abhi woh dard baqi hey

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
abhi woh dard baqi hey
agarchey waqt marhum hey
mager koch waqt lagta hey
kissi ko bhool janey mein
dubara dil basaney mein
abhi koch waqt lagna hey
abhi woh dard baqi hey
main kaisey nayi ulfat mein
apni zaat ko gum kar doon
k merey jism-u-wajdaan mein
abhi woh fard baqi hey
abhi us shakhs ki mujh per
nigah-e-sard baqi hey
abhi tu ishq key raaston ki
mujh per gard baqi hey
abhi woh dard baqi hey

.......Sach........

Abhi Woh Dard Baqi Hey.....
ay merey jiwan saathi
dard rakhna apney ander
Ay Zindagi k Ronshaan Chiraagh
hayaati ki Ronshni abhi baqi hey
aur sehna hey bhut khoon mein dard ka joosh
k dil mein dard abhi baqi hey
zindagi abhi baqi hey
zindagani abhi baqi hey
woh taaluk roh ka
jisam sey abhi baqi hey
har qadam zindagi abhi taraashni hey
waqt kitna guzar gaya,nahi pata aur kitna baqi hey
Rab sey iltijah hey, jitni bhi baqi hey
khush guzaar lumhein meri zindagi k rakhna
ik khush umeed ki laher,tun mun mein abhi baqi hey
sar sey seherey ki ghari abhi baqi hey
YA-RAB didaar abhi us ko baqi hey
woh koon hey kiya hey kahan hey
SIRAJ us ki ahat sunna abhi baqi hey
roh-e-jann mein,us ki larzish abhi baqi hey.!!
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top