Armaghan Ki Pasand

  • Work-from-home

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Aik pyari si larki hay wo,
Meray dil main rehti hay jo,
Meray sapni ki rani hay,
Dil mein dharkan ki tarah basti hay wo,
Jaisay dariya main kanwal khila ho,
Itna pyara hasti hay wo,
Koyal ki koo koo say ziyada,
Geet sureela gati hay wo,
Anakhan us ki, kiya kehna
Jaisay koi neeli jheel or wo,
Mera uska rishta hay kuch aisa,
Jaisay dil hon main aur dharkan wo,
Kuch khafa khafa si lagti hay,
Najanay aaj kion chup baithi hay wo.
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Khud ko is dil main basanay ki ijazat day do,
Mujh ko tum apna bananay ki ijazat day do,
Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho,
Pholon say khud ko sajanay ki ijazat day do,
Mein kitna chahta hon kis tarah bataon tumhein,
Mujhey yeh batanay ki ijazat day do,
Tumhari raat si zulfon mein chand sa chahra,
Yeh jaan tum phir lutanay ki ijazat day do,
Nahin shoq Saqib ko bhool ka magar,
Mujhey yeh duniya bhool janay ki ijazat day do
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe choor gaya tha
Armaano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab tor gaya tha
Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se meri rukh mor gaya tha
Dinn ki tanhayi ka gham, raaton ki udasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jod gaya tha
Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe choor gaya tha
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
NIKKAH & JANAZA
(FARQ SIRF ITNA SA THA)
Teri doli uthi,
Meri mayyat uthi,
Phool tujh par bhi barse,
Phool mujh par bhi barse,

FARQ SIRF ITNA SA THA
Tu saj gayi,
Mujhe sajaya gaya .

Tu bhi ghar ko chali,
Main bi ghar ko chala,

FARQ SIRF ITNA SA THA
Tu uth ke gayi,
Mujhe uthaya gaya .

Mehfil wahan bhi thi,
Log yahan bhi the,

FARQ SIRF ITNA SA THA
Unka hasna wahan,
Inka rona yahan.

Qazi udhar bhi tha, Molvi idhar bhi tha,
Do bol tere pade, Do bol mere pade,
Tera nikah pada, Mera janaaza pada,

FARQ SIRF ITNA SA THA
Tujhe apnaya gaya ,
Mujhe dafnaya gaya
 
  • Like
Reactions: Untamed-Heart

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Zindagi ! Teray Shab-o-RoZ
Ajeeb hain
Kahein Ansoo
Kahein Nafratein
Kahein Dukh
Ki Amazish hai
Kabhi Pao'n Taley
Zameen nahin
Kabhi Sarr Paey
Aasman nahin
Kabhi Har Rah
Paey khaarr hai
Kabhi Shaam-o-Shehr
Udaas haiN
Aey Zindagi Batla
Teray Kitney
Rung-o-Roop hain !
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
KABHI KHUD PE KABHI HALAAT PE RONA AAYA
BAAT NIKLI TO HER EK BAAT PE RONA AAYA
HUM TO SAMJHEY THEY KEH HUM BHOOL GAY HIEN UN KO
KEYA HOWA AAJ YEH KIS BAAT PE RONA AAYA
KIS LIYE JEETE HEIN HUM KIS KE LIYE JEETE HIEN
BAARHA AISE SAWALAAT PE RONA AAYA
KON ROTA HEY KISI UR KI KAHTIR AY DOST

SUB KO APNI HI KISI BAAT PE RONA AAYA
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Ujaar lamhon ki daastanain ager kaho tou sunaain tum ko
Bohat sa hum jagtey rahey hain chalo zara sa jagaain tum ko

Tumhi ho jo rashni si ban ker humari aankhon mein aa basey ho
Jab apni aankhain hi keh dya hai tou phir bhala kyun rulain tum ko

Tum aaj kyun muztarib ho janan,tumharey lehjay main toot kesi
Kaha na tha tum say waqt dai ga kadooraton ki sazaain tum ko

Tum aisa kerna k aik lamhay ko apni dharkan peh haath rakhna
Meri wafaain merey ye jazbay ager kabhi yaad aain tum ko

Ghubaar aalud raaston mein talaash ker ker k thak gaye hain
Kahan peh jaa k basay huye ho kahan se hum dhoond lain tum ko

Tumhain tou sukh aagay muyaser tumhain to hum yaad bhi nahi hain
Magr batao k hum jo chahain tou kis tarah se bhulaain tum ko

Tum apni baaton peh mutmain ho hamein bhi shermindagi nahi hai
Anaa ki diwaar ko gira ker nahi ye mumkin manaain tum ko

Kaho ae jazib ye jhoot hai naa k tum ne us ko bhula dya hai
Abhi talak jis ki shokh yaadein her aik lamha sataain tum ko........!!
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Lakiyaan Bewafaa Nahi Hoti

Wo to majborioun main lipti hain

Apney shiddat bharey khyaloun main

Apney ander chhupi ek aurat main

Wo hamesha hi darti rehti hain

Na to jeeti hain na to marti hain

Ladkiyaan bewafaa nahi hoti

Per Hamesha hi darti rehti hain

Apne Reeti or Rawajoun se

Anay waley naye Azaboon se

Zardruth main khiley gulaboun se

Pyaar kerti hain or chhupati hain

Ladkiyaan Bewafaa nahi hoti

Kyuon ki majborioun main lepti hain

Or her lamha darti rehti hain

Apney pyaar se apney saye se

Apney rishtoun se dil ki dhadkan se

Apni khawhish se apni kushioun se

Ladkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!
 
  • Like
Reactions: minaahil

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.

Chaar soo gunjti ruswai kise kehte hen.
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko

Koi lamha ho teri yad min kho jate hen.
Ab to khud ko bhi mayasar nhi a pate hen.

Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
Jo bhi gham aye use dil pe saha karte the.

Aik wo waqt tha hum mil k raha karte the.
Ab akele hi zamane k sitam sehte hen.

Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.

Hum ne khud hi apne raste min bichae kante.
Ghar min phoolon ki jaga la k sajae kante.

Zakham is dil min basae hoe khud rehte hen.
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.

Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
Yon to dunya ki har aik cheez haseen hoti he.

Pyar se barh kar magar kuch bhi nhi hoti he.
Rasta rok k har aik se yehi kehte hen.

Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.

Chaar soo gunjti ruswai kise kehte hen.
Ab jo bichre hen to…………………………………
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
!! Jo Hum Mehsoos Kartay Hain !!

Agar Tum Tak Pohanch Jaye.

!! To Bus Itna Samajh Lyna !!

Ye Un Jazbon Ki Khusboo Hai,

Jinhen Hum Keh Nahi Saktay.

!! Magar Tum Jo Ijazat Do !!

!! To Kuch Lafzon Main Kahun !!

Tum-Bin Marr To Sakta Hun..!

Tum-Bin Reh Nahi Sakta...!~​
 

Seemab_khan

ღ ƮɨƮŁɨɨɨ ღ
Moderator
Dec 7, 2012
6,424
4,483
1,313
✮hმΓἶρυΓ, ρმκἶჰནმῆ✮
Aik pyari si larki hay wo,
Meray dil main rehti hay jo,



Meray sapni ki rani hay,
Dil mein dharkan ki tarah basti hay wo,



Jaisay dariya main kanwal khila ho,
Itna pyara hasti hay wo,



Koyal ki koo koo say ziyada,
Geet sureela gati hay wo,



Anakhan us ki, kiya kehna
Jaisay koi neeli jheel or wo,



Mera uska rishta hay kuch aisa,
Jaisay dil hon main aur dharkan wo,



Kuch khafa khafa si lagti hay,
Najanay aaj kion chup baithi hay wo.
aaye hayeeee kon hy wo ;)
 
  • Like
Reactions: Armaghankhan

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Yeh jo deewanay se do chaar nazar aate hain
In mein kuchh saahab E israar nazar aate hain


Teri mehfil ka bharam rakhte hain so jate hain
Warnaa yeh log to bedaar nazar aate hain

Door tak koi sitaaraa hai na koi jugnoo
Marg E ummeed ke aasaar nazar aate hain

Mere daaman mein shararoN k siwa kuchh bhi nahi
Aap phooloN ke khareedaar nazar aate hain

Kal jinhein chhu nahi sakti thi farishtoN ki nazar
Aaj woh raunaq E baazaar nazar aate hain

Hashr mein kaun gawaahi meri dega ‘Saghar’
Sab tumhaare hi tarafdaar nazar aate hain
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Wo hu-msafar tha magar us se hum-nawaai na thi

Ke dhoop chhaaNv ka aalam raha, judaai na thi

MuhabbatoN ka safar is tarah bhi guzraa tha

Shikasta dil the musaafir, shikasta-paayi na thi

Adavatein thiN, taghaful tha, ranjisheiN thiN bahut

BichhaRne wale mein sab kuchh tha be-wafaai na thi

BichhaRte waqt un aNkhoN mein thi hamari Ghazal

Ghazal bhi woh, jo kisi ko abhi sunaai na thi

Kise pukaar raha tha woh doobta hua din

Sadaa to aayi thi lekin koi duhaai na thi

Ajeeb hoti hai raah E sukhan bhi, dekh ‘Naseer’


WahaaN bhi aagaye aakhir, jahaaN rasaai na thi
 
Top