Chehra Dikhta Nahin

  • Work-from-home

saj_killer

Newbie
Jul 23, 2008
90
68
0
37
Roshan kar rahein hain aashiyaan,dil ko jalakar, ke aur koi raasta sujhta nahin, Bahut mayus hue hain phir bhi, Humein roshni mein,apna chehra dikhta nahin. Woh le gaya hai humko humhi se churakar, ke ab koi apna sa lagta nahin, Aaina bhi gair sa lagta hai, ke aaine mein bhi,apna chehra dikhta nahin. Rukhsat dar se kar aaya hoon yaadein unki, ke wapas khushi ka daur aata nahin, Mehfil mein bhi tanha mehsoos hota hai, ke jaana pehchana koi,chehra dikhta nahin. Kya kariyega zindagi se wafa karke "faqeer", ke jeene ko ab dil karta nahin, Maut ke aagosh mein sukoon se so jayenge, Sar pe kafan yahaan,sehra dikhta nahin.
 
Top