DUNYA NE HUM PE JAB KOI ILZAAM RAKH DIYA
Dunya ne hum pe jab koi ilzaam rakh diya
Hum ne muqabil us ke tera naam rakh diya
Ek khas hadd pe aagiye jab teri berukhi
Naam us ka hum ne gardish-e-ayyam rakh diya
Main larkhra raha hun tujhy dekh dekh kar
Tu ne to mery samny aik jaam rakh diya
Ab jis ke jee main aaye wohi paye roshni
Hum ne to dil jala ke sar-e-aam rakh diya
Kya maslehat shanaas tha wo aadmi qateel
Majbureyon ka jis ne wafa naam rakh diya