eid banglon hi me kyun hoti hai?

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الرحمـن الرحيـم 0




Eid k din udaas se ghar me ek bewa ghareeb roti hai.
uska baccha ye pooch baitha hai eid banglon hi me kyun hoti hai.


eid keliye abhi chund hi din rah gaye thei.airaaf aur shimayila dono apne kapraon keliye zidd kar rahe thei k unhe aaj hi apne kapre chahiye iskeliye unhone saare ghar ko apne sur par utha rakha tha.baano apne bacchaon ko samjha rahi thin k jaise hi abbu aayenge unke kapre lalenge.ye baat hum bhi jante hain k eid ki khushi baraon se ziada bacchaon ko hoti hai aur bacchaon ki khushi me hi baraon ki khushi hoti hai.yaseen sahab raat ko apne office se aate hi bacchaon ko liye market chale gaye aur wahan k famouse showroom se unkeliye kapraon ki khareedari karne lage.airaf aur shimaayila bhi bahot khush dikhaayi de rahe thei.kyunke unke abbu ne unki pasand k mutabiq hi kapre khareede thei.raat 12pm tak unki shopping chalti rahi koi apne jotaon ki farmayesh karta to koi sandal ki.

raat wo thake maande aaye aur apne apne kamraon me chale gaye.laikin airaaf aur shimayila ko to maare khushi k neend hi nahi aarahi thi.ab wo eid ka besabri se intezar kar rahe thei.unke parose(neighbour) me hyder bhai raha karte hain.wo bechaare bahot ghareeb hain.ek waqt ki roti keliye unhe kaafi mehnat karni parti hai.60 saal ki umr hai saari haddiyan jawab de chuki hain.laikin is umr me bhi wo mehnat mazdoori karke apna aur apne 2 bacchaon k peth paal lete hain.karte bhi to kia karte ek waqt ki roti keliye to inhe itna karna hi tha warna bhooke rahne ki naubat aajati.koi inka pursaan e haal na tha.unke bhi 2 bacche jabeen aur arif thei.

dosre din airaaf aur shimaayila ne apne kapre unko dikhaaye.
jabeen : (kapron ko dekhte hue) kaafi mahenge lagte hain?
shimaayila : haan 3000/- ka ye mera suit hai.kaho kaisa laga.
jabeen : bahot accha hai shimaayila.ispar tum bahot khoobsurat dikhogi.
shimaayila : jabeen kia tumhare bhi kapre aagaye hain?
jabeen : nahi aaye abbu ne kaha k wo aaj le aayenge.inshaAllah


jabeen aur arif ki ye hasrat lagta hai kabhi poori nahogi.kyunke hyder sahab k bus bi baat na thi k wo itne mahenge kapre apne bacchaon keliye khareede.aajka din guzar raha tha. suraj pahadaon ke darmiyan doob raha tha.raat ka andhera chaane laga tha. laikin hyder sahab ka kuch pata na tha.jabeen aur arif unka intezar karte karte sogaye thei.kuch der baad ksi k aane ki aahat sunaayi di .jabeen aur arif neend se jaag uthe.hyder sahab aachuke thei laikin badkhismati unki ye k aaj bhi unhe kaam na milsaka tha.

jabeen : (maasomiyat se) abbu kia aap hamare kapre le aaye?
hyder sahab : apne bacchaon ko piyar bhari nigahaon se dekhte hue.nahi beta kal main zaroor le aaonga.kyunke bazaar ki saari dukaanein band hochuki thin.
arif : abbu aap har roz yahi kahte hain.eid keliye abhi 3 din hi baaqi rah gaye hain.

hyder sahab aur unki ahlia apni ye bebasi dekhkar ro pare aur unke aankhaon se be ikhtiyaar aanso rawan hogaye.ab kare bhi to kia kare.kaise apne bacchaon ki farmayesh poori kare.

dosre din jabeen aur arif.
jabeen : bhayya kia waqayi abbu hamare kapre le aayenge?
arif : pata nahi ab ki baar bhi lagta hai hamare kapre nahi aayenge.
jabeen : bhayya kia islam me aisa koi nizam hai jis se ghareebi dur ki jasake?
arif : haan jabeen maine suna hai abbu se k zakat,fitra aur sadqaat ye aisi cheezen hain jo har sahib e istetaat musalman par zaroori hain.
jabeen : bhayya agar har ameer musalman inpar amal kare to is dunya se ghareebi mit jaayegi na?
arif : haan jabeen kyun nahi.jab har musalman zakat aur fitra sadqaat ada kare to ye ghareebi nahi rahegi.
jabeen : bhaaya eid k din hum ab kia pahnenge?
arif : tumhara jo purana accha wala dress hai na wahi pahan lo.ye kahte hue arif ki aankhaon se aanso kab bah nikle pata nahi chala.
jabeen : jab hum bade honge na bhayya to hum zaroor har ghareeb musalman ki madad karenge.
ye kah kar wo dono be ikhtiyaar rone lage.lagta tha k unke ye aanso us khuda k arsh ko bhi hala denge jiske qabze me hamari jaan hai.

 

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
hmmm Very heart touching one...
Yeh parh kar har insan ko ghareeb k haal ka andaza aur ahsas hoga....

ALLah Madad kare aur hidayat de AMEEN...

JazakALLAH khair...
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam bohot hi behettereen likha hai
ALLAH kare ke mid class se le kar high class ke loug tak
apni aankhein khol lein aur ghareebon ki madad karein aameen
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Allahi baarik fee.
shukriya aap tamam ka.
han isiliye maine ye mazmoon likha k hum log kahin hamare neighbours ya ghareeb afraad se ghaafil na hojaaye.meri aap tamam ahbaab se guzarish hai k aap apni khushiyaon me inhe bhi shamil kijiye.kyunke asli khushi tab hi haasil hoti hai.jab koi hamari zaat se khush hota hai.Allah hame amal ki taufeeq ata farma aameen.
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
bohat hi umdah kahani likhi hai Arshad bhai aapne aur bilkul sahi bat bayan ki hai...very sad...:(
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
mere dosto mere bhaio is lie islam me zakat or fitrey ka kaha gaya hai k sab ka mala apas me takseem ho sake hume chaiye k is babarkat mahine me zakat or fitra de...very nice story bro :)
 
  • Like
Reactions: Sara Cilli Milli

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
subhan Allah
bohot hi ibratnak sharing ki hai janab apne
jazakallah khair

sach me islam kitna acha aur mukammal deen hai magar afsos musalman is par amal nahi karte bas naam ke musalmaan reh gaye hain

agar har musalman gareeb ka haq aada kare to ye gurbat khatam hojayegi aur har gareeb bhi eid ki khushian manayenge

Allah sare musalmano ko deen par amal karne ki taufeeq de Aameen
 
  • Like
Reactions: Sabah

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
mashaAllah..boht khoob..
ghurbat or be'rozgari aj dunya ka aham masla hai,aj ka insan bhookh aflas or roz'gar k masail se bahir nikle to kuch or soche..ye sirf 1 ya 2 mumalik k halaat nhi..sari dunya ka yahi masla hai..hum boht aage tak ja chuke hain.aj science ne boht taraqi kar li..lekin aj b is dunya me hazaro log bhookh ki waja se mar rahe hain..hum ne atom bomb to bna lia lekin zindgi k bunyadi masail ka haal aj tak nhi nikla..
is kahani me ek pehlu jo waziya kia gya k hume apne musalman behan bhaion ki madad karni chaheye ta'k woh b eid or zindgi k dosri khushiyon ko enjoy kar saken..
Islam woh mazhab hai jo mukamal zabta'hayaat hai woh is masle ka haal b batata hai..jo k zakat,fitrana or sadqa hain..agar hum apne mazhab pe amal kren to ye masail haal ho sakte hain ek woh b to doar tha jb Arab me islam aroj par tha or log zakat ly kar phirte the lekin koi esa nhi milta tha jo zakat lene wala ho..islam ghurbat k khatme ka hall b batata hai..
Allah humare haal pe reham kre or hume islam ki talimat pe amal ki tufeeq dy..Ameen

Tehreer boht umdah andaz me or haqiqat k qareeb'tar likhi..jazakAllah
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Allahi baarik fee.:)
shukriya aap tamam ka k aapne apna qeemti waqt dekar isse parha.
Allah hame likhne aur parhne se ziada amal ki taufeeq ata farma aameen.
 

~Ambitiou$ Girl~

•°o.O ʍąţȼhℓ€$$ O.o°•
Super Star
May 26, 2010
6,851
2,131
1,313
pakistan
arshad really tum ne tou rula diya
but hum sab tou apni hi duniya mein rehte hain
kabhi apni duniya se bahir niklen to realize hota hai ke ALLAH ne hamen hamare amaal se bohat ziada diya hai
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
han maham hame parh kar rona aaraha hai.laikin zara soonchiye un logon par kia guzarti hogi jab wo chotey chotey bacche dosron ko naye naye libas me dekhte honge.aap bhi zaroor aise logon ki madad kijiye taake unhe bhi eid ki khushi naseeb ho.
 

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
so true n heart touching
:)
bht hi acha likha hai app na bro
:)
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
buhat he la jawab sharing hai janab ye haqeeqat hai bilkul . meri khudh ki ankhoon main ansoo agaye . Allah sub ko khush rakhey Aameen :)
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Hmmmm JazakAllah Khair kafi useful topic aap ne share kiya hain..
but jaise k aap ne kaha Allah (SWA) hame likhne aur padhne se zyada Amal kerne ki taufeek atha kare (Aameen) Aise buhut se loug hain humare muashre mei jho ghurbat se parishan hote hain kuch loug tu ab bhi be rozgari se tung aker khud ka and aapni bacho samait jaan lete hain kio k unke paas khane ko bhi kuch nahin hota tu Allah aise koi amal kerne se bechae, wakiye mei ager her Muslim Zakat aur Sadqa ki adayegi kare tu aise koi naubat nahin ayegi but afsoos ki baat yeh hain k hum sub yeh Jante hain eska sawab and azab ka bhi pata hota hain per Amal nahin kerte tu Amal ki kami hain ager hum Islam ko ache se samajh ker Saqah and Zakat de yeh Insaan ko Ahsas hona chahye k es se uska Wealth pak aur saaf hujayega and es se uske wealth mei kuch kami bhi na hugi jub k yeh ek Ghareeb k huk ki adayegi hugi and ager jho Allah k rah mei kherch kare tu for sure uske donu jahan k lie Mafaad hai InshAllah...
 
Top