Correct Definition to the Word's.

  • Work-from-home

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
Assalam o alaikum
Aaj hum Sociology ki class le rahe the to teacher ne hum se propaganda ki definition poochi hum ne jawab mien ye kaha k propaganda mean's afwah, phir teacher ne sahi meaning bataya, wo ye hei:
Propaganda: 1 group apne group k interest mein doosre group per koi baat kerta hei, k ye corrupt hei, without any proof, kisi bhi zerye se is baat ko phelaye.
For Example: PPP k member's Nawaz league k khilaf propaganda banate hein k ye 1 corrupt aadmi hei, taake logon ko us ki party k logon k interest se hata sakein aur isi terhan Nawaz League wale PPP k khilaf propaganda banate hein.
Now ye aaj bhi log Propaganda ko ghalat definition kerte hien,
Isi terhan bohot se alfaz hein jin mein bohot ferq hota hei but log un alfaz ko aik terhan tasawwar kerte hein, Like Propaganda and Afwah.
Aap is thread mein apni taraf se koi sa bhi aisa word jo aap ko lage k is definition se bohot se logon ko faida hoga ya aaj tak log is lafz ka ghalat istemal kerte the, un ki sahi definition post karein.
Ya kuch bhi aisa lafz jo aap ko lage is ki definition kisi ko nahi aati.
Note: Kisi word ko aam samajh ker mat shermayein k aap k paas koi theek definition nahi ager aap ghalat bhi post ker dein to aur member aap ki correction karein ge. is se ilm mei bhi izafa hoga.
Thanks
 

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
Abdiyat abdi ki jama hei aur abdi k maani hei kabhi khatam na hone wala. for example: jese k kaha jata hei k dunyawi zindagi faani hei aur akhri zindagi abdi hei us mein hamien rehna hei.
 
  • Like
Reactions: mashraki.larka
Top