Asalamo aliekum
kuch batain aisi hoti hain jo intihai khoobsuroorat hoti hain jinhain perh kar 1 ajeeb si khushboo aati hai..aap log hairaan horain hongay ye kon si batain hain..
haan hosakti hain har shaks ki zindagi main hoti hai..aap ki meri sub ki agr aap longo k pass time ho to in khoobsurat baaton ko perhnay aur samajnay k liya zuroor time nikalye ga..
insaan ki zindagi main un k parents kitni ahmiat rakhtay hain..ye to sub ko hi pata hai..lakin un k hotay huay kabhi ye ahsaas nahi hota..
bilkul is tarha jaisay neem k ghanay darakht k neechay insaan beth kar sub kuch bhool jye k kitni dhoop aur tapish hai kitni barish hai mosam ki sakhti jo ye darakht bardaasht karraha hai ..
neem ka darakht apnay ghanay aur thanday sye ki waja se bohat mashoor hai...lakin agr isay kaat dia jye to kia hota hai..
koi shaks kia ye jaan sakta hai jis darakht k neechay ye betha tha wo darakht khud kitni dhoop aur mosam ki sakhtian bardaasht karraha tha..
haan ab aap samajh gai hongay..hamaray parents bilkul is neem k darakhton ki tarha hain jab tak ye hotay hain hamain dunya ki sakhtion ka ahsaas nahi hota aur jab chalay jaatay hain to in ki qadar mehsoos hoti hai phir hum aansoo bahatay hain kaash wo hotay to hum un ki itni khidmat kartay ye karatay wo kartay..
meray piyaaray behan bhaion aap se sirf itna kehna chahti hoon k olaad k liya parents bohat bari naimat hain un ki qadar un ki zindagi main hi jaan lijye plz unhain dukh na pohnchye kisi bhi baat par un k saath jitna mumkin ho khush akhlaaqi se pesh ayen...
Allah nay apni raza ko baap ki raza main aur maan k qadmon k neechay jannat aisay hi nahi rakhdi jis nay apnay parents ko khush karlia is dunya main wo hi shaks kaamyaab hai aur un ki duaon se zindagi ka har safar kamyaab hai...is liya apnay parents ki qadar kijye....
aur meray parents ko apnay esaalay sawaab main yaad rakhye
Allah aap sub k parents ka saya hamesha hamesha aap k saron par qaim rakhay (Ameen---summa Ameen)
Dua go
by ~*Ss*~