Bachon ke sath narmi baratna

  • Work-from-home

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Assalam o alaikum TM frenz mein hazir hoon eik naye thread ke sath

waise to doston mein khud zaati tour per aur aksariyat mein musalmaan
Bollywood ko like nahin karna chahte per yeh in dinon to humare
khaaskar PAKI aur INDIAN muslims ke nas nas mein hai per eik aur
baat sochne ki hai ke hai to bollywood beshaq gand aur ghuflat bhara
magar yaheen kuch achhi cheezein bhi mil jaati hain naseehat amoz
well baat ko short karke topic pe aate


eik bollywood song mein mene suna tha

Marham ki talash mein dekho nasoor mile jo mujh ko....... to zakhm hi doonga mein to



doston is line ki agar hum gehraiy mein jaayen to humare aaj ke generation ke bad tameez hone
ki wajeh khul ke saamne aa jati hai hum parents hon yaa bade bhai behen apne chhoton ke
aage ghussa dikhate hain chalein parents to sirf ghussa leikin bade bhai behen

to apni zid apni akar chhote kheil mein jeet per humesha use nichla dikhana yeh woh harkatein hain
jo hum us waqt us bache ke mind mein khud daal rahe hote hain aur phir jab wohi 17-25 ke darmyan mein
aata hai to hum se zyada woh seekh chuka hota hai aur phir use shouq hota hai
humein nichla dikhane ka sub se jeetne ka apna ghussa dikhane ka aur har baat pe itrane ka

leikin phir agar hum hi unke bachpan se hi yaani 7-13 ke darmyan tak un se narmi se peish aayen
unki khataon ko bhi darguzar karein aur kabhi kabhi jeette jeette bhi un se haar jayen aur kabhi
jeetein bhi to unko kahein koi baat nahin bhai/behna kheil mein to hota rehta hai

to kal woh jab 17-25 ke darmyan aayengein to humare sath kya sub hi ke sath is hi suljhe lehje
se peish aayengein laa parwahi nahin karengein


to aaiye aaj se eik achhi baat ka ehed kar lein ke hum apne chhoton per ghussa nahin dikhayengein
un se zid nahin karengein unhein achhi naseehatein karengein aur kheil qood mein un se jeet kar
unhein un ki haar per sharminda karne ke bajaye unhein tasalli dengein ke haar jeet kheil mein hoti rehti hai

warna yehi hoga ke aaj hum jo unke bachpane mein unke saath karengein kal
woh wohi apni jawani mein humare sath karengein
 

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
Mashallah bht khoobsurat thread saif .. !

their is a hadis of Rasool Allah S.A.W.W " Jo Choton per shafqat nai karta or barOn ki izat nai karta wo hum me se nai "

baat sirf mahool ki hai , Jis environment men bachay ko uproot kia jaye wohi mahool wo adopt karta hai ,

thanks for sharing ..:)
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Mashallah bht khoobsurat thread saif .. !

their is a hadis of Rasool Allah S.A.W.W " Jo Choton per shafqat nai karta or barOn ki izat nai karta wo hum me se nai "

baat sirf mahool ki hai , Jis environment men bachay ko uproot kia jaye wohi mahool wo adopt karta hai ,

thanks for sharing ..:)
JazaakALLAH durust farmaya bhai jan

my pleasure
Thanks for ur comment
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
bhai wahh bht acha thread lagaya hy aap ne chigoo bhaiya..aap to depter bngye ho....hmm bht achi aur informative baatein share ki hain aap ne..thanxx for sharing
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH
Top