TM Debate Contest II - Nelli vs Shona

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
[SHADOW="1"]
Topic: Money Brings Happiness

Shona: Have to go against the topic ( Money does NOT bring happiness )
Nelli: Have to go for the topic ( Money Does bring happiness )

Hints and Tips for both contestants:

  • Money Does Not Bring Happiness
    • If you win 100 million dollars, you will also be worried that someone steal it or may harm you
    • People will come ask you for money, even those you don't even know.
    • It might make your bad in manners.
  • Money does Bring Happiness
    • you can do whatever you want
    • Help poor people
    • make your all dreams come true
Please, remember and follow DEBATE RULES

This Topic Will Close in 12 days ( December 17th 2010 )
[/SHADOW]
 
Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
Asslam o alaikum
Jesa ke hum sab jaanate hain Paisa aaj kal ke daur ki sab se bari zaroorat hai……….beshak aap keh len ke paise se pyar nai khareeda jaa sakta, khaloos paisa nai maanga etc……………….magar this is a fact ke paise ke baghair yeh zindagi chalna mushkil hai………….aur usi tarah paise se khushian bhi khareedi jaa sakti hain
For example, agar paisa ho ga to ghar main khane ko bhi ho ga, bhook aur aflas nahin ho gi, aur jab bhook aur aflas nahin ho gi to matlab ke insane ko yeh fikar to nahin ho gi na ke ghar main khane ko kuch nahin aura b family ko kaise khilaunga……………..aur baat phir wahin aa jati hain ke jab ghar main kisi cheez ki kami nahin ho gi, preshani nahin ho gi to khushian hongi
Ek aur example, k ek insane bohat sakht bemaar hai, magar us ke paas paisa nahin ho ga to us ka ilaaj nahin ho sake ga aur woh yun hi zindagi haar jaye ga……………magar jab us ke paisa ho ga to who apna sahi se ilaaj kara sake ga, sehet mand ho ga to us ki life bhi khushion se bhar jaye gi ke us ko nayi zindagi mili
Aaj kal ke daur main khushian paise se hi hain, jese ke agar aap ko kisi shop pe koi dress pasand aa gayi ya bohat mehngi perfume ya esi koi bhi cheez jo aap ke dil ko bohat accha lagi aur aap chahte ho ke usey buy karna hai to, agar paisa ho ga to aap who buy kar sako ge aur apne dil ko mutmin kar sako ge…………………gharz yeh ke paise se hi yeh duniya chalti hai……………aur khushian bhi isi se hain insaan ki zindagi main
 
ShOna*

Senior Member
Sep 18, 2010
702
318
563
[SHADOW="4"]Asalam_0_Alikum To All[/SHADOW]
Jaha paisa hamari zindagi ki tamam zaroriyaat ko pura karta hy waha paisa bohuut si cheexo ki tabahi ka sabab banta hy...
Or hum may sy bohuut kam esy loog hy jo paisy ko sahi jagah par use krte hy...Lekin sab loog ek jaisa nhe sochte na :)

Jesay ke Aghar insan ke pass zayada miqdaar may paisa hoga toh uske mind may ghalat ghalat khayal aay gaye ke may es ko kis tarha use kru...
wo es sey Khud ko smoking, drinking druges & etc....koi bhe buri cheez ki adaat daal sakta hy...(Jab ke yehi paisa kisi gareeb insan ki madaad kar sakta hy or usko kam_az_kam ek waqt ki rooti naseeb ho sakti hy)

Or aghar es ki Misaal di jaye tooh ek misaal ye bhe di ja sakti hy ke...

Paisy sy insan may taqabur(Atittute)aa jata hy jo ke hum sab ko pata hy ke bohuut buri Cheez hy....es sey na toh insan ko kisi ki ezaat rahti hy aur hi hamdardi...
wo insan baray ko baraa nhe manta aur uske sath jesi chahay jab chahay ZIYATIYOO Pe ZIYATIYAA karta hy Or uski ezaat krna bhe bhOol jata hy...Or Phir na hee usko choto sy Shafqaat Or na hi hamdardi rahti hy..

Zayada paisa hone sey insan ki khuwahishaat bhe barhti jati hy wo ye sochta hy ke mere pass ye bhe ho wo bhe ho....Or kabi kabaar toh compition bhe hone laght hy...Or phirr baat khoon kharabayy taak aa jati hy..

mmmm Or phir jaab insan ke pass paisa zayada miqdaar may hoga toh usko sambhalne ki tention usko din raat khati jati hy ke ab ye paisa toh mera hy par es ko mahfooz kesy kru...or yehi tention usko hospital ke bed tak le jati hy..or jab tention insan ke mind may hogi toh wo toh beemari ka sabaab banay gi hii...or jab moot anii hoti hy toh tab paisa bhe kisi kaam ka nhe rahta
Or app sab ne bhe ye sunna hi hoga ke "INSAAN DUNIYA MAY AKELAA HII AYAA HY OR DUNIYA SY AKEELA HII JAYE GAH" :) Or jab woh QABAAR may hoga toh ye paisa ye Jaidaad uske kisi kam nhe aay ghi :) Kam Aay ghey toh siraf uske apne amaal..
 
well shona aap ne jo kuch kaha theek kaha and i agree..............aapki baaten theek hain magar aap ne jo topic hai us pe to baat hi nai ki................kher baat ho ri hai pese se khushian hasil karne aur na karne ki..................so ek bohat ehem baat kehti hun ke insan ko khushian mili, aur woh kis wajah se....................nayi inventions se.................jese ke TV, vehicles, phones, internet, aeroplane etc etc..............matlab ke yeh sab bohat fayede mund inventions hain jis se insan ko jo kaam karne main pehle mushaqqat hoti thi un main aasani ho gayi aur woh khushmund hua...................yeh sab inventions paise ki badolat hi hui hain aur aaj kal bhi inhain paise se hi khareeda jaa sakta hai

kher ek aur baat..................jis insan ke paas paisa nai aap ne note kiya ho ga ke woh preshan hai udhaas hai.............ke apne bacchon ko un ki farmayesh ki cheezen kese dilaye, apni zaroorten kese poori kare ga vaghaira vaghaira................magar paisa aate hi us ke chehre pe zindagi daur jaye gi aur woh khush ho jaye kyunki woh apni family ko khush rakh sake ga aur jab us ki family khush ho gi to woh bhi khush ho ga
 
lolxxx sis maney wohi batay ki hy jo es topic par ki ja sakti hy or wo bohoot DEEP batay hy sis Jani :)

Jesa ke apne kaha insan ne new new inventions banay hy yea Ri8 Buf jaha kisi bhe cheez ka fawaid hote hy waha uske Nuqsanaat bhe hote hy...
Chalee 1 Example le lete hy hum --> TV
TV sy humko kafi kuch seekhne ko millta hy but sab loog es sy faida nhe uthatay...
Jesa ke kuch months pahly LAHORE city may hii ek waqiyaa hwa shaid kuch logo ko pata ho ke nhe...Huwa ye tha ke 1 Orat ki death ho gai or jab kafii dair ho gai sab roo rhy thy...toh us Orat ke Grandson ne apne Father sy kaha ke dad Grandmother ko kab JALAYE gaye...Ab ap hii sochee kia ye Khushi ki baat hy...or esi wajah sy PAKISTAN ki goverment ne sab Indian Channels block kr diay thy or unho ne esa kr ke acha bhe kia :)

Or haan ye sach hy ke Paisa Insan ki Bunyadi zarorat hy BUT Kisi bhe cheez ki ziyadaati usko kharab kr deti hy :)
 
  • Like
Reactions: Nelli

hmmm gud points sisso...............
well ab aate hain aur ek most important point ki taraf woh yeh ke paisa har country ki zaroorat hai, us ki ek example, abhi selaab aaya............laakhon log tabah hue, un ke paas jo kuch tha sab beh gaya...........khane ko khana nai, pehn'ne ko kapre nai, rehne ko ghar nai tha..............aur log bohat ghumzada the apni is halaat per..........aap ne yeh sab TV pe bhi dekha ho ga ke kese ankhon main ansoo rakhe woh apne halaat se sab ko aagah kar rahe the..................and actually what they needed was help............aur help yahan link karti hai paise se............kyun? woh is liye ke paise se hi un ke liye kapre, khana, ghar vaghaira jesi sahooliat faraham ho sakti thi aur jis se un ki life main fir khushian aa jaati
aur yeh hua bhi ke apni country main bhi aur abroad main basne wale hum watnon ne bhi un ke liye paisa diya aur help ki..............and u may have notice ke un logon ko chehre pe muskaan aur khush hali aa gayi paisa paa ke , ke ab aaram se reh to sakenge na.
 
  • Like
Reactions: mirza37 and ShOna*

mmmmm
yea seelab aya or kafii loog tabah huay....unko zarorat thi paisy ki Ri8 :)
But
maney khud apni eyes sy dekha tha ke 1 Family jo pahly khanay ko taraas rahi thi ke unko kuch khanay ko mille LEKIN jab khany sy bhara huwa taraQ unke pass aya toh pahly toh wo sab esy jhaptay ke jesy BEE Honey ko khanay ke liya ati hy...or jab wo taraQ chala gaya toh wohi family bait bhar kr khaa chuki thi Or kafii khanay unho ne neechay (ZAMEEN) par gira diya tha... toh ap hii batao kia ye achi baat hai???

Or baat phr wahi aa jati hy ke "Kisi bhe Cheez Ki zayadati Insan ko kharab krti hy" :)

Rahi hamari country ki baat....Toh dekho aj hamari country ko or dusri countries ko..paiasa toh unke pass bhe hy or hamaray pass bhe hy but faraq yeh hy ke unho ne wo paisa apni country par lagaya hy or hamary Leaders ne wo paisa apne app par....or wajah kia hy ke unko unki sooch sy bhe zayada paisa mil gaya hy esi lia unko samajh nhe aa raha ke wo kesy es ko use kre or kesy es ko sambhalee.. or esi lia ajj hum PAKISTANI ko dusri country sy HELP milne ki umeed hy and i Fhink Dis Is NOT GOOD Haina :)
 
  • Like
Reactions: mirza37 and Nelli

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
ummm well yeh bhi baat hai ke hamare leaders paisa hazam kar gaye ya logon ne khana waste kiya blah blah................aap ne jo point out kiya that;s rite
but y not cum to da topic: money brings happiness:?
yahan main jo DON ne hint diya us ke baare main thora kehna chahungi ke money se hum jo chahte hain khareed sakte hain, apne khuwabon ko poora kar sakte hain, ab yeh depend karta hai ke hum woh money acche kaam ke liye istemaal karte hain ya bure ke liye
kher jab ek insan ke pass paisa ho ga to woh apne liye accha ghar, business, family banaye ga aur agar ALLAH ne usey hadh se ziyada diya hai to woh wohi money ghareeb ya yateem logon ke liye istemaal kar sakta hai
jese ke Ibrar-ul-haq, Imran Khan, jawad ahmed aur isi tarah TV celebrities ne logon ki madad ke liye foundations, hospitals ya isi tarah ke idaare open kar rakehn hain to woh logon ki khushion ke liye hain...................coz jin logon ke pass money nai aur woh preshan hain ke apna ilaaj kese karwayenge to woh wahan pe apna free ilaaj karwa ke apni zindagi ko sehel bana sakte hain:)
also ek aur point, aaj kal majority larkion ka rishta dete waqt yeh demand karte hain ke larke k pass dher saari daulat ho, taa ke woh larki ko khush rakh sake....................and isi tarah ek ghar main jab mia biwi rehte hain to agar money nai hogi to ghar main larai jhagra ho ga ke khayenge kese, biwi shohar ko taane de gi ke tum ghareeb ho, ghar main farigh bethe ho etc etc..................magar jab wohi shohar kama ke laye ga aur ghar ko daulat se bhar de ga to wohi biwi us ke saath accha behave kare gi aur us se khush rahe gi
so end pe baat yehi aati hai ke yes money does bring happiness:)
 
  • Like
Reactions: ShOna*

Sis Jani maney kah kaha ke Money Kisi ko nhe chahea Dis Is True Ke Money Haar Insan ki Zarorat hy Chahay wo jis haal may bhe ho Kiou ke Insan khud_Gaarz hota hy or uski wishes kabi finish hii nhe hoti 1 puri hogi to dusri usi waqt uske mind may aa jaye ghi or phr wo wish puri hogi toh koi or wish uske mind may aa jaye ghi or es tarha uski khuwahishaat kabi bhe Khatam nhe hoti....TILL THE END OF HIS/HER LIFE :)

OR sis apne TV stars ki baat ki Yes they are in Good track but sab hii to achay kaam nhe krte na jesay ke bollywood ke Hero Sulman Khan, Sanjay daat & etc maney en ke baray may kafii baar sunna hy ke ye loog jail gaye hy or hail kiou jatay hy toh apko bhe pata hoga ke koi insan jab ghalat kam karta hy tabi toh jail jata hy or es ke peechay wajah kia hy ke unke pass paisa bohuut hy wo chahay kuch bhe kar saktay hy esi tarha unho ne kuch ghalat kam kia or uski saza unko milli or yaha ab 1 or baat aa jati hy ke wo jald hii jail sy bahir bhe aa jatay hy....ab pocho wo kesy :-?
Paisay ki waja sy :) i fhink ye bhe ghalat baat hy Paisay ka ghalat faida uthana haina :) .....

Han apne 1 or baat ki ke hum jab kisi larki ke liya rishta dekhte hy toh kisi RICH MAN ko dhundhte hy ab ap hii ek baat batao ke aghr 1 insan bohuut RICH hy uske pass kisi cheez ki kami nhe hy but wo apni wife ko khush nhe rakh sakta sharabi hy drugs leeta hy....toh ab ye batay ke kia faida uska 1 RICH MAN sy shadi krne ka ??? :)
aghar es ki jagah hum kisi achay insan ko dekhe jo RICH na ho beeshak but larki ko toh khush rakh sakay...toh i fhink wo larki DIL sy bhe khush hogi ke beeshak mere pass paisa nhe but kisi ka sath to haina :)

or wese bhe us paisy ka kia faida jo apko sab sy alag kar de or burai ki taraf le jaye...So I Fhink Money does NOT bring happiness ALWAYS:)
 
  • Like
Reactions: Nelli

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
ummm well covered ur point shona................here lemme say one thing k main yeh baat main bhi maanti hun k insan ki khuwahishat kabhi poori nai hoti aur hamesha aur se ziyada aur ki talaash main rehta hai...............magar yeh bhi to dekho ke agar daulat nai hogi to woh rahe ga kese, apni bhook ko kese mitayega, apne liye ghar, family kese banaye ga.................so yeh baat accept karte hue bhi ke paisa buri cheez hai jo insan ko janwar bana deta hai, fir bhi insan ko paise ki zaroorat hai, kyunki isi se zindagi ka dar-o-madar chal ra hai...................aur rahi baat celebrities ke paise ka ghalat istemaal karne ki to woh to hota hi hai kyunki paanchon unglian barabar nai hoti aur usi tarah duniya main acche bure dono kisam ke insaan paye jaate hain
paise se hi khushian hasil ki jaati hain aur yehi wajah hai k insaan is ke liye pardes matlab doosri foreign countries main jaa ke paisa kamane ko bhi tayyar ho jaata hai...............aur us ki yehi wajah hai ke woh apnon ki doori bardasht kar k bhi paisa kamana chahte hain taa ke zindagi ki khushian de sake apni family ko bhi aur khud bhi khush reh saken.............
aur haan yeh jo husband wife ki baat hai.............yeh bhi sahi kahi aap ne..............magar yeh bhi to socho k koi hi esi wife ho gi jo apne sirf apne husband ke pyar pe guzara kar le gi..................magar i dun think k baqi auraten is tarah baghair paise k reh lengi................coz pyar se insan ko beshak khushi mile magar pait ki aag to sirf khane se bhuje gi aur khana bhi kese aaye ga.................paise se!
lemme give u an example, ek insan bhooka hai pyasa hai, ghurbat ka maar hai aur preshani is baat ki hai ke paise nai hain aur khane ko kuch nai, rehne ko ghar nai, pehn'ne ko kapre nai.................magar amazingly us ki lottery nikal aaye gi to aap dekho ge k woh kesa khush hua, wohi chehra jo pehle murjhaya hua tha aur ghum se nidhal tha ab ek dum khil utha aur us pe bhi khushion ki bahaar aa gayi:)
 
Sis...Sis....Sis Maney Kab kaha ke Paisay ki Kisi ko Zarorat Nhe Hy...
Jani Ye toh woh Cheez hy ke insan ke pass jitni bhe ho kam hy Like(Chahay Kisi ke pass 1 coin ho ya kisi ke pass 1000 Coins ho dono ke liye hi unke lahaaz ye COins kam ho gaye)

Rahi baat yeh ke hamare dad,brothers out of country jatay hy hamari wishes or ghar ki zaroratoo ko pura krne....Sis may manti hun ke yeh sahi hy but sis kuch log esyy bhe hote hy jo wapis hi nhe atay....
maney esy bhe log dekhe hy Ke ghar may unki mUm or sisters unse udass ho jati hy ke choro paisay ko or wapis aa jao hume esa paisa nhe chahea jo hume apne bachay/brother su door kar dey....So Dis Is Not Gud Na ???

Or rahi baat bait bharne ki toh may ye sochti hun ke agar ek rooti hogi or husbend or wife may itafaaq nhe hoga toh woh kisi ka bhe bait nhe bhare ghi...Lekin jab husbend wife may itadaaq hoga toh wohi 1 rooti woh dono mill baith kar khay toh us adhi rooti sy hi un dono ka bait bhar jaye gha :)

Paisa apko sab khushiyaa nhe de sakta jese ke "Paisa kisi maree Huay Insan Ko Wapis Nhe Laa Sakta"
 
  • Like
Reactions: Nelli

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
so true shona k paise se insan ghlat rasta e chalne lagte hain ya paise se koi marne wala wapis nai aata.......magar paisa hi aaj ki sab se bari zaroorat hai aur chahe hum jitna keh len ke nai pyar se hi zidagi ka kathin se kathin kaam solve kar lenge magar fir bhi life main esa maur aye ga jahan hamen paise ki hi zaroorat ho gi aur hamen save bhi paisa hi kare ga.................well main aapko ek examle deti hun k Africa main log bhookaur aflas se marr re hain, un ke paas jo dukh hain woh bhi isi wajah se hain kun k paas paisa nai.....warna pyar to un logon ke darmiyan bhi hoga na, wh pyar se ek doosre ko bacha sake? nai na..................to baat yehi hai k jab un k paas paise ki helpjaati hai to un ki life save hoti hai,,,,,,, un ke bacchon ko khane ko milta hai aur woh khush hote hain...........bot se logon ko rehne k liye ghar mile woh bhi paise ki wajah se hi................warna aap socho k agar paisa na hota to kese un k bhook mite aur un ka ilaaj ho aur un ki life save ho aur un kokhushian milen:)
 
ShOna*

Senior Member
Sep 18, 2010
702
318
563
[SHADOW="5"]mmmm Sis wohi 1 baat again repeat ho rahi hy apny pahly Seelab sy hone walli tanahi ke baray may expamle di thi now Africa ki...or maney apko Answer diya tha ke kese logo ne kisi bhe Cheex ke Zayada hone se usko zayaa kiya tha...
baat toh ek hi hy Insan ko har waqt Zindagi may Paisay Ki zarorat hoti hy....Jab insan ke pass paisa nhe hota us waqt usko Paisay ki Qadar hoti hy...Buf jab uske pass Paisay aa jata hy toh usko uski Qadar nhe rahti...or wo burai or Taqabur(ATTITUTE) ki taraf chalta jata hy...yaha tak ke wo apne MOM,DAD ki bhe ezaat krna choor deta hy...
Maney esy kafii log dekhe hy jinke pass phly toh paisa nhe hota lekin jab ata hy toh wo apne mom.dad ko khud sy alag samajhtay hy or baat yaha tak pohanch jati hy ke woh apne mom,dad ko kisi EIDI(Yateem-Khanay) may dee atay hy...or kafii dair ke baad bhe usnke milne tak bhe nhe ata....zara sochiyee koi Insan apne mom,dad ke sath es haad tak Zulam Kiou kare gah...Siraf uske pass Paisa aa janay se woh khud ko pata nhe kia samajhne laghta hy or apne hi Maa,Paap ko haqeer samajhne laghta hy(Ye soch ke bhe meri ankhoon may ansu anay laghte hy ke koi kesy apne hi MAA,PAAP ke sath esa kr sakta hy :( )
Kia faida esy paisay ka jo apko itna Pathar DIL bana de???
[/SHADOW]
 
  • Like
Reactions: Nelli

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
hmm well sisso jab insan esi ghalat harkat karta hai matlab k apne maa baap ko apne se alag kar deta hai ya unhain residential house main chor deta hai to us ki aur bhi wajoohat ho sakti hain, matlab k wife ka kehna k woh apne maa baap ko chor de ya sumthing like dat.............magar zaroori nai k paise ki wajah se hi woh apne baap ko chorte hain...........aur han agar kisi ne chora bhi ho ga to hazaron lakhon main se kuch ne...............aur jis tarah insan aur gunah karta hai usi tarah yeh bhi............
kher paise se khushi hasil karne ki jo baat hai woh kisi hadh tak true bhi hai aur nai bhi..........coz i know ke insan k kayi roop hote hain aur us ka mind kisi bhi waqt change ho sakta hai...............aur usi tarah agar paise aa jaane se un main ghuroor vaghaira aa jaye to bari baat nai..................magar yeh duniya paise pe hi chalti aa rahi hai aur chalti rahe gi
insan apni saari khuwahishen poori karsakta hai, apne paise ko zaroorat mandon ki madad ke liye kharch kar sakta hai, gharz yeh k woh jo chahe paise ki bunyad per kar sakta hai................haan yeh alag baat hai k kuch log ghalat istemaal karte hain magar paanchon unglian barabar kabhi nai hoti
aur mera ek aur point k ek country main jab paisa ho ga to woh apne mulk ko chala sakenge aur awam ko khush rakh sakenge, paise se woh free education, treatment, denge...............aur us k saath jo weapon un ki hifazat kar sake woh bhu buy karenge ya misael jesi power create karenge taa k museebat k waqt apne logon ko aur country ko tabah hone se bacha saken
i nkow k kuch log country ko sahi se manage nai kar sakte but jo karte hain woh paise ke bal boote per apne logon ko khushian faraham karte hain:)
 
Yep! :)
Sis Agree wid ya and you also agree wid me :p

See....

kher paise se khushi hasil karne ki jo baat hai woh kisi hadh tak true bhi hai aur nai bhi..........
Mane Bhe Ye Bate Mani ke Insan Paisay sy khushiya khareed to sakta hay buf Kuch Cheeze Paisay sy nhe khareedi jaa sakti :)

Insan ke pass jab paisa nhe hota wo khushiyoo ke lia roota hy buf uske pass paisa aa jata hy toh us ko kisi ki qadar nhe rahti..
Garror/Atittute Bhe aa jata hai...Or Bohoot Kuch Ghalt Ho Jata Hai Jo Mai Pahly Bata Chuki Hun...

Toh en sab batao ka ruslte yehi nikalta hai ke

[SHADOW="6"]Paisa Insan Ki Zarorat Hai Lakin...Paisa Yah Kisi Bhe Cheex KI Zayadati(Zayada Miqdaar) Hone Sy Wo Kharab Ho Jata Hai :)[/SHADOW]

Thats It!
 
  • Like
Reactions: Nelli

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
yeah in conclusion baat yehi saamne aati hai ke paise se jahan khushian milti hain wahin ghum bhi.................it depends on people k woh kese money ka usage karte hain
 
  • Like
Reactions: ShOna*
Status
Not open for further replies.
Top