Apna Liya Tumhain...

  • Work-from-home

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
APNA LIYA TUMHAIN

Tum apnay apnay say lagay sou apna liya tumhain
Haal-e-dil sab hi khul kay bata diya tumhain

Kis tarah say chupatey dherkan kay shor ko
Shor jab had say berha to suna diya tumhain

Khaali khaali say dar-o-deewar they mere dil kay
Is khalish ko jo pur kiya to saja diya tumhain

Chalak rahi chahat mere chehrey say khushi ban kay
Jab say dil ki panahoon main basa diya tumhain

Soona soona sa tha meri umeedoon ka aangan
Machalti umangoon ki tarap nay paa liya tumahin

Kab say tanha phir raha tha
humsafar ki talab main
Bus younhi ik roz qismat nay mila diya tumhain

Nikhra nikhra tumhara husan meri amanat samjhna
Kali say badal kay gul-e-gulzaar bana diya tumhain

Deewanay pan ki hadain choo raha jazboon ka junoon
Doob kay mohabbat ki gehraiyoun main dikha diya tumhain

Cheen na lay yeh ehsaas shaiki beyderd zamanay ki rasam
Isi sabab duniyaan ki nazar say chuppa diya tumhain
Kaash tum na milay hotay mujhay

Kaash tum na milay hotay mujhay
kyonki jaanay ka taray itna dard na hua hota;
wo jo teri kasak reh gayi hai dil main maray
usko dur karanay ka bhi to koi rasta diya hota.

Humnay na socha tha ke paas aa kar
itnay dur chalay jaoogay tum;
rahoogay jindagi bhar saath maray
Har waqt mujhay yaad aaoogay tum.

Tumhay har waqt yaad kiya kartay hain hum
Teri yaad say he to jiya kartay hain hum;
Wo wajah kya thi ke ek pal main sab ho gaya khatam
tumnay rati bhar bhi na kiya hum pay raham

Agar Dil lagaanay ke dani thi etni badi saja
to zara tha esaara he kiya hota;
Humnay es gum say bharay samandhar main
koi sahara he kiya hota

toda hai dil aisa ke ab
joday say bhi nahi judta
Dil kay har konay par likha hai naam tera
kisi
or naam kay liyay kinara bhi nahi milta

bas ek baat hai to kehni hai tujhay
kaash tum na milay hotay mujhay

{}{r54
 

goodfrndz

"A faithful friend is the medicine of life."
VIP
Aug 16, 2008
12,849
4,072
1,113
محبت والا
very very zbrdast

~~~shukriya~~~

lage raho aisey hi . . . . .






{Nice post Tm}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{Nice post Tm}
{Nice post Tm}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{Nice post Tm}
{Nice post Tm}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{(pillow fight)}{Nice post Tm}​
 
Top