Eak dafa aisay hi eak Munkir say muqala ho raha tha, aur woh apnay aqeeday kay haq maiN dala'il day raha tha, aisay maiN sab say mazboot daleel yeh hotee hay kay yeh kaisa Khuda hay ju logooN per zalzalay lata hay, unay Sonami maiN dobo ker maar dayta hay... gharz daleel aur rad-e-daleel ka eak taweel silsila chal nikla...
eak moqay maiN un say sahib kaha kay, Suppose app ka manna sahi hay kay koy Khuda nahi, koy roz-e-jaza nahi, koy jannat ya jahnum nahi, insaan mar ker decompose ho jata hay and that is the end of story. Iss case maiN agr maiN kisi per bhi iman rakhta hooN tu mujh per koy pakaR nahi, kyoN kay decompose ho jana hay, miTi maiN mil jana hay... lakin agr, just imagine kay waqayee Khuda howa, Roz-e-Jaza ka din bhi howa, Jannat aur Jahnum bhi howi, tu phir?
Yani na honay key surat maiN tu koy risk nahi per honay key surat maiN pura khel hi bigaR jata hay,
Suna hay kay Allah kay uss banday nay mazhabi kutb ka mutalaya shoroo ker diya hay...