ashk ankhon main kab nahin ata lahu ata hai jab nahin ata hosh jata nahin raha lekin jab wo ata hai tab nahin ata dil se rukhsat hui koi khwahish girya kuch be-sabab nahin ata ishq ka hausala hai shart warna bat ka kis ko dhab nahin ata ji main kya-kya hai apne ae hamdam [...]