Alihey Assalam ney farmaya haan jab Allah Taala poochta tha key “A Ayub tera kia haal hai” to us poochney mainitni lazzat thi jo mian kabhi nahi bhool sakta.
Allah key naik bandey ager kisi takleef ya museebat main bhi aatey hain to yad rakhiey ga key un takleef key dino main bhi ek roohani sakoon hota hai.key Allah ki raza issi main hai. Or takleef key bawajood dunia main bhi izzatain milti hian or halat khua kuchh bhi hoon mager roohani sakoon hota hai.
Kia aaj ka musalman bhi musibaton key bawajood kia izzatain hasil hain ?
Kia roohani sakoon hasil hai ?apney zameer sey sawal karain jawab khud hi mil jaey ga.

Ajj say taqreeban 1100 Years pehlay yaa thora sa baad mein Eid-e-Milad ki baqaida Mehfilain start hoi tu ajj tak Musalmano ke bachon ne Nabi (sallalahu alaihe wa alihe wassalam) ki Qabr-e-Anwar ko sajda nahi kiya tu yaar aqal say kaam lo abb say 20 saal baad kaisy karain gai ? aur batao kiya Hum apne Bachon ko yeh kehty hain ke Nabi (sallalahu Alaihe wa Alihe wassalam) ki qabr-e-anwar ko sajda karo ? pata nahi yeh likhty waqt app ki aqal kahan thi.

Ap 1100 saal pehley ko bhool jain ap sirif itna jawab dain kia ap tareekh main aaj sey sirif 25 saal pehley ye sab kuch dekha saktey hain jo aaj hum is 2008 main dekh rahy hain ?kio w odor to hum ney nahi dekha mager ye dor to hum apni ankhon sey dekh rahy hain.

Kia itney hi jaloos or jalsey hua kertey they jitney aaj hotey hian?
Kia itni hi Naat khuani ki Mahafil hoti thi jitni aaj hain ?
Kia 1985 main bhi Nabi-e-Pak Sallaho Alihey Wassalam key jhundey lagey jatey they ?
Kia 1985 mian bhi jaga jaga lunger hua kertey they?

Ager ap ye samjhtey hain key haan kuchh tabdilian aai hain to hum inhi tabdeelion ka zikar ker rahy hain.
Or rahi bat key Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ki Qaber-e-Anwer per sajda kerney ki to pehli bat to ye hai key ap kia samjhtey hain shirik sirif issi ko kehtey hain key Allah key siwa kisi dosrey ko sajda kia jaey?
Yad rakhiey key ek Emarat banatey hain to uskey liyain bohat intezamat kerney pertey hain mager Emaraat ko torney key liyain ye sarey intezamat nahi kerney pertey sirif ek chota sa dinamate chahiey hota hai Emarat giraney key liyain.
Emaan ko qaim rakhney key liyain bohat jaddo jehed kerni perti ha imager Emaan ek choti si niyat sey hi kharab hosakta hai.
Hum ney ye behas nahi ker rahy key shirik kia hota hai or kon kar raha hai hum to wo sari nishanian batana chah rahy hain jo tareekh main mojood hain or wo alamat khain hum main na nazar ani shoro hojain.
Jesa key apko bataya tha key shaitan kabhi bhi aaker ye nahi kehta key Buuton ko Khuda mano ya Hazrat Essa alihey assalam ko Allah Ka beta mano(Maaz Allah)
shaitan ye ek hi dafa main aaker kahay ga to Ye chhoti si bat to koi bachha bhi samjh sakta hai key ye shirik-o-kufur hain mager shaitan aahista aahsita hi gumrah kerta hai.
Ager phir bhi yaqin nahi to Tareekh utha ker perhain key kesey qomain gumrah hoi.

Ab bohat dehan sey sari wazahat perhiey ga koshish kijiey ga jazbati na hoon thundey dil-o-dimagh sey perhain jo hum samjhana chah rahy hain.

pls mazeed behas na kijiey ga hum ney apkey etrazat key jawabat dey diey hain

Allah hum sab ko hidayat ata farmaey Ameen

Nasir Noman

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Walikum Assalam bhai,
Hum ney apni post mainlikha tha key hum is topic per behas nahi kerna chahtey mage rap ney majboor kia key hum ap ki ghalat fehmi ka jawab dain kio key pehney walon key dilon main bhi ghalat fehmi hojaey gi.
Apko post perhney miankoi shadeed ghalat fehmi hoi hai:
Apka eitraz:

Pehli bat to ye hai key apney shayad ye jumala nahi perha:

“Hum ye nahi kehtey key khudana khuasta koi aaj shirk ker raha hai.”

Aslam o Alaikum Bhai,
Pehli baat tu yeh ke janab jab aik behas start hoi hai tu uss ko uss ke anjaam tak puhanchana cahiye bhagna nahi cahiye aur yeh app ghalat kar rahai hain ke app ne likha main mazeed behas nahi kar sakta.
Dosri baat yeh ke app ne meray kisi aitraaz ka jawab nahi diya balky Alhumdulillah meri 2 batain Ya Rasool Allah Pukarna and Waseela wali baat ko tasleem kiya jiss per app ne chotty chotty yani small alfaaz mein tanqeed karne ki koshish ki thi.
App ne thekh samjha ajj logh Shirk nahi kar raha but app ne start mein jo misaal di uss say tu app ka kehne ka yahi matlab hai na ke Hazrat Adam ( Alaihe Salam ) ki Ummat pehlay Musalman thay phir woh kuch Mushrik howay tu Umata-e-Muslima bhi Mushrik ho jai gi...... per Bukhari Shareef ki Hadith mein Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) ne irshaad farmaya mujhe yeh dar nahi ke meray baad tum shirk karo gai haan itna zaror hai ke tum aik dosry say bughz rakho gai.
Tu phir app yeh baat zehan say nikal dain ke Ummat-e-Muslima Shirk karai gi aur yaar yeh batain ke app ne kaha 20 saal baad ajj yeh ho gaya woh ho gaya ajj ke logon ke pass dalail hain tu kiya Na'uzubillah humari anne wali nasl ke pass say Quran-o-Hadith cheen liya jai ga ?????

Dosri bat ye key jo mushrikeen hotey hian wo aasman sey utertey hain ?
Ya un key chehrey per ya jisim per koi nishan hota hai key ye pedaishi mushrik hain?
Ya kabhi unki naslian ehley Haq nahi hoti thi ?
Jesey Hazrat Adam Alihhey Assalam sey ley ker Hazrat Nooh Alihey Assalam tak koi mushrik nahi tha.
Phir jab Buut paraston ka mazhab eijad hua to kia wo mushrik honey sey pehley ehley Emaan nahi they?
Apkey Khayal main jab Hazrat Essa Alihey Assalam ney Allah Taala key ehkamat apni ummat key samney pesh kiey or jo log emaan ley aaey apkey khayal main wo ehley Emaan nahi they ?
Ager ehley Emaan they to unki naslian agey ja ker mushrik kesey hoey ?
Phir ehley eman ki naslon ko mushrik kio kaha gaya ?
Baat ye samjh aati hai key ager koi bhi ehley Emaan ager raha-e-Haq ko chhor dey ga to wo kia kehlaey ga ?

To ye to apkey is aitraz ka jawab hua key Ehley Emaan ager Rah-e-Haq chhor dey to wo chahey Nabi-e-Pak Sallaho alihey Wassalam ki ummat main hi kio na ho wo kia kahley ga ?

Ap ney shyad ek Hadees Pak bhi suni hogi key(Allah Kami beshi maaf farmaey) “Hazoor Sallaho Aihey Wassalam ney farmaya key Mujhey is tarha barhana nahi jesa key Nasrani (cherten)ney Hazrat Essa Alihey Assalam ko barahaya”
Kis key liyain Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ney ye farmaya hai ?

Hum ney ye bhi likha tha key Shaitan ney qayamat tak Insaniat ko gumrah kerney ka ahead kia hua hai to kia shaitan pichhli qomo ko gumrah kerkey aram sey to nahi betha?
Or ager nahi betha hua to wo kafiron per to nahi mehnat karraha gumarah kerney ki?
Shaitan to gumraha unhi ko karta hai jo ehley Emaan hotey hain?
Sochiey ga zaroor.
Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) ki jo Hadith app ne bayan ki uss mein Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) ne yeh kahan farmaya ke Eid-e-Milad nah manao ya meri tazeem nah karo ya apne bachon ko meri tazeem ki taleem nah do iss mein Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) ne farmaya ke mujhe Allah ka Beta ya iss tarha kuch mat kehna kyon ki mein tu Allah ka Nabi hoon.
Aur janab app Topic say nah bhagain app Mushrikeen ko kahan say lai aai hain beech mein upper parhain maine Hadith bayan ki ke Ummat-e-Muslima shirk nahi kar sakti.
Tu phir app kon hoty ho
Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) ke irshad-e-mubarik ke khilaf baat karne walay.
Pechli Ummaton ne tu aur bhi buhat kuch kiya laikin hum uss per behas nahi kar rahai ke unhon ne kiya kia tha humari behas hai jo app ne kaha ke yeh Ummat 20 saal bad kiya karai gi.

Maaz Allah
Apkey samney humari poori post hai ap dobara perhain shayad apko shaded ghalat fehmi hoi hai.

Hum ney issi liyain likha tha ye perhiey:

“kio key ager koi mana kerta hai key muqdas logon ki had sey ziada taazeem na karo to awwal to koi suntan hi nahi balkey wo us key dushman ban jatey hain key ye humarey muqadas logon ki shan mian gustakhi ker rhey hain ya ye log muqadas logon ko nahi mantey?”

Ye humarai nahi balkey Ye ek tareehi bat hai jo apko asani sey tareekh main mil jaey gi key jab kisi ney logon ko had sey ziada taazeem sey roka hai to un per ye hi ilzam lagtey hain.

Alhumdulilah hum bhi Musalman hain or humain bhi Nabi-e-Pak sallaho Alihey Wassalam sey behad mohabbat hai or Nabi-e-Pak Sallaho LAihey Wassalam per jaan lutaney ko her waqat tayar rehtey hain.
Bhai yeh batao ke hum ne apne Bazurgon ki konsi aise tazeem kar di jiss mein shirk hoo gaya hai aur app Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) say muhabbat ka dawah karty ho tu bhai tu jiss say muhabbat hoti hai uss ka zikr bhi kiya jata hai aghar app Eid-e-Milad ko nahi manty tu phir uss ko manane walon ko kyon mana karty ho yeh mana karna hee hai ke app ne kaha jaisy woh apne Bazurgon ki tazeem karty apni naslon ko unhon ne kuch nahi bataya tu meray dost ajj humare pass Quran-o-Hadith and Ulama hai jo Qayamat tak rahai gai pehli nasloon ke pass aghar aisa kuch tha bhi tu woh iss jaisa nahi tha kyon ki humare Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) bay misl, quran bay misl, hadith bay misl, Ulama bay misl jaisa Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) ne aik Hadith mein farmaya ke meri ummat ke Ulama bani israeel ke Ambiya ki tarha hoon gai... tu baat kehne ka matlab yeh hai ke 1400 Years say Ummat-e-Muslima Quran-o-Hadith and Ulama say istafada karti aai hai aur Shirk mein mubtala nahi hoi tu app yeh fikr karna chor dain ke 20 saal baad Ummat-e-Muslima kuch aur kar beity gi.

Dost ager koi Allah key Hazoor kisi Buzrugan-e-Deen ka waseela pesh karain to is sey kisi ko aitraz nahi hai,
Hum ney ye bhi likha tha:

“Is ki beshumar missal hain ab jesey aksar log kehtey hain key “hum Allah key Hazoor Buzurgan-e-Deen ka waseela pesh kertey hain or Burugana-e-Deen sey nahi mangttey hain”
Yeh tu buhat achi baat hai app ne Waseela ko maan liya pehlay tu app ne baat tanqeedan ki thi waisy app ki baat kam hee palay parti hai kyon ki app baat ko pura nahi kartay adhi idher ki adhi udher ki aghar Ghair Allah say madad mangy per aitraaz hai tu uss ka bhi Quran-o-Hadith say saboot pesh kar daita hon.
Dost shayad ap ney ye post shaded jazbat main perhi hai jab hi
apko sari bat dobara samjhana per rahi hai.or apni likhi hoi post key hi hawaley apko dobara yad dilaney per rahy hain hum is ka jawab ney likha tha:

“Aaj to ap logon key pas aqeedat key bohat sey jawaz hain,
Mager shayad apki naslon key pas is sey ziada koi jawaz na ho key humarey baap dada ye hi kertey aaaey hain,(Jessa key deegar mazahib waley jawaz pesh kertey hain)”

Oho ajeeb baat hai yaar mujhe yeh batain ke Quran-o-hadith 1400 years say wohi chalta aa raha hai aur Musalman inn ko par kar Gumrahi say bach rahai hain aur achi achi batain sekh rahai hain tu kiya Na'uzubillah abb 20 saal baad yeh badal jai ga jo humari Naslain koi aisa kaam kar bethay gi jo app ne start mein baat likhi bazurg wali ?. per app kehna kiya cahty hain aghar yeh wazai tur per bayan karain tu acha hoo ga.

Hum ney 1985 sey aaj tak key mukhtasir arsey key darmian jo faraq aaya hai uskka zikar kia hai.
Or hum ye behas nahi ker rhy key Eid Milad un Nabi sallaho alihey Wassalam mana chahiey ya nahi ya kis tarha mana chahiey.
Bhai app batao ke ajj Musalmano ne aisa konsa kaam kiya Eid-e-Milad per joo nahi karna cahiye tha ?

Ap mantey hain key kuchh na kuchh tabdilian aai hain?
Ager ap ko aaj sey 30 saal pehley ka waqat yad hai to sochian kia issi tarha jalsey jaloos ya Naat khuani ki mahafil hoti thi ?
Ager apki age kam hai to pls apney baraon sey poochain kia ye bat sahi hai ?
Tabdeeli sirf yeh aai hai ke abb Lighting zyada hoti hai Mehfil-e-Naats zyada hoti hain MasahAllah aur Allah karai din ba din iss mein azafa hota rahai aur hona bhi cahiye ajj say 30 years pehlay Pakistan ki Population bhi tu dekhain jab Population zyada hoo gi Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) ke Ashiq zyada hon gai tu lazmi baat hai Mehfil-e-Milad bhi 20 ki jagah 40 yaa uss say zyada hoon gi aur bhai ajj say 30 saal pehlay logon ke pass resourses bhi jitne thi yeh bhi app janty hain ajj logh Ameer bhi tu hoo rahai hain tu aghar Musalman apna paisa kisi achy kaam par lagaty hain tu uss mein burai kiya hai ?
and zara app bhi bata dain ke kiya tabdeeli aai hai taakey humain bhi pata ho.

Dost ap ney apni post main ek bar phir shaded ghalat fehmi hoi hai,
Pls batain humari post main konsa fatwa hai ya post main kis jaga shirk-o-biddat kaha hai ?
Ap ager thundey dil-o-dimagh sey dobara perhain gey to apko ye jawab miley ga key is post main tareekh key safhaat dekhaey hain key kis tarha shaitan ney insaniat ko gumrah kia ?
Yaar tu app ka kehne ka aur kiya matlab hai app ne start mein hee yeh kaha ke aik bazurg tha uss ka butt banaya aqidat ke liye phir ane wali nasalin Allah ko bhool gai aghar tu app yeh kehna cahty hain ke Musalman Islam say dour hota jaa raha hai tu kafi hadh tak thekh hoo ga per Eid-e-Milad, Mehfil-e-Naat, Nabi ki tazeem say nahi balky Fahashi ki wajah say per app batain ke ajj jiss tareeqa say Eid-e-Milad manai jati hai 20 saal baad kaise hoo gi ?? kyon ki baat tu app yahi kehna cahty hain na ke Musalam 20 saal baad kiya karain ga.

Dost ap ek dafa phir samjhney main ghalti ker rhy hain.
Allah Taala apney naik bandon ko jo aazmaish main dalta hai to wo essi hoti hain key jab kisi ney Hazrat Ayub alihey Assalam sey poocha key apko bemari key din kesey lagey ?
Hazrat Ayub Alihey Assalam ney farmaya marei zindagi key yadgar din they,heart sey poocha gaya itni takleef or yadgar din ?Hazrat Ayub Alihey Assalam ney farmaya haan jab Allah Taala poochta tha key “A Ayub tera kia haal hai” to us poochney mainitni lazzat thi jo mian kabhi nahi bhool sakta.
Allah key naik bandey ager kisi takleef ya museebat main bhi aatey hain to yad rakhiey ga key un takleef key dino main bhi ek roohani sakoon hota hai.key Allah ki raza issi main hai. Or takleef key bawajood dunia main bhi izzatain milti hian or halat khua kuchh bhi hoon mager roohani sakoon hota hai.
Kia aaj ka musalman bhi musibaton key bawajood kia izzatain hasil hain ?
Kia roohani sakoon hasil hai ?apney zameer sey sawal karain jawab khud hi mil jaey ga.
Janab-e-Wala Musalmano per Azaab, Bemari, Museebtain anne ki main wajah yeh hai ke woh Apne Nabi (sallalahu alaihe wassalam) ki muhabbat ko choor gaya hai kyon ? kyon ki ajj tak jitne muhadith, muffasir, balky Sahaba, Tabe'een ( jinhon ne sahaba ko dekha ) woh Nabi (sallalahu alaihe wassalam) ke ishq ko hee phelata rahai but ajj say 150-200 saal pehlay Najad, India mein Deoband and Qadiyan say kuch Fitne uthay jinhon ne Nabi (sallalahu alaihe wassalam) ki tazeem ko shirk kaha ajj say 200 Years pehlay bhi dekh loo ke kabhi Musalman koi Jang harai thay ? kabhi Musalmano ko kisi ne buri nazar say dekha tha ? per ajj Musalman ke kamzoor hone ki kiya wajah hai ? sirf woh Taqwiyat-ul-Imani Aqeeda jiss ne Nabi (sallalahu alaihe wassalam) ki tazeem ko shirk qarar diya balky aik badbakht ne tu yeh bhi kaha ke Nabi ki tazeem sirf baray bhai jitne karo balky iss mein bhi kami karo ( Taqwiyat-ul-Iman az Ismael Dehalvi Imam of Wahabi/Deobandi )
Yeh mat samajhna ke main kisi per tanqeed kar raha hon but brother app khudh dil say socho ke jab aisy naam nihaad molvi Ummat-e-Muslima ko aise Taleemat dain gai aur jo iss per amal karai ga woh tu Gumrah hoo ga tu phir uss per Allah ki Rahmatain kaisy nazil hoon gi.

Ap 1100 saal pehley ko bhool jain ap sirif itna jawab dain kia ap tareekh main aaj sey sirif 25 saal pehley ye sab kuch dekha saktey hain jo aaj hum is 2008 main dekh rahy hain ?kio w odor to hum ney nahi dekha mager ye dor to hum apni ankhon sey dekh rahy hain.
Chalain dekhty hain

Kia itney hi jaloos or jalsey hua kertey they jitney aaj hotey hian?
Kia itni hi Naat khuani ki Mahafil hoti thi jitni aaj hain ?
Kia 1985 main bhi Nabi-e-Pak Sallaho Alihey Wassalam key jhundey lagey jatey they ?
Kia 1985 mian bhi jaga jaga lunger hua kertey they?
Ji haan Janab yeh Hamesha say Ummat-e-Muslima karti aai hai iss ka saboot app ko cahiye tu main Muhadiseen ki Books say dai sakta hon aur app ki itla ke liye Saudi Arabia mein yeh kaam zyada Ehtamam say hota tha but 150 saal say wahan Najdi Government ke annay say yeh kaam khatam howa kyon ki unhain Nabi (sallalahu alaihe wassalam) ki tareef achi nahi lagti.

Ager ap ye samjhtey hain key haan kuchh tabdilian aai hain to hum inhi tabdeelion ka zikar ker rahy hain.
Or rahi bat key Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ki Qaber-e-Anwer per sajda kerney ki to pehli bat to ye hai key ap kia samjhtey hain shirik sirif issi ko kehtey hain key Allah key siwa kisi dosrey ko sajda kia jaey?
Yad rakhiey key ek Emarat banatey hain to uskey liyain bohat intezamat kerney pertey hain mager Emaraat ko torney key liyain ye sarey intezamat nahi kerney pertey sirif ek chota sa dinamate chahiey hota hai Emarat giraney key liyain.
Emaan ko qaim rakhney key liyain bohat jaddo jehed kerni perti ha imager Emaan ek choti si niyat sey hi kharab hosakta hai.
Hum ney ye behas nahi ker rahy key shirik kia hota hai or kon kar raha hai hum to wo sari nishanian batana chah rahy hain jo tareekh main mojood hain or wo alamat khain hum main na nazar ani shoro hojain.
Jesa key apko bataya tha key shaitan kabhi bhi aaker ye nahi kehta key Buuton ko Khuda mano ya Hazrat Essa alihey assalam ko Allah Ka beta mano(Maaz Allah)
shaitan ye ek hi dafa main aaker kahay ga to Ye chhoti si bat to koi bachha bhi samjh sakta hai key ye shirik-o-kufur hain mager shaitan aahista aahsita hi gumrah kerta hai.
Ager phir bhi yaqin nahi to Tareekh utha ker perhain key kesey qomain gumrah hoi.

Ab bohat dehan sey sari wazahat perhiey ga koshish kijiey ga jazbati na hoon thundey dil-o-dimagh sey perhain jo hum samjhana chah rahy hain.

pls mazeed behas na kijiey ga hum ney apkey etrazat key jawabat dey diey hain

Allah hum sab ko hidayat ata farmaey Ameen

Nasir Noman
Alhumdulillah kafi wazahat say bayan hoo chuka hai ke Ummat-e-Muslima shirk nahi kar sakti, Gumrahi aur cheez hai aur gumrah kyon howay yeh bhi main bayan kar chuka hon and Ji bhai abb app meray kiye gai Aitrazat ka koi mudlil jawab dain yeh app ki ghalat fehmi hai ke app ne meray aitrazat ka jawab dai diya hain and please app baat start kar ke bhaagh nah jain baat karain shaid kuch humain hasil ho jai ya kuch app ko hasil hoo jai aghar koi baat buri lagi hoo tu mazrat kha hon per itna zaror hai ke Nabi (sallalahu alaihe wassalam) ki tazeem-o-muhabbat hee Musalman ka sab kuch hai aghar yeh nahi tu mein kehta hon ke woh Musalman Haiwan say bhi zyada bad tar hai..
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
Assalam-o-Alikum,

hum ney kaha tha key ek behas chal paray gi hum to samjhey they shyad apko ghalat fehmi hoi thi mager ab hum samjh gaey key ye ghalat fehmi nahi hai.ye sirif zid hai ap kisi essey shakhas ko dekhain jis ka taaluq kisi bhi firqey sey na ho or humari pehli post bhi perhey or apka jawab bhi or phir humara dosra jawab bhi perh ley towo samjh jaey ga jo hum kehna chah rahy hain.

kher ap ye kehtey hain key(ek Hadees pak key Mutabiq) Nabi-e-Pak Sallaho alihey Wassalam ki ummat shirk nahi kersakti ?( hum ney ye Hadees to nahi suni or hum is sey inkar bhi nahi karsakty.
mager ap Shia Hazrat ko kis ki ummat samjhtey hain ?
or apkey hi Ulma-e-Kiram kia farmatey hain Shia Hazrat key Mutaaliq?
bas itna sa jawab dey dain?

or ek or ap ney bar bar ek hi bat duhrahi hai
key hum ney likha hai key 20 saal baad ye nasal kia karey gi
plssssssssss ap kisi bhi baat ka jawab dey ney sey peh;ley jazbati hoey bagher tawwajey sey perha karey key kehney wal kia kahna chahta hai?

1985 main jin bachon ki age 10 saal thi or unhon ney jis sadgi sey Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam)key jalsey jaloos dekhey or aaj apni 30 saal ki age main jo unhon ney Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam) ki taraqqian ki (Kio key un bachon key masoom zehan ney apney baron ki jo aqeedat dekhi or jo kuch seekha wo agey chal ker yaha tak ponchi jo ap log aaj kal apney aas paas dekh saktey hain)

to ye shochain key jin bachon ki age aaj 10 saal hai or wo aaj jo Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key sath apney baraon ki jo aqeedat aaj dekh rahy hain to issi taraqqi ki rafter sey ye bachhey aaney waley 20 saal bad kitni taraqqi ki manazil per pohanch chukey hongey?

or phir wo sab kuchh dekh ker un bachon ki aaney wali nasal wo sab dekh key kia hasil kerey gi?

pls dabara perhain
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
Janab-e-Wala Musalmano per Azaab, Bemari, Museebtain anne ki main wajah yeh hai ke woh Apne Nabi (sallalahu alaihe wassalam) ki muhabbat ko choor gaya hai kyon ? kyon ki ajj tak jitne muhadith, muffasir, balky Sahaba, Tabe'een ( jinhon ne sahaba ko dekha ) woh Nabi (sallalahu alaihe wassalam) ke ishq ko hee phelata rahai but ajj say 150-200 saal pehlay Najad, India mein Deoband and Qadiyan say kuch Fitne uthay jinhon ne Nabi (sallalahu alaihe wassalam) ki tazeem ko shirk kaha ajj say 200 Years pehlay bhi dekh loo ke kabhi Musalman koi Jang harai thay ? kabhi Musalmano ko kisi ne buri nazar say dekha tha ? per ajj Musalman ke kamzoor hone ki kiya wajah hai ? sirf woh Taqwiyat-ul-Imani Aqeeda jiss ne Nabi (sallalahu alaihe wassalam) ki tazeem ko shirk qarar diya balky aik badbakht ne tu yeh bhi kaha ke Nabi ki tazeem sirf baray bhai jitne karo balky iss mein bhi kami karo ( Taqwiyat-ul-Iman az Ismael Dehalvi Imam of Wahabi/Deobandi )
Yeh mat samajhna ke main kisi per tanqeed kar raha hon but brother app khudh dil say socho ke jab aisy naam nihaad molvi Ummat-e-Muslima ko aise Taleemat dain gai aur jo iss per amal karai ga woh tu Gumrah hoo ga tu phir uss per Allah ki Rahmatain kaisy nazil hoon gi.

apki tareekh bohat kamzor hai pls Islamic history ko read karain.
Khulafa-e-Raishdeen ka dor bohat acha guzra.
Us key baad Banu Ummia key dor main Hazrat Imam Husain Razi Allah taala unho ka waqia pesh aaya.
phir Allah taala ney ye sadat un sey cheenli.
phir banu Abbas ka dor aya jinhon sey 500 saal hakumat ki shoro main acha dor tha mager banu abbas key baad key dor main Tahir Qaramta ney jo Hajjaj ko shaheed kia or Khana-e-Kaaba ki hurmat ko pamal kia jis ki waja sey akhir key dor main Musalmao ki jo Halaku khan ney Qatal-e-Aam kai wo tareekh main uski misal nahi milti.
us key baad Saltanat-e-Usmania ney bhi Allah Taala key batey hoey ehkamat ko nazar andaz kai to Allah Taala ney ye ssadat bhi unsey cheen li.
phir Allah Taala ney Khana-e-Kaaba key intezamat key liyain Saudi Hakumat ko chuna.ab jab tak Saudi Hakumat Allah Taala key ehkamat key mutabiq hakumat karey gey to kamiab rahy gey mager jab bhi Allah Taala key ehkamat ko nazar andaz kary gey to Allah Taala un sey bhi Khana-e-Kaaba ki khidmat ki saadat cheen ley ga.
ek Hadees pak yad rakhiey.
Nabi-e-Pak Sallaho Alihey Wassalam ka farman hai(Allah Kami beshi Maaf farmey) "jab meri ummat Khana-e-Kaaba ki taazeem chhor dey gi to wo halak hojey gi"

or Islami fatuhat mai qabile-e-zikar Faateh sab sey pehley Humarey piyarey Nabi Sallaho Alihey Wassalam.
phir Hazrat Umer Farooq Razi Allah Taala Unho(Wasti arab sey ley ker Shaam or Iran tak).
us key baad Sultan Salaho ud din ayubi (Fatuhat Eurup main).
Mehmood gaznavi(fatuhat Asia main)

ye Islam key Namwer Fateh hain.

baqi to Muslaman apas main hi lartey rehy

ye sirif apki information key liyain hain behas key liyain nahi

Nasir Noman

nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
is main thori si edit kerna chaon ga kio key ap aksar bat ko ghalat matlab mainley jatey hain,
or bhi Islami Hukmaran hian jin ko tareekh intehai izzat sey yad karti hai or unhon ney bemisal hukumat ki hian mager yaha humari muraad un musalman hukmarano sey hai jinhon ney sirif apni hukumaton main izafa kerney key liayin ya or deegar maqasid hasil kerney key liyain apas main Musalman hukumaton sey hi jangain ki.
yaha or bhi musalman hukmaran hain jinhon ney fatuhaat hasil ki mager Azeem faateh main un hi Muslaman Faateh ka naam aata hai jo hum ney ooper bayan kiey hain.
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) ki jo Hadith app ne bayan ki uss mein Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) ne yeh kahan farmaya ke Eid-e-Milad nah manao ya meri tazeem nah karo ya apne bachon ko meri tazeem ki taleem nah do iss mein Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) ne farmaya ke mujhe Allah ka Beta ya iss tarha kuch mat kehna kyon ki mein tu Allah ka Nabi hoon.

Arey merey bhai apkey khayal main shaitan ney ney Buut paraston ko ya Hazrat Essa Alihey Assalam key manney walon ko kia ek hi din main aker kaha key in buuton ko khuda mano ya Hazrat Essa Alhey Assalam ko Allah ka beta mano(Maaz Allah) ?
Apko ye bat kio nahi samjh aarhi key ye ek hi din main nahi hota ye 50 saalon main bhi nahi hota is tarha key aqeedey bananey main sadyan (kai 100 saal) lag jatey hy.
Ager ek dafa main aaker shaitan ye sabaq dey ga to ek chhota sa bacha bhi samjh jey ga key ye shirk–o-kufur hai.
Aap ye sab baton ko ye mat sochiey ga key ye khayalon ki batain hain,ap ek seedhi deewar banana chahain to yaqinan her step per aap us deewar ki seedhey rehney key liayin dehan dain gey mager aap jab bohat maamooli faraq key sath ek step main faraq ker detey hain to yaqinan us waqat to wo maamooli faraq mehsoos nahi hoga mager yaad rakhiey wo maamooli faraq bhi 10 ya 20 step key bad us deewar ko teraha honey ka faraq pata chalna shoro hojaey ga.or wo hi maamooli maamooli faraq issi tarha ager kertey gaey to yaqinan ek waqat sirat-e-mustaqeem badal jaey ga.
Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ki Taazeem ko koi nahi mana kerta,
Hum to ye kahtey key Hazoor Sallaho Alihey wassalam ki Hadees pak key hi Mutabiq Tazeem main itna agey na berha jey key gumrah hojey.or ye 20 ya 50 sallon main nahi hota kai ek naslain guzarti hain taazeem main izafa kertey kertey phir ek din aajata hai key log waqai gumrah hojatey hain.deewar wali baat samjh ker perhain phir apko samjh ajey ga.

Aur janab app Topic say nah bhagain app Mushrikeen ko kahan say lai aai hain beech mein
Ap shyad bhool gaey Mushrikeen ko beech main laney ki waja ye hai key ye topic hi ye hai key kis tarha pichhli qomain gumrah hoi?

Bhai yeh batao ke hum ne apne Bazurgon ki konsi aise tazeem kar di jiss mein shirk hoo gaya hai aur app Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) say muhabbat ka dawah karty ho tu bhai tu jiss say muhabbat hoti hai uss ka zikr bhi kiya jata hai

Jis sey Aishq kia jata hai uska charcha nahi kia jata balkey jo sucha aashiq hota hai wo apni zindagi apney chahney waley key mutabiq tabdeel ker leyta hai shor macha macha ker aishq ka charcha nahi kia jata.
Jesey khushboo bati nahi jati balkey khushboo sari dunia ko khud hi pata chal jati hai.

aghar app Eid-e-Milad ko nahi manty tu phir uss ko manane walon ko kyon mana karty ho yeh mana karna hee hai ke app ne kaha jaisy woh apne Bazurgon ki tazeem karty apni naslon ko unhon ne kuch nahi bataya
Iska jawab apko shoro main dey chukey hain key kis tarha qomain gumrah hoi.

tu meray dost ajj humare pass Quran-o-Hadith and Ulama hai jo Qayamat tak rahai gai pehli nasloon ke pass aghar aisa kuch tha bhi tu woh iss jaisa nahi tha kyon ki humare Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) bay misl, quran bay misl, hadith bay misl, Ulama bay misl jaisa Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) ne aik Hadith mein farmaya ke meri ummat ke Ulama bani israeel ke Ambiya ki tarha hoon gai... tu baat kehne ka matlab yeh hai ke 1400 Years say Ummat-e-Muslima Quran-o-Hadith and Ulama say istafada karti aai hai aur Shirk mein mubtala nahi hoi tu app yeh fikr karna chor dain ke 20 saal baad Ummat-e-Muslima kuch aur kar beity gi.
Dost dukh hi is baat ka hai key Nabi Pak Sallaho Alihey Wassalam ney humain ek hi Quraan Pak dia sab key pas ek hi Ahadees Pak hain or uskey bawajood humarey darmian bohat barey barey Ikhtalafat hain.
Ek taraf age rap Dewbadi ya ehley Hadees ya Barailvi Ulama sey poochain gey to wo apney aqeedey Quraan Pak or ahadees pak sey sabit kary gey jab ek hi Quraan Pak or sab key Pas ek hi Ahadees Pak or sab ka kahna hai key Humarey Aqeedey hi drust hain to ghalat kon hai ?
Baat ye samjh aati hai key Quraan pak or Ahadees pak key samjhney ka faraq hai.
Ab kis ki Quraan pak or Ahadees Pak ki samjh drust haiis key liyain ap is link per click karey yaha wesey to 30 pages hain mage rap sirif 07 pages read kijey ga or jawab zaror sochiey ga.
http://picasaweb.google.com/roshnikasafer/AndhereySeyRoshniTak

Yeh tu buhat achi baat hai app ne Waseela ko maan liya pehlay tu app ne baat tanqeedan ki thi waisy app ki baat kam hee palay parti hai kyon ki app baat ko pura nahi kartay adhi idher ki adhi udher ki aghar Ghair Allah say madad mangy per aitraaz hai tu uss ka bhi Quran-o-Hadith say saboot pesh kar daita hon.

Apko link dia hai pls check karey and 06 pages ka jawab dey dain.urdu main hai Inshaallah apko samjh ajey gi.

Bhai app batao ke ajj Musalmano ne aisa konsa kaam kiya Eid-e-Milad per joo nahi karna cahiye tha ?

Ek taraf ap ye kehtey ho ro dosri taraf ap khud hi mantey ho:nechey ka quote perhain:
Tabdeeli sirf yeh aai hai ke abb Lighting zyada hoti hai Mehfil-e-Naats zyada hoti hain MasahAllah aur Allah karai din ba din iss mein azafa hota rahai aur hona bhi cahiye ajj say 30 years pehlay Pakistan ki Population bhi tu dekhain jab Population zyada hoo gi
Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) ke Ashiq zyada hon gai tu lazmi baat hai Mehfil-e-Milad bhi 20 ki jagah 40 yaa uss say zyada hoon gi aur bhai ajj say 30 saal pehlay logon ke pass resourses bhi jitne thi yeh bhi app janty hain ajj logh Ameer bhi tu hoo rahai hain tu aghar Musalman apna paisa kisi achy kaam par lagaty hain tu uss mein burai kiya hai ?
and zara app bhi bata dain ke kiya tabdeeli aai hai taakey humain bhi pata ho.

Merey Aziz dost ap key hisab sey hi bata deytey hain Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ney jab akhri Khutba Haj dia tha us waqat taqreeban 1 lakhh Sahaba-e-Kiram they or aaj poori dunia main 01 khharab Musalman hain.(100,000,000,000)
Ager ap kehtey hain key ye Milad 1100 saal sey ho raha hai to dost 100 saal baad kitney Musalmano main Izafa hua ?unki Milad ki mehfil or Naat khuani ki Mahafil kaha hoi konsi tareekh main hain?
500 saal baad kaha hain Tareekh main Mahafil ?
Or is baat ka jawab zaroor dijiey ga key is hisab kitab sey 100,000,000,000 Musalmano ki Mahfil or Naat Khuani kitni honi chahiey ?
Apkey hisab sey to lakhon honi chahiey(jesey jesey abadi berhti jarahi hai) to pls bataiey key Lakhon Mehfil Dunia key kis koney main hoti hain ?
Aaj Internet ka zamana hai dunia hatheli per hai ap google per search krain ap ko lakhon mehfil ka pata chal jaey ga.
Jesey Haj ka Ijtemaa nahi chup sakta
Jesey apka Fazan-e-Madinah ka Ijtemaa nahi chup sakta
Jesey Bangladesh ka Biswa ka ijtemaa nahi chup sakta
Jesey Raaey Wind ka Ijtemaa nahi chup sakta
To apki Lakhon ki mehfil kaha chup gai hain?
Ya sari dunia wahabi hai ?

Baqi jawabat apko kal mil jaey gey

Nasir Noman
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
Oho ajeeb baat hai yaar mujhe yeh batain ke Quran-o-hadith 1400 years say wohi chalta aa raha hai aur Musalman inn ko par kar Gumrahi say bach rahai hain aur achi achi batain sekh rahai hain tu kiya Na'uzubillah abb 20 saal baad yeh badal jai ga jo humari Naslain koi aisa kaam kar bethay gi jo app ne start mein baat likhi bazurg wali ?. per app kehna kiya cahty hain aghar yeh wazai tur per bayan karain tu acha hoo ga.

apko koshish kertey hain ek dafa phir tafseel sey samjhaney ki.

ap ye to maney hain key tabdeelian aai hain pichley 30 saalon main ?
agfer nahi bhi maney to koi bat nahi hum wazahat pesh kerdeytey hai.

Ya Rasool Allah to ehtaram ki waja sey kehtey hain mager Ya Rasool Allah Madad bhi Ehtaram ki waja sey hi kehtey hongey ?

Ya Ghos Pak Madad bhi ehtaraman kehtey hongey?

hum ye behas kary gey to shayad ap is key bhi bohat si Ahadees Pak or Quraan Pak ki ayat sey sabit ker dain gey key ye jumley kehney sey Islam mana nahi kerta ?

theek hai na ?

Ya Rasool Allah kehney key liyain ap ney kai Ahadees or Quraan Pak ki ayat key Hawaley diey hain .
or bareeki sey ye sabit kia hai key ap Ya Rasool Allah key saktey hain.
mager apko is sey ziada bareeki sey ye sabit kerna parey ga key Ya Rasool Allah or Ya Ghos Pak Madad kehney sey Quraan Pak mana nahi kerta or is key liyain ap kai Ahadees Pak key hawaley bhi dey dain gey.
mager kia aap itni hi bareeki sey apney bachon bhi ye seekhain gey key hum is liyain Ya Rasool Allah Madad kehtey hain?
jesa hum ney kaha tha bachey to masoom hotey hain or sarey bachey itney hoshiar bhi nahi hotey jo aasani sey mushkil batain samjh jain,
ye bachey in jumlon sey kia seekhain gey?
key Madad kerney wali zaat Allah Taala ki nahi hai balkey Rasool Allah sallaho Alihey Wassalam ki hai ye Ghos Pak ki hai ?
chaley aap to perhey likhey hain hosakta hai ap apney bachon ko perha likha ker ye samjh main betha bhi dain key essa nahi hai.
mager sarey dunia key mother father to itna nahi perhey hoeuy hotey jo pehley khud samjhey itni bareeki sey phir apney bachon ko seekhain?
or bohat sey seedhey sadhey log dehati hotey hain kia ap ek ek ko ja ker ye seekhain gey key humarey Ulma ka matlab ye hai ap ghalat nahi samjhna ?

kuchh samjh main araha hai key tabdeeli kesey aajati hai ?

kher

ab apka ye jawaz key abhi tak tabdeeli aai nahi to 20 saal bad kia aaey gi?

pehli bat ye key hum ney apko is ka jawab tafseel sey dia hai key 20 saal bad sey humari kia murad thi.(pichhli post dekhain)

ap ney khud Iqrar kia hai key ab lightain waghera lagatey hain
or abadi ki waja sey Mahafil bhi ziada hoti hain(wesey to is ka jawab bhi apko pichhli post main dia hai mager yaha wazahat dosri kerni hai)
or ab logon key pas pesa bhi agaya hai jis waja sey Naat Khuani bhi hoti hain(jab key her dor sey ziada menhgai is dor main sab sey ziada hai)

hum aksar Jummey ki namaz ek Barailvi Masjid main perhtey hain or waha Namaz key baad khana-e-Kaaba sey thora seedhey Hath ki taraf ghum key(Madinah ki taraf) Salat-o-Salam perha jata hai?
kia ye tabdeeli nahi?
30 saal pehley to ye nahi hota tha ?
chalo ap kahain gey ye Aqeedat ka izhar hai

is key baad ek manajat perhi jati hai "Ya Elahi her jaga teri ata ka sath ho" ab ye allah sey dua hai ab to wapis Khana-e-Kaaba ki taraf ghum jao mager abhi bhi rukh Madinah ki taraf hi hota hai ?
kia khayal hai key ye Tabdeeli aai ya nahi ?
or in sari baton ko bhi Quraan Pak or Ahadees Pak sey bareeki sey sabit kardia jaey ga.(kio key in baton ka Quraan Pak main wazeh Hukum nahi hai is liain jin bareekion ka hum pichhli line main bhi zikar kia hai wo bhi bareeki sey murad ye hai hai)

phir ab kia karey ?

kia khayal hai Tabdeelian is 30 saal key hi dor main aarahi hain na ?

ab is key baad ap wo hi pichhli line wali baat key kis kis ko ye batian bareeki sey samhain gey key humara maqsad ye hai ap log ghalat nahi samjhna ?

is tarha logon ki soch badalti hai key pehley jin baton ko maamooli samjha jata hai wo normal hojati hain phir koi new baat samney ajati hai shoro main wo bhi ajeeb lagti hai phir adat ban jati hai phir or koi nai baat samney aati hai.

or ye koi 50 saal main nahi hota balkey kai 100 saal lagtey hain tab sochain bikul badal jati hain.

ab dobara ye mat kehiey ga key 1100 saal sey horaha hai abhi tak to hua nahi ab kesey hoga ?

hum ney wo apki 1100 saal wali bat bhi bata di key ager 1100 saal sey issi tarha ho raha hota to aaj Milad ki poori dunia main Lakhon mehfil horahi hoti .

ap tareekh dekhain internet ap dekh saktey hain ager lakhon mehfil hoti to kesey chup sakti thin

jab Eid Ul Fitar jo poori dunia main manaya jata hai apko kisi ko batany ki zaroorat nahi perti key poori dunia main 100,000,000,000 musalman Eid ul Fitar mana rahy hain or TV or newspapar per pata chal jata hai key kon sey country main kis din Eid mani gai to ye ager sari dunia main issi tarha hota jessa yaha hota hai to ye bhi aasani sey sari dunia ko pata chal jata.

Jesey cheriten ka chrismis day Hazrat Essa Alhey Assalam ka birthday manateyu hain to poori dunia ko taqreebat ka pata hota hai kisi ko batanay ki zaroorat nahi perti key kesey poori dunia main manaya jaraha hai.

ap ney Quraan Pak ki ayat ka hawala bhi dia hai key Allah farmata hai key Hum ney Nabi-e-Pak SallahoAlihey Wassalam ka ziker bohat buland kia hai.

to dost kisi pahar(Hill)ki choti per beth ker ya chand per beth ker ap ye to nahi kahin gey key Allah ney Hazoor Sallho Alihey Wassalam Ka zikar buland kia hai to hum Hazoor Sallho Alihey Wassalam ka ziakr buland ker rahy hain?

arey bhai matlab to samjho Allah kia bata raha hai?
kia 24 ghunton main koi mintus essa nahi hota key poori dunia main Azan ki awaz nahi aarahi ho to Azan main Hazoor Sallaho ALihey Wassalam ka zikar poori dunia main goonj raha hai.
poori dunia key 1 khharab 100,000,000,000 sey zaid Musalman jab 5 waqat namaz main Drud Shareef perhtey hain wo keh rahy hotey hain key Allah Taalah Humarey Nabi-e-Pak Sallaho Alihey Wassalam per Rehmatain or Barkatain Nazil farma ye Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ka ziakr horaha hai.
Muslam kalma perhtey hain to Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ka ziaker horaha hota hai
Hazoor per Durud perhtey hain to Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ka zikar hota hai,
ye Islami Tareeqey hain key Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ka zikar buland hua hai,

umeed hai ab apko ye bhi samjh agai hogi.

pls ab samajh ker jawab dijey ga
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Assalam-o-Alikum,

hum ney kaha tha key ek behas chal paray gi hum to samjhey they shyad apko ghalat fehmi hoi thi mager ab hum samjh gaey key ye ghalat fehmi nahi hai.ye sirif zid hai ap kisi essey shakhas ko dekhain jis ka taaluq kisi bhi firqey sey na ho or humari pehli post bhi perhey or apka jawab bhi or phir humara dosra jawab bhi perh ley towo samjh jaey ga jo hum kehna chah rahy hain.

kher ap ye kehtey hain key(ek Hadees pak key Mutabiq) Nabi-e-Pak Sallaho alihey Wassalam ki ummat shirk nahi kersakti ?( hum ney ye Hadees to nahi suni or hum is sey inkar bhi nahi karsakty.
mager ap Shia Hazrat ko kis ki ummat samjhtey hain ?
or apkey hi Ulma-e-Kiram kia farmatey hain Shia Hazrat key Mutaaliq?
bas itna sa jawab dey dain?
Janab yeh Bukhari shareef ki hadith hai, aur aghar koi Allah ya uss ke Rasool ki shaan mein ghustakhi karai tu Woh Musalman rehta hee nahi tu jab woh Musalman nahi rehta tu woh hazaar shirk karai humain uss say kiya laina daina but mera aqida tu Deobandi hazraat ke baray mein bhi buhat ajeeb hai kyon ki Allah aur Rasool ki shaan mein Ghustakhion mein inhon ne kasar nahi chori khair...

or ek or ap ney bar bar ek hi bat duhrahi hai
key hum ney likha hai key 20 saal baad ye nasal kia karey gi
plssssssssss ap kisi bhi baat ka jawab dey ney sey peh;ley jazbati hoey bagher tawwajey sey perha karey key kehney wal kia kahna chahta hai?

1985 main jin bachon ki age 10 saal thi or unhon ney jis sadgi sey Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam)key jalsey jaloos dekhey or aaj apni 30 saal ki age main jo unhon ney Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam) ki taraqqian ki (Kio key un bachon key masoom zehan ney apney baron ki jo aqeedat dekhi or jo kuch seekha wo agey chal ker yaha tak ponchi jo ap log aaj kal apney aas paas dekh saktey hain)

to ye shochain key jin bachon ki age aaj 10 saal hai or wo aaj jo Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key sath apney baraon ki jo aqeedat aaj dekh rahy hain to issi taraqqi ki rafter sey ye bachhey aaney waley 20 saal bad kitni taraqqi ki manazil per pohanch chukey hongey?

or phir wo sab kuchh dekh ker un bachon ki aaney wali nasal wo sab dekh key kia hasil kerey gi?

pls dabara perhain
Yaar ajeeb baat hai app bar bar mujhe kehty ho maine sahi nahi parha main jazbati hoo gaya hon halanke app ajeeb ajeeb tareeqa say batain kar rahai ho mujhe abhi tak yeh samajh nahi aai ke app kehna kiya cahty ho yahi na ke Ajj jo Musalman Nabi (sallalahu alaihe wassalam) ki tazeem kar rahai hain kaheen kal kuch aur nah kar beethay ? meray dost Ummat-e-Muslima tu hamesha say apne pyare Nabi (sallalahu alaihe wassalam) ka Eid-e-Milad manati aai hai yeh to kuch logh 200 years ki paidawar hain jinhain Eid-e-Milad shirk nazar atta hai khair app ka yeh nazriya bilkul ghalat hai ke Ummat-e-Muslima 20-30 years baad wohi kaam karai gi jo unn logon ne kiya tha apne bazurg ka butt banane wala and ajj Dunya taraqi kar gai hai pehlay jin Gharon mein 1-2 Lights hoti thi ajj wahan A.C lagai howay hain tu jab hum apni amm zindagi ke liye itna kuch karty hain tu Eid-e-Milad per tu humain sab kuch lota daina cahiye aghar phir bhi meri baat app ki samajh main nahi aai tu app khudh batao ajj hum ne Eid-e-Milad per konsa ghalat kam kar diya hai ?
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
apki tareekh bohat kamzor hai pls Islamic history ko read karain.
Khulafa-e-Raishdeen ka dor bohat acha guzra.
Us key baad Banu Ummia key dor main Hazrat Imam Husain Razi Allah taala unho ka waqia pesh aaya.
phir Allah taala ney ye sadat un sey cheenli.
phir banu Abbas ka dor aya jinhon sey 500 saal hakumat ki shoro main acha dor tha mager banu abbas key baad key dor main Tahir Qaramta ney jo Hajjaj ko shaheed kia or Khana-e-Kaaba ki hurmat ko pamal kia jis ki waja sey akhir key dor main Musalmao ki jo Halaku khan ney Qatal-e-Aam kai wo tareekh main uski misal nahi milti.
us key baad Saltanat-e-Usmania ney bhi Allah Taala key batey hoey ehkamat ko nazar andaz kai to Allah Taala ney ye ssadat bhi unsey cheen li.
phir Allah Taala ney Khana-e-Kaaba key intezamat key liyain Saudi Hakumat ko chuna.ab jab tak Saudi Hakumat Allah Taala key ehkamat key mutabiq hakumat karey gey to kamiab rahy gey mager jab bhi Allah Taala key ehkamat ko nazar andaz kary gey to Allah Taala un sey bhi Khana-e-Kaaba ki khidmat ki saadat cheen ley ga.
ek Hadees pak yad rakhiey.
Nabi-e-Pak Sallaho Alihey Wassalam ka farman hai(Allah Kami beshi Maaf farmey) "jab meri ummat Khana-e-Kaaba ki taazeem chhor dey gi to wo halak hojey gi"

or Islami fatuhat mai qabile-e-zikar Faateh sab sey pehley Humarey piyarey Nabi Sallaho Alihey Wassalam.
phir Hazrat Umer Farooq Razi Allah Taala Unho(Wasti arab sey ley ker Shaam or Iran tak).
us key baad Sultan Salaho ud din ayubi (Fatuhat Eurup main).
Mehmood gaznavi(fatuhat Asia main)

ye Islam key Namwer Fateh hain.

baqi to Muslaman apas main hi lartey rehy

ye sirif apki information key liyain hain behas key liyain nahi

Nasir Noman
Buhat khoob janab ji haan main tu aik kam ilm insaan ho app tu MasahAllah Alim-e-Deen hain {(moc)} humara app say kiya muqabla.
Per jiss baat per baat chal rahi hai uss say hatt kar baat karne ka koi maqsad nahi Saudia Hakumat ko mein Passand nahi karta aur nah unn ki Respect karta hon mein Saudia ki respect karta hon kyon ki Wahan Khana Kaba, Madinah Shareef and Sahaba ki Qabrain Mubarika hain.
Baqi raha ajj kal wahan jo hoo raha hai uss per mein aik chota sa article abhi post karta hon app apne Imaan say aur Dil say poch kar bataye ga kiya abb bhi app inn ki respect karty ho?.
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Arey merey bhai apkey khayal main shaitan ney ney Buut paraston ko ya Hazrat Essa Alihey Assalam key manney walon ko kia ek hi din main aker kaha key in buuton ko khuda mano ya Hazrat Essa Alhey Assalam ko Allah ka beta mano(Maaz Allah) ?
Apko ye bat kio nahi samjh aarhi key ye ek hi din main nahi hota ye 50 saalon main bhi nahi hota is tarha key aqeedey bananey main sadyan (kai 100 saal) lag jatey hy.
Ager ek dafa main aaker shaitan ye sabaq dey ga to ek chhota sa bacha bhi samjh jey ga key ye shirk–o-kufur hai.
Aap ye sab baton ko ye mat sochiey ga key ye khayalon ki batain hain,ap ek seedhi deewar banana chahain to yaqinan her step per aap us deewar ki seedhey rehney key liayin dehan dain gey mager aap jab bohat maamooli faraq key sath ek step main faraq ker detey hain to yaqinan us waqat to wo maamooli faraq mehsoos nahi hoga mager yaad rakhiey wo maamooli faraq bhi 10 ya 20 step key bad us deewar ko teraha honey ka faraq pata chalna shoro hojaey ga.or wo hi maamooli maamooli faraq issi tarha ager kertey gaey to yaqinan ek waqat sirat-e-mustaqeem badal jaey ga.
Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ki Taazeem ko koi nahi mana kerta,
Hum to ye kahtey key Hazoor Sallaho Alihey wassalam ki Hadees pak key hi Mutabiq Tazeem main itna agey na berha jey key gumrah hojey.or ye 20 ya 50 sallon main nahi hota kai ek naslain guzarti hain taazeem main izafa kertey kertey phir ek din aajata hai key log waqai gumrah hojatey hain.deewar wali baat samjh ker perhain phir apko samjh ajey ga.
Yaar sirf yeh batao ke akhir hum ne Huzoor (sallalahu alaihe wassalam) ko konsi hadh say barha diya ?
and 20 - 50 Years mein kiya hum sab Mushrik ho jain gai (Na'uzubillah)

Ap shyad bhool gaey Mushrikeen ko beech main laney ki waja ye hai key ye topic hi ye hai key kis tarha pichhli qomain gumrah hoi?
Yaar Nabi (sallalahu alaihe wassalam) ki tazeem karne wala kabhi gumrah nahi hoo sakta Pechli qomon ne apne nabion ki hee tazeem nahi ki thi unhain apne jaisa Bashar kehty thay.

Jis sey Aishq kia jata hai uska charcha nahi kia jata balkey jo sucha aashiq hota hai wo apni zindagi apney chahney waley key mutabiq tabdeel ker leyta hai shor macha macha ker aishq ka charcha nahi kia jata.
Jesey khushboo bati nahi jati balkey khushboo sari dunia ko khud hi pata chal jati hai.
Janab app ne bilkul ghalat kaha...
Hadith shareef main hai ' Jiss ko jiss say muhabbat hoti hai woh ussi ka zikr karta hai '' tu yahan app ki ya meri baat kiya hasiyat rakhti hai.

Dost dukh hi is baat ka hai key Nabi Pak Sallaho Alihey Wassalam ney humain ek hi Quraan Pak dia sab key pas ek hi Ahadees Pak hain or uskey bawajood humarey darmian bohat barey barey Ikhtalafat hain.
Ek taraf age rap Dewbadi ya ehley Hadees ya Barailvi Ulama sey poochain gey to wo apney aqeedey Quraan Pak or ahadees pak sey sabit kary gey jab ek hi Quraan Pak or sab key Pas ek hi Ahadees Pak or sab ka kahna hai key Humarey Aqeedey hi drust hain to ghalat kon hai ?
Baat ye samjh aati hai key Quraan pak or Ahadees pak key samjhney ka faraq hai.
Ab kis ki Quraan pak or Ahadees Pak ki samjh drust haiis key liyain ap is link per click karey yaha wesey to 30 pages hain mage rap sirif 07 pages read kijey ga or jawab zaror sochiey ga.
http://picasaweb.google.com/roshnikasafer/AndhereySeyRoshniTak

Yaar dekho na akhir ajj say 200 years pehlay kyon kisi mein ekhtlaf nahi tha ? sabhi Eid-e-Milad manaty thay Sabi Nabi
(sallalahu alaihe wassalam) ki tazeem karty thay aur sabhi Aima, Muhadiseen, Mufasseren ne Nabi (sallalahu alaihe wassalam) ko Noor hee kaha but ajj say 200 Years pehlay jo Fitne uthay Ekhtlaf tu unn ki wajah say howa hai
Janab itna falto time nahi meray pass app ne jo kehna hai woh yahan post karain app ki meharbani hoo gi

Ek taraf ap ye kehtey ho ro dosri taraf ap khud hi mantey ho:nechey ka quote perhain:
Janab maine jo likha woh puri tarha parhain shaid app ko samajh nahi aai ya khudh bata do konsa ghalat kaam kar diya hum ne Eid-e-Milad per?

Merey Aziz dost ap key hisab sey hi bata deytey hain Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ney jab akhri Khutba Haj dia tha us waqat taqreeban 1 lakhh Sahaba-e-Kiram they or aaj poori dunia main 01 khharab Musalman hain.(100,000,000,000)
Ager ap kehtey hain key ye Milad 1100 saal sey ho raha hai to dost 100 saal baad kitney Musalmano main Izafa hua ?unki Milad ki mehfil or Naat khuani ki Mahafil kaha hoi konsi tareekh main hain?
500 saal baad kaha hain Tareekh main Mahafil ?
Or is baat ka jawab zaroor dijiey ga key is hisab kitab sey 100,000,000,000 Musalmano ki Mahfil or Naat Khuani kitni honi chahiey ?
Apkey hisab sey to lakhon honi chahiey(jesey jesey abadi berhti jarahi hai) to pls bataiey key Lakhon Mehfil Dunia key kis koney main hoti hain ?
Aaj Internet ka zamana hai dunia hatheli per hai ap google per search krain ap ko lakhon mehfil ka pata chal jaey ga.
Jesey Haj ka Ijtemaa nahi chup sakta
Jesey apka Fazan-e-Madinah ka Ijtemaa nahi chup sakta
Jesey Bangladesh ka Biswa ka ijtemaa nahi chup sakta
Jesey Raaey Wind ka Ijtemaa nahi chup sakta
To apki Lakhon ki mehfil kaha chup gai hain?
Ya sari dunia wahabi hai ?

Baqi jawabat apko kal mil jaey gey

Nasir Noman
Chalo Milad kab say manaya jaa raha hai iss ka sabot mein app ko jald pesh karon ga and yeh bhi ke yeh Hamesha say Milad manaya jaa raha hai.
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
apko Koshish Kertey Hain Ek Dafa Phir Tafseel Sey Samjhaney Ki.

ap Ye To Maney Hain Key Tabdeelian Aai Hain Pichley 30 Saalon Main ?
agfer Nahi Bhi Maney To Koi Bat Nahi Hum Wazahat Pesh Kerdeytey Hai.

ya Rasool Allah To Ehtaram Ki Waja Sey Kehtey Hain Mager Ya Rasool Allah Madad Bhi Ehtaram Ki Waja Sey Hi Kehtey Hongey ?

ya Ghos Pak Madad Bhi Ehtaraman Kehtey Hongey?

hum Ye Behas Kary Gey To Shayad Ap Is Key Bhi Bohat Si Ahadees Pak Or Quraan Pak Ki Ayat Sey Sabit Ker Dain Gey Key Ye Jumley Kehney Sey Islam Mana Nahi Kerta ?

theek Hai Na ?

ya Rasool Allah Kehney Key Liyain Ap Ney Kai Ahadees Or Quraan Pak Ki Ayat Key Hawaley Diey Hain .
or Bareeki Sey Ye Sabit Kia Hai Key Ap Ya Rasool Allah Key Saktey Hain.
mager Apko Is Sey Ziada Bareeki Sey Ye Sabit Kerna Parey Ga Key Ya Rasool Allah Or Ya Ghos Pak Madad Kehney Sey Quraan Pak Mana Nahi Kerta Or Is Key Liyain Ap Kai Ahadees Pak Key Hawaley Bhi Dey Dain Gey.
mager Kia Aap Itni Hi Bareeki Sey Apney Bachon Bhi Ye Seekhain Gey Key Hum Is Liyain Ya Rasool Allah Madad Kehtey Hain?
jesa Hum Ney Kaha Tha Bachey To Masoom Hotey Hain Or Sarey Bachey Itney Hoshiar Bhi Nahi Hotey Jo Aasani Sey Mushkil Batain Samjh Jain,
ye Bachey In Jumlon Sey Kia Seekhain Gey?
key Madad Kerney Wali Zaat Allah Taala Ki Nahi Hai Balkey Rasool Allah Sallaho Alihey Wassalam Ki Hai Ye Ghos Pak Ki Hai ?
chaley Aap To Perhey Likhey Hain Hosakta Hai Ap Apney Bachon Ko Perha Likha Ker Ye Samjh Main Betha Bhi Dain Key Essa Nahi Hai.
mager Sarey Dunia Key Mother Father To Itna Nahi Perhey Hoeuy Hotey Jo Pehley Khud Samjhey Itni Bareeki Sey Phir Apney Bachon Ko Seekhain?
or Bohat Sey Seedhey Sadhey Log Dehati Hotey Hain Kia Ap Ek Ek Ko Ja Ker Ye Seekhain Gey Key Humarey Ulma Ka Matlab Ye Hai Ap Ghalat Nahi Samjhna ?

kuchh Samjh Main Araha Hai Key Tabdeeli Kesey Aajati Hai ?

kher

ab Apka Ye Jawaz Key Abhi Tak Tabdeeli Aai Nahi To 20 Saal Bad Kia Aaey Gi?

pehli Bat Ye Key Hum Ney Apko Is Ka Jawab Tafseel Sey Dia Hai Key 20 Saal Bad Sey Humari Kia Murad Thi.(pichhli Post Dekhain)

ap Ney Khud Iqrar Kia Hai Key Ab Lightain Waghera Lagatey Hain
or Abadi Ki Waja Sey Mahafil Bhi Ziada Hoti Hain(wesey To Is Ka Jawab Bhi Apko Pichhli Post Main Dia Hai Mager Yaha Wazahat Dosri Kerni Hai)
or Ab Logon Key Pas Pesa Bhi Agaya Hai Jis Waja Sey Naat Khuani Bhi Hoti Hain(jab Key Her Dor Sey Ziada Menhgai Is Dor Main Sab Sey Ziada Hai)

hum Aksar Jummey Ki Namaz Ek Barailvi Masjid Main Perhtey Hain Or Waha Namaz Key Baad Khana-e-kaaba Sey Thora Seedhey Hath Ki Taraf Ghum Key(madinah Ki Taraf) Salat-o-salam Perha Jata Hai?
kia Ye Tabdeeli Nahi?
30 Saal Pehley To Ye Nahi Hota Tha ?
chalo Ap Kahain Gey Ye Aqeedat Ka Izhar Hai

is Key Baad Ek Manajat Perhi Jati Hai "ya Elahi Her Jaga Teri Ata Ka Sath Ho" Ab Ye Allah Sey Dua Hai Ab To Wapis Khana-e-kaaba Ki Taraf Ghum Jao Mager Abhi Bhi Rukh Madinah Ki Taraf Hi Hota Hai ?
kia Khayal Hai Key Ye Tabdeeli Aai Ya Nahi ?
or In Sari Baton Ko Bhi Quraan Pak Or Ahadees Pak Sey Bareeki Sey Sabit Kardia Jaey Ga.(kio Key In Baton Ka Quraan Pak Main Wazeh Hukum Nahi Hai Is Liain Jin Bareekion Ka Hum Pichhli Line Main Bhi Zikar Kia Hai Wo Bhi Bareeki Sey Murad Ye Hai Hai)

phir Ab Kia Karey ?

kia Khayal Hai Tabdeelian Is 30 Saal Key Hi Dor Main Aarahi Hain Na ?

ab Is Key Baad Ap Wo Hi Pichhli Line Wali Baat Key Kis Kis Ko Ye Batian Bareeki Sey Samhain Gey Key Humara Maqsad Ye Hai Ap Log Ghalat Nahi Samjhna ?

is Tarha Logon Ki Soch Badalti Hai Key Pehley Jin Baton Ko Maamooli Samjha Jata Hai Wo Normal Hojati Hain Phir Koi New Baat Samney Ajati Hai Shoro Main Wo Bhi Ajeeb Lagti Hai Phir Adat Ban Jati Hai Phir Or Koi Nai Baat Samney Aati Hai.

or Ye Koi 50 Saal Main Nahi Hota Balkey Kai 100 Saal Lagtey Hain Tab Sochain Bikul Badal Jati Hain.

ab Dobara Ye Mat Kehiey Ga Key 1100 Saal Sey Horaha Hai Abhi Tak To Hua Nahi Ab Kesey Hoga ?

hum Ney Wo Apki 1100 Saal Wali Bat Bhi Bata Di Key Ager 1100 Saal Sey Issi Tarha Ho Raha Hota To Aaj Milad Ki Poori Dunia Main Lakhon Mehfil Horahi Hoti .

ap Tareekh Dekhain Internet Ap Dekh Saktey Hain Ager Lakhon Mehfil Hoti To Kesey Chup Sakti Thin

jab Eid Ul Fitar Jo Poori Dunia Main Manaya Jata Hai Apko Kisi Ko Batany Ki Zaroorat Nahi Perti Key Poori Dunia Main 100,000,000,000 Musalman Eid Ul Fitar Mana Rahy Hain Or Tv Or Newspapar Per Pata Chal Jata Hai Key Kon Sey Country Main Kis Din Eid Mani Gai To Ye Ager Sari Dunia Main Issi Tarha Hota Jessa Yaha Hota Hai To Ye Bhi Aasani Sey Sari Dunia Ko Pata Chal Jata.

jesey Cheriten Ka Chrismis Day Hazrat Essa Alhey Assalam Ka Birthday Manateyu Hain To Poori Dunia Ko Taqreebat Ka Pata Hota Hai Kisi Ko Batanay Ki Zaroorat Nahi Perti Key Kesey Poori Dunia Main Manaya Jaraha Hai.

ap Ney Quraan Pak Ki Ayat Ka Hawala Bhi Dia Hai Key Allah Farmata Hai Key Hum Ney Nabi-e-pak Sallahoalihey Wassalam Ka Ziker Bohat Buland Kia Hai.

to Dost Kisi Pahar(hill)ki Choti Per Beth Ker Ya Chand Per Beth Ker Ap Ye To Nahi Kahin Gey Key Allah Ney Hazoor Sallho Alihey Wassalam Ka Zikar Buland Kia Hai To Hum Hazoor Sallho Alihey Wassalam Ka Ziakr Buland Ker Rahy Hain?

arey Bhai Matlab To Samjho Allah Kia Bata Raha Hai?
kia 24 Ghunton Main Koi Mintus Essa Nahi Hota Key Poori Dunia Main Azan Ki Awaz Nahi Aarahi Ho To Azan Main Hazoor Sallaho Alihey Wassalam Ka Zikar Poori Dunia Main Goonj Raha Hai.
poori Dunia Key 1 Khharab 100,000,000,000 Sey Zaid Musalman Jab 5 Waqat Namaz Main Drud Shareef Perhtey Hain Wo Keh Rahy Hotey Hain Key Allah Taalah Humarey Nabi-e-pak Sallaho Alihey Wassalam Per Rehmatain Or Barkatain Nazil Farma Ye Hazoor Sallaho Alihey Wassalam Ka Ziakr Horaha Hai.
muslam Kalma Perhtey Hain To Hazoor Sallaho Alihey Wassalam Ka Ziaker Horaha Hota Hai
hazoor Per Durud Perhtey Hain To Hazoor Sallaho Alihey Wassalam Ka Zikar Hota Hai,
ye Islami Tareeqey Hain Key Hazoor Sallaho Alihey Wassalam Ka Zikar Buland Hua Hai,

umeed Hai Ab Apko Ye Bhi Samjh Agai Hogi.

pls Ab Samajh Ker Jawab Dijey Ga
Janab App Yeh Mat Samjhain Ke Main App Ki Baton Ko Samjhai Baghair Jawab Dai Raha Hon.
Kyon Ki App Ne Abhi Tak Yeh Nahi Bataya Ke App Ke Zehan Ke Mutabiq Hum Sab Bhi 50 Years Baad Ya Humari Naslain Mushrik Ho Jai Gi So Mujhe Majboran Thread Close Nah Karna Parai Kyon Ki Jiss Cheez Ka Kuch Hal Nah Nikal Raha Hon Uss Ko Khatam Karna Hee Behtra Hota Hai.
Abb Meri Baat Sunain.

1. Kabhi Hum Bhi Bachay Thay Humain Bhi Kuch Taleemat Di Gai Aur Yeh Hamesha Say Hota Aa Raha Hai Gharibi Pehlay Bhi Buhat Thi Abb Bhi Buhat Hai Laikin Ilm Har Dor Mein Phelta Hai Jaisa Hum Ne Seekha Insahallah Humari Naslain Bhi Sekhain Gi App Ko Fikr Ki Zarorat Nahi.

2. Ya Rasool Allah (sallalahu Alaihe Wassalam) Pukarna Ka Saboot Maine Diye Aghar App Ko Kuch Aitraaz Hai Tu App Iss Ki Mumaniat Sabit Karain.

3. Mustafa Jane-e-rahmat Salam Hai Aur Quran Mein Allah Ne Rasool Allah (sallalahu Alaihe Wassalam) Per Darood-o-salam Parne Ka Hukm Diya Abb App Kahain Gai Woh Koi Aur Salam Hai Jiss Ko Parne Ka Hukam Diya Tu Bhai Yeh Aik Naat Bhi Hai Aur Mishkat Shareef Ki Hadith Say Sabit Hai Ke Hazrat Hassan Bin Sabit (ra) Rasool Allah (sallalahu Alaihe Wassalam) Ki Bargah Main Naat Shareef Parha Karty Thay So Hum Sahaba Ki Sunnat Ada Kartay Hain Alhumdulillah.

4. Ya Elahi Rehm Farma Yeh Allah Azawajal Ki Hamd Bayan Ki Jaa Rahi Hai Jiss Per Koi Pabandi Nahi.

5. Aur Janab Tabdeelian Jo Bhi Hon App Mujhe Batain Inn Mein Ghalat Baat Konsi Hai Aur Hum Ne Eid-e-milad Per Konsa Ghalat Kaam Kar Diya Jiss Say App Ko Itne Zyada Pareshani Hoo Rahi Hai ? Please Next Post Mein Iss Baat Ka Jawab Dain Other Wise App Ka Thread Close Kar Diya Jai Ga.

6. Eid-e-milad Bhi Puri Dunya Mein Manai Jati Hai Alhumdulillah Sirf Gujranwala Main Eid-e-milad Ke 1,660 Say Zyada Jaloos Howay Iss Dafa And Puri Dunya Mein Kitne Howay Iss Ka Koi Hisaab Nahi Aur Bhai Hum Rasool Allah (sallalahu Alaihe Wassalam) Ki Tareef Bayan Karty Hain Aghar App Eid-e-milad Ki Mumaniat Sabit Kar Sakty Hain Tu Kar Dain Nahi Tu Iss Baat Per Apni Haar Tasleem Karain Aur Seedha Rasta Ekhtyar Kar Lain.
Thanks.
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
Assalam-o-Alikum bhai,
hum is per behas nahi kerna chah rahy they mager ap ney majboor kia humain jawabat deyney per,
ap ye sari post kisi bhi gher janibdar kodikhdain wo khud hi faisla kerdey ga

1-ap ney ye bhi jawab nahi dia key Shia Hazrat kis ki Ummat hain ?

2-or Ap key Ulma un key liyain kia farmatey hain ?

3-ap kehtey hain key Allah Taala ney farmaya hai key Hum ney Nabi Saalaho Alihey Wassalam ka ziakr Buland ker dia hai,
Apko ye wazahat bhi ki kis tarha Hazoor Sallaho Alihey Wassaalm ka zikar oori dunia main hota hai jo key ap key samney hai or sari dunia janti hai or is key liayin humain koi mushkil nahi aai apko wazahat kerney main, mager apko apney dalail sabit kerney main mushkilat pesh aarahi hai ?such nahi chupta mager ek ghalat bat ko sabit kerney main hi mushkilat pesh aati hain.
Apkey Ulama key Mutabiq ziker buland hona Naat Khuani or Milad ki Mahafil hain?
To phir ager poori dunia main Naat Khuanai or Milad ki mehfil essay nahi hoti jesey Pakistan or India main hoti hian to is ka matlab hai key Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ka ziaker sirif Pakistan or India main hi Buland hua ?
Or ager poori dunia main hota hai to ap ney abhi tak sabot nahi pesh kia ?

4-is hisab sey lakhaon Milad ki mehfil kaha hain?

5-ap 30 saal Tabdeeli dekhna chahtey they mager apko jab dekhai to ap jawaz pesh kerney lagey.(jesey Salat-o-Salam or Allah sey Dua(Manajat)Madinah ki taraf moun ker key perha jata hai.or aaj kal jitney ziada Milad ki mehfil hoti hian wo bataya mage rap kehtey hain key poori dunia mian hoti hain mager apkey pas koi sabot nahi hai?

6-Ya Rasool Allah kehney ka sabot to batay mager Ya Rasoolallah madad or Ya Ghos Pak madad ki wazahat nahi ki or ye bhi nahi bataya key kis tarha ye wazahat poori dunia key logon or dehation or bachon ko pesh kery gey jab apko itni mushkil pesh aarahi hai humain bataney main to Masoom bachey kesey samhain gey or hum ney kaha tha key ap samjh gey mager kia sari Ummat ko kesey samjhain gey?

7-or apko na 20 saal or 50 saal ki bhi wazahat k imager ap kehtey hain key ap samjh ker jawab dey rahy hain or ye bhool gaey key hum ney likha tha key kai 100 saal bet jatey hain gumrah honey main,
Apko ek deewar ki aasan missal bhi di key apko samjh aajey key kesey maamooli faraq jo us waqat pata nahi chalta mager 20 ya 50 step per nazar aney lagta hai apko ye aasan missal sey bhi nahi samjh aaya ?

8-apko 200 saal wali bat key 200 saal sey ye fitna khara hai mager jab apko uki wazaht ki key Allah key Nabi Saalaho ALihey Wassalam ka farman bataya key j”jab meri Ummat Khana-e-Kaaba ki taazeem chhor dey gi to halak hojey gi”
Or phir ye bhi bataya key kis tarha kis qom ney Khana-e-Kaaba per hukumat ki or kia ghlatain hoi or kis tarha Allah Taala ney ye saadat un sey chheenta gaya,
Or ab Saudi Jab tak Allah Taala key Ehkamat key Mutabiq chalain gey to kamiab rahy gey or Jab Allah Taala key ehkamat ko choor dain gey to Allah un sey bhi ye saadat chheen ley ga.(jesa key ap log kehtey hain key wo Allah key or Rasool Sallaho Alihey Wassalam key dushman hian ager waqai essa hota to ye log aaj waha nahi hotey)

9-ap ney likha key pichhli qomain is liyain gumrah hoi kio key unhon ney Nabion ko apney jesa basher samjha is liayin wo gumrah hoi,
Kia hogaya hai apko itni si bat apko nahi samjh aarahi key ager Cheristen Hazrat Essa Alihey Assalam ko Allah ka beta(Maaz Allah) to kia apney jesa basher ko essa samjh saktey hain ?
Or Buut parast ager Buuton ko devi ya dewta manntey hain to kia apney jesa basher dewi ya dewta hosakta hai ?
Aqal ko istemal to karo bhai jazbati na ho.
Hazoor Sallaho alihey Wassalam ki Ahdees Pak apko nazar nahi aarahi key “Mujh ko esa na berhana jesa Nasranion(Christen) ney berhaya”
Kia matlab is ka key log gumrah hoey tazeem berhaney ki waja sey hai ya Tazeem kam ker key basher samjhney ki waja sey ?

Ek akhiri ghalat fehmi bhidoor kerlain key humara mqsad jeet yar haar nahi thi ager ap jeet key liyain hi ye sab likh rahy they to pls in baton per aaj nahi ek saal baad 05 saal baad kabhi na kabhi tenhai main ghor zaroor kijey ga or hum ney apko jeet bhi dey di.

Ek dua kia aap sadaq dil sey kijey ga or umeed hai key apko is sey ikhtalaf nahi hoga “A Allah humain sachhi hidayat ata farma ager hum ghalti per hoon to humarey liyain suchhi hidayat key rastey roshan farma”
Ap ye na samjhiey ga key hum apney liyain nahi keh rahy hum bhi suchhey dil sey dua karey gey plssssssss humari aakhiri derkhuast samjh ker ek musalman honey key natey ya apko apney Nabi Sallaho Laihey Wassalam ki mohabbat ka wasta hai ek dafa zaroor baqi jab bhi moqa miley kio key Allah hidayat bhi un ko dey ta hai jo suchhi hidayat key talabgar hoon.
Or apney dil-o-dimagh key derwazey main gunjaish zaror rakhian sunain sab ki or kerey dil ki kio key kabhi kabhi 0.999% bhi 100% main tabdeel hosakta hai.

Allah hum sab ko suchhi hidayat ata farmey Ameen
Or A Allah ager hum sey likhney main samjhney main koi ghalti hogai ho to humain apney Habib pak Sallaho ALihey Wassalam key sadqey maaf farma Ameen.

Duaon ka talabgar
Nasir Noman

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
1. Janab main Shia Hazraat ke baray mein zyada Mutaliya nahi rakhta per shaid app bhool rahai hain maine kaha ke jo Allah aur uss ke Rasool (sallalahu alaihe wassalam) ki shaan main koi ghustakhi karai woh Musalman hee nahi.

2. Jawab diya jaa chuka hai

3. Janab app ki itlaah ke liye Eid-e-Milad sirf Pakistan & India mein hee nahi balky Puri Dunya England and America main bhi manai jati hai yeh sirf wahabi labbi hai jo iss ke munkir hain and mujhe sirf yeh bata do ke Quran-o-Hadith ya kisi Sahabi ka qoul batao ke Eid-e-Milad manana najaiz hai yeh tu InsahAllah app qayamat tak sabit nahi kar sakty

4. Janab main pehlay bhi bataya app jitna ehtjaj karai InsahAllah Mehfil-e-Milad khatam nahi hoo sakti aur jab app manaty hee nahi tu app ko kiya lagai Hazaron manai jain ya lakhon.

5. Janab app meri baat manai ya nahi manai mera tu iss say koi nuqsaan nahi hota app sirf apni zidd per araay howay hoo pata nahi Rabi-ul-Awal ke mubarik maheena mein app kahan thy TV per rozana dekhaya jata tha aur 12 Rabi-ul-Awal ko Puri Dunya mein Mehfil-e-Milad ki Mahafil dekhai gai thi abb app nahi manty tu iss say mera kiya jata hai

6. Mano gai tu app nahi yeh tu mujhe paka yaqeen hai

7. Idher udher ki batain karne ki bajai apna maqsad batao ke 20-50 years baad humari naslain Eid-e-Milad per kiya karain gi?

8. Main tu sirf aik hee baat kehta hon Qoum per azaab usi waqt ata hai jab woh apne Nabi ki ghustakhi kar beethti hai per main yeh nahi keh raha ke Khana kaba ki ghustakhi karo gai tu azaab nahi aai ga but hum ajj itne gunnah karty hain hum per azaab sirf Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) ki ummat hone ki wajah say nahi ata Alhumdulillah

9. Yaar aqal tu app ki kaam nahi kar rahi Christian abb Gumrah nahi Kafir hoo chukay hain aur zahir hai Nabi ko Allah ka Beta ya kisi ko bhi kaho gai tu kafir hee hoo gai aur meray dost maine nateeja sirf yeh nikala hai app ko sirf Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) ki shaan bayan karne say chir hai aur app jalty hoo per mainee pehlay bhi kaha ke tum aik Hadh Mukarar kar doo Rasool Allah (sallalahu alaihe wassalam) ki shaan bayan karne ki taakey humain pata ho.
 
Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
well, aap dono ki sari bahes to mein ne parhi... but mere khayal say is bahes ko aab tak khattam hojana chaiye tha ...

aniwayz, is bahes ko khattam karnay k lie mujhe majbooran yeh thread close karna par rahi hai... agar aap dono mein say kisi ko bhi is bare mien shekayat hai, ya kuch bhi to, to PM me ya kissi bhi Staff member say contact karein..

Shukriya..

THREAD CLOSED
 
Status
Not open for further replies.
Top