Bacteria, Cell Phone Aur Toilet Seat

  • Work-from-home

shadow

Regular Member
Jun 9, 2007
128
60
928
42
Asalam Alekum Alll Friends...
Dial-a-Phone key tarf say key gayee eak research say yeh baat sabit howi hay kay kisi bhi cell phone per utnay hi bacteria hotay haiN jitnay kay eak Toilet Seat per...

Iss study kay mutabiq ju bacteria milay maiN un maiN say eak staphylococcus aureus nami skin bacteria bhi hay, iss say pehlay yeh bectaria, toilet seats aur darwazooN kay handles aisi jaghooN per hi paya jata tha...

Manchester Metropolitan University maiN Micro biology kay professor Joanne Verran, kehtay haiN kay go kay yeh jarasim dosri jaghooN per bhi paye jatay haiN per mobile per honay kay wajaah say in ka halqa, hamaray Hand bags, Pockets aur chehray tak phail jata hay.. ju kay dosri surat yani toilet seats ya darwazooN kay handles kay liya mumkin nahi hay.

Qisa mukhtasir, mobile phone ka mahool inn khaternaak jarasimooN key behtreen perwarish.gah haiN. agr yeh jarasim hamaray jism maiN dakhil ho jayaiN tu kafi zyada nuqsaan deh sabit ho sktay haiN.


Nateeja'tan mahreen ka kehna hay kay awal tu app apna Mobile phone sirf emergencies tak mehdood rakhaiN, yani bila'wajah aur bila'zaroorat just for fun calls kernay sy ijtaynaab karaiN... secondly, apnay mobile phones ko regular basis per saaf kertay raha karaiN, iss maqsad kay liya bazaar maiN disinfect-soultions dastayaab haiN.


enj0y
 
Top