Dard Hota Nahi Hai Yeh Kia Dard Hai

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Ibtada dard hai, inteha dard hai
Ishq ka dard to ladawa dard hai

Mein ne poocha wafa ka silah jo kabhi
Is ne hans kar yeh mujh se kaha dard hai

Pyar se ishq tak ja baja roshni
Pyar se ishq tak ja baja dard hai

Yeh neya phool hai aur yeh khushbo nayi
Yeh nayi sham hai aur naya dard hai

Zakham kaisa hai bharta nahi hai kabhi
Dard hota nahi hai yeh kia dard hai

Mein to darne lagi is ki tabeer se
Pyar aankhon mein jab se bina dard hai

Aik pal mein kahan kho gayi hai khushi
Ab to ulfat ki bas aik saza dard hai

Chor Shaheen! Wafa ka to ab tazkarah
Be wafa hai khushi ba wafa dard hai
 
Top