Agar Mohabbat meri sachi hai tu aik din zaroor mila degi
Agar zid meri pakki hai to Zamain aasman ko bhi hila degi
Na inkar kar sakta hai koi meri wafa se,mujhe yaqeen hai
Par tu sambhalna aik din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi
Yeh sach hai ke tum ne hum se pyar kya par dosre hi pal bhula diya
Mera Pyar itna aasan na tha na socha tha teri Mohabbat daga degi
Na bhula sakonga woh mohabbat na woh bewafai,jo tune ki
Saza is se barh kar kya degi ki umar bhar Mohabbat tujhe Dua degi
Agar dam hai meri wafa-e-Mohabbat to woh aik din, aayegi zaroor
Jab meri yaad main tu tarpegi par tab .....tujhe mohabbat na dega
Agar Mohabbat meri sachi hai tu aik din zaroor mila degi
Agar zid meri pakki hai to Zamain aasman ko bhi hila degi