tm love story contest

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Babar-Azam

"Be serious" - "I am wild"
TM Star
Jun 27, 2010
4,089
1,482
1,013
Abbottabad
------------------------------------------
us ne mujhe sab se china...
then mujhe akela ker k chor dia...
ese sehra me...jahan tanhai ki hi barish hai...
:(:(:(
[/CENTER][/SIZE][/COLOR][/FONT][/QUOTE]

Sad Story brother but dnt worry daikhna ek den ese sehra main Golistan hoga............:-bd
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
yes i know adi and so sorry for your los
mager aap ab sad mat hon jo hona tha wo to hogaya ab aap use bhula ker apne aane wale kal ko sanwarain, paanch waqt nimaz perhain quran majeed ki tilawat karain yakeen janain jo sukoon o itminan ALLAH ki ibadat main milta hai wo hamain dunya ki kisi bhi khushi se hasil nahi hota.
 
  • Like
Reactions: Atif-adi
Oct 18, 2009
18,711
9,641
1,313
LoCk Me In YoUr HeArT
Here is mine love story


Note: yahan pr name farzi hain. Lekn story bilkul sachi hay.
or kahani bahot lambi thi pr yahan pr sirf khulasa diya giya hay.


Aik dafa ka ziker tha k aik larka jis ka naam Tahir tha vo 5 bhai or 2 sister thay. Tahir sab bhai behn may say bara tha. Or bahot hi sensitive or her waqt apnay bhai or behno k liye sochta tha. Vo bahot mushkil say gher ka guzara krtay thay. Chun kay vo ghr may sab say bara tha is liye ghr ka sara bhoj us pr tha. Tahir ka abu beron mulk may rehtay thay. Lekn halat ki waja say guzara bahot mushkil hota tha. Tahir nay intermediate kiya hua tha or her vaqt hr jaga job k liye apply kiya houa tha. Pr kaheen say b positive response nhi mila. Vo bahot ehsas-e-kamtri ka shikaar ho raha tha. Hata k vo khud kushi ki ghatiya herkat tak ponch giya. Unsay apnay ghr k baray m sochna chor diya or uski life bahot hi bad maza hogai. Vo apnay avara dosto k saath sara sara din ghoomta phirta.. nasha krta tha. Jis say vo apnay aapko bahot sakoon m mehsos krta tha..


Ini dino vo apnay kisi relatives k ghr giya vohan pr relatives ki aik prosan larki dekhi jo k usko bahot achai lagi.. vhi Tahir jo apni zindgi say itna tang aa chukka tha.. uski zindgi phr say aik naiye mor pr agai. Or esa lagta tha k vo phir zinda hogiya hay.. bhot hi khush khush rehnay laga.. us larki ko dekhnay k baad forn unsay ghr baat ki apni ami say kiyn k un k abu to beron mulk kaam krtay thay. To unki ami nay Tahir ki baat maan li.. or kaha beta may aap k liye us larki ka haath maangu gi. Abi Tahir nay us larki say koi baat tak na ki thee..


Tahir us larki k liye apnay relatives k haan jana shuru kr diya..Tahir dekhnay m bahot hi piyara larka tha. Vo larki ko chup chup kr dekta tha or larki us ko.. un don okay dekhnay say pata chalta tha k dono ko piyar hua hay..


Pr Tahir ko phir bhi yakeen nhi aa rha tha k pata nhi us larki ko piyar hay mujsay ya nhi.akhir kaar Tahr nay apnay relatives ko apnay ghr dawat di.. mean k kahanay pr bulaya. Or un relatives may Tahir ka aik bahot hi achaw dost tha.. tahir nay apnay dost say darkhawst ki k vo us larki k ghr valon ko bhi saath lay k rain.. hua youn k larki k ghr valay na aa skay lekn unho nay larki ko bhej diya tahir k sab relatives k saath.


Sab tahir k ghr ponch gaiye. Tahir bahot khush hua. Or tahir ki ami b tahir ko dekh kr bahot khush theen k mera beta jo itna sad rehta tha vo aaj bahot khush hay. Un sab logon nay khana khaya. Or phir chalnay ki tayari ki.. lekn Tahir ka dil nhi cha raha tha k ye sab log jain.. kiyn k Tahir ko to us larki ko dekhna tha…


Tahir or us k ghr valon k pur zor israr pr vo sab log thernay k liye raazi hogai. Raat ko sotay vaqt Tahir nay apni diary apnay room may bed pr rakh di.. or khud mehman khanay may chala giya.. vo larki jis ka naam Sakeena tha.. vo itaefaakan Tahir k room may hi sonay k liye tayar thi.. Tahir nay to apnay relatives k sath sona tha.. is k baad Tahir nay apni ami say kaha k ami mera blanket aap is larki ko dena. Ami nay kaha theek hay beta aap jao..


Sb log so gaiye pr Tahir ko neend nhi I vo saari raat us larki ko sochta raha.. pata nhi kis waqt us ki aankh lag gai..


Jab sobo hui to Tahir apnay room m giya or vohan say pani diary utha li.. usmay aik pen b rakah tah.. or larki naykuch likha b tha.. or vo ye…..


Dear Tahir.. duniya may tumhary liye sirf do hi tohfay rakhay hain.. ibteda k liye dil or inteha k liye jaan… yours sakeena.


Yun unka aapas may ikrar hogiya.
Tahir nay jab ye praha to vo khushi k maray hava may urnay laga..


Tahir ko ab zindgi say bahot piyar honay laga tha… vo hazarun bars jenay ki dua krta tha..


Tahir ko army join krnay ka bahot shok tha.. usnay apply kiya hua tha.. kuch dino baad Tahir ko army say call aagai. Vo khushi khushi army m join kr liya. Or training shuru hogai.. or larki k gifts usko parcel k tor pr miltay thay.. vo bahot khush rehnay laga.. unki kabi baat nhi hui thie aaps may.. bus khayalo hi khayalo may aik dosray say baat kiya krtay thay. Phir Tahir chuti ata to zarur usko dekhnay jata.. pr vo sirf aik dosray ko dekhtay hi thay..


Aik din jab Tahir apnay relatives k ghr may giya to us larki nay usko akhir kaar mukhatib kr diya.. or boli.. aap ko sirf army m hi jana tha kiya….??? Tahir k pas koi javab nhi tha.. Ye sun kr Tahir bahot preshan hua k shayad is ko Army pasnad nhi hay. . bus Tahir k zahn may ye baat beth gai k army ki nokri nhi krni.. chahay jo bhi hojiye….


Tahir nay training khatam kri or phir posting hogai. Or door.. ghr may Tahir roz apni ami say kehta k rishta k liye jao.. ami jaati theen.. kiyn k ami ko b Tahir ki khushi chahiye.. thiee vo Tahir ko hr waqt khush dekhna chati thee..


Pr us larki k ghr valo say koi b javab na milta tha.. haan or na hi inkaar.. kuch din baad Tahir nay army say resign day diya.. or ghr agiya.. phr vohi job ki tension shuru hogai.. or ooper say uslarki ka piyar us ko bilkul andah kr raha tha.. or vo ye b janta tha k job k begher uska kaam ni hoga.. or na hi vo larki usko milskti hay.


Army chornay k baad unsay socha k kiyn na or prha jaiye.. vo phir say prhnay laga.. or phir unsay mobile khareeda.. or yehi soch kr k agr larki ko piyar hoga to zarur raabta keraigi… aik din Tahir apnay dost k pas betha tha to kisi larki ka phone aya.. or us larki nay Tahir ka poocha.. to tahir nay kaha m tahir hi baat kr raha hoon.. to us larki nay kaha nhi aap Tahir nahi ho.. do teeen baar esa hua.. akhir larki nay kaha k vo army m tha or abi chor di hay.. to Tahir nay kaha han may hi tha army m or chor di hay..
Vo larki vohi thee jis k ekhnay pr Tahr nay army chor di the…


Phir unsay Tahir ko bataya k ye may hoon sakeena.. to tahir to khushi k amary uchalnay laga unsay foran apnay dost say ijazat li.. or nehr k kinaaray beth ker apni mohbata say baat krnay laga…


Tahir nay pooocha k kesay bhool gai ho muje phone krnay may. To javab mila kay me nay apni sehili say ko apka btaya tha to unsay kaha moka hay..agr baat krlo to ye na ho k vo kisi or say piyar shuri kr day.. pr may derti thee k aap bura naa manu.. is liye phone nhi krti thee. Is tarah tahir or sakeena ka apas may raabta shuru hogiya.. sari sari raat r sara sara din chup chup kr baatain krna..


Or us larki nay shayad tahir ko bahot kuch change kir diya.. vohi tahir jo hr vaqt dosto k sath ghomta or nasha me rehta tha.. vo bilkul hi badal giya..us nay apnay sab dosto say jaan chura di.. or apni mohbat k saath hr waqt khayalo kahaylo m rhta tha.. or ye sab us larki nay hi us pr kervaya .. sab buray kaam chura diye..


Tahir k ghr to sab ko pata tha.. us k behn bhai or ami sab jantay thay.. k tahir us say piyar krta hay.. or phir tahir nay us larki ko b bata diya k m ny rishta b bhijvaya tha pr aapki tarf say koi javab nhi mila.. vo bahot khush hiu unsay kaha k inshaAllah zarur javab milayga.. tahir nay us say baahot waday kiye or unsay b bahot vaday kiye.. tahir us larki ki apni ami say b baat kervata tha.. or tahir chup chup kr us larki ko milnay jata tha.. us k ghr may.. ye sisala 8 saal tak jaari raha.. is doran tahir ko aik or job mili.. vo bahot khushh hgoiya k abi baat ban jaiyegi..


Ab tak larki k saray khandan may tahir or us larki ki baat phel chuki thee. Pr undono ko ko prva na thee kisi ki bhe.. or khas tor per larki ki sister tahir k bahot khilaaf thee. Bahot khailaaf batain krti thee. Or us larki ko tahir k khilaaf vergalati thee.. ye sab batain tahir ko vo larki phone pr hi batati thee k aaj falan nay ye baat kahee or falan nay ye baat..


Kuch dino baad tahir k abu nay usko bahir bulanay ka bandobast kr diya.. k tahir ko bahir bula liya jaiye.. to tahir k abu nay Tahir say poocha to unsay kaha theek k abu jaesa aap chao..


Tahir nay us larki ko bataya k vo bahir jaa rha ahy or shayad is waja say aap k ghr valay reshta k liye b maan jaiyen.. larki pehlay to bahot udas hui k pata nhi kiya hoga baad may vo sehm gai.. k theek hay.. Allah behter kerayga..


Tahir ka visa lag giya or vo bahir mulk apnay abu k pas chala giya.. yahan ponch kr b vo apni mohbat say raat din baat krta tha.. kuch dino baad tahir k abu ko pata chal giya k koi larki is say baat krti hay.. tahir k abu nay us say poocha to. Tahir nay sab bata diya.. to abu nay kaha beta aap fkr na kroo.. inshaAllah may aapka kaam krunga..


Kuch hi dino may tahir nay larki ky bhai k number say msg receive kiya.. k may khalid hoon or muje sab pata hay aapka or meri behn k beech job hi hay.. lehaza aap fkr na kerain.. may jahan tak hoskay ga.. inshaAllah aap dono ki help krunga.. kiyn kay muje apni sister ki khushi bahot aziz hay..



Ye dekh kr tahir ko or ziada tasali hui..


Phir achanak say larki ka number band.. or 3 month tak kuch pata nhi tha.. tahir bahot preshan rehnay lag giya.. or ghr apni ami say poocha us larki k baray may kiyn k vo tahir ki ami say b baat krti rehti thee.. to tahir ki ami nay koi b javab na diya.. bal k ye kaha k kuch pata nhi.. us larki nay tahir ki waja say apnay sab khandan may ana jana choor idya tha.. tahir nay ami say kaha k aap jao.. us k ghr or pata to kro akhir uska number kiyn band hay..


Tahir ki ami chali gain to us k ghr valon say baat kri to us k ghr valon nay kaha k vo apnay ksi reshta dar k haan gahi hui hain.. phir esa hi tahir ki ami nay tahir ko bataya to tahir or b ziada preshan k us larki nay to apna sab khandan tahir ki waja say chor diya.. lekn phir vo kiyn gai hain.. kis reshtadar k paas… ?? is baat nay tahir ko bahot shak may daal diya….


Phir aik din tahir ki apnay chotay bhai say baat hui.. to chotay bhai nay bataya k vo aghva ho chuki hay…. Bus tahir nay ye baat suni.. or pagalo ki tarha sochna or chalana shuru ker diya.. unsay apnay bhai ko b bahot bura bhala kaha.. k esi khaber mueje kiyn suna rahay ho.. ? tahir k bhai ko b pata nhi tha. Usko kisi larki nay msg kr k bataya k sakeena hamary pas hay.. mera bhai is ko lay aya or kaha k ye aaj say hamaray ghr may rehaygi.. to tahir nay bhai say poocha us larki k baray m to.. us larki nay javab diya.. k muje ye sakeena hi nay kaha hay k aap tahir k bhai ko batao plz.. ho skay vo meri madad k liye aiye. Pr majboor thay.. dono.. tahir beron mulk.. phans kr rehgiya.. or uska bhai jo bahot chota tha kuch b nhi kerskta tha….


Or is k tahir nay direct larki k ghr raabta kiya to ksi nay kuch b nhi bataya… sab mukr gaiye.. or kaha k vo khud bhaag gaieye hay… ye sun kr tahir ko esa laga jesay uski duniya us say chin gai ho.. or vo bahot mayus hogiya..


Tahir vhi jis nay apni mohbat k liye bahot kuch kiya pr mohbat usko na mili.. or vo hamesha us k liye dua krta k Allah jahan b rakhay usko khush rakhay..


Aaj tak us larki ka kuch b pata nhi……. Usy zameen nigal gai ya asman……




ham ghareebon ki baat hi kiya thee..

paar thay to bhula diya hota.
duniya daari bhi farz thi tum per...
aik ansu baha diya hota...

may nay bakhshi... hay tarikiyon ka ziya..
or khud aik tajali ka mohtaaj hoon..
roshni denay valay ko b kam say kam...
aik diya chahiye apnay ghr k liye..
aiye shakeel unki mehfil say.. hay kiya mila...
or kuch berh gai dil ki mehroomiyan..
sab ki jaanib nigahiyen karam hi rahi..
ham tarastay rhay aik nazr k liye...

my bana to loon nasheeman..
kisi shakh-e-gul pr lekn
kaheen saath ashiyan k...
ye chaman b jal na jaiye..

The End.
 

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,100
10,427
1,313
39
Karachi
Very nice and at the same time sad stories of adi bhai and tari bhai aur meri story is se bhi sad hai aur sham tuk mein bhi laga don ga yahan aur

pyar to yadgar he tub hota hai

jab pyar gham ka shikar hota hai
 
  • Like
Reactions: Tariq Saeed

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,100
10,427
1,313
39
Karachi
Hi dosto meri kahani ka naam hai

Adhoori Muhabbat

Yeah kahani hai Shoaib aur Saba ke suche pyar ki yeh pyar adhoora kyon reh gaya is ke lea aap ko pori kahani sunata hon. Yeah

baat hai us waqt ki jab Shoaib 16 saal ka tha aur saba just 15 years ki. Shoaib aur saba aik he school mein perhte the aur

woh shoro he se bohat ache dost the per unhe kabhi feel nahi hua keh un ke dil mein pyar hai woh to bus itna jante ke woh ik

dosre ke bina naahi reh sakte. ager dono mein se koi aik chutti ker leta to dosra sham mein us ke ghar mein hota us ki tabeat

kharab hoti to us ke ghar waloun se zyada pareshan hota aur us ke lea sub kuch kerne ko tyar rehta tha.

Shoaib aur saba aik he class mein the lakin saba perhae mein kuch kamzoor the woh akser he disheart raha kerti the aur Shoaib

se kehti Shoaib is baar to mein fail ho jaoun gi mujhe fail hone ka der nahi per phir hamari classes bhi to alag ho jayen gi

naaa shoaib us ki masoomeat pe hansa kerta jis se woh naraz ho jati aur phir shoaib kisi na kisi tarah use mana he leta.

aur Shoaib us ki study mein her tarah ki help ke lea tyar rehta tha.

aik baar to us ne saba ke lea apna aap ko daaaooo pe laga dea tha woh english ka paper tha aur saba ki tyari achi naa the aur

teacher ne bhi kuch hard paper banaya tha per Shoaib ki tyari achi hone ki wajah se wo paper perh ke khush ho gaya per saba

ke chehre per dukh dekh ke us ki khushi pareshani mein badal gayi aur Saba us ke sath wali bench pe sir paker ke bethe the

aur Shoaib ne saba ko kaha ke apni copy mujhe de do aur saba se us ki copy li aur us ki copy mein sub answers likhne laga aur

apni copy saba ko de di. aur Saba heerani se dekh rahi the aur us ne Shoaib ko bohat mana kea per teacher ke der se ooncha

bol bhi nahi sakti the.... Shoaib ne two hours mein he Saba ki copy mein sub answer likh ke use wapis de dea. aur phir apni

copy le ke start kea per sare answer complete naaa hoe the keh teacher ne sub se copy wapis leni start ker di.... aur us se

bhi copy le li.... us din Saba ko feel hua keh Shoaib ki dosti sirf dosti nahi hai.... kuch berh ker hai aur Shoaib ko bhi

feel hua keh mein is larki ki pareshani dekh ke kyon sub kuch bhool jata hoon... aur pehli baar dono ko ehsaas hua keh shahyd

woh anjane mein ek dosre se beinteha pyar kerne lage hain.....

Saba us din ke baad se Shoaib se naraz ho gae kyon keh woh janti the keh us ke lea shoaib ne apna paper chor dea aur woh yeh

bhi janti the keh us ke ghar wale study ke mamle mein kitna strict hain. Woh nahi chahti keh Shoaib ko koi bhi kuch kahe. aur

wahan shoaib us ke lea bechain ho gaya tha keh akhir saba mujh se baat kyon nahi ker rahi aur is doran paper khatam ho gae aur aik din school se wapisi per Shoaib ne Saba ko ek letter dea keh tum mujh se baat naa kero lakin plzzzz isss perhe bagher mat pharnaa... Saba ne woh letter le lea per us ka dil bhi zooron se dharak raha tha. us ne ghar aate he apne room mein aa ke room ko lock kea aur us letter ko nikal ke perhne lagi. Us mein Shoaib ne apne dil ka sara hal likh dea tha aur akhir mein likha tha Saba mein tumhare bina nahi jee sakta mein tum se bohat pyar kerne laga hon aur mein tumhare lea sub kuch ker sakta hon kyon ke mein tumhe pareshan nahi dekh sakta....

bus Saba phir khud ko naa rok pae us ne phone uthaya aur Shoaib ka cell milaya to woh off ja raha tha phir us ne Shoaib ke ghar ka number milaya to us ki Aapi ne uthaya to unho ne bataya ke Shoaib to abhi tuk school se wapis he nahi aayaaa hai... aur woh log bohat pareshan hain aur Mummy Papa us ke school gaye hoe hain.... kyon ke un ke ghar se school just half an hour ke walking distance pe tha aur woh dono bhi pedal he jaya kerte the akser. aur us ne Shoaib ko khud School se nikalte hoe dekha tha... aur Saba ka sir chakrane laga. Us ko kuch samajh nahi aa raha tha kya kare woh apne room se bahir aae table pe us gari ki chabbi dikhi us ne woh chabbi uthae gari nikal ke school pohanch gae wahan pe use Shoaib ke Mom aur Dad bhi khare hoe mile. Per unho ne baataya keh chookidar keh raha hai ke Shoaib to kafi deer hoe yahan se chala gaya hai aur woh apne dost Ali ke sath bike pe gaya hai.

woh log ghar wapis aae aur Shoaib ke sub ko friends ko call ki aur Ali ka number bhi nahi mil raha tha phir Shoaib ke friend se Ali ke ghar ka number lea to aur ghar pe phone kea to pata chala Ali bhi ghar nahi pohancha to aub sub ke paoun ke neeche se zameen nikal gayi. Shoaib ki ami behosh ho gae aur Saba ko to jaisa sakta ho gaya woh kuch bhi nahi bol rahi the. Shoaib ke Dad aur Ali ke Papa police station gaye aur gumshudgi ki report likhwae. aur khud bhi pore town mein dhoondne lage....phir achanak un ke ghar pe phone aaya ke School se do kilometer door un ki bike mili hai aur un ka accident ho gaya hai aur dono ko Shiffa hospital le gaye hain....

woh sub log jaldi se hospital pohanchte hain to wahan bethe shoaib ke friend Ihtesham se un ko pata chalta hai keh Ali aur Shoaib apne dost se milne ke lea ja rahe the keh un ko aik over speed car ne taker mar di Ali aur Shoaib ke bohat gehri choote aae hain.... aur woh operation theater mein hain.... thori der baad doctor se pata chalta hai keh Ali ki tabeat aub out of danger hai per Shoaib ka bachna mushkil hai kyon ke Shoaib ke sir pe bohat gehri chot aae hai... aur after an hour Doctor bahir aa ke jawab de dete hain keh shoaib aub is dunya mein nahi rahaaaa............

aur sham tuk shoaib ki lash ghar aa jati hai aur wahan ghar mein qayamat ka sa saman hota hai aur her aankh mein aansoo hote hai per wahan he saba bhi hoti jis ki aankh mein aik bhi aansoo nahi hota hai aur woh to palak jhapkae bhager shoaib ka face dekh rahi hoti aur us ko to kuch bhi yaqeen nahi aa raha hota. use to yaqeen hota to shoaib ki is baat pe keh Saba mein tumhare bagher nahi jee sakta aur mein tumhare lea sub kuch ker sakta hon...aur mein tumhe pareshan nahi dekh sakta..... aur use to yaqeen hota hai keh aaj bhi shoaib uthe ga aur kahe ga arey yaar mein to mazak ker raha tha saba chalo hans ke dikhao.

per aisa kuch bhi nahi hota aur jab shoaib ko dafnane ke lea sub le ke jate hain to saba ko koi hosh nahi hota aur woh behosh ho jati hai aur use char din baad hosh aata hai to woh hospital mein hoti hai aur woh sub kuch kho chuki hoti apne dost ko apne pyar ko apne sathi ko jis ke sath he us ne apni sari zindagi ko socha tha bus aub us ke pass kuch nahi raha tha siwaeee yaadon ke yaaa aik Adhooori Muhabbat ke....

Usne zindagi mein jo mera saath na diya,
shayad uski bhi koi majboori theee...

Bewafa to woh ho he nahi sakta Saba,
shayad meri mohabbat hi adhoori theeee...​
 

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,100
10,427
1,313
39
Karachi
thanks bro per Allah na kare aisa kisi ke sath bhi hooo Aaameen.... its just story....... :( aur pata hai yeh story mein ne khud likhi hai...... :)
 
  • Like
Reactions: Atif-adi
Status
Not open for further replies.
Top