Aur Teri Mohabbat….

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Teray khayal,
Teray khuwab
Aur teri mohabbat,
Zuban pay ghazal,
Hathon main kitab
Aur teri mohabbat
Gumnam alfaz,
Talkh sawalaat, benaam tehrirain,
Adhoray jawabat,
Aur teri mohabbat
Thandi sehar, sard hawain
Urhtay badal, taiz ghtain
Aur teri mohabbat
Halki dhoop, sohana mosam
Bheegay pair, shafaf aasman
Aur teri mohabbat
Teri baatain, tanha raatain
Kabhi hijr, kabhi mulaqatain
Aur teri mohabbat
Dar o baam, dhalti sham
Kitab qalam, tera naam
Aur teri mohabbat
Phool titli, bhaag o bahaar
Gaata darya, jhoomti lehrain
Aur teri mohabbat
Chamakta chand, jagmag taaray
Awara jugnu, bheeghi shabnam
Aur teri mohabbat
Jaltay chiragh, urhta dhua’an
Tera intizar, wasl ka samaan
Aur teri mohabbat
Chupta suraj, halki barsaat
Dhanak k rang, tera saath
Aur teri mohabbat
Sarhaanay takya, bikhra bistar
Bechain karwatain, raat ka pehar
Aur teri mohabbat….
 
Top