aapka Manzar ,aapki kahani!! 3 march-2012 to 10-march 2012

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

waliekum assalam mohtram aha wah jee wah bht acha likhte ho aap b ..writer na hotye hue b bht chusti se likha hy...{(thx)}beautifull sharing saviou .ehem ehme i mean mohtram:)
shukran shukran asma mohtarma:)
waise ham shayar bhi nahi the lekin logon ne bana diya toota phoota shayar
aur ab loog shayad hame toota phoota writer bhi bana kar chorenge /:)
 
  • Like
Reactions: Asma24

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!

shukran shukran asma mohtarma:)
waise ham shayar bhi nahi the lekin logon ne bana diya toota phoota shayar
aur ab loog shayad hame toota phoota writer bhi bana kar chorenge /:)
oopsh ;))

nhi toote phoote writer to aap pehle hi hain to hum ne socha zara jurey huye writer ban jaao aap :p
 
Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513

shukran shukran asma mohtarma:)
waise ham shayar bhi nahi the lekin logon ne bana diya toota phoota shayar
aur ab loog shayad hame toota phoota writer bhi bana kar chorenge /:)
hehehe but aap to kafi acha likhte ho ...chalo koi gal nhi aap tm per aker mashhoor shyer bangye ye award se b kam nahi hy na:)
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

hehehe but aap to kafi acha likhte ho ...chalo koi gal nhi aap tm per aker mashhoor shyer bangye ye award se b kam nahi hy na:)
mashoor to nahi bas ban gaye samjhen:p
waise mohtarma aap sab ke pyar ki jagah award kabhi nahi lesakta na ham ne kabhi award ke liye kuch kiye hain bas shayari bhi ki to usme logon ko msg dena maqsad hota hai Alhamdulillah:)
 
  • Like
Reactions: Asma24 and hoorain

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513

Assalamo alaikum doston mene bhi eik koshish ki per pata nahin kese
story Saviou bhai Taiyab bhai aur Faari sis ke storyz se lambi ho gaiy
aur shayad on the topic sahi bhi nahin hai per mene jo likha aap subke
saamne peish kar raha hoon is umeed ke saath ke pasand aayegi

yeh kahaani ka unwaan shayarana tarz se peish hai

Chain doulat mein nahin mehnat mein hota hai
sukun eish mein nahin ibaadat mein hota hai

Shaam ke auqaat dheemi dheemi sard hawayen baad e namaz e maghrib ka
woh khamosh aur khoobsurat manzar jise dekhne ke liye parinde bhi
aapas mein ghul mil bethte hain....... aise shaam ki auqaat ki baat hai
baba ji kaam se ghar pohnche tab mein aur bilal naatein parh rahe the chunke
baba ji saara din kheiton mein kaam kar ke loute the woh bohot thake huwe the
thakkan ke bawajood mehfil e naat ki adab karte huwe woh humaare paas aa ker
beith gaye aur chunke unka sabaq tha ke har baat se achhi baat ki sabaq lo
to mujhe aur bilal ko eik naya sabaq aaj mila ke chain o sukoon se achha adab
o tameez ka darja hai naat khwani khatam hone ke baad baba ne mujhe aur Bilal bhai
ko shabashi di aur humare naat khwani ki housla afzaiy karne lage itne mein
ammi jaan abuu ji ke liye khaana le aaiyn humare ghar ki zameen kachi zameen
hone ke sabab hum neeche beith kar khaana nahin khaate kyunke niwala neeche girne
per use mitti itni lag jaati hai ke dubara khaane ke qabil nahin rehta humara
eik palang hai jispe hum beith kar khaana khaate hain aur insha'ALLAH is dafa
jab abbu ji raashan laane jayengein shehr se to mein dastarkhwan mangwaungi
khaana khaate waqt bilal ne baat karni chaahi to mene use chupke se ishaara diya
ke is harkat se abbu ji ko chirh hai to Bilal bhai chup ho gaye khaana khaane ke
baad abbu ji aur bilal dono namaz e isha ko chale gaye aur ammi bartan dhone
ko sehen mein gaiyn chunke humare paas itne intazamaat nahin ke hum apne
bartan shehr walon ki tarah saabun ya kisi aisi cheez se dhowein to is liye
hum mitti se hi kaam chala lete hain ammi ji ke barta dhone tak mene bhi
isha ki namaz ada kar li aur sipara le kar beith gaiy ke abhi ?bilal ki wapsi
ke saath hum dono apna sabaq eik dafa dorayengein masjid se wapsi per Abbu aur bilal
ne salam diya aur jese ke salam ka jawab har musalmaan per farz hai mene
paara shareef ka parhna chand lamhaat ko roka aur salam ka jawab diya aur phir mein
aur bilal apna sabaq parhne lage leikin masjid se loutne ke saath mujhe Bilal ke
chehre per eik sawaal dikh raha tha jese woh kisi soch mein hai sabaq parhne
ke baad ammi ji ne humein sone ka kaha aur itne mein abbu ji bhi araam karne ke liye
leit chuke the phir

jis raftar se palak jhapak jaaye
aise hi mazdoor ko neend aa jaaye

mein samajh gaiy ke abbu ji lete hain to so gaye hongein aur ammi ji namaz e isha ada
kar rahi hain aur phir farman e aala ke Dost ko naseehat akele mein karo
phir yehi mouqa mila mujhe bilal ke mann ke us sawal ko jaanne ke liye jo use tang
kar raha tha mere poochne per Bilal ne kaha ke aapi jis zameen per Baba ji saara
din kaam karte hain aur mehnat karte hain to 6 maah poore hone per Baba ji ko uske
badle eik do bori aata hi kyun milta hai jabke saare zameen per hi baba ji ki mehnat
hoti hai......

yahaan tak baat sun ker mujhe sirf eik sawaal laga per agle alfaz mein Bilal ne kuch
aur hi kaha woh bola ke

dekhiye naa hatta ke is hi zameen ke malik jo kehlaate hain woh bhi kitne maaldaar hain
unke paas bhi har eish o araam hai unke bache shehr mein ilm hasil kar rahe hain
itne mein mujhe Bilal ke zehen ki baat taqreeban samajh aa gaiy

mene use is hi nuqte per toka aur kaha ke agar koi humare ghar ko tameer kare
to kya ghar uska ho jaayega nahin na dekhiye bilal wese to gheebat se Huzoor saww
ne sakhti se manah farmaaya per mera RAB jaane ke mein gheebat nahin kar rahi balke
apne chhote bhai ko samjha rahi hoon ke unke bache shehr mein parh to rahe hain
kamyaab ho jayengein per taraqqi nahin karengein Bilal bister khareed lengein
neend nahin le sakengein Bilal aur iski wajah yeh ke Malik sahab ne unke deen ki
taleem nahin di aur Qur'an ki taraf unko mutawajjoh nahin karwaya aur aapko pata hai
naa ke ALLAH humein is dunya mein subhi se zyada pyaar karta hai so woh humein
wohi ata karengein jo humare haq mein behetter hoga, kabhi bhi khud ko tang dast
samajhne se pehle Fareed bhai ko yaad kar lena Bilal jo bechaare nabeena hain
aur is tarah soch kar aapke paas jo nahin uski fikr chorte huwe jo hai uspe
shukr karein kyunke is tarah ALLAH tumhein zyada ata farmayega ji bilkul
theek kaha aapi aap ne mujhe bohot hi achhi baat samjhaaiy mein insha'ALLAH aaj
se bilkul na shukri wali batein zehen mein nahin laaunga

jab mujhe yaqeen huwa ke Bilal ko meri baat samajh aa gaiy hai mene use wazu karke
phir sone ka kaha aur woh wazu karne chala gaya itne mein Ammi ji namaz aur Qur'an
ki tilawat se farigh ho ker aa gaiy thin aur mujhe bhi sone ka keh rahi thin
khair jo sawal mene Bilal ke zehen se khatam kiya ab mere zehen mein aa chuka tha

phir jab hum loug letne lage to mene apni ammi se sawaal kiya ke ammi ji abbu jaan
saare waqt kaam karte hain aur phir bhi humein do waqt ke khaane jitna milta hai
is per ke chachu Jameel(zameendaar)bina utne mehnat ke kitna hasil kar lete hain
is per ammi ji ne mujhe samjhaya ke ALLAH ta'ala is tarah to hum per zyada mehrban
hai

mere heirat me izafa huwa aur mujhe laga ke ammi ji mujhe behla rahi hain phir ammi
ne baat aage barhaiy ke

dunya ki doulat mein hum zarurat se nikal pare to shouq per pohnchengein aur phir
Jameel bhai sahab aur unke hgar walon ki tarah alag alag qism se gunah o kifriyat
ki taraf jaane lagengein mene poocha woh kese to ammi ji boleen

jis tarah mouseeqi haraam aur T.V ka dekhna istemaal karna islam mein jaaiyz nahin
per shehron mein aur gaanv ke raees gharanon mein yeh aam baatein hain per
socha jaaye to gunah e azeem mein ke dayere mein aate hain

itne mein baat ko samajhte huwe mene kaha ke
ji haam ammi ji samajh gaiy humare madrisse ki baji bhi keh rahi thin ke gaane
mouseeqi waghera islam ke dayere se baahir hain per jo maal o doulat ke nashe se
ghafil ho gaye hain woh yeh sub karte hain

ammi boleen ji bilkul sahi kaha unhone aur us ghuflat ko woh chain kehte hain
leikin makhmal ke bister ke bawajood unhein neend nahin aati naa aur humein dekho
mehnat aur raah e raast pe hone ke sabab hum lette hi so jaya karte hain per unhein
sone ke liye bhi dawa chahiye hoti hai ALLAH subhi ko hidayat de is dua ke saath
ammi ne kaha ke bas ab bohot baatein ho gaiyn ab aap bhi so jaaiye itne mein mene
kaha ke ammi ji mujhe bhi mehnat karni hai mein bhi kal kheit chalungi mere mann
ki baat ko na taalte huwe ammi ji ne mujhe kaha ke theek hai chalengein ab so
jaaiye per kal eik naye kaam ki taraf jaungi mein is soch mein parh gaiy aur phir chaandni
ki raat jese waqt e sabah ho mujhe bara hi achha lagta hai aisa manzar
is hi liye azaanon se bhi kuch lamhaat pehle sone ki aarzu hoti hai meri
ab mein so jaati hoon taake subah jaldi uthne ke saath namaz e fajar bhi bilkul
hi hosh mein aur chain ke saath parh sakun ghar mein tamaam loug so chuke to mein
khud ko hi ALLAH hafiz bol ker so jaati hoon subah meri du'a ke ke mutabiq meri aankh
waqt e subah azaan ke waqt se bhi kuch lamhaat pehle khuleen meri aankhen
mene namaz fajar ki namaz ke liye subhi ko jagaya aur phir baad e namaz ke naashta
ke baad hum subhi kheit ki taraf aaj chalne ke lage har taraf hariyali hi hariyali thi
aur kuch Rab ki qudrat ke ata ke saath pyare wale jaanwar gayen aur bail the aur jo pyari
si subh ki hawa aaj itne khule fiza mein mehsoos ki aaj se pehle kabhi nahin
phir mein abbu aur ammi ke kaam mein haath batane lag gaiy aur kal ki baatein yaad ki
ke kal ke tamaam din se mene kya kya achhe asbaaq haasil kiye aur is pyari hariyali
ko deikh kar dil e Sabah se yeh sada aaiy ke aye ALLAH ta'ala saari dunya mein is hi tarah
hariyali ho Ameen

waliekum assalam chigooo bhaiya sum aameen ...wah bhaii bht khoob likha hy aap ne to es me koi shak nahi koi b likhne wala naya nhay kuch likhe to wo qabil e tareef nahi hoga ..:)wazan to lafzon me hota hy phr chahe koi b topic ho ..bas dua hy app likhte rhen aameen:)
 
Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
ASSALAM WALIEKUM FRDSSS...lijye hum b agye apni tarf se kuch kehne k liye wese urdu me itne tez to nahi k wrter kaha jye hmen ..bas kuch tasur rkhne wle khaylat hum b rkhte hian{(thx)}

zindagi k rang

ir8a45.jpg

aaj b hazaron sochen un yadon se takra jati hian,(me ASMA) ,jahan zindgi k mele to nahi the magr kuch to alag andaz tha jeena ka..apne ami abu bhai k sath me apne goan me raha kerti thi,yaadein jo aaj me mujhe un lamhon me lejati hian jahan mene kuch sapne dekhe the ,ye kahani nahi aik mazmoon b hy zindgi ka aur sachyi hy meri zindgi ki,gareeb gharane se hone k bawajood mere maa baap ne mujhe achi perwarish aur meri her zarurat ko poora krne ki koshish ki..mere abu jo aik kisan the,mehnat mazoori se ghar ka khrch chalte the ..ami unka hath batya kerti thi,ye us zamane ki baat hy jab mere gaon me koi sarkari school nahi tha ...phr b dil me umang thi ,lagan thi parhne ki agye barhne ki,
naam se aik beti hoon me ,jazba betey ka tha mera ,yehi soch ker raat ko sitaron ko dekhte hue me muskuraya kerti thi k aik din me agey brhngi ..taleem se apne maa baap k liye kuch karongi ,unki kabhi ksi chez ki kami nahi hone dongi,wo jazba wo umeed jo mene kuch kerni ki thani thi ,her subha sooraj k sath mere ankhon ki chmak me meri ami dekha kerti thi,gaon me sirf aik teacher tha ..sir abdul kareem ,jo sheher se parh likh ker goan me aye the aur sham k waqt apne ghar k pas aik barye medan me unhon ne chota sa school lagya tha ,me roz wahan jati aur apna her kaam baqadgi se ker k unko dikhati,abu k kheiton ka kaam ab ahista ahista kam hone laga ,amdni ghatne lagi,ahista ahista hmare ghar me khane peene me kami ane lagi,wo din aaj b yaad hy jab ami abu k me akle me bat kerte hue suna k abhi waqt hy beti k liye kuch aktha kerden ,wrna kal ko kcuh nahi bachega..aese hi waqt guzarta raha hum bhai behen bade hogye ,,,gaon me naya sarkaro schol qyen hogya magr mere maa baap k pas pese nahi the mujhe prhane k liye ..mene ghar k sara kaam kaj sekh liya tha ,,magr dil me wohi arzoo ab b baki thi ,me parhongi ,me kcuh karongi,,
sapne to sapne the ankh khulte hi door hojte hian,wese hi zindgi palak jhpak ker guzar jati hy,,kuch dinu me meri shadi kerdi gyi .nyi zindgi me qdam rkha mene,,magr dil m udasi thi k me apne sapno ko pankh na de payi .ab kuch nahi hoga ye soch ker mene ami abu k kehne per han kerdi ,,sayed esliye k yehi sahi hy ..me agr kuch ban ker to kuch na ker payi ..dulhan banker am abu ki hasart poori ker payi me ,,ese umeed per khush hoon me aaj k mene ami abu k liye ziyada na sahi magr kuch to kiya hy ..jo her beti ka farz hota hy ,,aankh ab b bhari hui hy ,magr pata nahi kun jab jab me kisi larki ko job kerta dekhti hoon to mere ander aik hosila jaag uthata hy ..aik din ALLAH meri arzoo zarur poori karega aameen..

bas itna hi likhna tha mujhe ,ye story meri real story se kch kch milti hy ,frdss i hope jitna likha hy wo ksi na ksi k dil ki baat zarur hogi..:)

THANXX

apki apni ASMA24
 
HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Assalamu Alaykum Wrwb :)
abhi tak kisi ne kuch share nahi kiya /:)
chalen is susti ko door karne ke liye ek sust ki kahani hi suna dete hain
waise kahania to ham likhte nahi lekin hoor didi likhna sikha diye akhir
umeed karte hain ap sab ko pasand aaye ye tooti phooti kahani

Main Sust Tha/:)

roz ki tarah aaj bhi suraj mujh se pehle tulu ho gaya jab bahar aaya to manzar bhi roz ki tarah hi khush gawar tha thandi dhoop thi chirion ki gungunahat bhi, sab apne kaam me khushi khushi lage hue the dada ji bailon ko pani pila rahe the baba kunwe se pani nikal rahe the maa chote padu ke liye ghans la rahi thi jo ghar ka naya rukn hai aur choti bhi ussi ke liye bartan me kuch bana rahi thi, chotu to padu se chimta hua khush tha usse sehla raha tha aur baki janwar bhi roz ki tarah unke apne mashgale me the, raha main ek jo roz ki tarah sust aur nikamma tha/:) lekin pata nahi is baar kya hua mujhe ajeeb lagne laga dil me ye baat baith gayi ke nahi mujhe bhi subha subha uthna hai aur sab ki tarah ghar ka kaam karna hai aur ammi abbu ki madad karni chahiye unka kaha maan na chahiye phir ye soch kar mere andar ek khushi ki lehar daudh parhi:) aur main sochne laga jab kal ko koi ye manzar dekhe to in sab ke sath unhe main bhi kaam karta hua nazar aana chahiye:)

ab mujhe kal ki subah ka intezar hai aur ab main keh sakta hun ke main sust tha lekin ab nahi hun :)
WahOo Mashallah very nice...!

Bohat simple se stOry Laken Intersting hay Kafe..! aur Image se related bOhat achee Manzar Kashi Ki hay..! :)

Laken mujhay aak Baat ajeeb Lagi "Thandi DhOop" Kaise hOte hay..? {(confuse)}

Gud Luck..! :-bd
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam
bohot hi achha likha hai Asma baji
mujhe bohot bohot pasand aaya
behetereen aapki shayari ki tarah jazbaat
ehsasaat aur naseehat amouz

best ov luck for the contest
 
  • Like
Reactions: Asma24

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
ASSALAM WALIEKUM FRDSSS...lijye hum b agye apni tarf se kuch kehne k liye wese urdu me itne tez to nahi k wrter kaha jye hmen ..bas kuch tasur rkhne wle khaylat hum b rkhte hian{(thx)}

zindagi k rang

aaj b hazaron sochen un yadon se takra jati hian,(me ASMA) ,jahan zindgi k mele to nahi the magr kuch to alag andaz tha jeena ka..apne ami abu bhai k sath me apne goan me raha kerti thi,yaadein jo aaj me mujhe un lamhon me lejati hian jahan mene kuch sapne dekhe the ,ye kahani nahi aik mazmoon b hy zindgi ka aur sachyi hy meri zindgi ki,gareeb gharane se hone k bawajood mere maa baap ne mujhe achi perwarish aur meri her zarurat ko poora krne ki koshish ki..mere abu jo aik kisan the,mehnat mazoori se ghar ka khrch chalte the ..ami unka hath batya kerti thi,ye us zamane ki baat hy jab mere gaon me koi sarkari school nahi tha ...phr b dil me umang thi ,lagan thi parhne ki agye barhne ki,
naam se aik beti hoon me ,jazba betey ka tha mera ,yehi soch ker raat ko sitaron ko dekhte hue me muskuraya kerti thi k aik din me agey brhngi ..taleem se apne maa baap k liye kuch karongi ,unki kabhi ksi chez ki kami nahi hone dongi,wo jazba wo umeed jo mene kuch kerni ki thani thi ,her subha sooraj k sath mere ankhon ki chmak me meri ami dekha kerti thi,gaon me sirf aik teacher tha ..sir abdul kareem ,jo sheher se parh likh ker goan me aye the aur sham k waqt apne ghar k pas aik barye medan me unhon ne chota sa school lagya tha ,me roz wahan jati aur apna her kaam baqadgi se ker k unko dikhati,abu k kheiton ka kaam ab ahista ahista kam hone laga ,amdni ghatne lagi,ahista ahista hmare ghar me khane peene me kami ane lagi,wo din aaj b yaad hy jab ami abu k me akle me bat kerte hue suna k abhi waqt hy beti k liye kuch aktha kerden ,wrna kal ko kcuh nahi bachega..aese hi waqt guzarta raha hum bhai behen bade hogye ,,,gaon me naya sarkaro schol qyen hogya magr mere maa baap k pas pese nahi the mujhe prhane k liye ..mene ghar k sara kaam kaj sekh liya tha ,,magr dil me wohi arzoo ab b baki thi ,me parhongi ,me kcuh karongi,,
sapne to sapne the ankh khulte hi door hojte hian,wese hi zindgi palak jhpak ker guzar jati hy,,kuch dinu me meri shadi kerdi gyi .nyi zindgi me qdam rkha mene,,magr dil m udasi thi k me apne sapno ko pankh na de payi .ab kuch nahi hoga ye soch ker mene ami abu k kehne per han kerdi ,,sayed esliye k yehi sahi hy ..me agr kuch ban ker to kuch na ker payi ..dulhan banker am abu ki hasart poori ker payi me ,,ese umeed per khush hoon me aaj k mene ami abu k liye ziyada na sahi magr kuch to kiya hy ..jo her beti ka farz hota hy ,,aankh ab b bhari hui hy ,magr pata nahi kun jab jab me kisi larki ko job kerta dekhti hoon to mere ander aik hosila jaag uthata hy ..aik din ALLAH meri arzoo zarur poori karega aameen..

bas itna hi likhna tha mujhe ,ye story meri real story se kch kch milti hy ,frdss i hope jitna likha hy wo ksi na ksi k dil ki baat zarur hogi..:)

THANXX

apki apni ASMA24

Very well written..! Bohat achee stOry likhi hay aap nay bhi sis..! Gaon K sada MahOol aur Logo ki Sada mager achee Zindgai aur sOch ki aakasi kerti hue..! :)

Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
masha Allah bohot khoob mohtarma
aap to acha khasa likh lete ho
aur Allah se dua hai ke apki tamaam jayez khwahishat ko poora kare Aameen
 
  • Like
Reactions: Asma24

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

WahOo Mashallah very nice...!

Bohat simple se stOry Laken Intersting hay Kafe..! aur Image se related bOhat achee Manzar Kashi Ki hay..! :)

Laken mujhay aak Baat ajeeb Lagi "Thandi DhOop" Kaise hOte hay..? {(confuse)}

Gud Luck..! :-bd

shukran shukran shukran :)
thandi dhoop nahi pata aap ko /:)

ye subha sawere jo dhoop nikalti hai usko kehte hain jisse jism ko faida bhi hota hai
aur usmi shiddat nahi hoti balke acha mehsoos hota hai :)
 
HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe

shukran shukran shukran :)
thandi dhoop nahi pata aap ko /:)

ye subha sawere jo dhoop nikalti hai usko kehte hain jisse jism ko faida bhi hota hai
aur usmi shiddat nahi hoti balke acha mehsoos hota hai :)
Achawwww..! Main nay tu aaj tak Thandi Chaun pErha hay is waja se..! :s

Thanks 4 the ExplainatiOn..! {(popcorn)}
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

Achawwww..! Main nay tu aaj tak Thandi Chaun pErha hay is waja se..! :s

Thanks 4 the ExplainatiOn..! {(popcorn)}
Affwann :)
abhi aap tajruba bhi karke dekh len
subha fazar ke baad jo dhoop nikalti hai usme thori der reh kar dekhen
subah ek dam fajzr ke baad phir zyada time ho gaya to dhoop garm hojati hai ye to pata hi hoga apko :p
 
HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe

Affwann :)
abhi aap tajruba bhi karke dekh len
subha fazar ke baad jo dhoop nikalti hai usme thori der reh kar dekhen
subah ek dam fajzr ke baad phir zyada time ho gaya to dhoop garm hojati hai ye to pata hi hoga apko :p

Lolzzzzz Ab Itne Pagal nae hOn Jitna aap nay samjh lia hay..!

Jee I've Experienced this Cuz kuch arsa pahlay bOhat regular Morning walk ki hay..! Suraj Niklnay ka manzer Bohat pursukOn hOta hay..! Hava main Bohat Tazagi hOte hay..! sO usay hi kehtay hain Thandi DhOop..! :)
 
Status
Not open for further replies.
Top