daagh-e-dil hum ko yaad aane lagay
loag appne diye jalane lagay
loag appne diye jalane lagay
kuch na paa ker bhi mutmain hien hum
ishq main hath kia khazaane lagay
ishq main hath kia khazaane lagay
yahi rasta hai ab yahi manzil
ab yahien dil kis bahaane lagay
ab yahien dil kis bahaane lagay
khud faraibi C khud faraibi hai
paas ke dhol bhi ,suhaane lagay
paas ke dhol bhi ,suhaane lagay
ab to hota hai her qadam pe gumaan
hum yeah kaisa qadam uthaane lagay
hum yeah kaisa qadam uthaane lagay
is badalte huway zamaane main
tere qisay bhi kuch purane lagay
tere qisay bhi kuch purane lagay
rukh badalne laga fasanay ka
loag mehfil se uth ke jaane lagay
loag mehfil se uth ke jaane lagay
aik pal main wahaan se hum uthay
baithne main jahaan zamane lagay
hum tuk aye na aye mousam-e-gulbaithne main jahaan zamane lagay
kuch prinde to chehchahaane lagay