Coffe With Rr- Dr. Maqsood Hasni!

  • Work-from-home

HorrorReturns

Banned
Mar 27, 2013
6,009
1,093
163
bachoon ki choti choti shartain achi lagti hain.
Allah aap sab ko apni aman main rakhe
sham ko hazar hoon ga
maqsood sahib kuch apnay baray main batain kahan paida howay.. ibtiahdai taleem kaha se hasil ki .. ur shairi or adab ka shoq kaisay parwan chara or likhai itni achi kaisay kartay hain...
 
  • Like
Reactions: cute bhoot

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Walaikum Assalaam

Dr. Sahab ki shakhsiyat say kaun waaqif nahin, main nay inn ki bohat see tehreer paRhii hain, humaray maashray per bohat gehrii nazar rakhtay hain... Mujhay yaqeen hay kay humain inn kay experience, inn ki knowledge aur inn ki adabi aur ilmi mohabbat, say bohat kuch seekhnay ko milay ga.

Aaj main Umra per jaa raha hoon, INSHALLAH wapsi per bohat saaray sawaal karoonga aur apni maloomat main izaafa karoonga.

Main aap ka iss thread main 'Tah-e-dil' say khushamdeed karta hoon, aur umeed karta hoon kay aap say interview karnay ka tajurba meri zindagi ka sab say 'khushgawaar' tajurba saabit hoga.

Khush rahyeh and thank you sister @Hoorain for selecting this 'Honorable personality' for this months interview.

FI amaan ALLAH
 

H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313
Assalam o alaikum TM family



aaj members ki behad farmaysh pe TM ki aik bohat hi adbi aur mohtaram shakhsiyat ko hum yahan invite krna chahain gey....inhe TM par sayed bohat kam log jaante hongey,,i m sure interview k baad sab inhe jaan jayain gey ..





Please welcomeee
***The very respectable ***

@dr maqsood hasni



great..

Welcome Dr. sahab.. umeed he ke Kuch kamon me aap ke tajrubon se hamen b faida poonchey ga.. ya aphir kuch baton se aap k tajrubon ke nataej ka sun kar ham khud hi taaeb ho jaen ge.. :p

Welcome Sir :)
 
  • Like
Reactions: Hoorain

dr maqsood hasni

Senior Member
Aug 11, 2008
943
286
1,163
72
kasur, pakistan
maqsood sahib kuch apnay baray main batain kahan paida howay.. ibtiahdai taleem kaha se hasil ki .. ur shairi or adab ka shoq kaisay parwan chara or likhai itni achi kaisay kartay hain...

padaesh: mohalla Islam pura, kasur
ibtadaee taleem:kasur
adbi shooq: walid sahib qibla syed ghulam Hazoor hasni, sufi aur sufi shair thay ziyada waqt oon ke sath gozra. dada syed Ali Ahmad hasni sufi aur farsi punjabi ke shair thay. goya walid sahib ko apnay walid se shooq mila aur mujhy apnay walid se yah warsa main dastyab howa.
likh laita hoon achi tehrirain hain ya bori yah to qari aur naqad hi keh sakta hai. haan ghoor karnay aur sochnay ki adat zara porani chali ati hai. yah qibla walid sahib ki ata hai.
Allah onhain qabr main karwat karwat sakoon ata farma'ay.
 
Top