Har saans aik khazana hay

  • Work-from-home

atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
saans ek khajana hai kyunki saans life hai...life ek khajana hai....khajana ye tabhi badhta hai jab tum doosro ke jeevan me saanse bhar do...doosro ke jeevan ki saanse cheeno nahi....agar life chahte ho to doosro ko life do...life cheeno nahi...jo tum doge wahi tumhe milega....tum halal karte ho tum bhi halal hooge...sabhi ko apne jeevan aue saanse pyari hai jaise tumhe...
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
HAR SAANS AIK KHAZANA HAY , AISA NA HO KAY TUMHARA KOI SAANS BAY KAAR JAEY or QAYAMAT KAY DIN APNAY KHAZANAY KO KHALEE DAYKH KAR SHARMINDGI UTHANEE PARAY.

Zabardast thanks for sharing.

saans ek khajana hai kyunki saans life hai...life ek khajana hai....khajana ye tabhi badhta hai jab tum doosro ke jeevan me saanse bhar do...doosro ke jeevan ki saanse cheeno nahi....agar life chahte ho to doosro ko life do...life cheeno nahi...jo tum doge wahi tumhe milega....tum halal karte ho tum bhi halal hooge...sabhi ko apne jeevan aue saanse pyari hai jaise tumhe...
Sahi jo doosron ki life bilawajah cheenay ga to us ki life bhi cheeni jaay gi. Per jub koi qaum ya mulk khuwah makhaah kisi ki life cheenti hai to us kay khilaaf lar'na par'ta hai Yani Apni life ki baqa yani bachanay kay liay Jihad karna parta hai Jaisay Afghanistan aur Iraq main coalition forces aam logon ki life cheen rahay hain aur Kashmere main India unka huq denay kay bajaay masoom logon ki jaan o izzat say khail rahay hain.

Halal karnay walay halal naheen hotay is liaay kay hum halal bhi Allah kay hukm say kartay hain jis baat ka Allah nain hukm dia hai jaisay gaay, bakri, bhair', dumba aur oont waghaira so inko halal karnay say Muslim halal naheen hon gay.

Na hi Ghair muslim jo Subzion ko halal kartay hain yani khatay hain to wo halal hon gay is liaay kay wo zindagi kay liaay zaroori hai khana peena is liaay Halal karnay Janwaron ya Darkht aur putton ko kuch gunah naheen agar khanay kay liaay kia jaay.

Bilkul Yay baat darkhta aur puttay bhi kahain gay kay subhi ko apni baat pyari hai jaisay tumhain.

Zara Atul bhai likhtay waqt khiaal rakha karain aisi batain na likhain to ghalat tassur dain ya bura lagay.

Yahan Halal karo gay to halal ho gay aap ko hargiz naheen likhna chahyay. Yay musalmanon ki site hai aur wo halal bila wajah naheen kartay. Aap qutl likh saktay thay. Ainda khiaal rakhiaay ga kay aap kay alfaaz say kisi musalman ya kisi member ya visitor ki dil azari na ho.

Halal karna hamara muzhabi fariza hai. Is liaay kisi musalman ko yay parhna pasand naheen aay ga kay "Halal karo gay to halal ho jao gay".
 

nrbhayo

Newbie
Nov 23, 2009
111,082
9,732
0
nice/.....

---------- Post added at 03:13 AM ---------- Previous post was at 03:12 AM ----------

nice...

---------- Post added at 03:14 AM ---------- Previous post was at 03:13 AM ----------

nice....

---------- Post added at 03:15 AM ---------- Previous post was at 03:14 AM ----------

nice....
 
Top