Dawat-e-Insaaf - Akhir Deobandi/Brelwi Ekhtlaf ki Asal Wajha kya hai ???

  • Work-from-home

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Aslam o Alaikum...

Aksar Logh yeh Question pochty hein ke akhir Deobandion aur Brelwion mein Ekhtlaf kyon hai ? Iss ki asal wajha kya hai ? aur zyada tar Logh yahi socthy hain ke Ekhtlaf yeh hai ke Brelwi Ya Rasool Allah kehty hain Deobandi Nahi kehty,
Brelwi Auliya ke mazarat per jatay hain Deobandi nahi jatay, Brelwi Salat-o-Salam party hein aur yeh Deobandi nahi party...... NAHI NAHI yeh ekhtlaf nahi hai Brelwi yeh kaam karty zaror hain laikin jo nahi karta uss ko kafir ya mushrak nahi kehty Ekhtlaf ki asal wajha kuch aur hai jo app ko iss Book mein pata chal jai gi tamam Members ko iss thread ko read karain woh meri post ki gai Book bhi zaror read karain Please!!!! taakey app ko bhi pata chal jai ke Ekhtlaf kinn cheezon per hai aur kyon hai.













 

khan_amer

Newbie
Oct 23, 2008
48
7
0
Carry own!!!

Kal ko jab app Allah ta'la key bargah maiN jayaiN gay tu wahaaN per yeh zaroor kahiyee ga kay eak nazuk waqt per jab tamam non-muslims, muslims ko neest.o.nabood kernay kay liya Islami mumalik key serhadooN per jama ho rahay thay, tu app uss waqt, muslmanooN kay firqooN maiN ittehad kay bajaye, nafrat tu nafaaq ko hawa day rahay thay.

Above maiN ju post howa hay, uss ka buhat hi tafseeli jawab hay, debandiyooN nay iss per aisay hi kitabaiN likheeN haiN jaisay brelviyooN nay likhi haiN... App Salamaat rahaiN aur muslmanooN maiN nafaaq aur nafrat kay beejh botay rahaiN.
 

Malang009

Banned
Oct 16, 2008
85
13
0
Canada
ڈارک ناءیٹ صاحب آپ نے علماء دیوبند سے ہمارے اختلاف کی دوسری بنیاد کے تحت آپنے علماء دیوبند کے جو عقاءید(اپنی طرف سے بنا کر) لکھے ہیں ان میں سب سے پہلا عقیدہ آپ نے لکھا ھے کہ "امتی عمل میں انبیاء سے بڑھ جاتے ہیں"میں اسبارے میں یہ کہنا چاہتا ہوں کہ اللہ کے واسطے دھوکہ دینا بند کر دو کیونکہ اصل عبارت میں "بظاہر" کا لفظ موجود تھا جس سے یہ بات بلکل بھی کفریہ نہیں بنتی آپ نے وہ لفظ کھا لیا اور یہاں پر لکھا نہیں ۔ میرے بھای اللہ سے ڈرو اور اسکو ختم کرو ۔ فورم میمبرز مجھے باتءیں کہ حضور ﷺ نے زندگی میں کتنے حج کیے تھے ؟ پھر خود بتاءیں کہ وہ کتنے ایسے لوگوں کے بارے میں سن چکے ہیں جنھوں نے 10-10 حج بھی کر رکھے ہیں ۔تو کیا "بظاہر" ایسا نہیں لگتا کہ وہ عمل میں حضورﷺ سے بڑھ گءے ہیں ۔مولانا قاسم نانوتوی ؒ کی بھی یہاں پر یہ ہی مراد ہے کہ "ہمیں ایسا لگتا ہے کہ لوگ عمل میں حضور ﷺ سے بڑھ گءے ہیں لیکن ایسا ہوتا نہیں ہے " جسکسی کے عقاید کفریہ ہیں بھی نہیں لیکن ڈارک نایٹ جیسے لوگ خود انکی باتوں کو بدل کر آدھے لفظ لکھ کر کے ان کو کفریہ بنا چھوڑتے ہیں۔
 

khan_amer

Newbie
Oct 23, 2008
48
7
0
^^ App kay sawal maiN mazeed Add kerna chahooN ga umeed hay app bura nahi manaiN gay , Sawal hay kay Imam Abu Hanifa, Muqalid thay ya Ghair Muqalid, agr muqalid thay tu kis kay?
 

Malang009

Banned
Oct 16, 2008
85
13
0
Canada
Deobandi Aur Bralvi main se asli Hanfi Kon hai? Imam Abu Hanifa Deobandi thai ya Bralvi
apka jahil hona yahin sey sabit hay
fiqah hanafi par jo mukamal hay wo hi imam abu hanifa ki taraf hay ab mujey batain k kia sahaba nay apney ap ko ahle hadith kaha ya nahi
tabaeen nay apney ap ko ahle hadith kaha ya nahi
taba tabeen nay apney ap ko ahle hadith kaha ya nahi
qazi shokani nay apney ap ko ahle hadith kaha ya nahi
Hazoor SAW nay apney apko ahle hadith kaha ya nahi
quran or hadith k hawaley sey jawab dain
 

Malang009

Banned
Oct 16, 2008
85
13
0
Canada
^^ App kay sawal maiN mazeed Add kerna chahooN ga umeed hay app bura nahi manaiN gay , Sawal hay kay Imam Abu Hanifa, Muqalid thay ya Ghair Muqalid, agr muqalid thay tu kis kay?
Imam Abu Hanifa Mujtahid they or Mujtahid k liye taqleed wajib nahi imam abu hanifa Rehmatullah mujtahid they
 

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Carry own!!!

Kal ko jab app Allah ta'la key bargah maiN jayaiN gay tu wahaaN per yeh zaroor kahiyee ga kay eak nazuk waqt per jab tamam non-muslims, muslims ko neest.o.nabood kernay kay liya Islami mumalik key serhadooN per jama ho rahay thay, tu app uss waqt, muslmanooN kay firqooN maiN ittehad kay bajaye, nafrat tu nafaaq ko hawa day rahay thay.

Above maiN ju post howa hay, uss ka buhat hi tafseeli jawab hay, debandiyooN nay iss per aisay hi kitabaiN likheeN haiN jaisay brelviyooN nay likhi haiN... App Salamaat rahaiN aur muslmanooN maiN nafaaq aur nafrat kay beejh botay rahaiN.
Very good point but jab Allah ne yeh kaha ke Jab Allah aur Uss ke Nabi Sallalahu alaihe wassalam ki shaan mein Musalman hee Ghustakhiyan kar rahai thay tu uss waqt tum logon ka mouth kyon band raha tha ??????? kya tum logh itna bhi nahi kar sakty thay ke logon ko unn Musalmanon ke baray mein bata daity ? sab ko pata hai ke Ghair Muslim Musalman nahi hota aur Ghair Muslims ko kya lagai Allah aur Uss ke Rasool say jab woh unn ko manty hee nahi laikin jab Muslim aisa karta hai tu dil ko dukh hota hai buhat zyada dukh ke Muslim hoo kar bhi aise harkat......
Baat sirf samajhne ki hai!!!!!
 

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
ڈارک ناءیٹ صاحب آپ نے علماء دیوبند سے ہمارے اختلاف کی دوسری بنیاد کے تحت آپنے علماء دیوبند کے جو عقاءید(اپنی طرف سے بنا کر) لکھے ہیں ان میں سب سے پہلا عقیدہ آپ نے لکھا ھے کہ "امتی عمل میں انبیاء سے بڑھ جاتے ہیں"میں اسبارے میں یہ کہنا چاہتا ہوں کہ اللہ کے واسطے دھوکہ دینا بند کر دو کیونکہ اصل عبارت میں "بظاہر" کا لفظ موجود تھا جس سے یہ بات بلکل بھی کفریہ نہیں بنتی آپ نے وہ لفظ کھا لیا اور یہاں پر لکھا نہیں ۔ میرے بھای اللہ سے ڈرو اور اسکو ختم کرو ۔ فورم میمبرز مجھے باتءیں کہ حضور ﷺ نے زندگی میں کتنے حج کیے تھے ؟ پھر خود بتاءیں کہ وہ کتنے ایسے لوگوں کے بارے میں سن چکے ہیں جنھوں نے 10-10 حج بھی کر رکھے ہیں ۔تو کیا "بظاہر" ایسا نہیں لگتا کہ وہ عمل میں حضورﷺ سے بڑھ گءے ہیں ۔مولانا قاسم نانوتوی ؒ کی بھی یہاں پر یہ ہی مراد ہے کہ "ہمیں ایسا لگتا ہے کہ لوگ عمل میں حضور ﷺ سے بڑھ گءے ہیں لیکن ایسا ہوتا نہیں ہے " جسکسی کے عقاید کفریہ ہیں بھی نہیں لیکن ڈارک نایٹ جیسے لوگ خود انکی باتوں کو بدل کر آدھے لفظ لکھ کر کے ان کو کفریہ بنا چھوڑتے ہیں۔
malang bhai yeh tu khair app ki purani adat hai aghar app logh apni Ghalti maan jatay tu ajj Deobandi/Brelvi Bhai Bhai hotay laikin app ne kabhi apni ghalti nahi mani jiss ki wajha say ajj hum alag alag hain...
Meray bhai abhi mera PC kharab hai aur mein apne Bhai ka PC use kar raha hon aur tamam Scan Pages meray apne PC mein hain woh Jaisy thekh hota hai mein app ko Scan Pages post karta hon phir app say kuch Questions bhi karon ga.
InsahALlah
 

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
^^ App kay sawal maiN mazeed Add kerna chahooN ga umeed hay app bura nahi manaiN gay , Sawal hay kay Imam Abu Hanifa, Muqalid thay ya Ghair Muqalid, agr muqalid thay tu kis kay?
Malang bhai ne buhat acha Answer diya tu phir mein kuch kehna nahi cahta :)
 

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
apka jahil hona yahin sey sabit hay
fiqah hanafi par jo mukamal hay wo hi imam abu hanifa ki taraf hay ab mujey batain k kia sahaba nay apney ap ko ahle hadith kaha ya nahi
tabaeen nay apney ap ko ahle hadith kaha ya nahi
taba tabeen nay apney ap ko ahle hadith kaha ya nahi
qazi shokani nay apney ap ko ahle hadith kaha ya nahi
Hazoor SAW nay apney apko ahle hadith kaha ya nahi
quran or hadith k hawaley sey jawab dain
Imam Abu Hanifa Mujtahid they or Mujtahid k liye taqleed wajib nahi imam abu hanifa Rehmatullah mujtahid they
Right :)
 

khan_amer

Newbie
Oct 23, 2008
48
7
0
Very good point but jab Allah ne yeh kaha ke Jab Allah aur Uss ke Nabi Sallalahu alaihe wassalam ki shaan mein Musalman hee Ghustakhiyan kar rahai thay tu uss waqt tum logon ka mouth kyon band raha tha ??????? kya tum logh itna bhi nahi kar sakty thay ke logon ko unn Musalmanon ke baray mein bata daity ? sab ko pata hai ke Ghair Muslim Musalman nahi hota aur Ghair Muslims ko kya lagai Allah aur Uss ke Rasool say jab woh unn ko manty hee nahi laikin jab Muslim aisa karta hai tu dil ko dukh hota hai buhat zyada dukh ke Muslim hoo kar bhi aise harkat......
Baat sirf samajhne ki hai!!!!!


Kiya woh shakhs ya grooh muslmaan reh sakta hay ju App (SAAW) key shaan maiN ghustakhi ka murtakib ho? buhat sada say sawal hay, yeh tu possible hi nahi kay koy Muslmaan bhi ho aur woh Allah kay nabi (SAAW) key shan maiN ghustakhiyaaN bhi kerta phiray??? Please iss ka jawab zaroor dee jiya ga... kyoN kay app kay baqool deobandi App (SAAW) key shan maiN gustakhi kertay haiN etc etc... so please do answer this.

Eak baat aur kehta chalooN kay recently ahliyaan-e-maghrib nay App (SAAW) key shan maiN ghustakhi key, aur jawab maiN "ham" berlavi aur deobandiyooN nay ma'siwa'e apni hi motor-cycles imaraataiN aur degr imlaak ko jalanay aur toR phoR kay illawa koy kaam nahi kiya. Aaj bhi un key embassies kay bahir yeh log intay'ha'yee bay-sharmi kay saath visa mang rahay haiN.. kis berlvi ya deobandi aalim etc ko yeh tofeeq nahi howi kay woh in mumalik maiN janay walooN ko rokay aur wahaN per muqeem muslmanooN ko hijrat key talqeen karay... yeh sab Drama hay kay falaaN nay toheen key.. her koy apni syasat key dukan chamka raha hay, aur her cheez sirf bayan bazi tak hi mehdod hay... jab amal key bari aati hay tu her koy apnay paiT key tarf daikhta hay.. uss waqt App (SAAW) key shaam so-called jan-nisarooN aur dukhi hazraat kay liya secondary ho jatee hay. yeh hay hamari asal ikhlaqi halat, aur yeh munafqat key bd'tareen shakl hay.

Tafrqa Bazi aur iss key himayat bd'tareen lanat hay, aur app kay reply aur logic ko dekhtay howay maiN yeh keh sakta hooN kay bila shuba ham per yeh lanat puri taraah nazil ho chuki hay.

Baqi rahi non-muslims key baat, tu app key itlaa kay liya arz kerta chalooN kay Islam sirf issi liya nahi aya kay woh eak makhsos illaqay ya garooh tak mehdood ker diya jaye, Islam qabool kernay walay per yeh zimadari bhi ayed hoti hay kay woh Allah ta'la ka paigham non-muslims tak ehsan tariqay say puhanchaye... kiya app key iss post say yeh maqsad hasil ho raha hay, infact app key post kerda material per eak bhai nay post bhi ker diya hay aur app ko indirectly ilmi bd'ayanti kernay ka ilzaam bhi lagaya hay. Ab jab yeh post un tak puhanchay gee ju muslmaan hi nahi, jinhay Allah kay kalaam key tarf bulana hamaray awaleen faraiz maiN shamil hay, tu app shayad samajh saktay hooN kay app Berlivi aur DeobaniyooN kay baray maiN kya raye qayem karaiN gay...

App kay jawab ka intayzaar rahay ga.

Aur app nay sahi kaha kay baat sirf samjhnay key hay, maiN iss maiN yeh add kerta chalooN kay baat wusat-e-nazr key bhi hay...
 
Top