Chahnay say kuch nahi hota

  • Work-from-home
Nov 11, 2010
150
74
0
Karachi

Chahnay say kia hota hay???

Chahnay say kuch nahi hota...Laikin ye bat kisi bhi chahnay walay ki samajh may nahi a sukti kyoon k her chahnay wala ye he samajhta hay k jo kuch wo chahta hay usay wo sub mil jaye ga

Us k dil o demagh k tamam tar khayalat matloob k gird tawaf kertay rehtay hain...
Aik zamana beet jata hay.....magar.....nateeja phir bhi sifer (zero) nikalta hay...
Chahnay wala kabhi mutma'in nahi ho pata ...aur ...uski bekarari her ghari berhti he chali jati hay... jab k dosri taraf uska matloob garoor o takabur may apni ankhon per siyah patti bandhay bohat dore nikal jata hay...aur...bechara talib ander he ander ghut-ta rehta hay....Phir aik din us k ander ka ye lawa phut parta hay...

Talib aur matloob k darmiyan na-chaki ki ik aisi dewar khari ho jati hay k jis k aik taraf talib hota hay aur dosri taraf matloob...

Matloob to nikal jata hay patli gali say...
aur
Talib apnay la-ilaj marz ki wajah say afsos nak anjam say do-char hota hay...

Aisay may gair iradi tore per hum sub keh uthtay hain k CHAHNAY say kuch nahi hota...
Laikin agar kisi ko chahnay say pehlay he hum apnay RAB say mang lain to kia ajab mojza ho k TALIB ko MATLOOB mil jaye...aur...Kisi ko sirf chahnay say bhi youn kuch na ho...
 
Top