Amal se zindagi banti hai....

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia


Alhamdulillah wassalatu wassalam u ala rasoolihil kareem amma baad aauzu billahi minasshaitaan nirrajeem bismillah hirrahman nirraheem
.


Assalam o alaikum wrwb
:)

dosto jaisa k aap jante hain k mera aajka unwan allama iqbal rahimahumullah ka ye sher hai k


amal se zindagi banti hai jannat bhi jahannum bhi
ye khaaki apni fitrat me na noori hai na naari hai
.


dosto is dunya me kayi mazahib kayi zubanein aur kayi rung o nasl k log rahte aur baste hain.aur har koi ye daawa karta nazar aata hai k is dunya k tamam addiyan me usi ka mazhab saccha hai.dunya me aise to bahot se mazahib hain jinme bade aur famous mazahib ye hain.islam , chrishianity , judaism , hinduism , buddhism , shintoism aur shikism.etc.aur har dharam k manne walon ka ye daawa hai k usi ka mazhab saccha hai.aur isi mazhab ki pairwi karte hue jannat hasil ki jasakti hai.

ab aayiye hum dekhte hain k hum musalman hain.muslim ka maana hota hai khudko surrender karna.yaani k jab koi shaqs kalima laa ilaha illallah ka iqrar karta hai to ek kaafir se muslim ban jaata hai.jahannum me jane k bajaye jannat hasil karta hai.aur is dunya ki sabse bahetreen qaom qarar pata hai.laikin hum ne to musalman gharane me janam lia yahin hamari paidayesh hui isi maahool me hum pale barhe aur ye islam hame wirasati taur naseeb hua.humne isko hasil karne keliye kuch nahi kia.ye to Allah ka humpar ek tarha se ehsaan e azeem hua.k usne hame musalman gharane me paida kia.

ab aayiye dekhte hain k kia hum padayeshi musalman hone ki wajah se jannat hasil karlenge.kia hum abdul razzaq ya abdul kareem naam rakhlene se musalman hojayenge.jabke hum me aur dosri qaomon me koi furq baaqi na rahjaye.to rukiye........ zara ghaor kijiye.agar aisa hota to kyun sahaba raziAllahu anhum ajmayeen aur dosre taba taabayeen ne itni mehnat ki is jannat ko hasil karne keliye Allah ki khushnoodi hasil karne keliye.aaqir kyun? kia unka musalman hojana kaafi nahi tha.kia Allah k nabi(pbuh) ki sohbat iqtiyar karlena unkeliye kaafi nahi tha.nahi ye cheezein Allah ki khushnudi aur jannat hasil karne ka zarya nahi hosakti.

hum khudko musalman kahte hoye khudko Allah k aage surrendar karte hain laikin amali taur par hum korey hain.islam k pairokar hone ka daawa to karte hain likin islam hamari zindagiaon me nahi.ye quran jo saari dunya ki hidayat keliye aaya tha humne isse kia darja dia.yahi na k usse bus ksi khaas maoqe par nikal kar parha jaaye.aur uski hifazat badi shaan o shaukat se ki jaaye ksi maqmali joozdaan me rakhkar.halanke jab aap koi item purchase karte hain to uske saath ek slip zaroor aati hai k us item ko jo aapne khareeda hai usko kis tarha istemal kia jaaye kis tarha usse rakha jaaye.etc isi tarha jab Allah ne insan ko is dunya me bheja to uskeliye quran ko bheja k kis tarha dunya me zinadgi guzari jaaye aur kis tarha jannat hasil ki jaaye.laikin humari ye kotahi hai k humne isse samajhkar parha hi nahi aur uspar amal kia hi nahi aur jabtak hum islam k ussolon ko apni zindagi me naafiz nahi karenge tab tak hum kamiyab nahi hosakte.kyunke


sharafat aa nahi sakti libaas e paarsaayi se
sharafat nafs me hoto insan paarsa hota
.


aur isi tarha Allah taala quran e majeed me irshaad farma raha hai
"k kia tumhare is daawe se k hum musalman hain chor diye jaoge nahi......." is liye doston jab tak koi insan islam par aur uske usoolon par amal nahi karta tab tak na wo noori hai aur na naari.theek isi tarha Allah taala ek aur jagah irshad farma raha hai k


إِنَّ اللَّـهَ لَا يُغَيِّرُ مَا بِقَوْمٍ حَتَّىٰ يُغَيِّرُوا مَا بِأَنفُسِهِمْ
ksi qaom ki haalat Allah taala us waqt tak nahi badalta jabtak k wo khud isse na badlen
.(al-raad 11)

aur isi baat ko allama iqbal rahimahumullah ne apne is sher me kaha k

khuda ne aaj tak us qaom ki haalat nahi badli
naho qayal jisko khud apni haalat k badalne ka
.


isliye dosto hame apne aamaal ko dusrust karna hai aur firse wo daur ko wapas laan hai jisme 313 se 1000 ko shikist di thi.dosto ab bhi waqt hai apne aamaal ko shudharo bus tumhara musalman hona kaafi nahi hai jabtak k tum amal na karo.bus isi k saath main apni baat qatam karta hon aur Allah se dua karta hon k Allah hame kahne aur sunne se ziada amal ki taufeeq ata farmaye aameen.


وأخر دعوانا أن الحمدلله رب العالمين

 
Top