Apni kismat azma ker dekhna

  • Work-from-home

Innocent_Fairy

TM Star
Feb 19, 2010
2,671
664
813
Lahore
apni qismat aazma kar dekhna
tum azaa khana sajja kar dekhna

khud munafiq ka patta chal jayega
naara-e-haider laga kar dekhna

ho agar jannat zameen par dekhni
karbala ik baar ja kar dekhna

anmbiyaa ko dekhna chaaho agar
halqa-e-matam mien a kar dekhna

tumko zaahra ki dua mil jayegi
parcham-e-ghazi utha kar dekhna

wo to phir maula ali hain hashar mien
martaba qanbar ka aa kar dekhna

chaand taare dekhna chaho agar
daagh matam k sajaa kar dekhna

khushbu-e-rumaal-e-zehra chaaahye
ashk majlis mien bahaa kar dekhna

panjatan mehmaan khud honge zakki
farsh majlis ka bicha kar dekhna
 
  • Like
Reactions: Tariq Saeed
Top