..ahaadees & Its Discussion..

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
to abhi hamne jaana ke taqatwar insan wo nahi jo kisi ko apni taqat mare balke wo hai jo gusse ko apne kabu me kare....

abhi dusri hadees ki taraf badhte hain insha Allah :)
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Messenger of Allah (PBUH) Said,"None of u is a True Momin until he Loves
for his Brother, What he Loves for Himself.

subhan Allah

So after readng dis above hadees v need 2 think 4 a sec....,r v upon it????

no ...v arent...

for example choti si misaal lelijiye..,Hum wahi cheez lete hain jo humko achhi lagti hai n jab wahi chiz apke dost ya kisi aur ko pasand aajae???

v think k no ways m not giving...m not sharing,....

i will take d best 1..let dem choose 4 others...

Ye hain hum...



ye hadees kaafi ahmiyat rakhti hai khaas kar aaj k mahol k hisab se

ham khud k liye to behtareen cheez chahte hain par wohi dusoron k liye hamari niyyat kuch aur hoti hai

yahan is hadees se ye murad nahi k aap jo karo wo har cheez dusron k liye bhi karo nahi ...... balke jab kisi k sar parasti apko di jaye ya phir kisi ki zimmedar chahe wo miskeen ho ya yateem ho ya phir aisa muaqa aaye k apko bada banay jaye kisi k mamle me to aise waqt me aap apne aap ko us jagah par rakhen aur sochen k aap khud kya chahte jab apke sath aisa mamla ho phir us hisab se faisla karen ...... wallahu aalam

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
The Prophet Muhammad (peace be upon him) said: “Religion is very easy, and whoever overburdens himself in his religion will not be able to continue in that way. So you should not be extremists, but try to be near to perfection and receive the good tidings that you will be rewarded.”

Sahih Al-Bukhari, Volume 1, Hadith 38

المجلد 1 ، كتاب 2 ، العدد 38
Narrated Abu Huraira: فقد روى أبو huraira :
The Prophet said, "Religion is very easy and whoever overburdens himself in his religion will not be able to continue in that way. So you should not be extremists, but try to be near to perfection and receive the good tidings that you will be rewarded; and gain strength by worshipping in the mornings, the nights.

" وقال النبي ، "الدين سهل جدا ، وأيا كان ينهك نفسه في دينه لن يكون قادرا على الاستمرار في هذا الطريق. إذن انتم لا ينبغي المتطرفين ، ولكن حاول ان تكون اقرب الى الكمال وتلقي أخبار طيبة إنك سوف يكافا ؛ وتزداد قوة من جانب عبادة في الصباح ، ليال. " (See Fath-ul-Bari, Page 102, Vol 1). (انظر الفتح - UL - باري ، 102 صفحة ، المجلد 1).

so what is d simple meaning of it???

just read it twice or thrice....,

its d same words wich v r overcoming dis days..

trying 2 b extreme in our faith n making it hard n tough 4 oders...

i mean today d whole world is havng dis typ of extremists...

who just become extreme in some fields of islam n leaves d oder fields....

urdu me kaha jaaaye to..,


jo pasand aayi use uthaliya.,
jo mushkil lage use chod diya...


subhan Allah hamara deen kitna aasan hai khud is deen ko hamare liye tai karne wale ne aur hame paida karne wale ne kaha hai apne Rasul s.a.w ki zubani

yane jo deen Allah ne hamare liye pasand kiya hai wo islam hai aur wo mukammal hai aur wohi deen qayamat ki subah tak rahega

ab isme jo bhi kami karega ya jo bhi izafa karega wo deen me zyadti aur zulm hoga aur aise amal se roka gaya hai

jo sabit hai bilkul us par pure imaan k sath bina kisi shubha k amal karen

extreme in d sense aap kisi chiiz me hadd na karen...,

ibaadat kijiye to raahat b lijiye..,

khaaiye par hadd na kariye..

hajj kariye par ek saath krte hi na jaiye...

i mean follow d middle path..miyaanarawi ikhtiyaar kijiye apne lifes me....


al muhim wohi kaam karen jo Allah k Rasul s.a.w ne ham karke batlaya aur karne ka hukm diye

jaise ek hadees me aata hai Allah k Rasul s.a.w ne farmaya Allah ki lanat ho yuhudiyon par ye iss baat par kaha tha k unhone ne peshab ka cheenta udhne par utne kapde ko kaat dete the ye to deen me sakhti hogayi issliye wohi amal sahi hai jo sahi ahadees se sabit hai

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
  • Like
Reactions: Aara'af

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313


أَبَا هُرَيْرَةَ - رضى الله عنه - يَقُولُ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « قَالَ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ كُلُّ عَمَلِ ابْنِ آدَمَ لَهُ إِلاَّ الصِّيَامَ فَإِنَّهُ لِى وَأَنَا أَجْزِى بِهِ وَالصِّيَامُ جُنَّةٌ فَإِذَا كَانَ يَوْمُ صَوْمِ أَحَدِكُمْ فَلاَ يَرْفُثْ يَوْمَئِذٍ وَلاَ يَسْخَبْ فَإِنْ سَابَّهُ أَحَدٌ أَوْ قَاتَلَهُ فَلْيَقُلْ إِنِّى امْرُؤٌ صَائِمٌ. وَالَّذِى نَفْسُ مُحَمَّدٍ بِيَدِهِ لَخُلُوفُ فَمِ الصَّائِمِ أَطْيَبُ عِنْدَ اللَّهِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ مِنْ رِيحِ الْمِسْكِ وَلِلصَّائِ

Allah said: All the deeds of Adam's children belong to them, except fasting, which belongs to me and I will reward it. Fasting is a shield (against Hell and against sins). If one of you happens to be fasting he should avoid sexual relations with his wife, and should avoid quarrelling. Should someone fight or quarrel with him let him say, 'I am fasting.' By Him in Whose hand my soul is, the smell from the mouth of a fasting person is better in the sight of Allah than that of the musk." (Bukhari and Muslim).



abu hurairah farmate hain ke rasool ne farmaya

ke allah tala farmate hain ke ibne aadam ke har amal ka sawab fix hai sewae roza ke, kiyonke wo mere liye hai aur mainhi uska badla doonga aur roza dhaaal hai to jis din tum roza se ho us din fuhash kaam na karo aur na zor se chillao (pukarna)aur agar koi aadmi use gaali de ya jhagda kare to kahe ke main roza se hooon

aur qasam hai us zaat ki jis ke haaath main muhammed ki jaan hai rozedaar ke munh ki boo allah tala ke paas mushk se ziyada khushbudaar hai

aur rozedar keliye do khushi ka waqt hai ek jis waqt wo iftaar kareta hai aur doosra jab wo apne rab se mulaqat karega to apne roza ke sawab ko dekhikar khush hoga


sahih muslim number 2762


subhan Allah is hadees par gaur karen doston Allah ka kitna karam hai ham par sari ibadaton ka fiz badla hai lekin roze ka khaas badla hai

kyun k insan ka har farz amal zahiri hai roze ko chorke
jaise ap Namaz padhte hain farz namaz jamat k sath padha hai to sare loog apko dekhenge namaz padhte huye jo bhi sath hon to kabhi insaan dikhawe k liye bhi namaz padhleta hai
aap zakat dete hain kitna bhi chupa kar den ek deta hai to dusra lete hain to ek k paas to ye zaher hota hi hai
agar aap haj karen to jitne bhi hujjaj hain us waqt wo saron k samne ye zahir hai ibadat algarz isme jo khalis Allah k liye karega usko uska sahi badla milega

lekin roza ek batini ibadat hai insan akele me kuch kha pee bhi le usko koi nahi dekhta wo apni pyas bujhale koi nahi dekhta lekin wo jab akele me bhi pyas lagne k bawajood bhi wo pani nahi pee ta aur darta hai k mujhe Allah dekh raha hai aur main sirf Allah k liye khalis roza rakha hun to phir ye ibadat Allah ko bohot pasand hai issliye Allah ne kaha roze ka badla main khud usko dunga....

aur phir aage uske duniyawi faide bhi bayan ho rahe hain roza dhal hai fahash kamo se bakwas baton se aur agar koi jhagda karna chahe to bas hame ye kehna chahiye ki main roze se hoon to ye insaari cheezon se hame bachata hai...

aur Allah k Rasul s.a.w ne Qasam kha kar kaha Allah k yahan roze daar ke muh ki badboo mushq se bhi zyada khushbudaar hai subhan Allah
yane bhuk aur khali pait ki wajhe se jo badbu paida hoti hai wo Allah k paas mushq se bhi zyada ahmiat rakhti hai kyun rozedaar sirf Allah k liye bhuka pyasa rehta hai uski ibadat me

aur akhir me ye bataya gaya hai k rozedaar k liye do khushi k mauqe hain ek to jab wo iftar karta hai subha se bhuk pyas se apni roza kholta hai aur dusra qayamat k din jab wo apne rab se mulaqat karega aur usko uska badla milega

Allah hame Ramadan ul mubarak k pure roze khalis teri raza aur khushnudi k rakhen ki taufeeq aata farmaye Aameen
 
  • Like
Reactions: Aara'af

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313


subhan Allah doston is hadees se hame kayi cheezon ki wazahat hoti hai

ek to dayen hath se khane k liye Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ne hukm diya hai to yahan iski ahmiyat zaher hoti hai aur Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ka hukm hamare upar wajib hai

aaj dekha jata hai aksar loog isko ahmiat nahi dete aur kehte hain isme kya burayi hai to doston burayi ye hai k aap Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ka hukm ki na farmani kar rahe hain aur nafarmani karne se kya hua wo bhi apne dekha us shaqs ka hath kabhi zindagi me phir nahi utha

aur sath hi ye baat bhi pata chali k takabbur bhi kitna bhayanak amal hai wo chahta to dayen hath se khaleta par usne takabbur ki bina par ye baat kahi

Allah hame isse bachaye Aameen

aaj bhi kayi loog aise hain jinko koi sunnat par amal karne wali baat batayi jati hai to bas is bina par usko nahi mante kyun k wo us par amal nahi kar rahe halanke wo jante hain ye sach hai haq hai

agar kisi cheez par ham amal nahi karte par jab wo baat hamare samne ki jaye to usse tasleem karna hoga uski haqeeqat ko manna hoga aur ye bhi kehna hoga k wo haq hai par ham amal nahi karre agar us haq ko jaan bhujh kar jhut layen to phir kibr aur sath me Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ki baat ko ahmiat na dena hoga

Allah hame sunnat par apni zindagi guzarne ki taufeeq de Aameen
 
  • Like
Reactions: Aara'af and *lucky*

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313









Assalamu Alaykum Wrwb :)

subhan Allah is aayat aur hadees se hame Maa Baap ki ahmiat unki fazilat unka kitna bada moqam darja hai pata chalta hai

khaas kar yahan Maa ka zikr aaya hai aayat me hai k Maa ne dukh par dukh utha kar apne hamal me rakha aur phir apni chati se apna khoon pila kar hame mazboot kiya hamari sahet k liye wo khud ka khayal rakhti wo raton ko jagte aur hame aaram se sulate har cheez se hamari hifazat karte

agar ham puri zindagi unke talwe chant te rahe chahe jitni khidmaat karlen to sirf unki ek aah ka badla bhi nahi chuka sakte

issi liye to hadees me Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ne teen baar farmaya teri maa yane Baap se teen darje zyada hamare pyar ki hamari khidmat ki haqdaar maa hai subhan Allah

par afsos aaj kya mahol bana hai Maa Baap ki khidmat to door unko koi puchne wala nahi unki dekh bhal nahi karte unko waqt par khana nahi dete unka ilaaj nahi karate ek kone me chor dete hain

kya unhe yaad nehi aata bachpan unke maa baap ne kis tarah unhe sambhal kar bada kiya har pareshani dukh se door rakha khud bhuke rehte par hame khilata sardi me khud kanp te lekin hame garam rakhte khud raat bhar jagte hame sulate choti chont bhi lagjati to yahan wahan daudte pareshan hote hamara khayal karte

hame apni ankhen kholni chahiye unki kadar janni chahiye Allah hame tambeeh de raha hai agar ham aise nahi karenge to wapis hame Allah k paas lautna hai usko jawab dena hai

Allah hame apni zindagi me Maap Baap ki khidmar karke unhe razi karke jannat k mustahiq banne ki taufeeq aata farma Aameen

sallellahu nabiana Mohammad wa aala aali hi wa ashabhi hi ajmain

bi rahmatika ya arhamar raahimeen walhamdulillahi rabbil aalameen

 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
jazak Allah nasir bhai,sach hum apnay mah bapp ki wo kidmat to kar he nae saktay jo unho nay hamare ki hay,Allah hamay tofeeq day k hum kum say kum unho nay jo hamara boj utaya hay 9 mahenay tak,uska he haq ada kaday..
kuda hamay mah bapp ki nafarmani say bachaye,ameen
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
jazak Allah nasir bhai,sach hum apnay mah bapp ki wo kidmat to kar he nae saktay jo unho nay hamare ki hay,Allah hamay tofeeq day k hum kum say kum unho nay jo hamara boj utaya hay 9 mahenay tak,uska he haq ada kaday..
kuda hamay mah bapp ki nafarmani say bachaye,ameen
Aameen
Allahi barik feek tooba

ham unka haq to nahi aada karsakte
lekin haan ye dua hai k unko duniya me hi razi karke Allah ki raza hasil karlen Aameen
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
w/A
bilkul janab deen k har kaam me hum aapka apni bisat bhar saath denge inshaAllah.

---------- Post added at 11:37 AM ---------- Previous post was at 10:17 AM ----------

bilkul nasir bhai hum apne waldain ka huq na ada karte hain aur na ada karsakte hain laikin humse jitna hosake bharpoor koshish karna chahiye.Allah aapko iska ajar ata farmaye aur hum subko is par amal ki taufeeq ata farmaye.Aameen.
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
w/A
bilkul janab deen k har kaam me hum aapka apni bisat bhar saath denge inshaAllah.

---------- Post added at 11:37 AM ---------- Previous post was at 10:17 AM ----------

bilkul nasir bhai hum apne waldain ka huq na ada karte hain aur na ada karsakte hain laikin humse jitna hosake bharpoor koshish karna chahiye.Allah aapko iska ajar ata farmaye aur hum subko is par amal ki taufeeq ata farmaye.Aameen.
Aameen

bohot bohot shukriya mohtaram
Jazakallah khair
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313


'Let none of you die Unless he has a good opinion of * ALLAH'*

Assalamu Alaykum wa rahmat ullahi wa barkatahu,

Desirability of Having a Good Opinion about Allah.

The patient should remember the boundless mercy of Allah and have a good opinion about his Sustainer.

Jabir reported:-
"I heard the Messenger of Allah, [peace be upon him] saying, three nights before his death,

'Let none of you die unless he has a good opinion of Allah'." (Muslim) .

This hadith encourages the triumph of hope and expectation of forgiveness when one meets Allah, the Exalted.

One should be in the state most loved by Allah, since He is the most Gracious, the most Merciful, the most Beneficent, and the most Generous.

He loves to forgive those with hope. In the words of a hadith:-

"Everyone will be raised on the Resurrection Day in the condition in which he died."

It is reported by Anas that "the Prophet- [ peace be upon him] went to see a young man who was on his deathbed.

The Prophet, peace be upon him, asked him: 'How are you?' The young man said: 'I hope for Allah's pardon, but I am fearful because of my sins.' The Prophet, peace be upon him, said:-

'These two things never gather in the heart of a person at such a time without Allah granting him what he hopes for and sheltering him from what he dreads'."

(Ibn Majah and Tirmizhi)

Fiqh-us Sunnah Section 60. Contemplation Of Death and Preparation for it by Good Deed .

 
  • Like
Reactions: Aara'af

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313




subhan Allah is hadees me Allah k Rasul sallellahu alayhi wasallam bata rahe hain k tum me se behtareen wo shaqs hai jo Quran ko sikhe aur sikhaye

ab yahan sikhane se kya murad hai yahan sikhana padhne se alag hai padhna hoto to sirf tilawat aata lekin yahan par Quran k ahkamat ko sikhna uspar amal karna aur dusron ko sikhana yane unko Quran ki dawat dene iske ahkamat sikhana hai

tabhi insan ispar amal kar sakte hai

Quran ko sirf rattne k liye nahi utara gaya balke ye ek hidayat hai muttaqi parhezgaron k liye

Al-Baqara (2) Ayat (verse) No.: 2


ذَلِكَ الْكِتَابُ لاَ رَيْبَ فِيهِ هُدًى لِّلْمُتَّقِينَ
This is the Scripture whereof there is no doubt , a guidance unto those who ward off ( evil ) .

ye kitab Quran kya hai sarapa hidayat hai muttaqi parhez garon k liye aur hidayat tabhi mumkin hai jab ham isko samajh kar padhenge sirf ratt lene se kuch hasil nahi

Allah se dua hai k hame Quran samajh kar padhne aur us par amal karne ki taufeeq de Aameen
 
Top