Bottle Gourd

  • Work-from-home

Pariwisha

TM Star
Apr 19, 2013
4,569
3,987
513
Bottle Gourd

Bottle Gourd: Bottle gourd is very mild vegetable with almost no calorie and fat content; it is rich in proteins, fiber and minerals. It is light green in color and occurs in rounded or conical shapes. They can easily be grown in home gardens and lawns.

It has very soothing effects on stomach and solves many problems of indigestion like acidity or burning stomach, constipation, abdominal bloating etc.

It is best known vegetable for lowering blood pressure because it has no sodium content and a lot of potassium, which control blood pressure and heart rate, it should be given to ill patients and in patients with recovery phase because it gives energy without putting burden on digestive tract.

Patients with stomach and small intestinal ulcers greatly benefits from this vegetable, many active an ingredient in it increase mental alertness and improves memory. Bottle gourd water is very effective in making hairs long and strong. Bottle gourds are effective for relieving dehydration and can be eaten in diarrhea, dysentery and other intestinal infections.

It is very strong liver tonic and suitable for patients of jaundice and typhoid fever. Bottle gourd is also used to make a sweet delicious confectionery with dry fruits, which is healthy alternative of artificially flavored confectioneries.

Bottle Gourd in Hindi

Kaddu aik mashoor sabzi hai isay aam tor par thandi sabzi kay tor par dehaton aur shehron mein istemal kiya jata hai.

Kaddu ki kaee iqsam hain jis mein petha kaddu,gol kaddu waghairah mashoor hain magar haqiqat yeh hai kay loki bhi asal mein kaddu hi ki aik qisam hai jisay lamba kaddu samjhiye , kuch kaddu surahi dar hotay hain,kuch haray aur kuch surkh hotay hain,bad kaddu ander sy haray nikaltay hain aur baz ander say bhi surkh hotay hain, baz kaddu kay do shikam hotay hain.

Aik chota aur doosra qadray bara hota hai kaddu sirf sabzi hi kay tor par istemal nahin hota balkay barre saghir mein is say bohot mazedar mithayan bhi banae jati hain khas tor par pathay ki mithae to apni lazzat aur faiday ki wajah say bohot hi marghoob hai.

Mashoor aam bail ka phal hai jo chaperon par phailti hai. Sindh sagar kay ilaqay mein is ko petha kehtay hain. Qash dar hota hai aur aik sal tak rakha ja sakta hai. Rang ,upper say surkhi mail,ander say guda zard ya surkhi mail nikalta hai. Zaiqa shirin sardard darja doyam,tar darja doyam, miqdar khurak, abe kassu 5 tola say 10 tola takafal o istemal is ko bator tarkari paka kar khatay hain. Piyar bujhata hai. Khalaf ghaliz aida karta hai. Qalilul ghiza hai. Pait ko naram karta hai is ka halwah muqawi bah hai. Is ka guda bator plates phoron karbankal aur ganda zakhmon par bandhtay hain.

Tukham halwah kaddu aur roghan maghaz halwa kaddu donon kaddu dana kay liye karam kush tasir rakhtay hain jab bachon mein kaddu dana ki shikayat paee jati hai to 15 ratti takhmon ko chilkay samit koot kar shahad mein mila kar lauq banalain aur subha ka waqt nihar mun khila kar is kay do tin ghantay bad munasib miqdar mein cantroil pilain.

In ki tasir halki melon bhi hai. Hawa kaddu bhi tarbuz waghairah aur ghiya kaddu ki aik qisam hai aur isi khandan say taluq rakhnewali sabzi hai. Yeh aik bail ka phal hai jo gol aur lambutray iqsam mein miltay hain.

Is kay ajza mein vitamin A, B aur C shamil hain aur is ka mizaj sard tar hai gosht kay hamrah khana behtar hai. Har chand is mein ghizayat kam hoti hai. Magar yah qabz ko khatam kardaita hai. Dil o dimagh ko taqat dainay kay liye is ka istemal behtar hai. Hawah kudu blood pressure ko khatam karta hai aur piyas bujhata hai. Garmi door karta hai. Safravi bukharon mein hawah kaddu sab say behtarin sabzi hai is ka saln mariz ko khilanay say faida hota hai.

Daimi qabz kay mariz halwah kaddu ka istemal karain to daimi qabz ka khatima hojata hai. Hawah kaddu ka salan sil aur diq kay marizon kay liye behtarin ghiza hai is ka istemal sard mizaj logon ko adrak aur gosht kay baghair karna chahiye.



 
Top