Dushman Me Dost

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الرحمـن الرحيـم 0


Assalam o alaikum dosto :)

Dr Syed abdul lateef (1891-1971 )me kurnool me paida hue.wo apne Quran english translation aur dosri qidmaat ki wajah se kaafi mashhoor hue.unho ne proper hi k secondary school me apne walid ki itella k baghair addmission leliya tha.unke waalid ko angrez aur angrezi taaleem se saqt nafrat thi.jab inko maaloom hua to bahot ghussa hogaye.aur saqt lahje me poocha k english parhkar kia karoge.duble patle pust qaamut larke ne jawab dia english parhkar english language me quran ka tarjuma karunga.

1915 me inho ne B.A ka exam first division me pass kia.1920 me jamia osmania hyderabad me english k professor muntaqib hue.1922 me inkeliye naya taaleemi mouqa paida hua.jabke jamia osmania k 4 professors ko standard education hasil karne keliye europe bhejna tai paaya.aur inkeliye state governament ki taraf se 30,000 rupees ka scholarship bhi manzoor kia gaya.inme se ek Syed Abdul Lateef bhi thei.

london pahunchkar wo B.A (Honour) me addmission lena chahte thei.laikin kings college k president for english language aur dosre professors ne inki salahiataon se mutaasir hokar B.A aur M.A se mustasna karte hue barah e raast P.h.d degree karne ki ijazat dedi.aur aapko ek article"urdu adab par angrezi adab k taassuraat" tai paaya aur iski tayyari keliye inhe 3 saal ka waqt dia gaya tha laikin inho ne sirf 2 saal me apna article poora karlia.jisse management ne accept karte hua inhe p.h.d ki degree ata ki.

to dosto unke walid k khilaaf jaate hue wo apne dushman me bhi dosti talaadh ki aur wo is maqam tak aaye.aur hamari zindagi me bhi kaayi baar aise waqiyat hote hain jinse hame mukhalifat k bajaye seekhne ka mouqa milta hai laikin hum isse bahot hi kum istemal karte hain.aur isi tarha Allah taala Quran me farma raha hai k


فَإِنَّ مَعَ الْعُسْرِ يُسْرًا ﴿٥﴾ إِنَّ مَعَ الْعُسْرِ يُسْرًا
Beshak mushkil k saath aasani hai.
(al shrah-06)


yahan Allah ye nahi kah raha hai k mushkil k baad aasani hai balke ye kah raha hai k har mushkil k saath hi aasani bhi rakhi gayi hai.bus isse humey talaash karke usse istemal me laana chahiye aur is dunya me kamiyab hone ka yahi ek usool hai.
 

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
Beshak No Doubt, Jab uske Raste par chal niklen to Asniaan peda hoti chali jatin hain , or Beshad Jab Allah Pak ksi insan k sath bhalai ka mamla farmata hai to wo use deen men faqih kar deta hai ...

jazakallah for sharing Qasim Bhai
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
hmmmm nice share bro, JAZAK ALLAH KHER,

insan to khud hi apna dushman hai or khud hi apna dost hai,
khud hi tanha hai, or khud hi mehfil...
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,205
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
masha Allah bohot hi mufeed sharing ki hai janab apne
aur badi khushi huyi ye jaan kar ke shahr e kurnool se aisi shaqsiat bhi urooj par ayin hain khud ham is shaher me paidah huye hain subhan Allah

Jazakallah khair
 

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
mashaAllah bohat zabardast sharing ki hai aap ne...,

no doubt aap apne dushman ke darmyaan maen reh kar bhee uss ko shikast dae sakte ho.....

nice sharing
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Jazak Allah khair Arshad bhai...hamesha ki tarah aapki ek aur behtareen sharing parhne ko mili thx for sharing...:)
 
Top