Eid-e-Milad Un Nabi Hai

  • Work-from-home

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
So beutifull bohot hi achha laga sun ker thanks for sharing sis

JazaakALLAH khair

and once again aapko eid milad un nabi saww mubarak ho
 

~Maano~

Active Member
Mar 23, 2011
161
39
28
32
JAZAKALLAH khair sisoooooooooooooo beautiful sharing n thanks for sharing
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
assalam alaikum sister.:)
sister maine to islam me sirf 2 hi eidein suni thin.aur kayi sahih aahadees me bhi eid ul fitr aur eid ul azha k baare me hi suna hai.par ye eid milad un nabi(pbuh) ka kahin zikr nahi suna halanke 12 rabi ul awwal ye wahi tareeq hai jisme Allah k nabi(pbuh) ki wafaat hui.

kia aap iski koi sahih hadees mujhe bata sakti hain?taake main bhi ye eid karsakun.
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
waleikum assalam nelii so beautifull sharing

12 rabi ul awal apko b bht mubarik ..:)
 

Noor_Afridi

Super Star
Feb 28, 2009
14,443
9,602
1,313
40
karachi
assalam alaikum sister.:)
sister maine to islam me sirf 2 hi eidein suni thin.aur kayi sahih aahadees me bhi eid ul fitr aur eid ul azha k baare me hi suna hai.par ye eid milad un nabi(pbuh) ka kahin zikr nahi suna halanke 12 rabi ul awwal ye wahi tareeq hai jisme Allah k nabi(pbuh) ki wafaat hui.

kia aap iski koi sahih hadees mujhe bata sakti hain?taake main bhi ye eid karsakun.
aaj tak kOi Sabit nahi kar Saka OR na Sabit kar Sakta hai iS Eid kO
Nabi ki Salgira manana Sirf Esaion ka kaam hai Muslim ka nahi OR
Allah k nabi nay har OS kaam Say rOka hai jO gair karty hain iSsi baat ki waja Say islami maheena Say shuru kia gaya warna humara maheena bhi Hozroor SAWW ki pedayish Say Shuru hOtha
 

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
walaikum assalam
Gud point bro, in fact bot dino se sun rahi hoon k Eid Milad Un Nabi manana theek nai etc etc, but one thing k dun u think hum is din mean 12 Rabbi Ul Awwal ko is liye khas thehrate hain k isi din main hamare nabi (S.A.W) ki valadat hui:) woh is dunia main aaye tabhi Islam hum tak pohncha, isn't it?
aur agar dekha jaye tou log koi khas non muslim wala kaam b nai karte like patakhe chalana etc, sirf Pyare Nabi(S.A.W) per darood-o-salam bheja jaata hai, un ka zikr kiya jaata hai:) jo k itna bura kaam b nai hai, kya aapki nazar main naat ya darood shareef parna esayion wala kaam hai?:s
haan ye alag baat hai k shayed is din ka title hum logon ne munasib nai chuna....
assalam alaikum sister.:)
sister maine to islam me sirf 2 hi eidein suni thin.aur kayi sahih aahadees me bhi eid ul fitr aur eid ul azha k baare me hi suna hai.par ye eid milad un nabi(pbuh) ka kahin zikr nahi suna halanke 12 rabi ul awwal ye wahi tareeq hai jisme Allah k nabi(pbuh) ki wafaat hui.

kia aap iski koi sahih hadees mujhe bata sakti hain?taake main bhi ye eid karsakun.
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
walaikum assalam
Gud point bro, in fact bot dino se sun rahi hoon k Eid Milad Un Nabi manana theek nai etc etc, but one thing k dun u think hum is din mean 12 Rabbi Ul Awwal ko is liye khas thehrate hain k isi din main hamare nabi (S.A.W) ki valadat hui:) woh is dunia main aaye tabhi Islam hum tak pohncha, isn't it?
aur agar dekha jaye tou log koi khas non muslim wala kaam b nai karte like patakhe chalana etc, sirf Pyare Nabi(S.A.W) per darood-o-salam bheja jaata hai, un ka zikr kiya jaata hai:) jo k itna bura kaam b nai hai, kya aapki nazar main naat ya darood shareef parna esayion wala kaam hai?:s
haan ye alag baat hai k shayed is din ka title hum logon ne munasib nai chuna....
nabi(pbuh) nubuwat k baad 23 saal zinda rahe laikin kabhi bhi apni birthday nahi manayi.
uske baad sahaba ne bhi kabhi aisi koi birthday nahi manayi.
kia hum sahaba se ziada Allah k nabi(pbuh) se mohabbat karte hain?
aur isi din nabi(pbuh) ki wafaat hui kia hum isi din khushi manyenge?

umeed k aap apne is bhayi ki baat par tawajjuh dengi :) inshaAllah.
 
  • Like
Reactions: Nelli

Noor_Afridi

Super Star
Feb 28, 2009
14,443
9,602
1,313
40
karachi
walaikum assalam
Gud point bro, in fact bot dino se sun rahi hoon k Eid Milad Un Nabi manana theek nai etc etc, but one thing k dun u think hum is din mean 12 Rabbi Ul Awwal ko is liye khas thehrate hain k isi din main hamare nabi (S.A.W) ki valadat hui:) woh is dunia main aaye tabhi Islam hum tak pohncha, isn't it?
aur agar dekha jaye tou log koi khas non muslim wala kaam b nai karte like patakhe chalana etc, sirf Pyare Nabi(S.A.W) per darood-o-salam bheja jaata hai, un ka zikr kiya jaata hai:) jo k itna bura kaam b nai hai, kya aapki nazar main naat ya darood shareef parna esayion wala kaam hai?:s
haan ye alag baat hai k shayed is din ka title hum logon ne munasib nai chuna....
Nelli may nay yeh nahi kaha Naat OR dOrOod Sharif parna esayion wala kaam hai lkn wO apny nabi ki paidaish walay din kO as a Eid k tOr par manatay hain On ki Salgira bhi manai jati hai
OR yeh tO Sab jantya hain k Allah k Nabi nay humay Sakhti Say eSsi bato Say mana kia hai jO batain gair muSlim may pai jati hai
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
nice sharing nelli .. basically EID ka mean hai blessed festival . Beshak Muslims ke lye 2 tehwaar eid-ul-fitar aur eid-ul-azha muqarar kar dye gaye... ye basically har muslims ki woh khushi ka mauka aur din hai Jab Hazrat Muhammad S.A.W is dunya main tashreef laye beshak aap ki wafat bhi 12 rabi-ul-awal ke din he huwi.

Hazrat Muhammad S.A.W koi aam admi nahi thay balkey woh shaksiat hain sari kainaat ke lye jin ke hum ummati hain aur Allah ke itney mehboob bandey hain jinhen Allah ne khudh apne se milney ke lye 7 asmaan oper bulaya MashaAllah

Is din kisi bhi kism ki koi rasoomat nahi ada ki jati hain ya deen main kisi ne kuch edit nahi kar dya . Hazrat Muhammad S.A.W pe har rooz Billions se zyada muslims darood-o-salam bhejte hain aur is din bhi yahi kuch hota hai. Eid Milaad un Nabi kehne ka maqsad hai ke Hazrat Muhammad S.A.W ki pedaish aur dunya main tashreef awri ko dekhte huwe khushi manatey huwe un pe Durood-o-Salam bheja jaye. ye Juloos nikalna shoor karna ye sub kuch mere nazdeeq ghalat hai magar agar koi un ke oper durood o salam bhej raha hai toe kaun isey ghalat keh sakta hai.. shukrya
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada

Nelli may nay yeh nahi kaha Naat OR dOrOod Sharif parna esayion wala kaam hai lkn wO apny nabi ki paidaish walay din kO as a Eid k tOr par manatay hain On ki Salgira bhi manai jati hai
OR yeh tO Sab jantya hain k Allah k Nabi nay humay Sakhti Say eSsi bato Say mana kia hai jO batain gair muSlim may pai jati hai
salgirah manana ofcourse galat ha.. per milaad karwana, ALLAH ka zikr ki mehfilain sajana, or darood pak parhna ye sab kahan pay likha ha k galat ha?
12 Rabiul awal may aisa koi b kaam nai kia ja raha ko gheer ikhlaqi ho.. den ap log kio isay salgirah manana etc type ki sense may lay k ja rahay hain...
 

Noor_Afridi

Super Star
Feb 28, 2009
14,443
9,602
1,313
40
karachi


salgirah manana ofcourse galat ha.. per milaad karwana, ALLAH ka zikr ki mehfilain sajana, or darood pak parhna ye sab kahan pay likha ha k galat ha?
12 Rabiul awal may aisa koi b kaam nai kia ja raha ko gheer ikhlaqi ho.. den ap log kio isay salgirah manana etc type ki sense may lay k ja rahay hain...
kiSsi Sahabi nay aaj tak 12 Rabi-ul-awal ka din nahi manaya tO phr hum kesay mana Saktay hian aap dor-e-khilafat Say sabit karay k kiSsi bhi yeh din manaya hO Or i think aap nay Geo nahi deka aaj 8 fit lamba Or 700 tan wazni Cake kata jaraha hai Salgera k tOr par tO phr aap keSay keh rahi hai k yeh salgera nahi hai
 
  • Like
Reactions: Tooba Khan

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
Exactly, ab dekho mene tou koi julooos vaghaira nai nikala sirf ek naat share ki hai aur sab ghalat samajh re hain{(cray)}
nice sharing nelli .. basically EID ka mean hai blessed festival . Beshak Muslims ke lye 2 tehwaar eid-ul-fitar aur eid-ul-azha muqarar kar dye gaye... ye basically har muslims ki woh khushi ka mauka aur din hai Jab Hazrat Muhammad S.A.W is dunya main tashreef laye beshak aap ki wafat bhi 12 rabi-ul-awal ke din he huwi.

Hazrat Muhammad S.A.W koi aam admi nahi thay balkey woh shaksiat hain sari kainaat ke lye jin ke hum ummati hain aur Allah ke itney mehboob bandey hain jinhen Allah ne khudh apne se milney ke lye 7 asmaan oper bulaya MashaAllah

Is din kisi bhi kism ki koi rasoomat nahi ada ki jati hain ya deen main kisi ne kuch edit nahi kar dya . Hazrat Muhammad S.A.W pe har rooz Billions se zyada muslims darood-o-salam bhejte hain aur is din bhi yahi kuch hota hai. Eid Milaad un Nabi kehne ka maqsad hai ke Hazrat Muhammad S.A.W ki pedaish aur dunya main tashreef awri ko dekhte huwe khushi manatey huwe un pe Durood-o-Salam bheja jaye. ye Juloos nikalna shoor karna ye sub kuch mere nazdeeq ghalat hai magar agar koi un ke oper durood o salam bhej raha hai toe kaun isey ghalat keh sakta hai.. shukrya
 

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
ye tou fir un logon ki ghalti hai na
dua hai k ALLAH hum sab ko Islam ko sahi tarah samajhne ki tofeeq ata farmayen(Ameen)

kiSsi Sahabi nay aaj tak 12 Rabi-ul-awal ka din nahi manaya tO phr hum kesay mana Saktay hian aap dor-e-khilafat Say sabit karay k kiSsi bhi yeh din manaya hO Or i think aap nay Geo nahi deka aaj 8 fit lamba Or 700 tan wazni Cake kata jaraha hai Salgera k tOr par tO phr aap keSay keh rahi hai k yeh salgera nahi hai
 
  • Like
Reactions: Noor_Afridi

Noor_Afridi

Super Star
Feb 28, 2009
14,443
9,602
1,313
40
karachi
ye tou fir un logon ki ghalti hai na
dua hai k ALLAH hum sab ko Islam ko sahi tarah samajhne ki tofeeq ata farmayen(Ameen)
Aamen sum Aamen
Allah tamam muSalmanO kO hedayat naseeb karay On kO nabi k tareekO par zindagi guzarnay ki tOfeeQ dain
 
  • Like
Reactions: Iceage-TM

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
.......................


woh mene eik post ki thi
per socha Nelli sis ke
achhe se thread ko
apne ghusse ka izhaar kar
ke bifar dena dena durust
nahin hoga is liye apne
saare alfaaz wapas le liye
 

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
aray koi baat nai, i wouldn't mind:) aapko jo kehna hai keh dijiye bhai
actually baat ye hai k hamare deen ka aaj kal jo mazaq ban raha hai wo shayed hi history main kabi bana ho:s, muslim ho k hum Islam ko sahi se nai samajh sakte, kya sahi hai aur kya ghalat, pehle ye hota tha k muslim aur non-muslim k beech mazhab ki wajah se khalish hoti thi per aaj kal musalman musalman k beech talkhiyan hain:(
Islam ka topic itna sensitive ho chuka hai k kuch b kehne se pehle 100 dafa sochna parta hai k aaya hum kuch sahi kehne jaa rahe hain ya ghalat, aur hamari is ek baat pe patah nai kitne ungliyan uthengi.....
ALLAH hum sab pe rehem farmaye(Amee)​
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Hmmm ur totally ryte sis aur jab aapko hi aetraaz nahin to mein kahe deta hoon

ke.yeh baat koi bhi shaqhsiyat samajh sakta hai ke kisi khaas din ko manana
koi buri ya ghalat baat nahin khwaah woh islami tehwaar hi kyun na ho
ab jab eik waqiya huwa aur uspe humein qurbani karna farz ho gaya to
hum karengein

per jahaan Huzoor saww ke is dunya mein aane ka din hai us din kuch na karein
sirf is gharaz se ke dour e nabi saww mein aisa nahin huwa tha per sach yeh
nahin loug iske khilaf sirf is liye hain kyunke woh jis firqe ko follow karte hain
woh iske khilaf hain

1.khushi ka izhaar karne se manah kahan kiya gaya hai

2.Huzoor saww ke aamad ke din aaj se 1400 baras pehle jashn eid ki tarah
manaya gaya tha hum us hi ki yaad mein kuch karein matlab us din ki yaadein
taaza karein aur huzoor saww pe durood o salam bheijein to ghalat kaise

3.is din mein khushi manane se aetraaz karne walon ka maanna hai ke
Huzoor saww ki saalgirah manate hain to bilkul jo saalgirah kahein ise aur
is gharaz se khushi manayen to ghalat hi hai

4.the way of hajj and masajid is also part of islam ryte.??? kahaan likha hai
wazeha alfaaz mein ke hajj ke liye plane mein beith kar aao wapasi mein
loutte huwe itna kuch le kar jaao lagek e shopping gharaz se aaye the


5.aur lafz eid ke baare mein Zeeshaan bhia pehle hi bata chuke hain

6.is hi tarah kuch doston ka aetraaz nawafal parhne per bhi tha shabaan
mein nawafal namaz ko biddat keh rahe the mere un doston ke tajurbe aur
aqeedat pe laakhon salaam aur surkh surkh salaam iski wajah yeh hai ke
un lougon ne Huzoor saww ki poori zindagi sameit Ali as Umer e arooq a.s

Osman ra sameit Abu bakkar poori poori life histry read kar li aur dekh liya ke
is maah mein in hastion ne nawafal nahin parha tha so faisla e biddat suna diya

nawafal huzoor saww ne parhe aur ise parhne ka hukm diya aur koi din nawafal ke liye
mukarrar nahin kiya am i ryte doston.????


aur phir biddat deen mein izaafa karna hai nawafal parhne se deen mein izafa kaise ho jaata hai

7.phir aate hain rabiul awwal wale topic per eik seedha saada musalmaan bhale hi das saal ka ho
use pehle bataiye ke beta Mohammad saww ki jab tashreef aawri huwi tab har taraf eid ka sama
tha ehl e muslim ke qismat jaagne ka din tha aur muslamaan apne achhe waqton ko sada yaad rakhte
hain aur ALLAH ka shukr ada karte hain to woh bhi keh dega ke is hisaab se ehl e imaan ke liye
rabiul awwal khushi ka maheena hai per kuch loug uffffff

ho gaya momin momin mein faraq itna chiragh
har muslim ke liye dooja muslim kaafir thehra

8.Har firqe ke liye doosra firqa aaj ki tareekh mein mushriq biddati aur
kaafiron wala hai yaani islam ko top view se dekho to yahaan koi ab
musalmaan raha hi nahin faqat chand gumraahon ne hum sub ko
kis tarah gumraah kar diya ke seedhi si baat bhi humare samajh nahin
aa sakti

9.mera sawaal hai agar kisi ke paas jawab ho to zaroor de

ehl e hadees ehl e sunnat ehl e tasheeh har firqe wale ne munazre kiye
aur islaam ke naam pe hi kiye khud ko sahi muslim saabit karne ke liye
to phir munaazre aur is tarah ka behes o mubahissa jisse laraiy
pheile aur bare iski ijazat deen mein kahaan hai aur agar nahin hai
to matlab kahin munazra nahin hona chahiye tamaam munazre karne
wale biddati hain to

10. eik aur sawaal tasveer image haraam hai theek phir woh kounsa
moulvi hai aaj ka jo T.V ke saamne apna chehra nahin laaya aur kaiin kaiin
ghante khare ho ker bayanaat nahin diye sirf awaaz se bhi to kaam
ban sakta tha naa per nahin biddat se bara gunaah to haraam kaam mein
hai naa.???? to jis din ehl e hadees wale rashidi Zakir naik aur baaqi
tamaam firqe wale apne ulma ke T.V pe aane ko haraam qaraar de kar
apne channels ko band karwa dengein mein qasam kha kar kehta hoon
mein us firqe mein shaamil ho jaaunga per pehle pehle woh ulma khud ko
saaf karein kyunke yeh to sub hi ko pata hai ke Huzoor saww kisi ko koi
bhi cheez se mana farmaane se pehle agar woh aadat unme hoti to
woh use pehle khud se khatam karte aisa hai naa.????
to is tarah T.V pe aa ker apne site khol ker deen ka kaam karke biddati
aur haraam ke kaam se jo bach jaayengein aur munaazron pe pabandi lagwa
dengein aur apne firqe ke masajid ko aise banayengein ke koi bhi namazi
khwaa kisi bhi firqe ka ho wahan namaz parhne mein chain o raat mehsoos kare
to mein apna waada apni qasam dohra rraha hoon ke mein qasam khaata hoon
us din mein us firqe mein shaamil ho jaaunga

per jab tak aisa nahin hota tab tak ehl e hadees wale hon wahabi hon bareilvi
hon shiya hon deoband hon ya koi bhi aur ho khudaraa kam az kam humein
humare islamic tehwaar chain se manane dein bhalaiy ka peighaam tab dena jab
khud bhale ho jaao

:)
 
  • Like
Reactions: Nelli
Top