Wa Alaykum Assalam Wrwb

bohot hi acha silsila shuru kiya hai aap ne
waise ham pakistan se to talluq nahi rakhte lekin jitna hamne dekhe hain aur jitna hamara tajruba hai pakistani logon se milne ka baat karne ka aur jitna ham ne mushahada kiye hain us hisab se baat karenge in sha Allah
Urdu zaban se mohabbat ke dawe to bohot loog karte hain chahe wo hind ke log hon ya pakistan ke lekin is zuban ko bachane ke liye is zuban ki taraqqi k liye koi sahi aqdam nahi lete aur kabhi urdu zuban k liye kuch karte bhi hain to bas mushairon tak mehdood kar dete hain
aksar ham ne dekha hai ke urdu zuban conference k naam se jitne me programe munaqid hote hain usme sirf shayari hi hoti hai aur kuch nahi to sawal ye bhi uth'ta hai k kya ye zuban sirf sher o shayari ke liye hai?
ab jahan tak pakistan ki baat hai to ham samajhte hain wahan sirf akhbaarat news channels aur kuch maqsoos ilakhon me ye zuban reh gayi hai aur ham ye dawe k sath keh sakte hain ke pakistan ki aksariyat urdu zuban nahi bolti balke zyada tar hissa punjabi bolta hai aur uske baad shayad pashto aur digar zubane
ye dawa hamare mushahade ka hai ab tak jitne bhi pakistanion se mulaqat huyi hai un me se 65% log aise mile jo punjabi bolte hain aur 30% pashto aur 5% urdu
ham ye jaan kar hairan hain ke deen ki khidmat me Arabic k baad sab se zyada likhi jane wali kitaben Urdu me hain lekin afsos ke use parhne wale ab bohot kam hain
ye mukhtasar hamari taraf se aur in sha Allah mazeed guftugu hogi to ham bhi apni taraf se baten rakhne ki koshish karenge