Eid Card Or E-card? Question Of The Week(17th August 2012)!

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Assalam o ALaikum
Ramzan ul mubarak k aakhri ashre k aakhri din chal rhe hain to is Week ka Question bhi EId k hawale se rakhte hain!
Kuch arsa peeche daikhain to aakhri 2 ashrey har jaga halla gulla hota tha markets may EId cards buy karne waalon ka acha khasa rush hota Eid card laine aur daine ka apna maza aata tha phir us eid card ko sambhal k rakhna baar baar daikhna sajana sab kaafi interesting chezain thi EId card de k wish karne may bohat pyaar khaloos aur apnaiyat chuppi hoti agar koi friend eid card na deti to bohat dukh hota narazgi ho jaati :p
AAJ kal E-cards n SMS ka dor chal rha hay aik hi eid mubarak ka message SEnd to all kar k farigh ,,jitni jaldi messgae send kar k fasrigh hote hain system bhi utna hi farigh lagta hay ye meko,,, na ehsasaat na wo apnaiyat na wo sambhal k care se rakhna sab pheeka aur beronaq lagta hay!
khair is TOpic se related aap apne khayalaat share karain!
Eid card or E-card??
@Nelli
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
walakumsalam wrwb...
ahan nice question..
i think jab se yeh cell fone rakhne ka tradition shuru howa hai to us waqt se Eid cards distrubute karne ka tradition bhi khatam hogia......
i wouldnt mind both...
E-cards ko bhi mai utni ehmiat deta hon jitni mai Eid card ko deta tha.....:)
SMS ki itni kadar nai karta kyonke reply karne mei kharcha hota hai :D
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
walakumsalam wrwb...
ahan nice question..
i think jab se yeh cell fone rakhne ka tradition shuru howa hai to us waqt se Eid cards distrubute karne ka tradition bhi khatam hogia......
i wouldnt mind both...
E-cards ko bhi mai utni ehmiat deta hon jitni mai Eid card ko deta tha.....:)
SMS ki itni kadar nai karta kyonke reply karne mei kharcha hota hai :D
haha taubaaaaaaaaaaaa kanjoosi k ala darje pe fayz ho aap beshaaaaaaaaak :p
AAP eid cards daite thay friends ko?
 
  • Like
Reactions: ~Unknown~

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
haha taubaaaaaaaaaaaa kanjoosi k ala darje pe fayz ho aap beshaaaaaaaaak :p
AAP eid cards daite thay friends ko?
nah..us waqt abu dilate nahi the...bas dosto se milte the....:p
kanjoosi nahi..jo cell fone ka plan hai..usmei 50 sms ki limit hai ...incoming free hai..aur ab to woh bhi band karaya wa hai 2 months se...o_O
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
nah..us waqt abu dilate nahi the...bas dosto se milte the....:p
kanjoosi nahi..jo cell fone ka plan hai..usmei 50 sms ki limit hai ...incoming free hai..aur ab to woh bhi band karaya wa hai 2 months se...o_O
aap ne kabhi eid cards nhi diye :eek:
E-cards ki to tawaqqa bhi nhi ab aap se ;))

How boring baba g :p
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
aap ne kabhi eid cards nhi diye :eek:
E-cards ki to tawaqqa bhi nhi ab aap se ;))

How boring baba g :p
e cards deta hon..but aik hi person ko :s ...
baqi sab ko fone par wish kariya to kabhi kisi ko sms par to kabhi mil kar..aur kabhi TM par akar :p
 
  • Like
Reactions: hoorain

Diva

Newbie
Mar 7, 2012
1,676
599
113
Mohabbat ki pehchaan to dono hi karatey hain
but i think yeh apke lafz hotey hian jo samne walo ko aapke khuloos aur mohabbat ka pata dete hian.

Bazaar se khareeda hua card bhi gar black bhej diya jayien to firmality kehlata hian
Usi trah gar Ecard or sms ko bhi aap bina apne alfazo k sirf mubarakbaad samet bhejde do duniya daari hi kehlayengi

isliye meri nazar mein yeh LAFZ hian jo matter karte hian, or aaop k ehsaas ko zahir karte hian baki sari cheezien mani nhain rakhti :)
 

The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion
Mohabbat ki pehchaan to dono hi karatey hain
but i think yeh apke lafz hotey hian jo samne walo ko aapke khuloos aur mohabbat ka pata dete hian.

Bazaar se khareeda hua card bhi gar black bhej diya jayien to firmality kehlata hian
Usi trah gar Ecard or sms ko bhi aap bina apne alfazo k sirf mubarakbaad samet bhejde do duniya daari hi kehlayengi

isliye meri nazar mein yeh LAFZ hian jo matter karte hian, or aaop k ehsaas ko zahir karte hian baki sari cheezien mani nhain rakhti :)
suna hai ap ne eid cardo ki dokan kholi hai..
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
well dono hi important hain per eid card ka apna maza hota hai ap bar bar us ko dekh sakte hain mere pas meri counsins k bachpan k cards hain jo unhu ne mujhe send kie they when i was 12 or 13 :D
us me un ki spelling mistakes or wo bachpan k 2 lines wale sher wo mazak or wo sab meethi meethi batein per k hum muskurate bhi hain n record bhi lagate hain :p
ke tum esi thi :))

well eid card sambhal k rakha ja sakta hai is lie wo important hian mere pas to dhero eid card rakhe hain mene sambhal ab ye mat pochna bheje kisne they :p
 
  • Like
Reactions: hoorain

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
Kehte Hain Ke Eid Card Se Yeh Riwayat Hai Is Zamane Ki​
Ek Dastak Hai Unke Zehnon Per Jinko Adat Hai Bhul Jane Ki​
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
well dono hi important hain per eid card ka apna maza hota hai ap bar bar us ko dekh sakte hain mere pas meri counsins k bachpan k cards hain jo unhu ne mujhe send kie they when i was 12 or 13 :D
us me un ki spelling mistakes or wo bachpan k 2 lines wale sher wo mazak or wo sab meethi meethi batein per k hum muskurate bhi hain n record bhi lagate hain :p
ke tum esi thi :))

well eid card sambhal k rakha ja sakta hai is lie wo important hian mere pas to dhero eid card rakhe hain mene sambhal ab ye mat pochna bheje kisne they :p
main wohi poochne waali thi :p
kis ne bhaijey thay ;))
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
walikum asalam
nice topic...
well waqe jub say mobil or net amm howa hay,eid card to ab mazi ki bat he laghte hay..
even last yr mujy jub tm k cooking contest ki janib say eid card mila ta to sach may 1000 rupay say ziada card ko dek kar khushe hove..manay abe tak sambhal k rakka hay...
e card mujy zara b nae pasand ,tasalli he nae hote dil ko...so mujy eid card pasand hay e card nae...
 
  • Like
Reactions: hoorain
Top