Dil azaari ka anjaam

  • Work-from-home

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Dil azaari ka anjaam
Amreen apne ghar walon ke sath uzaifa ke ghar mein bethi huwi hoti hai
uzaifa aate hi use dekh kar kehne lagta hai ammi aaj kal mere peechhe
gaayen pari huwi hai woh bhi daano wali jin alfzon se Amreen ki dil azaari
hoti hai woh samjah jati hai ke uzaifa ka ishara us hi ki taraf hai kyunke
Fatima jo uzaifa aur amreen ki dost hoti hai woh amreen ko kisi bahane se
uzaifa ke ghar aur uzaifa ghar bhejti hai aur uzaifa ko kehti hai larki pasand
aaye to kehna Amreen ke manah karne bawajood woh kehti hai dekh lene mein
kya harj hai...
Amreen ke dil mein us shaam ke baad eik hi faryad hoti hai aur wahi faryad
namazon tasbeehon ke baad uske labon pe aata hai ke ae ALLAH mere dil
azaari ka badla aur mere sabr ka phal tu mujhe ata karega mein jaanti hun
aur ae ALLAH meri shadi tab aur usse ho jab aur jisse tu mere liye behetter
jaane taqreeban Amreen ke dili ghaav mein kuch kami aana mumkin
hone lagta hai ke Fatima uske ghar aati hai usse muafi maangne aur kehti hai
mujhe nahin pata tha woh aise karega woh baad mein bhi tumhari buraiy kar
raha tha Amreen kehti hai koi baat nahin is mein tumhari koi ghalti nahin aur
uski bhi usne to apna nazariya peish kiya mere baare mein aur kuch nahin Amreen
ne apne dil ke dard ko apne labon se chalakne to na diya per dil ke aas mein lagi
aag ka aaina uski nigahein ban rahi thin jiske sabab Fatima aur pashemaan ho gaiy
apni anjaan khata perwaqt ke guzarte guzarte Uzaifa ki mangni teh ho gaiy use ALLAH
ke hukm se uske khuabon jaisi larki mili haya daar bhi parhi likhi bhi hunar mand
bhi aur khoobsurat bhi aur jab larki mein yeh saare gun uzaifa ko dikhe to usne
shadi ki jaldi ki aur albatta phir uske ghar walon ne bhi uski baat rakhte huwe
uski shadi karwa hi di........ ab uzaifa khud ko dunya ka sab se khushnaseeb
banda samjahne laga tha ke mere paas doulat sukoon hain hi ab sab se
khoobsurat ghar wali bhi hai jo ke fashion wali bhi hai koi gavar nahin
hai jaise ki is doar ke baaz larkon ko hota hai uzaifa ko bhi teiz raftar
bike chalane ki aadat thi aur is hi aadat o shouq ne use eik bhayanak haadse
mubtila kar diya jab woh hospital mein tha to uski zouajh sameit uske tamam
ghar walon ne uski pur khuloos khidmat ki uska dhiyan rakha kisi nurse ke
hawale use nahin choda uska poora khayal uski ghar wali ne khud kiya aur
jis dekh bhaal ke sabab woh jald behetter hone laga doctor ne uske walid
ko bulwaya aur kaha ke choonke ab uzaifa bhi behetter hone laga hai aur
aapke bhi sar per pressure kuch kam lag raha hai mein aapko eik raaz aur
afsosnaak aur baap ke liye dardnaak raaz se waqif karwana chaahta hoon
uzaifa ke paanv us haadse mein buri tarah kuchle gaye the uske paaun hongein
dekhni mein to sahi salamat per woh unhein istemal karne se qasir rahega uske peir
nakaara ho chuke hain woh ab chal nahin sakta doctor iska ilaaj to hoga hi aapke
paa.... doctor baat ko kaat'te huwe dekhiye hum apni poori koshish ke saath inhein
achhe se achhe medicines dete rahengein per mera tajurba kehta hai ke iske paanv
ab sahi nahin ho sakte ab aapko sab ALLAH ke rehem o karam pe chhorh dena hai
yehi baat jab uzaifa sameit baaqi ghar walon ko ke ilm mein aaiy to un per to
jaise qayamat guzri poora ghar ghum se nidhaal ho gaya aur chaar din guzarne ke
baad doctor ne uzaifa ko ghar le jane ki ijazat de di junhi uzaifa ghar pohncha
usne dekha ke uski biwi kapre almaari se nikal kar pack kar rahi hai aur jaise
kahin lambe arse ke liye jaane ka band o bast kar rahi hai uske poochhne per
boli mein eik langde ke saath apni jawani apni khushiyan apni umer kaise zaya
kar doon mein khoobsurat bhi hoon parhi likhi bhi mein apni zindagi kyun barbaad
karoon in alfazon ke baad dil bardaashta na hone ke bawajood use rukne ko eik
baar uzaifa kehta hai to woh kehti hai uzee plz koi moti gaayen hoti woh phir bhi
shayad tik jaati tumhare saath tumhara dekh bhaal karti tumhein sanbhalti magar
mein yeh sab nahin kar sakti mujhe bakhsh kar jaane do samjhe jin alfaazon
ke baad use apni khata yaad aati hai ke usne kisi ki dil azaari ki thi woh paanch
din tak musalsal buri tarah mann se nidhaal ho kar is hi souch mein gum
rehta hia ke ALLAH ke hukm se mera yeh haal bana mere sabaq seekhne ka
zariya kaash mein pehle sanbhal jaata per is hi kaash ko woh sach karne se
ab qasir tha to woh socha ke apne ghalti ki muazrat hi kar loon is irade se woh
phone mangwa kar Fatima ko phone lagta hai haal hcaal poochhne ke baad Amreen
ke baare mein poochhta hai to Fatima kehti hai hmmm woh to ab is sheher mein
nahin rehti shaadi ke baad uska sheher use Islamabaad le gaya wahan uske
shohr ka kuch business chalta hai naa tabhi woh 'Amreen ko bhi saath mein le gaya
fgatima ke poochhne per woh kehta hai aise hi mujhe kuch ehsaas huwa Fatima yeh
jaan kar ke waqai Uzaifa ke awaaz se hi dard pachhtawe ka pata chal raha hai
woh jawaban sirf kehti hai agar mera rabta huwa to tum se kahungi hoon.... moti
behens ki to shadi ho gaiy zindagi sanwar gaiy per shehzaada jo dikhne mein bhi
achha tha doulat o sukoon bhi jiske paas tha jo dunya mein sab se zyada
khushnaseeb tha wohi eik glass pani ko bhi ab kisi ka mohtaaj hai.... yeh hai
ALLAH ke bandon ki bina wajeh dil azaari ka anjaam


humein kisi ki kabhi dil azaari nahin karni chahiye har ki bhala bura apne liye hota hai is jism
ko saja kar humein kya hi mil jaata hai jaise ke eik mashhoor shakhsiyat ka qoul hai ke

khoobsoorati ki kami khoobseerati poora kar sakti hai lekin
khoobseerati ki kami khoobsoorati poora nahin kar sakti

tabhi humein apne chehre se apne jism se zyada aur pehle
apne dil ke mann ke achhaiy ko naapna chahiye aur doosron
mein bhi yehi sheh dhoondhni chahiye aur kabhi kisi ki bhi dil azaari
nahin karni chahiye kyunke
ALLAH apne har bande ko maa se bhi
70,000 gunaah zyada pyaar karta hai
to jab eik maa hi badla lene
pe utar aati hai agar uske oulaad ki dil azaari huwi ho to ALLAH apne
bande ki dil azaari ki aur is tarah haq bad duaiy ka silah to deta hi hai
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
wahhhhh...bahut umaa likha....
bahut ibratnaak anjam hota hai kisi ki dilshikni ka..
Nice sharing Bro...
 

mirza37

Hot Shot
Jul 17, 2010
15,341
7,043
913
48
UAE ABU DHABI
wow khuda ki lathi kitni bay awaz hay jub pakerta hay to pher ..... achy achy theek ho jaty hain .. nice meaning full story . thanx for nice sharing
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
boht acha likha hai ap ne..
waike hi apni zaat ki nafi boht taqleef deti hai..
kisi ki dil'aazari ka anjam b bura hota hai...Allah b ise pasnd nhi farmata..
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
safe............ye tumnay kud likke hay??????????????
wow very very very nice bro...
beshak rub ki lathe bay awaz hote hay....

wesay amreen nd fatima....{(haha})
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
bohot hi acha likha hai chirag apne...
khoobsoorati ki kami khoobseerati poora kar sakti hai lekin
khoobseerati ki kami khoobsoorati poora nahin kar sakti


bilkul theek farmaya...
JazakaAllah khair for sharing
 
  • Like
Reactions: Tooba Khan

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Iam just Speechless aapke es topic ne wakiye he buhut acha msg diya...
Allah se yahi Dua hain k hame kessi k Dil azaari ka sabab na banaye Aameen.
baki aapke topic ki jeetne tareef kare bro voh kum hain because esse ek reality bayan huti hain and thats above everything..
JazakAllah Khair...
 
Top