dj collectioz

  • Work-from-home
Feb 28, 2008
40
14
0
39
Safar tu maine kia tha..saz-o-samaan uskey they….
Main tu bas razdaar tha uska, warna saarey raaz uske thay.

Wo darya mein pyasa baitha tha,
Jabkey samander tamaam uskey thay…

Wo dhoop mein baitha hai, chaa’on daine ko,
Jabkey darakht saaray saayadar uskey thay.

Yun tu bazahir logon mein main rizk baanta tha,
Lekin darparda saarey haath uskey thay.

Maine kamaal bulandi pe jakey soocha,
Tu saaray kamaal tu uskey thay.

 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Feb 28, 2008
40
14
0
39
koi wada nahi hum main
na aapas main buhat batain
na milnay main buhat sho-khi
na aakhir-e-shab manajaatain
magar ek un-kahi si hai
jo hum donon samajhtay hain
ajab ek sir-khushi si hai
jo hum donon samajhtay hain
ye saaray dil-ruba manzar
tilismi chaandni raatain
sunehri dhoop kai mausam
ya halkay sukh ki barsaatain
sabhi ek zid main rehtay hain
mujhay peeham ye kehtay hain
Muhabbat youn nahi achi
Muhabbat youn nahi achi
 
Top