Court Marriage Ki Islam May Haysiyat?

  • Work-from-home

Arosa

Active Member
Nov 17, 2013
200
68
78
Dreams
behna islam ne koi aisa mamla nahi chora jahan hame rehnumai nahi milti ho
mushkil ham me hai ke ham talash nahi karte aur jald bazi kar jaate hain

agar wali islam ki taleemat ko na mane to wo wali nahi rahega phir
larki k liye wali pehle uska baap hai agar baap wali ka haq adaa na kar sake to phir larki ka bhai phir larki ka cha cha uska dada is tarah se koi na ho tab qazi ya phir hakim e waqt

ye to mumkin hi nahi ke usko wali na mile aur wo court ko apna wali banaye
haan agar sharee adalat ho jisme sharee qazi ho to phir wo uska wali banega

lekin larki ka baap ek deen dar rishta laye aur larki na mane to phir isme larki baat nahi chalegi kyun k wo bila wajhe deendaar rishta thukra rahi hai

ye mamla itna pechida nahi jitna hamare mashre ne isko bana diya hai

jaise apne kaha ye condition un logon k liye hai jo islam ko follow karte hain

ab jo islam ko follow nahi karte unke liye sharee nikah ya court marriage koi maine nahi rakhegi kyun k waise bhi wo islam ko kahan follow kar rahe hain

unko samjhaya jayega agar koi samjhane wala ho to ya phir unke liye bas dua ki jayegi wallahu aalam
this was the thing i was asking and the post was lacking

thanks
 
  • Like
Reactions: Hoorain
Top