Democracy The Anti Islamic System

  • Work-from-home

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Assalaamu alaikum doston
(Subse mukammal thread parhne ki guzarish hai)
humse humare eik musalmaan bhai ne
sawal kiya ke jamhuriyat ISLAM ke khilaf kese hai hum khud se
hi kaafi arse se is mutaliq thread lagana chah rahe the per ALHAMDULILLAH
aaj ja kar taufeeq naseeb huwi to aaj humare is thread ka maqsad aapko
hazir ke shirk e azeem JAMHURIYAT se aagah karna hai agarche
bohot se liberal naam nihad musalmaan bohot se aise musalmaan
jinhen is mutaliq zyada ilm nahin jamhuriyat ko ISLAM ka hissa
samajhte hain ya phir islami jamhuriyat aur maghribi jamhuriyat
ka nazariya rakhte hain lekin dar haqeeqat jamhuriyat hai kya
aaiye jaante hain
Jamhuriyat:-
jamhuriyat lafz nikla hai jamhur se jiska matlab hai unki hukmurani
jo ke kaseer tadad mein hain,wo qawaneen maanna jo kaseer tadad ke
logon ne kahe hain aur mulk ka soobon ka shehron aur ilaqon ka
sarbarah jamhur ke kehne ke mutabiq chunna
to subse pehla sawal ISLAM wo loug jo majority(jamhoor)mein hain
unki pervi ke mutaliq kya kehta hai
doosra nuqta loug kehte hain shariyat me shoora hoti hai jisme loug
intikhab karte hain sarbarah ka........lekin eik baat wazeha rahe ke
shoora mein taqwa mein buland chand buzargaan ye faisla karte hain
ke kise khalifa chuna jaaye jabke
Jamhuriyat mein sarbarah chunne ka tareeqa:-
is nizam mein sarbarah ke liye us hi ka intikhab hota hai
jise qoum mein maujood aksar loug chunen
khwah qoum ke wo loug be namazi,munafiq,ehl e kufr hi se
kyun na hon,hatta ke jamhuriyat ka qanoon hi hai ke
talib o harees e iqtidar khud dar dar ja kar darkhwast karta hai
is per ISLAM kya kehta hai ??
teesra nuqta kya agar in baaton ko hata diya jaaye
aur tareekh dekhi jaaye to kya humen ye saboot milta hai
ke RASOOL ALAEHE SALAM ke waqt mein jamhuriyat thi
kya wo ISLAMI jamhuriyat ke tarz per mumalik per hukumrani
karte the
ISLAM aur jamhuriyat:-
ISLAM ka door door tak jamhuriyat se koi waasta nahin
agar ISLAM ki tareekh dekhi jaaye to Rasool alaehe salam jab
sarbarah the tab musalmaan dunya mein aqliyat me the
Hazrat Abu Bakar Umer Othman Ali o Hassan o Muavia radiallah anhum
tak ke waqt e khilafat tak hum aqaliyat me hi rahe mazeed
banu osman banu abbas ke daur e khilafat mein bhi hum aqaliyat me rahe
ISLAM ka matlab ALLAH aur RASOOLALLAH alaehe salam ke
ehkaam ko maanna aur unhen nafiz krna hai ab chaahe usse
aqaliyat ko aetraaz ho ya aksariyat ko
humare haan to ISLAM ke hukm ke baad
apne faisla sunane ka tasawwur tak nahin
chotha nuqta kya Pakistan ko ISLAMI jamhuri mulk banane ke liye
qaiym kiya gaya tha to jawab Hazrat Allama Iqbal rahemullah alaeh
ke ashaar aur nazariye mein hai jinhone subse pehle Pakistan banane
ka socha aur ehl e imaan ko bedaar kiya
mazeed
eik taraf Allama Iqbal rehmatullah alaeh sahab jinke nazdeek
maghrib ki bimari hi jamhuriyat hai wahin doosri taraf hum
jamhuriyat ko Pakistan ka matlab qaraar dene per tule hain
jahaan ye baat aaiyne ki tarah saaf hai ke Iqbal rehmatullah alaeh
jamhuriyat ke sakht mukhalif the wahin ye baat bhi ghalat nahin
ke muslim league mein bohot se aise loug the jo badbakhti se
jamhuriyat ke haami the jiska nateeja hum aaj tak bhughat rahe hain
misalan Hafeez jalindhri jinhone Pakistan ke qoumi tarane me likha
Pak sar zameen ka nizaam
quwwat e ukhuwat e awaam
beherhaal ye nazariya eik jamhuri aur ghair ISLAMI Pakistan ko
peish karta hai aur Iqbal ke khwab ke bilkul hi khilaf nizam ko peish karta hai
panchwa nuqta
Jamhuriyat kiski eijaad hai:-
Jamhuriyat eik bohot purana nizaam hai
abhi kuch sadi pehle isse taaza Greek walon ne kiya
(kuch logon ke nazdeek iske bani hi wahi the)doosri taraf
kuch logon ke nazdeek ise Romans ne banaya 6th century B.C mein
chatta nuqta
Jamhuriyat aur ulma e ISLAM:-
Agar Jamhuriyat eik dushman e ISLAM nizam hai to
bohot se Musalmaan ulma hi ise ISLAM ka hissa kyun batate hain?
aur hatta ke ye tak kehte hain jo vote na daale wo gunehgaar
iska jawab ye hai ke har daur mein aise ulma aaye hain jo ke
dar haqeeqat ehl e kufr ke saathi hain aur musalmaanon ko bhatkate hain
naam aur firqe ka zikr kiye bina aapko batata chalun
ke jamhuriyat ke haami wahi ulma hain
jo Imran firasat kafir e azeem,Banking nizam,Paki currency per
tasaveer,Court marriage sameit sekron ehem masaiyl per chup hi rehte hain
hatta ke aaj kal to humare haan sarkari tankhwaen sood hi per
mabni hain is per bhi khamoshi hi hai
lekin doosri taraf humare paas aaj ki tareekh mein chand aise naamwar
azeem hastiyan bhi maujood hain jo na firqaparasti ko farogh dete hain
na hi is jamhuriyat ke haami hain balke ise nizam e firon qaraar dete hain
aur hazir ka shirk e azeem kehte hain jinme subse bare naam
Pakistan ke Doctor Israr Ahmed rahemullah alaeh ka hai(ALLAH unhen jannat me aala maqam de)
doosra naam
Sheikh Imran Nazar Hussain hafizullah alaeh ka hai(ALLAH inki hifazat farmaye)
mazeed jamhuriyat ke hawale aapka koi bhi sawal ho to aap mujh se pooch sakte hain
IN SHA ALLAH taufeeq huwi to zaroor jawab dunga
JAZAKUMULLAHU wakhairaan
 
  • Like
Reactions: Chaya

Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon

Well done @S_ChiragH zabardast thread awesome :)
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

LaaraibLikhaari

Senior Member
Dec 14, 2013
629
360
63
Mumbai Meri Jaan...........
kya is dr israr ahmad ka hawaala de rahe hain aap...........?
dr israr.jpg
jis ne allaah paak ki panaah Hadrat e Ali Maula Mushkil kusha کرم اللہ وجہ الکریم ke ta'alluq se kaha ke muaazallaah sharab pi thi.....................?
dr israr ahmad ke alaawa baqi tamaam cheezo se ittifaaq hai.............
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
JAZAKALLAH khairaan @Fanii @SweeeT_AnGeL @Wafa_Khan @LaaraibLikhaari

kya is dr israr ahmad ka hawaala de rahe hain aap...........?
View attachment 74302
jis ne allaah paak ki panaah Hadrat e Ali Maula Mushkil kusha کرم اللہ وجہ الکریم ke ta'alluq se kaha ke muaazallaah sharab pi thi.....................?
dr israr ahmad ke alaawa baqi tamaam cheezo se ittifaaq hai.............

Aa ji chhoren na inki shakhsiyat per aetraaz warna behes ka rukh badal jayega
 
Azeyy

•´¯`•» RuDleSS AzeYY «•´¯`•
VIP
Aug 17, 2012
12,084
5,479
513
lahore
w/salm Broo !
MashAllah bhoot hi piyara or Informative thrad creat kiya ha !
Allah tala hum sab ko Aqal me sahoor ata frmaye (Ameen) !
 
Top