Aaj Ki Sehri Aur Aftaari Fahaad Mohtram k Sath 19-5-19

  • Work-from-home

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Aslaam O Allaykum Tm K Sathiyo

Aaj Ki Sehri Aur Aftari Walay Silsala MeiN Hum 13-5-2019 K Mehmaan @Fahaad Mohtram Ko Bulaa Rahay HaiN Aur Un Se Kuch Baat Cheet Kartay HaiN.

Aap Log Bhi Sawalaat Pooch Saktay HaiN.

1۔Ramzaan ul Mubarak Kaisa Guzar Raha Hai?

2۔Sehri K Waqat Asaani Se Uth Jaatay HaiN?

3۔Sehri MeiN Kiya khana Pasand Kartay HaiN?

4.Rozay Ki Halat MeiN Saara Din Kiya Routine Rehti Hai?'

5.Rozay Ki Halat MeiN Kabhi Bhool Chook Se Kuch Khaa Liya Ho?

6. Aftaari MeiN Pasandeeda Cheez Koun Si Hai Ya Koun Si Cheez Na Ho To Aftaari Ka Dastarkhvaan Adhoora Lagta Hai?

7.Sehri Aur Aftaari Bnaanay MeiN Help Kartay Hain?

8۔Pehla Roza Kis Umar MeiN Rakha?

9۔Ramzaan Ul Mubarak K Havalay Se Koyi Yaadgar Waqiya?

10۔Ramzaan Ul Mubarak K Havalay Se Koyi Naseehat?

السلام و علیکم تفریح میلہ کے ساتھیو

آج کی سحری اور افطاری کے سلسلہ میں آج ہمارے مہمان ہیں
@Fahaad محترم

:)آپ لوگ بھی سوالات پوچھ سکتے ہیں۔
ہمارے سوالات کچھ یوں ہیں
پہلا سوال۔۔ ماہ رمضان کیسا گزر رہا ہے؟
دوسرا سوال۔۔۔سحری کے وقت آسانی سے اٹھ جاتے ہیں؟
تیسرا سوال۔۔۔سحری میں کیا کھانا پسند کرتے ہین؟
چوتھا سوال۔۔۔روزے کی حالت میں سارا دن کیا روٹین رہتی ہے؟
پانچواں سوال۔۔۔روزے کی حالت میں کبھی بھول چوک سے کچھ کھا پی لیا ہو؟
چھٹا سوال۔۔۔افطاری میں پسندیدہ چیز کون سی ہے یا کون سی چیز کے بغیر افطاری کا دسترخوان ادھورا لگتا ہے؟
ساتواں سوال۔۔۔سحری اور افطاری بنانے میں مدد کرتے ہیں؟
آٹھواں سوال۔۔۔پہلا روزہ کس عمر میں رکھا؟
نواں سوال۔۔۔رمضان المبارک کے حوالے سے کوئی یادگار واقعہ؟
دسواں سوال۔۔۔رمضان المبارک کے حوالے سے کوئی نصیحت؟

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
@Don @saviou @Shiraz-Khan @shehr-e-tanhayi @Hoorain @RedRose64
@Aaylaaaaa @minaahil @Umm-e-ahmad @H@!der @khalid_khan @Untamed-Heart
@duaabatool @Armaghankhan @zaryaab-irtiza @DiLkash @Seemab_khan @Mahen @Masha
@Cyra @Kavi @rooja @Aaidah @BeautyRose @Gaggan @hasandawar @AnadiL @Prince-Farry
@Hasii @Masha @Bird-Of-Paradise @Besharam @shzd @hinakhan0 @zehar @bilal_ishaq_786
@Belahadi @Manahi007 @BeautyRose @ujalaa @*Sonu* @Guriyaa_Ranee @illusionist
@sonu-unique @shahijutt @ujalaa @Layla @Fantasy @Babar-Azam @AM_ @Princess_Nisa
@Shanzykhan @sweet bhoot @NXXXS @IceCream @zahra1234 @AnadiL @Basitkikhushi
@Pari @whiteros @namaal @Abid Mahmood @Iceage-TM @Toobi @i love sahabah
@NamaL @Fa!th @MSC @yoursks @thefire1 @nighatnaseem21 @Fanii @naazii @Miss_Tittli
@junaid_ak47 @Guriya_Rani @Azeyy @Gul-e-lala @maryamtaqdeesmo @HorrorReturns
@shzd @p3arl @Atif-adi @Lost Passenger @marzish @Pakhtoon @candy @Asma_tufail
@Rubi @Tariq Saeed @Mas00m-DeVil @Wafa_Khan @amazingcreator @marib @Raat ki Rani
@Ghazal_Ka_Chiragh @Binte_Hawwa @sweet_c_kuri @sabha_khan40 @Masoom_girl @hariya
@Aayat @italianVirus @Ziddi_anGel @sabeha @attiya @Princess_E @Asheer @aira_roy
@shailina @maanu115 @Dua001 @pyaridua @xortica_ @DesiGirl @huny @AshirFrhan
@Rahath @Shireen @zonii @Noor_Afridi @sweet bhoot @Lightman @Noorjee @hafaz
@Bela @LuViSh @aribak @BabyDoll @Silent_tear_hurt @gulfishan @Manxil
@errorsss @diya. @isma33 @hashmi_jan @smarty_dollie @Era_Emaan
@saimaaaaaaa @Nighaat @crystal_eyez @Mantasha_Zawaar @zaatzarra @reality
@Hudx @Stunning_beauty @Zia_Hayderi @Fadiii @Aqsh_Arch @St0rm @ROHAAN
 
فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
1 Alhamdulillah bht acha
2. Yahan light 2 bje ati hai or hamari munni mashAllah subha 6 bje soti hai to sone ka moqa hi nhi mil pata
3 anda pratha hr roz iskle,ilava kch nhi pasnd
4 fajar k bd sota hun zuhr tk phir zuhr parh karkhane chala jata,hun aftar tk
5 bachpan me hota tha aisa jb pehli pehli,bar roze rakh rhe the,ab kbi nhi hua aisa
6 aftaari me sharbat pani hi zruri mehsos hota baqi kachori pakore waghera chakh leta,lekin isha k bd chawal lazmi ya phir roti salan
7. Nhi bs fruits,waghera le ata hn aftar k time
8 pehla roza i think 11 ya 12 sal me rakha tha
9 koi khas waqia to nhi jo bta sakun
10. Wese to bht nasihaten hain mere pas lekin roza aisi ibadat hai jiske na rakhne wale pr hazrat jibrayil aleh salam ne dua ki thi k tabah o barbad hojai wo shaks pr us dua,pe ameen hmare nabi sallallahu alaihi wasallam ki zuban e mubarak se ada hua tha so roza kbi nhi chorna chahye q k us dua k qubol na hone ka zrra brabar b shak nhi barbadi hi naseeb me ani hai
 
Shiraz-Khan

Super Magic Jori
Hot Shot
Oct 27, 2012
18,264
15,551
1,313
WS

Ye rahey kuch hamare sawalaat

@Fahaad bro

  • Subsey Tight aftari kis jaga ki hey aaj taq?
  • Mujhe kab aftari per bola rahey hu?
  • Mujhe Sehri per kab bola rahe ho?
  • Aftaar k liye sub sey best cheez kia paka sakte ho ya bana sakte hu?
  • Aftaar mey subse favourite cheez kia hey?
  • Sehri me sub se favourite cheez kia hey?
  • Sehri mey pani Oont(camel) ka pait smjh ker peete hu ya normal? Note: q k camel pani stored rakhta hey...?
  • koi 2 se 3 maze k waqiaat hun tu share karen sehri ya aftaar se relate
  • shadi se pehle or shadi k bad me koi farq aya?
@Don @saviou @Shiraz-Khan @Seemab_khan @Mahen @shehr-e-tanhayi @Hoorain
@Aaylaaaaa @minaahil @H@!der @Untamed-Heart @Sehar_Khan
@duaabatool @Armaghankhan
@Kavi @Gaggan @AnadiL
@Hasii @Bird-Of-Paradise @shzd @zehar
@Manahi007 @ujalaa @*Sonu* @Fantasy
@Shanzykhan @NXXXS @AnadiL @Basitkikhushi
@whiteros @namaal @Abid Mahmood @Zunaira_Gul
@Fanii @junaid_ak47 @Mas00m-DeVil
@Asheer @arzi_zeest @mashooma
@St0rm @Museebat @Adeeha_ @Ram33n @Elephent @ujalaa @Learn-Fast @Museebat
 
shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
1 Alhamdulillah bht acha

Ma Sha Allah

2. Yahan light 2 bje ati hai or hamari munni mashAllah subha 6 bje soti hai to sone ka moqa hi nhi mil pata

subah 6 bajay.... waah kiya baat hai aap ki munni ki... Allah Paak achi qismat karay Ameen

5 bachpan me hota tha aisa jb pehli pehli,bar roze rakh rhe the,ab kbi nhi hua aisa

wohi to... ab pachpan mein to aisa nahi ho ga naa

10. Wese to bht nasihaten hain mere pas lekin roza aisi ibadat hai jiske na rakhne wale pr hazrat jibrayil aleh salam ne dua ki thi k tabah o barbad hojai wo shaks pr us dua,pe ameen hmare nabi sallallahu alaihi wasallam ki zuban e mubarak se ada hua tha so roza kbi nhi chorna chahye q k us dua k qubol na hone ka zrra brabar b shak nhi barbadi hi naseeb me ani hai

Allah Paak Apni RehmatoN Ka Saya Hum Sab Par Rakhay Aur Apnay Ehkamaat Ki Ataa,at Aur Farmanbardari Ki Toufeeq Ata Farmaaey Ameen
 
  • Like
Reactions: فہد

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Aslaam O Allaykum Tm K Sathiyo

Aaj Ki Sehri Aur Aftari Walay Silsala MeiN Hum 13-5-2019 K Mehmaan @Fahaad Mohtram Ko Bulaa Rahay HaiN Aur Un Se Kuch Baat Cheet Kartay HaiN.

Aap Log Bhi Sawalaat Pooch Saktay HaiN.

1۔Ramzaan ul Mubarak Kaisa Guzar Raha Hai?

2۔Sehri K Waqat Asaani Se Uth Jaatay HaiN?

3۔Sehri MeiN Kiya khana Pasand Kartay HaiN?

4.Rozay Ki Halat MeiN Saara Din Kiya Routine Rehti Hai?'

5.Rozay Ki Halat MeiN Kabhi Bhool Chook Se Kuch Khaa Liya Ho?

6. Aftaari MeiN Pasandeeda Cheez Koun Si Hai Ya Koun Si Cheez Na Ho To Aftaari Ka Dastarkhvaan Adhoora Lagta Hai?

7.Sehri Aur Aftaari Bnaanay MeiN Help Kartay Hain?

8۔Pehla Roza Kis Umar MeiN Rakha?

9۔Ramzaan Ul Mubarak K Havalay Se Koyi Yaadgar Waqiya?

10۔Ramzaan Ul Mubarak K Havalay Se Koyi Naseehat?

السلام و علیکم تفریح میلہ کے ساتھیو

آج کی سحری اور افطاری کے سلسلہ میں آج ہمارے مہمان ہیں
@Fahaad محترم

:)آپ لوگ بھی سوالات پوچھ سکتے ہیں۔
ہمارے سوالات کچھ یوں ہیں
پہلا سوال۔۔ ماہ رمضان کیسا گزر رہا ہے؟
دوسرا سوال۔۔۔سحری کے وقت آسانی سے اٹھ جاتے ہیں؟
تیسرا سوال۔۔۔سحری میں کیا کھانا پسند کرتے ہین؟
چوتھا سوال۔۔۔روزے کی حالت میں سارا دن کیا روٹین رہتی ہے؟
پانچواں سوال۔۔۔روزے کی حالت میں کبھی بھول چوک سے کچھ کھا پی لیا ہو؟
چھٹا سوال۔۔۔افطاری میں پسندیدہ چیز کون سی ہے یا کون سی چیز کے بغیر افطاری کا دسترخوان ادھورا لگتا ہے؟
ساتواں سوال۔۔۔سحری اور افطاری بنانے میں مدد کرتے ہیں؟
آٹھواں سوال۔۔۔پہلا روزہ کس عمر میں رکھا؟
نواں سوال۔۔۔رمضان المبارک کے حوالے سے کوئی یادگار واقعہ؟
دسواں سوال۔۔۔رمضان المبارک کے حوالے سے کوئی نصیحت؟

Wa Alaykum Assalam
marhaba @Fahaad
 
  • Like
Reactions: فہد

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
@Fahaad
Ma sha Allah se aap kaafi arse se hain TM k sath
kayi baar ghayab huye phir wapas aye ya phir hamne ghaur kiye k jab bhi log TM par hote hain ap online aate hain

aisi kya baat apko lagti hai k aap abhi tak TM sath hain?
 
  • Like
Reactions: فہد

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
WS

Ye rahey kuch hamare sawalaat

@Fahaad bro

  • Subsey Tight aftari kis jaga ki hey aaj taq?
  • Mujhe kab aftari per bola rahey hu?
  • Mujhe Sehri per kab bola rahe ho?
  • Aftaar k liye sub sey best cheez kia paka sakte ho ya bana sakte hu?
  • Aftaar mey subse favourite cheez kia hey?
  • Sehri me sub se favourite cheez kia hey?
  • Sehri mey pani Oont(camel) ka pait smjh ker peete hu ya normal? Note: q k camel pani stored rakhta hey...?
  • koi 2 se 3 maze k waqiaat hun tu share karen sehri ya aftaar se relate
  • shadi se pehle or shadi k bad me koi farq aya?
1 sab se tight aftari to Allah ka karam hai apne ghar me hi hoti baqi gali me aftar party thi is ramzan wahan b bht tight aftari thi

2 tm jb chaho ajao yaar aftaar ki davat to aisi davat,hai jis me khane wale se zada khilane wala faide me rehta

3. Sehri. K lye b number 2 wala javab

4 yar main cooking me zero hon bilkol ye samjh lo sharbat tk nhi bna sakta thik se

5. Aftar me sb se fav rooh afzah chahe doodh k sath chahe leemo k sath chahe tukh malanga k sath

6. Ount ka pait

7. Yr aise to koi waqia yad nhi jo sehri ya aftar se related ho normal waqia ye hai k ek bar ghar se dur tha sath me barf jami,pani,ki bottle le kr gaya tha tb first time pta chala k karachi me ap,kisi jagah b q na ho log hr chowk pe hr mor pe darjano log gaariyan rok rok kr aftaar krwa rhe hote main,to ehtiyatan pani ki bottle,le kr gaya tha lekin wo bottle wesi,ki,wesi hi ghr le,kr aya

8. Shadi k bd ki zindagi bht achi hoti hai bv apka adha iman mukammal kr deti hai pehle kitna,awara tha hr lrki,pe line marta tha ab dil hi nhi krta Alhamdulillah meri bv se haseen koi nazr hi nhi ati
 
فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
@Fahaad
Ma sha Allah se aap kaafi arse se hain TM k sath
kayi baar ghayab huye phir wapas aye ya phir hamne ghaur kiye k jab bhi log TM par hote hain ap online aate hain

aisi kya baat apko lagti hai k aap abhi tak TM sath hain?
Yaar asal me baat yeh hai k insan hamesha ek hi umer me to rehta nahi us waqt nayi nayi javani thi to yahan maza b bht ata tha chit,chat krne me larayi jhagre krne me phir shadi hone lgi to sb kch chor mangeter se baten krta rehta tha phr shadi hogayi to thori maturity agayi TM pe wapis aya to yahan to koi ronaq baqi hi na rhi pehle jesi to facebook pe sharing dekhne ane lga lekin wohi bat maturity ane ki wja se facebook ki sharing 8 sal k bachon jesi lagne lagi to wapis TM pe agaya socha ginti k members hi sahi kch acha parhne ko to mila kre ga chahe thora hi sahi
 
  • Like
Reactions: saviou

Shiraz-Khan

Super Magic Jori
Hot Shot
Oct 27, 2012
18,264
15,551
1,313
1 sab se tight aftari to Allah ka karam hai apne ghar me hi hoti baqi gali me aftar party thi is ramzan wahan b bht tight aftari thi

2 tm jb chaho ajao yaar aftaar ki davat to aisi davat,hai jis me khane wale se zada khilane wala faide me rehta

3. Sehri. K lye b number 2 wala javab

4 yar main cooking me zero hon bilkol ye samjh lo sharbat tk nhi bna sakta thik se

5. Aftar me sb se fav rooh afzah chahe doodh k sath chahe leemo k sath chahe tukh malanga k sath

6. Ount ka pait

7. Yr aise to koi waqia yad nhi jo sehri ya aftar se related ho normal waqia ye hai k ek bar ghar se dur tha sath me barf jami,pani,ki bottle le kr gaya tha tb first time pta chala k karachi me ap,kisi jagah b q na ho log hr chowk pe hr mor pe darjano log gaariyan rok rok kr aftaar krwa rhe hote main,to ehtiyatan pani ki bottle,le kr gaya tha lekin wo bottle wesi,ki,wesi hi ghr le,kr aya

8. Shadi k bd ki zindagi bht achi hoti hai bv apka adha iman mukammal kr deti hai pehle kitna,awara tha hr lrki,pe line marta tha ab dil hi nhi krta Alhamdulillah meri bv se haseen koi nazr hi nhi ati
MASHA'ALLAAH...
wese mujhe aisa lagraha bv sath hi khari hey tabhi ye jawab aya
 
Ma Sha Allah Se Khoobsorat Javab..

Kuch Pe Hansi Bhi Aayi Lakin Uss K Liay Aik Aur Mouqa Hai JahaN Aap Se Guftagu Ki Jaaey Gi.
 
  • Like
Reactions: فہد

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Aik sawal aur.....

Ramzan mein koyi aisa kaam jo khaas tor par kanya ki niyyat Ramzaan shuruu honay se pehlay kar rakhi ho?
 
  • Like
Reactions: فہد

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
Aik sawal aur.....

Ramzan mein koyi aisa kaam jo khaas tor par kanya ki niyyat Ramzaan shuruu honay se pehlay kar rakhi ho?
Main garments field se hun jeans bnata hun to ramzan hamara pure sal ka season hota hai or orders b bht hote to ramzan se pehle bs yehi niyyat hoti hai hr sal k ramzan se pehle pehle jitna kaam krlon behter hai take ramzan araam or itminan se guzar lon coz roze ki halat me dil nhi lag rha hota hota kaam me
 
  • Like
Reactions: shehr-e-tanhayi

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Main garments field se hun jeans bnata hun to ramzan hamara pure sal ka season hota hai or orders b bht hote to ramzan se pehle bs yehi niyyat hoti hai hr sal k ramzan se pehle pehle jitna kaam krlon behter hai take ramzan araam or itminan se guzar lon coz roze ki halat me dil nhi lag rha hota hota kaam me
bahot acha kartay hain is tarah se kar k.
 
  • Like
Reactions: فہد

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Acha zara yeh to btaaiay k iss eid par apnay aur ghar walon k liay eid ki shopping karnay k sath sath agar kisi aik TM sathi k liay eid ka tohfa lena ho to kiya khareedna pasand kareN gay. (Eid se pehle pehle bejh dijiay ga humeiN )

Eid ki shopping Ramzan se pehlay kartay hain ya Ramzan k doraan?
 
  • Like
Reactions: فہد

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
Acha zara yeh to btaaiay k iss eid par apnay aur ghar walon k liay eid ki shopping karnay k sath sath agar kisi aik TM sathi k liay eid ka tohfa lena ho to kiya khareedna pasand kareN gay. (Eid se pehle pehle bejh dijiay ga humeiN )

Eid ki shopping Ramzan se pehlay kartay hain ya Ramzan k doraan?
Eid ki shopping to abi ki hi nhi TM member ko b telana hi pre ga filhal :p

Eid ki shopping eid se ek din pehle krne me hi mza ata hai bs q k dusre hi din eid hoti hai to khushi dobala hojati
 
Top