ap bewajah pareshaan sii kyoN haiN maadaam

  • Work-from-home

rehanckl

Newbie
Jan 28, 2010
1,485
1,215
0
33
ap bewajah pareshaan sii kyoN haiN maadaam
log kahte haiN to phir Theek hi kahte hoNge
mere ahbaab ne tahzeeb na seekhi hogi
mere maahaul meiN insaan na rahte hoNge noor-e-sarmaayaa se hai roo-e-tamaddun ki jilaa
ham jahaaN haiN vahaaN tahzeeb nahiiN pal sakti
muflisii his_se-lataafat ko miTaa deti hai
bhook aadaab ke saaNche meiN nahiiN Dhal sakti
log kahte haiN to logoN pe ta’azzub kaisaa
sach to kahte haiN ki naadaaroN kii izzat kaisi
log kahte haiN — magar aap abhi tak chup haiN
aap bhi kahiye GhariboN meiN sharaafat kaisi
nek maadaam! bahut jald vo daur aayega
jab hameiN zeest ke advaar parakhne hoNge
apni zillat ki qasam, aapki azmat ki qasam
hamko ta’azeem ke mayyaar parakhne hoNge
hamne har daur meiN tazleel sahii hai lekin
hamne har daur ke chehre ko ziyaa baKhshii hai
hamne har daur meiN mehnat ke sitam jhele haiN
hamne har daur ke haathoN ko hina baKhshii hai
lekin in talKh mubaahis se bhalaa kyaa haasil
log kahte haiN to phir Theek hi kahte hoNge
mere ehbaab ne tahzeeb na seekhii hogi
maiN jahaaN rahtaa houN insaan na rahte hoNge
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top