Bachpan ka zamana hota tha,
khushiyon ka khazana hota tha,
Chahat chand ko panay ki,
Dil titli ka deewana hota tha,
Roney ki wajah na hoti thi,
Hansnay ka bahana hota tha,
Khabar na thi kuch subhu ki,
Na sham ka thikana hota tha,
Ammi ki kahani hoti thi,
Pariyon ka fasana hota tha,
Ghum ki zuban na hoti thi,
Na zakhmon ka pemana hota tha,
Barish main kaghaz ki kashti,
Har mosam suhana hota tha,
Har khail mazay ka lagta tha,
Har rishta nibhana hota tha,
Aay kash k bachpan loat aaye,
masoom sa bachpan loat aaye....
khushiyon ka khazana hota tha,
Chahat chand ko panay ki,
Dil titli ka deewana hota tha,
Roney ki wajah na hoti thi,
Hansnay ka bahana hota tha,
Khabar na thi kuch subhu ki,
Na sham ka thikana hota tha,
Ammi ki kahani hoti thi,
Pariyon ka fasana hota tha,
Ghum ki zuban na hoti thi,
Na zakhmon ka pemana hota tha,
Barish main kaghaz ki kashti,
Har mosam suhana hota tha,
Har khail mazay ka lagta tha,
Har rishta nibhana hota tha,
Aay kash k bachpan loat aaye,
masoom sa bachpan loat aaye....