Aansu nahi ye moti hain, mitti main na ye mil jaayen
PalkOn main piroye rakhna, AankhOn main chupaye rakhna
Ye zakhm jo tu ne khaye, Ye daagh jo tu ne paye
Qismat se kahin milte hain, Ghar in se sajaye rakhna
Har apne paraaye ka dukh, bhaari to buhat hay lekin
Jab tu ne uttha hi liya hai, Ye bojh utthaye rakhna
Bas itna hi Uncha urrna, Rishta na zameen se toottay
Ye khaak nahi surma hai, Aankhon se lagaye rakhna
Har koi sitam gar nikla, Har haath main pathar nikla
Tu sheesha hai, Ye duniya se mushkil tha chupaye rakhna