Aas toRna hai tou aas kyuun baNdhate ho
Jo diya bujhana hai kyuun usey jalate ho
Tum ko kitni ulfat hai khub jaantee hain hum
meeThi meeThi baatoN se pyaar kyuuN jatate ho
hum woh hain ke ulfat meN mar bhi miT bhi sakte haiN
aur tum hamara hi pyaar aazmaate ho
raat ke andhere hi mere dil ko bhaate haiN
tum kabhi kabhi aa ker kyuun diye jalate ho
Kab naseeb jagega is ghareeb khaaney ka
doosroN ke ghar tou tum roz aate jaate ho
zabt-e gham zaroori hai kah do ishq waloN se
yeh wafa ki hai tauheen ashk kyuuN bahate ho
uska naam bhi shayad ab na yaad ho tum ko
lekin “Arzoo” ko tum roz yaad aate ho