A.I.P.A.K Programme 02

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الرحمـن الرحيـم 0



Assalam o alaikum dosto :)

kaise hain aap umeed k inshaAllah theek honge aur aapki eid bhi alhamdulillah acchi guzri hogi inshaAllah.

Dosto hamare muashare me kitne aise log hain jo ksi baat par ksi se naraaz hojaate hain.aur kayi dinon baat tak nahi karte hatta k unka aamna saamna bhi hojaye.aur baaz dafa to baat na karne ki koi khaas wajah bhi nahi rahti bus ananiyat ki bina par wo ek dosre ko bura bhala kahne lagte hain.jiski wajah se dono k dilon me nafratein aur barh jaati hain.laikin islam iske mikhalif khata hai.Allah k nabi(pbuh) ne farmaya k koi shaqs 3 din apne ksi dost ya rishtedaar se qatayi taaluq na hon.aur isi tarha quran bhi yahi kahta hai.k tum badi ko iski neki se dafa karo.

isi liye hum is week inshaAllah is aayath par amal karne ki har mumkin koshish karenge.Allah hame amal ki taufeeq ata farmaye aameen.



وَلَا تَسْتَوِي الْحَسَنَةُ وَلَا السَّيِّئَةُ ۚ ادْفَعْ بِالَّتِي هِيَ أَحْسَنُ فَإِذَا الَّذِي بَيْنَكَ وَبَيْنَهُ عَدَاوَةٌ كَأَنَّهُ وَلِيٌّ حَمِيمٌ ﴿
٣٤

نیکی اور بدی برابر نہیں ہوتی۔ برائی کو بھلائی سے دفع کرو پھر وہی جس کے اور تمہارے درمیان دشمنی ہے ایسا ہو جائے گا جیسے دلی دوست (34)
neki aur badi barabar nahi hoti.burayi ko bhalayi se dafa karo phir wahi jiske aur tumhare darmiyan dushmani hai.aisa hojayega jaise dili dost.(Fussilat 41-34)



is aayath par hua ek waqiya jo main yahan bayan kar raha hon.taake hame bhi kuch is se naseehat mil sake.aur guidance bhi.

Alhamdulillah mujhe is par amal ki taufeeq mili hai.mera apni nanand k saath jhagra tha.wo badi ghusse wali hai.mujhe isse kayi martaba na pasandeeda aur naa gawar baatei sunna parti hain.isliye maine isse naa milne ka faisla karliya.aur isne bhi mere faisla ka same answer diya.

laikin main isse dili taur par mohabbat karti thi kyunke wo mere husband ki bahan aur mere bacchon ki phoopi hai.laikin shaitan hame ek dosre se milne se rokta tha.aur tarha tarha k qayal dil me daalta tha.laikin main maoqe ki talaash me thi taake is naaraazi ko qatam karun.mujhe juld hi maoqa mil gaya.mujhe maaloom hua k meri nanand hospital me hai aur iske han teesre bacche ki wiladat hui hai.maine apne husband se kaha k wo mujhe pane saath hospital le jaayen taake main iski bahan se mulaqaat karun.pahle to wo hairan hua.fir badi khushi se apne saath hospital legaya.mera dil zor se dhadak raha tha.(aur shitan mere dil me waswase daal raha tha aur kah raha tha tu kyun usse baat karti hai jabke wo tujhe pasand nahi karti.)

maine door open kiya aur muskuraate hue uske paas chali gayi aur usse iski jaan ki salamti par mubarak baad di.uske bacche ko uthaya usse pyar kiya aur uskeliye dua ki.meri ye baatein sunkar wo halki si muskuraayi.aur apne bhaayi se baatein karne me masroof hogayi.aur kuch hi der baad ye mulaqaat qatam hogayi.maine car me baithte hue ek gahri saans li aur ssonchne lagi k Allah ka kalaam saccha hai.usne mujhe qabool karliya hai.

main apne ghar pahunchte hi uske bacchon keliye khaana tayyar kiya aur uske ghar gayi.aur uske bacchon ko khaana khilaaya aur unki haalat daryaaft ki.mujhe us raat ek itminaan sa mahsoos hua.agle din maine apni nanand k baare me jaane ki koshih ki k wo mere baare ne kia soonch rakhti hai.laikin Allah ka shukr hai k wo mere baare me accha nazarya rakhti hai aur mere is rawwaiyye se wo bahot khush hai.main isi tarh uske bacchon ka qayal rakhne lagi jabtak wo hospital me thi.

ab meri nanand mere saath mohabbat aur narmi k saath baatein karne lagin.aur usne apne bete k aqeeqe me shamil hone keliye kaha aur us din usne badi garam jooshi se mera khair maqdam kiya.maine isse gale laga lia.mujhe apne khush baqti par rashk horaha tha k Allah ne mere amal ko qabool karliya.aur maine is aayath par amal karte hue apne ek dushman ko dost me tabdeel hote dekhlia subhanAllah.
 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
very nice Topic..!

Yah Issue Bohat common hay aaj kal..! even aak hi ghar main rehnay walay logo main bhi koi na koi narazgi Chal rahe hote hay..!

Anyways I'll share my thOughts LatEr..!
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

Raat ki Rani

Super Star
May 26, 2011
9,376
1,452
413
Mashallah very nice story....i really like it... abhi tak tu ALLHAMDULILLAH aisa koi nahi k hume dushman k nazar se dekhe but ALLAH se yahi dua hain k ager kisi k dil me humare liye koi nafrat hain tu oske dil ko nafrar se saaf kare aur hume itna himat de k kisi dushman ko dost bana sake
JazakALLAH khair bhai:)
 
  • Like
Reactions: Sara Cilli Milli

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Wssalam u alaikum
jazakAllah..boht acha topic rakha hai is dafa b ap ne.
aksr hum choti choti galat fehmiyon ki bina par apne boht pyare logo ko kho dete hain halan'k agar munasib tareeqe se baat kar k galat fehmi ko khatam kar lia jaye to yeh nobat na aaye..
Allah hume amal ki tufeeq aata farmaye
Ameen
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
JAZAKALLAH
MASHAALLAH bohat hi acha topic hay AAraaf bhaya
ye masla bohat common hay aaj kal
INSHAALLAH 'll share something soon
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
walakumsalam wrwb..
jazakaAllah bro..apne bht hi eham issue ko samne laya hai..
aj kal ki dunia meisab bht proudy bante ja rahe hein..aur khud ko bht barasamjhte hein.....
aurapne jo qissa share kiya..woh bhi bht common hai..nand aur bhabhi ka...Allah talah tamam gharo mei sab ko mohabbaton ke saath rehne ki taufeeq ata farmayein..AMEEN...
is hafte is issue par amal karna...sochtahon..
shukar Alhamdulilah..mere aaas paas koi bhi aisainsan nai hai jiske lie mere dil mei koi narazgi ho....
agar khuda na khasta hai bhi to mai dua karta hon ke Allah talah mujhe moqa dein in rishto ko pyaar mei badalne par inshaAllah..
once again bro..jazakaAllah khair..
Allah talah apko iska ajar dein..AMEEN..
and sorry maine late visit kiya ...
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
walakumsalam wrwb..
jazakaAllah bro..apne bht hi eham issue ko samne laya hai..
aj kal ki dunia meisab bht proudy bante ja rahe hein..aur khud ko bht barasamjhte hein.....
aurapne jo qissa share kiya..woh bhi bht common hai..nand aur bhabhi ka...Allah talah tamam gharo mei sab ko mohabbaton ke saath rehne ki taufeeq ata farmayein..AMEEN...
is hafte is issue par amal karna...sochtahon..
shukar Alhamdulilah..mere aaas paas koi bhi aisainsan nai hai jiske lie mere dil mei koi narazgi ho....
agar khuda na khasta hai bhi to mai dua karta hon ke Allah talah mujhe moqa dein in rishto ko pyaar mei badalne par inshaAllah..
once again bro..jazakaAllah khair..
Allah talah apko iska ajar dein..AMEEN..
and sorry maine late visit kiya ...
Allahi baarik fee waqas.
haan aapko jald aana chahiye tha.khair koi baat nahi
inshaAllah ab main thrd programme post karunga usme aap jald aajayen.
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam Arshad bro bada achha mouzu is baar bhi laaye
aur bade wazahat waale waaqie ke saath masha'ALLAH aur
meri to tabiyat ka aapko pata hi tha phir bhi late vizit ke liye sorry
 
Top