~*ماں کی شان *~

  • Work-from-home

*khushi*

Senior Member
Oct 18, 2011
6,444
1,468
263
Ghar :p
this is an awsum post.........................cant say anything.........shair tu bht hi zabardast hai.....mere se zaida achy se kon in alfaz ki sachai janta hoga..............very alone without my mom.............i misseddd her alot...............................................................

---------- Post added at 04:19 PM ---------- Previous post was at 04:17 PM ----------

wt a beautiful poetry for mother........aik aik word correct r sachai pe mabni hai.............
main smjh skti hoon...

or wo sb log smjh skty hain jin ki bd qismati say Maan nahi hai...
 
*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
walikum salam :)
beautiful sharing bahar :)
maa duniya ki sab sa bari nehmat hai us ki shaan mai jitna bhi kaha jaye wo kam hai Allah sab ki maaon ka saya uun pr qayam rakhy ameen
 
*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
Jub yeah thread he Maa ki shan ma banay gaya tu hay

kuch days pehlay ma nay be aik choti c Maa ki shan ma likhny ki try ki thi

app sub ki nazar

Hope app sub ku pasand aye gi

Wo Meri Budsalooki Per Be Mujhey Dua'a Deti Hy
Aaghosh May Lay Ker Sub Ghum Bhula Deti Hy

Yun Lugta Hy Jaisy
Jannat Say Aa Rahi Hy Khusboo
Wo Jo Apny Pehlo Ki Hawa Mujhey Deti Hy

Ma Jo Anjaany Ma Karo Galti Koe
Meri
MAA Iss Per Be Muskura Deti Hy

Kya Khoob Banaya Hy
RUBB nay Rishta MAA Ka
Veeran Gher Ku Be
Jannat Bana Deti Hy

MAA K Bad Mera Kon Sahara Hy
Yeh Soch Aksar Mujhey Rula Deti Hy

Masha'Allah bht hi acha likha hai app na HM bhai :)
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
itnay takulfaat ki kiya xaroorat thi patar patar

likh mtu ma doo but is taiz duniya ki dour sukh say bhaitnay ku fursat he nahi milti aur yeh sub kaam fursat ma he sirnajmm diye ja sakty hy

I'll try my best to share more in my own words on the subject

And thx for encouraging me, is may meray khoon sawa sair k izafa ho gaya hy {(haha)}

chalo paa jee hun tusi kamr kas liti tey uthao pen tey chap diyo apni poetry tey aallll the bestttt...ofice vich beh ke tusi hun ofce work chud ke poetry dey peche par jao{(haha)}
 
waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
SubhanAllah, Alhamdulillah, zaberdast thread Bahar u r the real star, aap ka ye 1 thread aaj 100 thread's per bhari hei. maa ki shan k bare mien ye kehna chahoon ga.

Aaj kal log maa ki azmat k bare mein bohot achi achi baatain kerte, ache ashaar likhte hein mein ye nahi kehta k mein un k khilaf hoon mager mein sirf ye kehna chahta hoon k log jese baatein dil khol k ker lete hein us terhan un baaton pe amal nahi kiya jata, aaj kal afsos se kehna per raha hei k maa jesi azeem hasti ki ka khayal rakhna aur us ki izzat kerna 1 bete/beti k liye bojh ban gaya hei, wo maa ki baaton se chirta hei, us ki baat dihan nahi deta, khas tor se maa jab apni bete ki shadi ker de to phir wo biwi ka hi ho ker reh jata hei, apni maa ki baat ki bajai biwi ki baat pe terjeeh deta hei, maa se badtameezi kerta hei, apne biwi k bherkane per maa se alahida ho jata hei, aur logon se ye keh deta hei mein ab apni maa ko mazeed berdasht nahi ker sakta wo to ulti baatain kerti hei meri biwi se zid kerti hei, fazool jhagerti hei, aisie mein ager koi us se pooche k bad bakht jab tu bachpan mein kisi cheez pe nahi smajhta tha lerta tha, rota tha, zid kerta tha to kya teri maa tujhe chor ker gai? Afsos.....................aaj beta ho ya beti sirf moo k hein.
(Hazrat Ali (R.A) ka ferman hei: Ilm k samander se amal ka 1 qatra behter aur amal k samander se Ikhlas ka 1 Qatra behter hei).
Please apne liye jannat k derwaze khud band na karein. apni jannat ko pehchane use wo pyar dein jo aap ko kabhi us se mila tha.
Ayein mil ker duwa karein Un maoun k liye jin k bete un ki qader nahi kerte k Allah un k bachon ko Saaleh bana de.Ameen
 
ameen

bilkul theek kaha aap ny waqy e aisa hi hai or aisa hona nahi chahiye.....
 
stillalone

Regular Member
Dec 29, 2011
76
23
58
Thnx bahaar for dis beautiful and awosome choice...A little collection from my side for all beautiful mothers..!
The young mother set her foot
on the path of life.
‘Is this the long way?’ she asked.
And the guide said: ‘Yes,
and the way is hard
And you will be old before
you reach the end of it..
But the end will be better
than the beginning.’
But the young mother was happy,
and she would not believe
that anything could be better
than these years.
So she played with her children
and gathered flowers for them along the way,
and bathed them in the clear streams;
and the sun shone on them,
and the young Mother cried,
‘Nothing will ever be lovelier than this.’
Then the night came,
and the storm, and the path was dark,
and the children shook with fear and cold,
and the mother drew them close
and covered them with her mantle,
and the children said,
‘Mother, we are not afraid,
for you are near, and no harm can come.’
And the morning came,
and there was a hill ahead,
and the children climbed and grew weary,
and the mother was weary.
But at all times she said to the children,
‘A little patience and we are there.’
So the children climbed,
and when they reached the top they said,
‘Mother, we would not have done it without you.’
And the mother, when she lay down at night
looked up at the stars and said,
‘This is a better day than the last,
for my children have learned fortitude
in the face of hardness.
Yesterday I gave them courage.
Today, I’ve given them strength.’
And the next day came strange clouds
which darkened the earth,
clouds of war and hate and evil,
and the children groped and stumbled,
and the mother said: ’ Look up. Lift your eyes to the light.’
And the children looked and saw
above the clouds an everlasting glory,
and it guided them beyond the darkness.
And that night the Mother said,
‘This is the best day of all,
for I have shown my children God.’
And the days went on,
and the weeks and the months and the years,
and the mother grew old
and she was little and bent.
But her children were tall and strong,
and walked with courage.
And when the way was rough,
they lifted her, for she was as light as a feather;
and at last they came to a hill,
and beyond they could see a shining road
and golden gates flung wide.
And mother said,
‘I have reached the end of my journey..
And now I know the end
is better than the beginning,
for my children can walk alone,
and their children after them.’
And the children said,
‘You will always walk with us, Mother,
even when you have gone through the gates.’
And they stood and watched her
as she went on alone,
and the gates closed after her.
And they said:
‘We cannot see her but she is with us still.
A Mother like ours is more than a memory.
She is a living presence…….’
Your Mother is always with you….
She’s the whisper of the leaves
as you walk down the street;
she’s the cool hand on your brow
when you’re not well.
Your Mother lives inside your laughter.
And she’s crystallized in every tear drop.
She’s the place you came from,
your first home;
and she’s the map you follow
with every step you take.
She’s your first love and your first heartbreak,
and nothing on earth can separate you.
Not time, not space… not even death!
 
NamaL

Super Star
Nov 18, 2010
8,506
3,891
1,313
walaikum salam sisooooooooooooooo
bht hi acha silsila shru kea ha aap ny
ALLAH SWT sab k parents ko Dairun khushiyun R Kamyabiun wali umr-e-draz ata fermaye R ALLAH SWT sab k Parents ko apny Hifz-o-Amaan mn R ALLAH SWT hmain apny parents ki hidmat kerny ka moqa zror dy Ameen suma ameen

Maan K Naam

Wo jin ke betay andherein mein kam ko niklein
Wo maein hatho pe apne chiragh rakhtee hain
Phir oos ke baad andherein mein lot-te hain jo
wo oon ki rahon mein aankhein chiragh rakhtee hain

maan ki goud yaad to aati hogi
jab kabhi neend rooth jati hogi
jab kabhi tu udas hota hoga
kis say dil ka haal kehta hoga

Khilay gi gulshan -e- dil ki kali bus maan ke qadmon mein
Milegi har musarrat,har khushi bus maan kr qadmon mein
Sikhaati hai bade hi pyar se adaab jeene ke
Sanwarti hai hamaari zindgi bus maan ke qadmon mein

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
SubhanAllah, Alhamdulillah, zaberdast thread Bahar u r the real star, aap ka ye 1 thread aaj 100 thread's per bhari hei. maa ki shan k bare mien ye kehna chahoon ga.

Aaj kal log maa ki azmat k bare mein bohot achi achi baatain kerte, ache ashaar likhte hein mein ye nahi kehta k mein un k khilaf hoon mager mein sirf ye kehna chahta hoon k log jese baatein dil khol k ker lete hein us terhan un baaton pe amal nahi kiya jata, aaj kal afsos se kehna per raha hei k maa jesi azeem hasti ki ka khayal rakhna aur us ki izzat kerna 1 bete/beti k liye bojh ban gaya hei, wo maa ki baaton se chirta hei, us ki baat dihan nahi deta, khas tor se maa jab apni bete ki shadi ker de to phir wo biwi ka hi ho ker reh jata hei, apni maa ki baat ki bajai biwi ki baat pe terjeeh deta hei, maa se badtameezi kerta hei, apne biwi k bherkane per maa se alahida ho jata hei, aur logon se ye keh deta hei mein ab apni maa ko mazeed berdasht nahi ker sakta wo to ulti baatain kerti hei meri biwi se zid kerti hei, fazool jhagerti hei, aisie mein ager koi us se pooche k bad bakht jab tu bachpan mein kisi cheez pe nahi smajhta tha lerta tha, rota tha, zid kerta tha to kya teri maa tujhe chor ker gai? Afsos.....................aaj beta ho ya beti sirf moo k hein.
(Hazrat Ali (R.A) ka ferman hei: Ilm k samander se amal ka 1 qatra behter aur amal k samander se Ikhlas ka 1 Qatra behter hei).
Please apne liye jannat k derwaze khud band na karein. apni jannat ko pehchane use wo pyar dein jo aap ko kabhi us se mila tha.
Ayein mil ker duwa karein Un maoun k liye jin k bete un ki qader nahi kerte k Allah un k bachon ko Saaleh bana de.Ameen
Waqas bro well said...Qaul o amal me bht farq paya jata hai...
baaten bari bari karna to koi kamaal hi nahi jaza to amal p milegi...
Meine Hazrat Ali As ka Ye Qaul parha

Jab kabhi farigh Waqt milay to Apni Maa ke pas ja k beth jaya kro,
Kyu ke Maa ke sath Guzra hoa Waqt Qayamat ke Din
Nijat ka bais bane ga...
aur jab apni MAA k paun daba rahi thi to ye Thread banane ka khayl aya k Us mohataram aur khubsurat aur anmol hasti k naam kuch kiya jaye,,aur is thread k zariye Hum apni Azeem MAA ki kidmat karne ka sha'oor hasil karen..
Choti si koshish hai meri...k Har MAA ko nazranay e Aqeedat pesh ki jaye...
 
Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
han bilkul yaar......mana k bht se log aise bari bari batin krty hn gy,par yaar sab hi k man mn kahen na kahen MAAN zarur basti hai,uss k bina har koi tanha zaror ho jata hai...bas dair iss baat ki hai k uss jazby ko pehchana jae...........kia khayal hai GUYS..............{(popcorn)}
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
[SHADOW=8]
MAA Ki Aaghosh
Jannat Ka Aalam

Phoolo Ki Sej
Gudaaz Lams
Pyar Ki wadi
Narm Si Gode

Mohabat Ka Jharna

Sehra Me Ghani Chaun

Maa Ki Aaghosh
Thandi Shabnam

Gulzar E Shafqat
Elaj E Gham
Tarz E Maseehayi

Usay Kya Maloom
Jo Raha Isse Mahroom!!!

[/SHADOW]
 
Top