TM Article Contest 2010 Polling

  • Work-from-home

TM ARTICLE CONTEST POLLING ROUND

  • Zee_Leo

    Votes: 12 63.2%
  • LKK

    Votes: 7 36.8%

  • Total voters
    19
Status
Not open for further replies.

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Assalam Walaikum everyone . Contest ke Start main laga tha ke kafi members apne Articles submit karenge but unfortunately sirf Maine aur LKK ne participate kya. anyways next time inshallah i hope ke aap sub zaroor ayen ge kyon ke ub buhat se members ko Article likhney ke hawaley se concept clear ho gaya hoga .. Here is Article of contestant kindly read one more time in short way then decide about ur fair vote Thanks :)

aap sub theek se parh saken is waja se main soft copy yahan pe submit kar raha hon kyon ke image size increase nahi ho raha hai Thanks

TM ARTICLE 2010
[email protected]

"Tafreeh Mela is one of the best site which connect us with our family, relatives, friends anywhere, anytime. It’s a very simple and quick way to communicate with each others to share our daily life activates in individual or as bunch of groups. Due to our daily life routine it not just difficult but also nearly impossible to keep in touch with every1, but by using this site, we can connect to as many whom we want and can have fun like having parties, competition etc., and can share information with each others about cooking recipes, notes, jokes, social blogs, groups, help, suggestions, greetings and condolences, relationship, religion, spirituality, poetry, education and careers, fashion, culture and tourism, sports and fitness, health and awareness, music, information technology, more over baat cheet, time pass and band bajana :D. In my view it’s not different than having a big family living under a roof, in a castle with peach and harmony. I wish castle’s boundaries may ever be strong and its soldiers (Tareeh Mela’s users and members) will remain protect it forever.
Tareeh Mela successes depend on its Staff Members, Moderates and especially to the President of this site. Whom try to make is best and friendly user for all of us. I have visited many website but I unable to find such a friendly online forums where we are given so much privileges if we compare to other online discussion forums i.e. making poll threads, uploading images as signatures, limitation of number of thread we can create per day etc. Everybody can use this forums as per their mood. The great advantages of this online forums is that everybody can post a thread in roman urdu or in urdu. If someone would like to type in urdu then he/she can use the provided link for this purpose. This is, I think one of great advantages for users.
Another interesting thing is ‘Awards’ which rarely you will online on any other forums. I think I never seen this before. You participate in a thread, then you win and your efforts don’t go in vain. They reward you with awards which can be seen in the left panel under your avatar. I hope maybe one day at least I will one: D
Wonderful part is that this site is running without going in arguments about races. We will find here all types of peoples related to different counties, religions and living on different part of this earth. Perhaps, indeed is a good and very important advantages to communicate with them, know each other’s religions, culture as well as if somebody is planning to continue his/her studies abroad of locally in Pakistan.
If you unable to search information then just post it here, sit back and relax. Your online friends, users or Tafreeh Mela’s Staff Member try their best to answer your queries.
When I joined this online forums, in starting I was feeling very bore due to few reasons (1) this is very big site and I guess we need a day or more to go throw all provided links (2) whenever a user open a thread, all I can see appreciation words which full three to four pages (around 50+ post in similar) (3) its take more time to upload/display the page due to lot of images used as signature etc. But after getting involves in all these I found it very interesting site and yuppie! If you feel bore or you are alone then surely you can kill your time by login here. So, in my view, opening a useful thread here is like paying it forward I mean I do not pretend to give you something by opening a thread, I only pass the pass the information to you. When you reply or open a new thread in similar, you must pretend to give me something back leading your views to someone else; enjoining him to discharge the debt by like a operation, when he/she shall be able by opening a useful thread and shall meet with another opportunity. I hope it may thus go thru many hands, before it meets with a knave that will stop its progress. This is a trick of mine for doing a deal of good by sharing our knowledge with others

The Tafreeh Mela offers:
Meta Description: “This Pakistani Urdu forums with allot of tafreeh urdu, shayari, faraz shayari, urdu sms, Pakistani five years notes, Pakistani cricket, free English classes, free easy loading Pakistan, Pakistani Urdu recipes, Pakistani make up, tutorials and much more”.
Meta Keywords: “Pakistani Urdu Recipes, Urdu shayari, fraz shayari, Urdu sms, office mega upload, live radio, Mirza Ghalib, Pakistani subject notes, Health tips, Beauty Tips, Mehndi Designs, Urdu novel, Urdu sms, Cricket Videos, Pakistani live TV, Urdu poet, Pakistani songs, Urdu hadees, Photoshop add-on, Urdu beauty tips. Urdu kitaab, sad Shayari, Urdu love, live geo, Urdu e-books, Urdu stories etc.


The Tafreeh Mela site have proven the skeptics wrong and accomplished what most which looks like impossible. For prove you will find more than 44, 899 (forty-four thousand eight hundred ninty-nine) user registered with this site. There is no doubt that you recent achievements will be spoken of for some time to come and that the admiration for your accomplishments is felt by all of us with in this site as well as the general public (guest) users.

Tafreeh Mela website officially launched in December 2007.

[FONT=&quot]TM ARTICLE 2010
[FONT=&quot][email protected][/FONT]

[FONT=&quot]History of TM:[/FONT]

[FONT=&quot]27TH May 2007[/FONT][FONT=&quot], Ye woh Historical day hai Jis Din TM ke Admin DON ne www.TafreehMela.com ko [/FONT][FONT=&quot]Toronto[/FONT][FONT=&quot], [/FONT][FONT=&quot]Canada[/FONT][FONT=&quot] se launch kya. Jab ye Family Forum start huwa toe kisi ko nahi maloom tha ke is ki maqbooliat is Qadar ho jaye gi ke log is ke dewaney ho jayen ge aur dekhte he dekhte yahan members ki tadad hazaroon main chali gai aur still agey barhti ja rahi hai. TM ko is izaat ke muqam tak pohchaaney main TM ki CO-ADMIN RR ka buhat bara hath hai. Jinhoo ne din raat aik kar ke apna sara Time TM ke lye waqf kar dya. Unki itni struggle ki waja se he aaj TM world main aik Best Family Forum ke naam se jana jata hai aur isi waja se is ke hazaroon members main se buhat se members [/FONT][FONT=&quot]Pakistan[/FONT][FONT=&quot] se bahir se bhi belong karte hain.[/FONT]

[FONT=&quot]Moderation of TM:[/FONT]

[FONT=&quot]Dosrey Forums Ke Muqabley Main TM ki Moderation buhat strong aur timely hai is waja se TM pe har kisi ko discipline dekhne ko Milta hai Jis ki waja se members TM ko Join kar ke secure and relaxation feel kartey hain. Yahan pe Total 11 Moderators hain. TM pe Islamic Section ko kafi ahmiat hasil hai jis se members buhat se deeni masail aur mamlat ka hal talash kartey hain aur Islamic Section ke lye Moderation buhat special hai jis main har Thread ko approved karney ke baad show kya jata hai Jis se aap TM specialization ka andaza laga saktey hain.[/FONT]

[FONT=&quot]TM Rules:[/FONT]

[FONT=&quot]Admin ki janib se TM members ke lye kuch rules rakhe gaye hain jin ko follow karna har member ke lye must hai. Dosrey Forums ke Muqabley main yahan Rules ka khayal behtar tareekey se rakha jata hai Jis ki waja se yahan kisi kism ka na khushgawar wakia dekhne main nahi ata. [/FONT]

[FONT=&quot]TM Most Amazing Sections:[/FONT]

[FONT=&quot]Koi bhi person kisi bhi forum ko join karney se pehle Har forum ka aik survey zaroor karta hai aur jab koi TM ka visit karta hai toe usey join kye baghair nahi rehta because TM main ye khas baat hai ke yahan moujood Sections buhat interesting hain. Jaise ke Mega Threads Mela, Baat Cheet, Tafreeh, [/FONT][FONT=&quot]Time[/FONT][FONT=&quot]Pass[/FONT][FONT=&quot], Mobila Mania etc is ke ilawa yahan pe majood Band Bajao Section bhi kafi interesting hai.[/FONT]

[FONT=&quot]TM Most Interesting Threads:[/FONT]

[FONT=&quot]Kisi[/FONT][FONT=&quot] bhi forum ko Join karney ke baad users achi achi Threads Ki waja se he forum pe reh patey hain aur bore feel nahi kartey. Youn toe TM pe daily he koi na koi interesting Thread Samney Ati rehti hai Jis pe Members chill pill kartey nazar atey hain is ke ilawa Baat Cheet main Post honey wali aksar Threads se log kafi knowledge hasil kartey hain magar TM ke aik section Mega Thread Mela ko Tafreeh Mela ki shaan hai ye kaha jaye toe ghalat na hoga.. TM ke is section main un he Threads ko Include kya jata hai Jo ke hameesha Chalti rahen Jaise Kuch Special Threads Jo is Section main mojood hain un Main TM Truth n Dare, Dedication to Your Friends, TM Marriage Bureau, TM School, TM Dhaba, TM Bus etc shamil hain Jin pe Members non stop subha se raat aur raat se subha tak Tafreeh Kartey Nazar atey hain. Shayad yahi waja hai ke zyada tar members ka favorite Section Mega Thread Mela he hai. [/FONT]

[FONT=&quot]Special Thread for Members:[/FONT]

[FONT=&quot]Coffee with RR[/FONT]

[FONT=&quot]TM ki Co-Admin Red Rose TM ke Members ka itni achi terha se khayal rakhti hain ke yahan pe Members ko ehsas he nahi hota ke woh net surfing kar rahey hain balkey yahan ke mahool ko dekh kar lagta hai ke sub aik family ki terha hain. Aur aisa us he waqt ho sakta hai jab kaheen logoon main coordination pori terha ho aur sub apas main aik dosrey ko jaan sakey aur samajh sakey isi waja se unhook ne Coffee with RR ke Naam se aik Thread ka aghaz kya Jis main woh members ko 1 week ke lye invite karti hain Jis main Khudh woh apne masroof waqt main se Time Nikal ke Interview leti hain aur sath main baki ke members bhi Coffee with RR ke guest se question pochtey hain is terha jo us member yani guest ke barey main nahi jantey woh bhi us ko deeply jaan jatey hain.[/FONT]

[FONT=&quot]TM Contests:[/FONT]

[FONT=&quot]Insan ko zindagi main har jaga kisi na kisi appreciation ki zaroorat hoti hai jis se us main confidence peda hota hai jis ki waja se us ke skills bhi improve hotey hain. Yahi dekhtey huwe Tafreeh Mela main har month koi na koi contest arrange kya jata hai jis main members participate karte hain aur contest jeetney ke lye apne skills pesh kartey hain aur struggle kartey hain Jis ki waja se un ke skills improve hotey hain aur un main kuch hasil karney ka confidence ata hai aur phr is ka silla unhen Admin aur Mods ki taraf se award ki sorat main pesh kya jata hai jo ke un ki profile main chamakta nazar ata hai. Is ke ilawa Yahan ke aik Moderator Atif ki janib se Har Month New Comer Of the Month ke naam se arrange hone wala contest bhi buhat interesting hai. Is award ko paney ke lye Members zyada se zyada koshish kartey hain ke woh all month achi achi Threads pesh Karen aur sath main apni logoon ke sath coordination increase Karen takey Woh best New Comer ka award hasil kar saken . [/FONT]

[FONT=&quot]TM Shining Stars:[/FONT]

[FONT=&quot]Kisi bhi forum ki value us waqt increase hoti hain jab us Forum pe ache ache members maujood hon Jo lamha ba lamha apni knowledge aur skills se dosrey members ko faida pohnchatey nazar atey hon aur is terha ke members kisi bhi Forum ke Shining Stars samjhey jatey hain. Is he terha TM pe buhat se aise Members hain jinhoo ne apna buhat dhair sara Qeemti waqt aur Apne Skills is Forum ke lye Pesh kar dye. Waise toe yahan Buhat se Members Shining Stars kehlaney ke laiq hain magar in Main Kuch Buhat Special Names RR, US, Nelli, Hans Mukh, Saviou, Pari aur Zulqarnain hain Jo ke moderations sambhalney ke sath sath members’ ka her terha se khayal rakhtey hain. In ka kind behaviour har member ke sath sub ko dikhai deta hai jis ki waja se new members bhi buhat jald TM family ka hissa ban jatey hain. [/FONT]

[FONT=&quot]Education on TM:[/FONT]

[FONT=&quot]Youn toe Kehne Ko Tafreeh Mela aik aisa forum hai jis pe aap non stop tafreeh kar saktey hain aur yahan pe surfing kar ke udass se udass person bhi chehre pe muskurahat le kar log out hota hai magar is Interesting Forum TM pe fun ke sath Education ka bhi khas intizaam kya gaya hai . TM pe aap har terha ke Study Notes hasil kar saktey hain jin ko arrange karney ki koshishoon main CO-ADMIN RR khudh lagi hoti hain is ke ilawa Information Technology ke hawaley se bhi yahan pe members buhat Knowledgeable Threads post kartey hain jis main Terha terha ke Tutorial waghera shamil hotey hain gharz ke Tafreeh ke sath sath yahan log Education aur Knowledge bhi hasil kartey nazar atey hain. Aur is waja se members ka itna faida hota hai ke baaz easy courses who TM pe online reh kar he hasil kar lete hain jis ke lye unhen kisi institute janey ki nobat nahi ati hai. [/FONT]

[FONT=&quot]My Message for All TM Members:[/FONT]

[FONT=&quot]Assalam Walaikum everyone. meri aap sub se bus aik choti si request hai ke aapas main mil bant ke aur aik dosrey ka khayal rakh ke chaloo jis se aap sub ke dil main aik dosre ke lye pyar barhey ga jab diloon main pyar ajata hai toe doriaan khatam hoti hain aur jab dorian khatam hoti hain toe sub apney ban jatey hain . so sub aik unit ho jayen kyon ke This is Best for TM and This is also Best for Muslims. Thanks Yours Zee

Thanks Everyone .. after polling Result Admin n Mods ki help se announce kya jaye ga :)

[/FONT]
[/FONT]
coollogo_com-167945208.gif
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Hmmmmmm....
Iska naam Article on TM hai..jo k srf TM k mutaliq hona chahiye ..
Magar zee k article se lagta hai TM ki tareef kam aur srf Staff ki zyada ki gayi hai..so Article on TM Staff hona chahiye tha.
Yahan par bahut sare aise members bhi hain jo staff se zyada mahnat aur lagan se kaam karte hain aur unke threads bhi bahut zyada intersting aur maloomati hote hain...Magar Staff k siwa aise koi member ka nam mention nahi kiya gaya..
Any way Voted..
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Mohatarm bahaar sahiba . jahan pe tareef ki gai hai us ke sath aik heading bhi di gai hai jis main bataya gaya hai ke ye moderation ke hawaley se baat ho rahi hai ya phr Threads ke hawaley se. jab aap aik Thread ka zikar karenge toe us ko create karney wale ka bhi zikar ata hai aur woh sub work samney atey hain jo ke woh person karta hai chahey staff karey ya koi bhi. lets ke maine aik contest ke naam se heading di jis main contest ka zikar kya gaya . sath main jo jaise contest karata hai uska sath main us ka reason bhi aur sath us ke benifits bhi toe ye sub chezen combine ho key toe woheen ajati hain ke TM pe kya hota hai aur kaise hota hai aur kaun karta hai. well aap ka point of view apni jaga . next time aap bhi kuch mehnat kar ke likh lye ga thanks
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Ji haan Mr.Zee aapne jitne bhi threads k naam liye wo srf Staff k hawale se..
aisa kyun?dusre members ne bhi bahut acche threads banaye hain chahe wo contest section ho k mega thread ya koi aur..
Any hw jo mujhe laga meine likha..aur apki nazar me isika naam Article hoga..
Mei apni mahnat ki baat hi nahi karahi,mujhse zyada mahnatkash aur TM ko time dedicate karnewale members bhi maujood hain..
And Now mei yahan bahes nahi chahungi,mujhe srf ek baat ki tawajhe members ko karwani thi..
thankxx..
 

mirza37

Hot Shot
Jul 17, 2010
15,341
7,043
913
49
UAE ABU DHABI
Ji haan Mr.Zee aapne jitne bhi threads k naam liye wo srf Staff k hawale se..
aisa kyun?dusre members ne bhi bahut acche threads banaye hain chahe wo contest section ho k mega thread ya koi aur..
Any hw jo mujhe laga meine likha..aur apki nazar me isika naam Article hoga..
Mei apni mahnat ki baat hi nahi karahi,mujhse zyada mahnatkash aur TM ko time dedicate karnewale members bhi maujood hain..
And Now mei yahan bahes nahi chahungi,mujhe srf ek baat ki tawajhe members ko karwani thi..
thankxx..
true said bahaar sister ,,,
 
  • Like
Reactions: ~Prince-Farry~

zobi_best

Newbie
Mar 19, 2008
3,820
1,012
0
38
Menay Voted De diya hain Reason Mein nahi Bata Sakta yahan per .....kioun k reason hi esa hian ......Jis se pata chal jaye ga k menay kisse vote kiya ...... :p
 
  • Like
Reactions: ~Prince-Farry~
Status
Not open for further replies.
Top